Thursday, 27 September 2018

Gm vs gm... Tashahhud me Ungli ko harkat dena... 12 ikhtelafat👇🏻🤩

Gm vs gm...
Tashahhud me Ungli ko harkat dena...
12 ikhtelafat👇🏻🤩

1 Shaykh Umar Farooq Saeedi Sahaab Likhte hai ke

Harkat ki Takraar aur Kasrat, Jaisa ke Riwaaj hota jaaraha hai, USKI KOI BUNYAAD NAHI hai.
(Sunan e Abi Dawud Tarjuma : Hadees no 989)
Scan Page :

2 Ahlehadees Aalim Salahuddin Yusuf hi Is Amal ka Radd Karte huwe Tehreer karte hai ke Ungli ko Musalsal Harkat Dete rehne ka bhi koi Waazeh Saboot Nahi.
(Masnoon Namaz : Safa 67)
Scan Page :

3 – Ahlehadees Aalim, Allama Ameer Yemeni Likhte hai ke (Tashahud me) Ishaara karne ki Jagah ‘laailaaha Illallah’ hai, Kyunke Behaiqi ki Ek riwayat me Huzur Saw ka amal Aisa hi hai.
(Subool us Salaam : Jild 1 : Safa 283)
Scan Page :

4 – Dusre Ghair Muqallid Aalim Maulana Sadiq Sialkoti Sahaab Likhte hai ke

Qaida e Tashahud me Bait-kar Jab Aap At-tahiyaat padhte huwe Kalma e Shahaadat par Pahuche, Toh Anghushte Shahaadat se Ishaara Kare.
(Salaat ur Rasool : Safa 447)
Scan Page :


Note : Sadiq Sahaab ne Mazeed Aage yeh bhi kaha hai ke Yeh Amal Hadees se Saabit nahi hai, Lekin pata nahi Phir yeh amal Kyun Bataa rahe hai : Jabke Unke Nazdeek yeh Saabit nahi hai ?

5 – Ghair Muqallideen ke Khateeb ul Hind Maulana Muhammed Junagadi Sahaab Likhte hai ke “aur Asha-allaa-ilaaha par Shahaadat ki Ungli Utaaye aur Illallah par Neeche Karde”.
(Salaat e Muhammedi : Safa 16)
Scan Page :

6 – Maulana Abdul Ghaffar Salafi Sahaab Tashahud me Ungli Kab Utaayi Jaaye ke Sawaal ke Jawaab me Likhte hai ke

Jis Waqt Tashahud ho, Laailaaha Illallah par Pahunche, Tab Ungli ko Mutaharrik kare [Yaani Hilaaye].
(Fataawa Sattaariya : Jild 1 : Safa 65)
Scan Page :


7 – Maulana Ibrahim Sialkoti Rh. Ahlehadees Aalim ne bhi yahi kaha hai ke Ishaara Tashahud me Kalima Shahaadat par hona chahiye.
(Salaat un Nabi : Safa 42)
Scan Page :

8 – Ghair Muqallideen ke Mufti Abul Hasnaat Muhammed Saeedi Sahaab Farmaate hai ke Laa [Yaani Laailaaha] par Kalime ki Ungli utaaye aur Illallah par Rakh de.
(Fataawa Ulama e Hadees : Jild 2 : Safa 183)
Scan Page :

9 Ghair Muqallideen ke Fazilatus Shaykh Hafiz Salaah uddin Yusuf Kehte hai ke Hadees me Harkat Dena ka Jo Zikr aaya hai, Toh Uska Maqsad Musalsal Harkat Dena nahi hai, Balke Ek 2 Martaba Harkat dene se Hadees par Amal Hojaata hai.
(Masnoon e Namaz : Safa 67)
Scan Page :

10 Fazilatus Shaykh Hafiz Salahuddin Yusuf Sahaab Likhte hai ke Awwal toh [Ungli se] Ishaara hi Kaafi hai.
(Masnoon Namaz : Safa 66)
Scan Page :

Aage Kehte hai ke Ungli se Ishaara Karna Daraasal Tauheed ki Gawaahi dena hai aur YEH MAQSAD SIRF UNGLI KE ISHAARA SE HAASIL HOTA HAI.
(Masnoon Namaz : Safa 67)
Scan Page :

11 Ghair Muqallideen ke Muhaqiq Shaykh Umar Farooq Saeedi Sahaab Farmaate hai ke

[Tashahud me Ungli se] Chand baar Darmiyaan me Harkat de li-Jaaye, Taake Harkat waali hadees par Amal Hojaaye.
(Sunan e Abi Dawud : Hadees no 989)
Scan Page :


Sirf Duaa-e-Masuraa [Yaani Allahumma Zanamtu Nafsi……] me Harkat deni chahiye, Yaani Durood e Shareef ke baad
Ahlehadees Aalim Zubair Ali zai is Baat ke Qaayil hai.

Chunaanche  Hadiyatul Muslimeen : Safa 57  par Likhte hai ke ‘Durood ke baad Ishaara Karna’.
Scan Page :

No comments:

Post a Comment