Friday, 28 February 2020

Hanafi naam par ilzam ka jawab

Firqa (Naam Nihaad) Ahl-e-Hadees me shaamil Ba'z Juhala' ne Aitraaz kiya hai ke, Tum Hanafiyo’n ke Imaam to Nu'maan bin Saabit (rahimahullah) hain lekin Tum log khud ko Nu'maani kehlaane ke bajaaye Ek Ladki ke Naam "Haneefah" ki taraf khud ko mansoob karte ho.
Al-Jawaab: Ye baat to Taareekh aur Shuwaahid se saabit hai ke, Imaam Abu Haneefah (rahimahullah) ki Aulaad me se Kisi ka naam "Haneefah" nahi tha. Shuwaafe' Ulema' ne Imaam Abu Haneefah (rahimahullah) ki Seerat per bohat si Kitaabei'n likhi hain, aur unme Is kunyat ki wajah bhi zikr ki ja chuki hai ke, Ye Waza'i ma'na ke aitebaar se hai Ya'ni "Abu Al-Millat Al-Haneefah."
Qur'an-e-Majeed me Musalmano se Khitaab karte hue Allah Ta'la ka irshaad hai: ".........Fattabi'oo Millata Ibraheema HANEEFAN......" [Surah Al-Imraan: 95]
Tarjuma’h: "........Ittiba' karo Ibraheem (alaihis salaam) ke Tareeqah ki (Jo sab se Be-Ta'lluq ho kar) Ek (Allah) ke ho rahe hain...."
Isi nisbat ki wajah se Imaam Abu Haneefah (rahimahullah) ne Apni Kunyat Abu Haneefah Ikhtiyaar ki thi. [Seerat An-Nu'maan, Fusl: Awwal]
Lihaaza Hanafi Ya Ahnaaf wo log hain Jo Ek Allah ki jaanib hone waalo'n me se hain.
Inki Nisbat Qur'an-e-Kareem ki aayat ki taraf mansoob hai. (Alhamdulillah)
Ab be-jaa Ilzaamaat lagaane waalo'n ka koi Ilaaj nahi. Allah Ta'la in Ka Khoob hisaab lene waala hai.
Ibne Hajar Makki Ash-Shaafa'i (rahimahullah) likhte hain: "Logo'n ka is baat per Ittifaaq hai ke Aap ki Kunyat ABU HANEEFAH hai Jo HANEEF Ka Mu'annas (Feminine) hai Jiske ma'nay NAASIK AABID MUSLIM ke hain kyonke HANEEF ke ma'nay MAA'EL HONA (To Incline, Kisi Jaanib hona) aur Muslim DEEN-E-HAQ ki taraf Maa'el hai.
Ba'zo ne kaha Aap ki Kunyat ABU HANEEFAH hone ki wajah Ye hai ke Aap ke Paas DAWAAT (Ink-pot) rehti thi Jisko Iraaq ki Zubaan me HANEEFAH kehte hain.
Ba'zo ne kaha ke Aap ki Saahab-zaadi (daughter) ka naam HANEEFAH tha Lekin Ye SAHEEH NAHI hai isliye ke Aap ki Aulaad sivaaye HAMMAAD ke Koi Saabit nahi hai." [Al-Khairaat Al-Hisaan, Fusl: Chahaarum]
Allamah Shibli Nomani (rahimahullah) likhte hain: Imaam ki Kunyat Jo naam se Zyadah Mash'hoor hai, HAQEEQI Kunyat NAHI hai. Imaam ke kisi Aulaad ka naam HANEEFAH na tha. Ye Kunyat Wasafi ma'na ke aitebaar se hai Ya'ni ABU AL-MILLAT AL-HANEEFAH
Qur'an-e-Majeed me Musalmano se Khitaab karte hue Allah Ta'la ka irshaad hai: ".........Fattabi'oo Millata Ibraheema HANEEFAN......" [Surah Al-Imraan: 95; Surah Nisa': 125]
Tarjuma’h: "........ Ittiba' karo Ibraheem (alaihis salaam) ke Tareeqah ki (Jo sab se Be-Ta'lluq ho kar) Ek (Allah) ke ho rahe the...." [Seerat An-Noman, Fusl: Awwal]
Is Qur'ani aayat se ma'loom hua ke Hazrat Ibraheem (alaihis salaam) Jis tarah Ek Allah ki Jaanib maa'el ho rahe the theek isi tarah Hanafi Ya Ahnaaf Ek Allah ki jaanib maa'el log hain. (Alhamdulillah)
Jis tarah Abu Bakr, Abu Hurayrah, Abu Hirr, Abu Turaab (raziallahu ta’la anhum) ki Kunyat Haqeeqi nahi Ya'ni Bakr, Hirr, Turab wagherah In Sahaaba (raziallahu anhum) ki Kisi Aulaad ka naam nahi hai balke Wasafi naam hain theek isi tarah Abu Haneefah (rahimahullah) ka naam bhi Wasafi hai.
Firqa Ahl-e-Hadees ka Ajeeb Fraud to dekhye ke Jiska Inkaar kiya ja raha hai Usi ko Sachhayi bata kar peish kar rahe hain magar Jab Hum Daleel ka mutaalbah kar rahe hain to Majnoon (mad) jaisi baatei'n kar rahe hain.
Kya Firqa Ahl-e-Hadees Apne da'we me Sachhe hain...?
Allah ta’la ka irshaad hai: "....... Qul: Haatu Burhaanakum In Kuntum Saadiqeen." [Surah An-Naml: 64]
Tarjuma’h: "..... Keh dijiye.! (Mushriko se) Agar Tum Sachhe ho to Daleel peish karo."

Magar Ab tak Firqa Ahl-e-Hadees ke Sachhe hone ki Koi Daleel nahi aayi..

No comments:

Post a Comment