Thursday, 16 August 2018

Jawab no:2 Firqa Ahl-e-Hadees A’imma-e-Mujtahideen ka Mash’hoor Maqoolah ( ﺇﺫﺍ ﺻﺢ ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ ﻓﻬﻮ ﻣﺬﻫﺒﻲ

Jawab no:2
Firqa Ahl-e-Hadees A’imma-e-Mujtahideen ka
Mash’hoor Maqoolah
( ﺇﺫﺍ ﺻﺢ ﺍﻟﺤﺪﻳﺚ ﻓﻬﻮ ﻣﺬﻫﺒﻲ )
“Jab Hadees Sahih saabit ho jaaye to wo Mera Mazhab
hai” se logo’n ko Dhoka wa Fareib dete nazar aate
hain. Aur Kehte hain ke Agar A’imma-e-Mujtahideen
ka koi Qoul Sahih Hadees ke khilaaf nazar aaye to Us
ko Tark kar (chhor) dena chahye aur Hadees per amal
karna chahye.
~
Lekin Ye baat Kayi wujoohaat ki bina per Sahih nahi
hai Kyonke A’immah ne Hadees milne ke ba-wajood
bhi ba’z Wujoohaat ki bina per Unko Tark kar diya
hai.
~
Chunanchah Allamah Ibn Taymiyah (rahimahullah)
likhte hain:
ﻭﺟﻤﻴﻊ ﺍﻷﻋﺬﺍﺭ ﺛﻼﺛﺔ ﺃﺻﻨﺎﻑ
ﺃﺣﺪﻫﺎ ﻋﺪﻡ ﺍﻋﺘﻘﺎﺩﻩ ﺃﻥ ﺍﻟﻨﺒﻲ ﺻﻠﻰ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﻴﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﻗﺎﻟﻪ .
ﻭﺍﻟﺜﺎﻧﻲ : ﻋﺪﻡ ﺍﻋﺘﻘﺎﺩﻩ ﺇﺭﺍﺩﺓ ﺗﻠﻚ ﺍﻟﻤﺴﺄﻟﺔ ﺫﻟﻚ ﺍﻟﻘﻮﻝ .
ﻭﺍﻟﺜﺎﻟﺚ : ﺍﻋﺘﻘﺎﺩﻩ ﺃﻥ ﺫﻟﻚ ﺍﻟﺤﻜﻢ ﻣﻨﺴﻮﺥ .
Wo Tamaam A’zaar 3 Qism ke hain:
~
(1):.. Unko Yaqeen na ho ke Nabi (sallallaahu alaihi
wa sallam) ne aisa kaha hoga.
~
(2):.. Unko Yaqeen na ho ke Nabi (sallallaahu alaihi
wa sallam) ne us Qoul se wahi Mas’alah muraad liya
ho.
~
(3):.. Unko Yaqeen ho ke Wo Hukm MANSOOKH
hai. [Rafa’ Al-Malaam ‘Anil-A’immat Al-
A’laam, p.9]
~~~
Scan page:
Aur (Shaarih Sahih Muslim) Allamah Nawawi Ash-
Shaafa’i (rahmatullahi alaih) farmaate hain:
“Imaam Shaafa’i (rahimahullah) ne un ke FATWA
ke Khilaaf SAHEEH HADEES milne par HADEES per
AMAL ki WASIYYAT farmaayi hai, iska Ye Matlab
nahi ke koi bhi Shakhs Kisi SAHEEH HADEES ko
dekh kar usey IMAAM SHAAFA’I ka Mazhab qaraar
de aur us ke Zaahir par Amal kare, balke Is ka HAQQ
usi ko hai jo (ILMI SALAHIYAT me Kamaal ki wajah
se) IJTIHAD FIL-MAZHAB ke Rutbe tak ya uske
Qareeb pohanch chuka ho. Neiz ye bhi SHART hai ke
uska Ghaalib gumaan ye ho ke IMAAM SHAAFA’I
ko us HADEES ka ya us ki SIHAT ka ILM na tha,
aur ye baat IMAAM SHAAFA’I ki Tamaam
kitabei’n aur Un ke Shaagirdo’n ki KITAABO ke
Mutaalia (parhne) ke ba’d hi haasil hogi aur ye Shart
kaafi Mushkil hai aur Kam hi Koi in Sharaa’it se
Muttasif hoga, ULEMA ne ye Shart isliye lagaayi hai
ke IMAAM SHAAFA’I ne Kaafi RIVAAYAAT se
waaqfiyat ke ba-wajood unke Zaahir par Amal ko tark
kiya (chhor diya), Kyonke unki TEHQEEQ me usme
koi TA’N, NASKH, TAKHSEES YA TAWEEL
wagherah ka SABOOT tha (jiski wajah se us zaahir par
Amal Durust na tha).” [Kitaab Al-Majmoo’,
p.105/1]
~~
~~~
Ab bataayei’n ke Kaun Shakhs hai Jo Itna ILM
rakhta ho.? Agar hai to Batayei’n Ke unhei’n
Tamaam Ahadees aur A’imma-e-Arba ki aur unke
Shagirdo’n ki Tamaam Kitabo’n ka ILM hai ???
~
Pas Is Maqoolah ka Sahih matlab to Ye hai ke, “Agar
Ye baat Saabit ho Jaaye ke A’immah ko Hadees-e-
Saheeh nahi pohnchi aur unka Qoul us ke mutaabiq
nahi to phir Unka Mazhab wo hai Jo Hadees me hai.
Ye matlab hargiz nahi ke A’immah ka Hadees per
mabni Qoul Kisi ki samajh me nahi aa raha hai aur us
Qoul ke khilaaf Muta’riz Hadees ka Zaahir dekh kar
Tark kar diya jaaye.”
~
Lehaaza isse tumhaare pesh karda imaam shaafai (rh) ke
qaul KA jawab bhi ho gaya.

Talb Dua
Aaqibul islam
طالب علم 

No comments:

Post a Comment