Monday, 17 September 2018

Imaam Ahmad Bin Hanbal (Rah) Ke Nazdeek Taqleed Ka Munkar Fa’asiq Hai

Imaam Ahmad Bin Hanbal (Rah) Ke Nazdeek Taqleed Ka Munkar Fa’asiq Hai

Imam Ahmad bin Hanbal rahmahullah Farmate hain Jo
shakhs yeh Gumaan kare ke
TAQLEED koi cheez nahi, toh yeh
Qaul Allah wa Rasool (Sallallahu
Alaihi Wasallam) ke Nazdeek Ek
Fasiq (Nafarman) ka Qaul hai,wo shakhs apne is Qaul ke zariye
se Asar (yani Aqwal wa Ahadees-e-Sahabah wa Taba’een) ko Baatil karne ka irada karta hai, aur Ilm wa Sunnat ko Muattal (Radd) karne ka irada karta hai,aur apni Raai se Tafrud, Kalam, Bid’at aur mukhalifat karna chahta hai.Yeh Qaul wa Mazahib jo mai (musannif-e Kitab Imam bin
Abi Ya’la rah) ne Masbak me zikr
kiya hain,Khoobi hai Mazhab Ahle Sunnat Wal Jamaat aur Aasaar, aur Ashaab ul Rivayaat ki,jorane arbabe ilm ke jin ko hum ne paya, aur jin se hum ne ilm-e Hadees hasil kiya, aur jin se Sunan ki Taleem hasil ki, woh Maroof A’imma Deen bhi the,Laaiqe Aetmaad, Sache log the,jin ki iqtida (Taqleed wa Pairvi) ki jati aur in se Deen liya jata tha, aur wo Bid’at wale na the,aur na mukhalifat aur gad’bad paida karne wale the,aur yahi Qaul in se pehle A’imma e Deen ka hai, isi liye tum bhi isko mazbuti se pakad lo,Allah tum par rahem kare aur tumhe bhi wahi ilm de jo ilm inhe diya aur Allah ki Taufiq se..

[Tabqaat-e-Hanabla Jild-1,
Page-66]
___
Scan Page:

No comments:

Post a Comment