Sunday, 2 December 2018

Qiyaas par Amal karkay Mushrik bana betha hay

• HAZRAAT E GIRAAMI !! NABI KAREEM
SALLALLAHU ALAHI WASALLAM ki Hadeesoon
par Amal karnay ka Daayi Firqah Ahlehadees
to khud Qiyaas par Amal karkay Mushrik bana
betha hay kiyoonkay in kay haan Qiyaas par
Amal karna Shirk hay aur Hum jo Hanfi hain
hamain ye Qiyaas par Amal karnay say
Mushrik batlaatay haiy
• Bhala ye kaha ka Insaaf hay k Germuqallid
ager Qiyaas par Amal karain to Ahlehadees
kehlayain
• Feslah aur Insaaf Josh may nahi Hosh may
karain ¤
• 110 = QURAN PAAK may Parda'h ki Aayat may
Hasar kay sath in ka hay jin say Parda'h nahi in
kay elaawah sub say Parda'h hay mager in may
• Mamu
• Chacha
• Taayaa
kay ziker nahi to kiya in 3eenoon say Parda'h
Farz hoga ya is waja'h say k jin say Parda'h nahi
wo Mehram hain yani in say hamesha kay liye
Nika'h Haraam hay aur ye waja'h
• Chacha
• Mamu
• Taayaa
may bhi moujood hay is liye is Hasar ko Tordh
diya jaye ga aur in 3eenoon say bhi Parda'h
Farz na hoga ?
• 111 = QURAN PAAK may Maa Baap kay samnay
[UFF] kehnay say mana'a kiya gaya
• Ab koi Maa Baap ko
• Maaray
• Peetay ya un kay
• Moun'h par Thhookay
to is Aayat ki Dalaalat say wo bhi Haraam hoga
ya nahi ?
• Kiya aap Dalaalat un Nas ko maantay hain ya
nahi ?
• 112 = Ager aap
• Dalaalat un Nas
• Isharat un Nas
• Iqteza'a un Nas
ko maan tay hain to in ki Jama'e Mana'e Tareef
bayaan farmayain ?
• 113 = Ager aap aesay masaayil may Qiyaas ko
maantay hain
• To apnay aap ko Ahl e Qiyaas kiyo nahi
kehtay ?
• Ahlehadees kiyo kehtay ho ?
• 114 = Hanfi
• Shafayi
• Maalki
• Hunbali
bwaqt e zaroorat Qiyaas ko maantay hain in sub
ka Ausool e Fiqa'h moujood hay
• Ager aap Qiyaas ko maantay hain
• To apni Jama'at ki Musallima'h Kutub Ausool e
Fiqa'h ki fehrist dain ?
• Ye kub likhy gayeen aur in may say kon kon si
aap kay hay Daakhil e Nisaab hain ?
• 115 = MAZAAHIB E ARBA'H Qiyaas ko maantay
hain to in sub ki Fiqa'h ki kitabain moujood hain
jo Daakhil e Nisaab aur Madaar e Fataw'a hain
• To apni Musallimah Kutub e Fiqah jo Daakhil e
Nisaab hoon in ki Fehrist bayaan farmayain ?
• 116 = Aap kay haan Mujtahid ki sharaayit wohi
hain jo Mazaahib e Arba'h may Musallam hay ya
kuch kam ya ziyada hain to irshaad farmayain ?
• 117 = Kiya aap kay her shukhsh may sharaayit
ijtehaad kaamil tor par moujood hain ya baaz
may ?
• 118 = AAYIMMAH ARABA'H ka mujtahid hona
Daleel sharayi yani Ijma'a e Ummat say Sabit
hain
• Aap kay haan kon kon say Mujtahid huwe hain
jin ko AHLE SUNNAT WAL ki tamaam Jama'atoon
nay Ijtehaad ka jama'e tasleem kiya ho
• In ki Tareekh Pedayish wagerah bayan
farmayain ?
• 119 = Aap kay Qiyasaat Qatayi hotay hay ya
Zinni
• Aap kay haan Qatayi aur Zinni ki Tareef aur in
ka hukum kiya hay bahawala bayaan farmayain
¤
• 120 = Aap kay Mujtahideen may Ikhtelaaf bhi
hota hay to ya nahi ?
• Ager hota hay to Donoon Haq par samjhay
jatay hain ya 1 ko Haq dusray ko Baatil kaha
jata hay ?
• 121 = Is ikhtelaaf ki bunyaad in kay Ikhtelaafi
Ausool hain to wo kis kitab may hain ya
ikhtelaaf mehaz Itteba'a e Hawa may hota hay ¤

No comments:

Post a Comment