Saturday, 1 December 2018

Wahdatul Wajood aur shirk ka Ilzam Tablighi Jamaat par Ghair Muqalledin Hazrat ki Haqeeqat Ghair Muqallid bhai ke Sabse Bade Ilzam (shirk) ke Bare mein

Wahdatul Wajood aur shirk ka
Ilzam Tablighi Jamaat par Ghair
Muqalledin Hazrat ki Haqeeqat
Ghair Muqallid bhai ke Sabse Bade Ilzam
(shirk) ke Bare mein
(Allah ham sab ko shirk se pak rakhe)
Assalam o Alaikum Wa Rahmatullahi Wa
Barakatuhu,
Masala kiya hai
Ghair Muqallid bhai apne alawa tamam
musalmanon ko mushrik batane mein lage
rahte hain.
Ghair Muqallid bhai apne hisab se wahdatul
wajood ka kuch matlab bayan karte hain phir
ahlesunnat ulema ko mushrik sabit karne ki
koshish karte hain.
Aur saboot ke liye jhoot aur her pher karke
ek tahreer pesh karte hain.
Sabse Pahle Wahdatul Wajood ka Matlab Ahle
Sunnat Ulmae Haq se Samajhie Phir Ghair
Muqallid Hazrat ke Ilzamat ko samjhenge
Mufti Taqi Usmani farmate hain (fatawa
usmani vol 1 page 66)
Ahle Baatil Ne Yeh Waswasa Daala Hai Ke Fazail
E Amaal Ke Ibaarat Me Shirk Maujood Hai Aur
Ghair Muqallideen Ke Asr E Haazir Ke Khateeb
Hazrat................ .........................Ne Is
Ibaarat Ko Wahjatul Wujood Ke Masla Par
Istedlaal Kiya Hai :
Jis Ibaarat Par Aiteraaz Hai Wo Ibaarat Yeh
Hai :
” Tera Hi Wujood Hai, Main Kya Hu Kuch Nahi
Hu Aur Wo Jo Mai Hai Wo Toh Hai Aur Mai
Aur Tu Khud Shirk Dar Shirk Hai Astagfirullah
Astagfirullah Astagfirullah……
Note : Baaz Fazail E Amaal Me Toh Ki Jagah Tu
Likha Huwa Hai Jisko Kutub Khaana Wagaira Ne
Ghalat Chaapa Hai. Lekin Hazrat Shaik Ul
Hadees Rh. Ne Hawaala Makaatib E Rasheediya
Ka Diya Hai.
Jis Me Ibaarat Saaf Aur Waazeh Hai.
Aur Jo Mai Hai Wo Toh Hai (Is Jumle Ko
Samjhiye Urdu Me Taa Wow Jaha Likha Jaata
Hai Toh Aam Taur Par Tu Hi Padha Jaata
Hai .Yaha Par (Scan Page Me) Pesh Isliye Daala
Gaaya Hai Taake ‘ Toh ‘ Majhool Padha Jaaye
Aur ‘Toh’ Aur ‘ Tu’ Me Farq Baaqi Rahe Warna
Aadmi ‘ Toh’ Ko Bhi ‘ Tu’ Hi Padhega. Aur Ghalat
Fehmi Me Muptela Hojaayega Jaisa Ke
Nawaaqif Log Ghalat Fehmi Ka Shikaar Horahe
Hai )
Scan Page :
Ab Puri Ibaarat Mulaaheza Farmaaye :
“ Aur Wo Jo Mai Hai Wo Toh Hai ( Ya Mai Se
Muraad Takabbur Hai ) Aur Mai ( Takabbur) Aur
Tu ( Zaat E Baari Tala ) Khud Shirk Dar Shirk Hai
Astagfirullah Astagfirullah Astagfirullah…….
Wazaahat : Yeh Hai Ke Jis Dil Me Takabbur Ho
Us Dil Me Allah Nahi Aasakta Hai Isliye Ke
Mutakabbir Aadmi Apne Ko Bada Samjhta Hai.
Yaha Par Hazrat Yeh Bataana Chaahte Hai Ke
Ya Allah ! Jis Dil Me Mai Yaani (Takabbur ) Ho
Us Dil Me Allah Nahi Aasakta Aur Jis Dil Me
Allah Aur Takabbur Dono Maujood Ho Yeh Toh
Shirk Hai (Isliye Hazrat Farmaate Hai “ Mai
( Takabbur) Aur Tu ( Zaat E Baari Tala ) Khud
Shirk Dar Shirk Hai “ )
Aur Aage Shirk Se Bachne Ke Liye Kehrahe Hai
Ke “ Astagfirullah Astagfirullah Astagfirullah
Laa-Haula-Walaa Quwata Illaa-Billaah “.
Aur Nadaan-Juhaala Ka Kaam Hi Yahi Hai Ke
Wo Ahle Haq Ki Aisi Saaf Ibaarato Ko Ghalat
Tariqe Se Pesh Karte Aur Awaam Me Ulama E
Haq Par Kufr Fatwe Lagaate Hai.
Ghair Muqallideen Hazraat Se Sawaal :
Nawaab Siddiq Hasan Khansahaab Rh. Likhte
Hai Ke
Yaani Raat Ke Waqt Ragheeb Ne Hamaare
Darmiyaan Duri Paida Karne Ki Koshish Ki Toh
Maine Apne Mehboob Ke Saat Is Tarah
Mu’anaqa Kiya Ke
Ta-Hum Bilkul Ek Hogaye Jab Ragheeb Aaya
Toh Use Ek Alaawa Dusra Nazr Nahi Aaya.
Is Mazmoon Ko Ek Farsi Sha’ar Me Naql Karne
Ke Baad Nawaab Sahaab Rh. Mausoof Farmaate
Hai Aur Ajam Nahi Yahi Log (Ahle Hadees)
Muhabbat Aur Ittehaad Waale Balke Haq Ki
Baat Yeh Hai Ke Yahi Log Wahdat E Mutlaq Ke
Maalik Hai. (At-Taajar Mukallal : Safa 90)
Scan Page :
Ab Hamaare Ghair Muqallideen Aur Unke
Khateeb Tausuf Ur Rehman Sahaab Se Sawaal
Hai Ke Yeh Kehne Ke “Ta-Hum Bilkul Ek Hogaye
Jab Ragheeb Aaya Toh Use Ek Alaawa Dusra
Nazr Nahi Aaya “
Yeh Quraan Kis Aayaat Saabit Hai.
Kaunsi Aisi Hadees E Rasool Jisme Is Tarah Ka
Mazmoon Maujood Hai.
Note : Jawaab Ahadees E Sahiya Se Di , Qiyaas
Karke Shaitaan Aur Taqleed Karke Mushrik
(This has come as forwarded message for
publication .Jazakalah o khair for sender (If
source will be known it will be acknowledged.
Dua for person who told the truth about a
propaganda)

No comments:

Post a Comment