Bhains Aur Ghair Muqallideen
Kiya bhains firqa jadeed naam nihaad nafs parast [ahle hadees] ghair muqallidoon kay liye halaal hay ya haraam? Faislah khud kijiye
Raees ul Munazireen , Mutakallim e Islam , Wakeel e Ahnaaf , Tarjumaan e Ahle Sunnat , Hazrat Moulana Muhammad Amin Safdar Okarvi Rehmahullah
• Isi per mujhay apna 1 waqiyah yaad aaya may aik gaoon may gaya jalsah horaha tha ghair muqallidoon ka , bardha shour tha ishtehaar lagay huwe thay ahle hadees confrenss - may wesay hi tareekh kay silsilay may gaya huwa tha koi programe pehlay nahi tha
• Bardha shour mach raha hay aaon yeh tumhain "Hidaya'h" say masaayil batatay hain , hum tumhain "Bukhari" say bataye gay
• Yeh tumhain "Qudoori" say batatay hain , hum tumhain "Tirmizi" say bataye gay
• Yeh tumhain "Beheshti Zaivar" say batatay hay , hum tumhain "Abu Dawood" say masaayil bataye gay
Quran wa Hadees say
Quran wa Hadees say
Quran wa Hadees say
• May nay college kay 2 , 3 lardhkay bulaaye un ko bheja k in [ghair muqallidoon] say jaakar puchna k molvi sahab say k "Bhains ko arabi may kiya kehtay hay? Wo kahay ga "Jamoos" to tum likh lena , ab inhain kehna k yeh Quran wa Hadees say sabit karo k bhains halaal hay ya haraam?
•Theek hay wo lardhkay chalay gaye , ab may nay kaha pehlay jo kaarwaayi ho , 1 lardhka puchay baqi 2 bethhay rahay , baad may kiya hota hay bhai bhai hay
•Unhoon nay jaakar pucha k g bhains ko aap kiya kehtay hay arabi may? Is ghair muqallid molvi nay kaha "Jamoos" - is lardhkay nay kaha theek may likh loon zara , is lardhkay na kaha ab "Jamoos" ka lafz Quraan Paak ki koyi aayat pardhay jis may lafz jamoos aaya hoon? Is ghair muqallid molvi nay kaha Quran Paak may to nahi hay , is lardhkay nay kaha maloom huwa is kay halaal wa haraam honay ka koi zikar nahi
• Phir is lardhkay nay kaha Hadees Shareef pardhay Bukhari Shareef ki? Us ghair muqallid molvi nay kaha dekho tum sharaarat karnay aaye ho? Is lardhkay nay kaha hum koi sharaarat karnay nahi aaye
• Yeh to hamari zaroorat hay bhains ka doodh peena hay , gosht khatay hay , lassi peetay hay , makhkhan khatay hay - farq yeh hay k pehlay hum apni yeh zaroorat puri kartay thay "Beheshti Zaiver" say , us may hum nay pardha tha k bhains halaal hay , ab aap nay yeh elaan kardiya hay k "Beheshti Zaiver" galat kitab hay
• To subah aap ko pata hay k saaray musalmaan Namaz to pardhtay nahi lekin doodh aur chai to saaray peetay hay na , to pehli zaroorat hamari subah ko yahi hay , wo Namaz pardhay ya na pardhay halaal wa haraam ka to pata hona chahiye na
• Kehtay hay na eid ka din tha beti nay sewiyaan pakaayi to walid sahab say pucha aur kaha Abba ji! Aap nay rozay to rakhay nahi aaj eid ki sewiyaan khaye gay ya nahi? To walid nay kaha beti eid ki sewiyaan na khao to kiya kafir hokar marjao? Kufar wa Islam to sewiyoon per agaya na rozoon ka to koi maslah hi nahi
• Is lardhkay nay kaha yeh to her aadmi Namazi ho ya Ghair Namazi is ki zaroorat hay subah auth kar chai waghera peeni hay dahi khaani hay , jub is ghair muqallid molvi nay dekha ye college kay lardhkay hay jayain gay nahi , to is nay speaker walay ko ishara kar kay kaha k speaker band kardo , phir ghair muqallid molvi nay kaha k bhai sachi baat yeh hay k yeh maslah hum "Qiyaas" say letay hain , is lardhkay nay kaha k phir sach bolna chahiye , batana chahiye ya chupana chahiye? Ghair muqallid molvi nay kaha may nay bata to diya hay , us lardhkay nay kaha is tarah nahi , Aap speaker kholain aur 10 martabah elaan karain k
Hum Ahle Qiyaas hay
Hum Ahle Qiyaas hay
Hum Ahle Qiyaas hay
• Ghair muqallid molvi bardha pareshaan k yeh kiya musibat hogayi , us lardhkay nay kaha jub aap Qiyaas ko maantay hain to Ahle Qiyaas huwe na? Q logoon ko dhoka detay hoon k hum ahle hadees hay? aap to Ahle qiyaas hay
• Khair yeh college kay lardhkay thay un lardhkoon may say 1 lardhkay nay puch liya k , acha Qiyaas kiya hay to kis par kiya hay? K Gaaye par , us lardhkay nay kaha k qiyaas may koi illat hoti hay "Muqees aur Muqees Alahi" may wo kiya hay?
• Us ghair muqallid molvi nay batana shuru'o kiya
• Us [Gaaye] ki bhi 2 aankhain hay , is [Bhains] ki bhi 2 aankhain hay
• Us [Gaaye] ki bhi 4 taangain hay , is [Bhains] ki bhi 4 taangain hay
• Us [Gaaye] k bhi 2 kaan hay , is [Bhains] kay bhi 2 kaan hay
• To us lardhkay nay kaha kay k molvi sahab ager Qiyaas itna hi sasta hay , to phir to aaj "Kutiya" bhi halaal hojaye gi? Is [Kutiya] ki bhi 4 taangain hay , 2 aankhain aur 2 kaan hay? Ager Qiyaas itni hi sasti cheez hay? to phir yeh bhi farmaye k meri biwi to nikah say meray liye halaal hogayi na , to aap ki biwi is Qiyaas say meray liye halaal hojaye gi ya nahi , kiyoon kay is qisam ki mushabihat to waha bhi paayi jati hay?
• To 2 , 3 ghair muqallid khardhay huwe aur apnay molvi sahab ko stage say autaar diya k bus karo khuwa ma khuwa bay izzati karwayi aap nay aur aap ko kuch nahi aata , to in lardhkoon may say 1 larkha agaya baqi 2 wahaan bethay rahay , is nay aakar itni karwaayi mujhay batayi
• May apni masjid ka speaker khola "jahaan may gaya huwa tha" to may nay kaha k dekho bhayi koi aadmi dhokay may na rahay jalsah agercha name "ahlehadees" ka tha , lekin wo ahle qiyaas niklay hay ahle qiyaas - is liye kal may sub hanfi dostoon say arz karoon ga k kal subah in ghair muqallidoon ko salaam kahay to
"Ya Ahle Qiyaas Assalam u Alaikum"
"Ya Ahle Qiyaas Assalam u Alaikum"
To ghair muqallideen bardhay pareshaan k puray elaaqay may ahle qiyaas , ahle qiyaas mashhoor hojaye ga
• Is kay baad dusray ghair muqallid molvi sahab speaker per aaye aur us nay kaha k qiyaas nahi Hadees hay hamaray paas [Hadees] theek hay sunao?
Nabi Aqdas Sallallahu Alahi Wasallam nay irshad farmaya hay! Jo jaanwar daardh say shikaar karain wo bhi haraam hay aur jo panjay say shikar karay wo bhi haraam hay , bhains na daardh say shikaar karti hay na panjay say - is Hadees say sabit hogaya k bhains halaal hay
• May nay kaha bohot shukriya aap ka k aap nay Hadees sunaadi hamain , ye farmaye k aap nay jo "Gadha" rakha huwa hay , wo na daardh say shikaar karta hay na panjay say karta hay , to wo bhi halaal hona chahiye na? Wo ghair muqallid molvi bardha pareshan huwa , kehnay laga haan haan "Bukhari Shareef" may Hadees hay k
Jangli gadha halaal hay
Jangli gadha halaal hay
• Ab may speaker per keh raha hoon k bhayi is [Ghair muqallid molvi] ko samjhao , may kehta hoon bhains halaal karo ye gadha halaal kar raha hay , in ko bhains aur gadhay ki tameez nahi
• Wo ghair muqallid molvi kehnay laga k yeh dhoka day raha hay , may sirf jangli gadha halaal kar raha hoon , to may nay jawab may kaha jo ghar wala [Gadha] hay , kiya is nay shikaar khelna shuru'o kar diya hay? Bus wo [Ghair muqallid molvi] bhi khamosh hogaya
• Phir teesray ghair muqallid sahab khardhay huwe , aur kehnay lagay k nahi ji Hadees say to sabit nahi hota "Qiyaas" hi hay hamaray paas
• Ab in say pucha k kiya qiyaas hay? Ghair muqallid molvi sahab kehnay lagay k jis jaanwar kay khur chiray huwe ho na khur wo jaanwar halaal hay , ye illat hay qiyaas ki , to may nay kaha k phir "Khinzeer" bhi halaal hogaya , is kay bhi khur chiray huwe hotay hay? Ab is kay baad wo ghair muqallid molvi bhi beth gaya aaraam say - Phir jalsah khatam hogaya
• Phir may nay apni masjid ka speaker khol kar logoon ko samjhaya k is waqt samajh aati hay k Fuqaha'a nay kitna bardha kaam kiya hay , inhoon nay batay k Quran e Paak may 4 janwaroon ka zikar aaya hay "Aoont , Gaaye , Bhairdh , Bakri" ka , Mujtahideen nay in say mushtarkah illat nikali hay jugaali karna , jugaali samajhtay hain aap? Saraayiki walay huqqal kehtay hain k jaanwar ghaas khata hay phir dubara moun'h milaakar jugaali karta hay , to may nay kaha k 1 qaida'h ban gaya Kitab o Sunnat say k jugaali karnay wala jaanwar halaal hay , jo [Jugaali] nahi karta wo haraam hay , ab aap puri duniya kay jaanwar puchtay jayain- Lomrdhi halaal hay? Nahi haraam hay jugaali nahi karti , Bhains halaal hay? Haan halaal hay jugaali karti hay , Geedardh halaal hay? Nahi jugaali nahi karta , to ab aap andaza lagayain k 1 aesi illat nikaal li k puri duniya k jaanwaroon kay halaal wa haraam honay ka maslah hal hogaya - isi ko kehtay hay "Fiqa'h aur Tafaqqu'h" deen hamara kamil hay ya nahi? [Kamil hay] yeh loog jo dhoka detay hay k hum sirf Quran wa Hadees sirf Quran wa Hadees mantay hay
• Isi dhokay may loog in kay paas jatay hay
Allah Ta'ala hum subko saheeh baat samajhnay aur mannay ki toufeeq ata farma
Aameen Summa'h Aameen
No comments:
Post a Comment