Haqeemul Ummat Hazrat Maulana Ashraf Ali Thanwi RahimaUllah Par Mureed Ko Kalima Padhane Ke Bohtan Ka Muh Tod Jawab ( Bedaari Me Durood Ka Jawab Part-3 )
BismillahHirrahmaNirraheem
Aapne Ab Tak Kalima Padhane Ke Bohtan Ke Jawab Ko Mulaheza Kiya Aayye Ab Hum Aakhri Jawab Me Be Ikhteyari Me Durood Padhlene Par Hazrat Thanwi RH. Par Jo Ilzam Hai Uska Jawab Mulaheza Farmayen.
Aitraz: Ke Hazrat Us Shaqs Ne Bedaari Me Durood Padha…Alla Humma Salli Ala Sayyedana Wa Nabibyyina Wa Maulana Ashraf Ali …
Jawab : Pehli Baat To Raza Khanio Ne Ye Ibarat Kant Chhant Kar Pesh Ki Hai Ibarat Poori Pesh Hi Nahi Hai Ibarat Mulaheza Farmayen.
“ Rasool Ullah ﷺ Par Durood Padhta Hun Lekin Phirbhi Ye Kehta Hun Alla Humma Salli Ala Sayyedana Wa Nabibyyina Wa Maulana Ashraf Ali Halanke Ab Bedaar Hun Khwab Nahi Lekin Be Ikhteyaar Hun Majboor Hun Zabaan Apne Kaabu Me Nahi ” ( Risala Al Imdaad-Page-35)
Scan:
Jese Ke Apne Doosre Jawab Me Padha Ke Us Shaqs Ne Halat E Bedaari Me Kaha Ki “ Parwardigar Tu Mera Banda Me Tera Rabb ”To Kya Is Shaqs Par Aqa Alayhissalam Ne Hadd Lagayi Thi ???
Balke Rasool Ullah ﷺ Ne Farmaya
“ Beshaq Allah Ne Meri Ummat Se Khata Aur Nisyaan Aur Jis Cheez Par Unko Majboor Kiya Gaya Ho Ke Muakhzah Se Darguzar Farmaya Hai ”.( Mustadrak Al Hakim-Jild-3-Page-198 )
Scan:
Ye Riwayat Yahi Mazmon Me Kuchh Mukhtalif Alfazon Ke Saath Bhi Aayi Hai Mulaheza Farmayen.
( Musnad Al Shamiyyeen-Jild-2-Page -152 )
Scan:
( Sahi Ibn Hibban-Jild-16-Page-202 )
Scan:
( Sunan Ibn Maja-475 )
Scan:
( Sharah Ma’ani Al Asaar Tahawi-Jild-3-Page-95 )
Scan:
( Mu’ajjam Ausat Tabraani-Jild-8-Page-161 )
Scan:
( Mawariduz Zamaan-JIld5-Page-44 )
Scan:
Jub Aqa Alayhissalatu Wassalam Ne Koi Hadd Nahi Lagai Or Allah Bhi Mu’aaf Farma Deta Hai To Raza Khanio Ka Isme Dakhal Kyun ???
Aage Fuqaha Ke Qaul Mulaheza Farmayen.
“ Aur Khata Karne Wala Wo Hai Jiski Zabaan Se Bila Qasad Wa Irada Ek Kalma Ki Jagah Doosra Kalma Jaari Ho Jaye ” ( Fatawa-E-Qaazi Khan-Jild-1-Page-518 )
Scan:
Or Ek Jagah Or Likha Hai
“ Aur Bahar Haal Khaati Ki Zabaan Par Jub Khataa Ka Kalma Jaari Ho Gaya Maslan Wo Aisa Kalma Bolna Chahta Tha Jo Kufr Nahi Lekin Khataa Iski Zabaan Se Kufr Nikal Gaya To Tamaam Fuqaha Ikram Ke Nazdeek Ye Kufr Na Hoga Ba Khilaaf Dil Lagi Karne Waale Ke Kyun Ke Dil Lagi Karne Wala Kehta To Apne Qasad Wa Ikhteyaar Se Hai Magar Iske Hukm Ka Irada Nahi Karta ” ( Fatawa-E-Qaazi Khan-Jild-1-Page-518 )
Scan:
“ Khaati Ki Zabaan Par Jub Bila Qasad Wa Irada Kufr Ki Baat Jaari Ho Jaaye Is Tarah Ke Wo Aisi Baat Kehna Chahta Tha Jo Kufr Nahi Hai Lekin Bila Qasad Wa Iarada Iske Zabaan Par Kufr Ki Baat Jaari Ho Gayee Tamaam Fuqaha Ke Nazdeek Wo Kufr Nahi Hoga…….. Aur Khata Karne Wala Wo Hai Jiski Zabaan Se Bila Qasad Wa Irada Ek Kalma Ki Jagah Doosra Kalma Jaari Ho Jaye ” ( Fatawa-Al-Hindiyya / Al Maroof Fatawa-E-Alamghiri-Jild-3-Page-577 )
Scan:
Mulla Ali An Qaari RahimaUllah Farmate Hain.
“ Ke Khata’an Agar Kisi Ki Zabaan Se Kalma-E-Kufr Nikla To Sab Ke Nazdeek Ye Kufr Na Hoga ” ( Sharah Fiqhul Akbar Lil Mulla Ali An Qaari-Page-197 Old Edition )
Scan:
Musalmano Ab Batao Jub Tamaam Fuqaha Ka Mutta Fikka Faisla Yahi Hai To Hazrat Thanwi RH.Ki Taqfeer Kyun ????
Ilzami Jawab
Maulvi Ahmed Raza Khan Raza Khan Barelvi Ne Likha Hai Ki.
“ Sharyat Me Ahkaam Iztiraar ( Yaani Be Ikhteyari Wa Majboori Ke Ahkaam ) Ahkaame-E-Ikhteyaar Se Juda Hain ” ( Malfuzaat-E-Ala Hazrat-Jild-1-Page-117 Nashir Dawat-e-Islami ) Pakistan
Scan:
Ek Doosre Edition Se Mulaheza Farmayen(Malfuzaat-E-Ala Hazrat-Jild-1-Page-133 Nashir Maktaba Madania ) Pakistan
Scan:
Ek Teesre Edition Se Mulaheza Farmayen(Malfuzaat-E-Ala Hazrat-Jild-1-Page-1-Page-56 Nashir Book Corzprinters ) Pakistan
Scan:
Ek Chauthe Edition Se Mulaheza Farmayen(Malfuzaat-E-Ala Hazrat-Jild-1-Page-79- Nashir Rizvi KItab Ghar ) Delhi India
Scan:
Age Barelviyat Ke Jayyad Aalim Naenuddeen Moradabadi Ne Likha Hai.
“ Rahi Ye Baat Ke Jo Ala Hazrat Ka Hum Aqeeda Na Ho Usko Wo Kafir Jante Hain_Ye baat Durust Hai ” ( Al Sawarimul Hindiyya-Page-197 Nashir-Markazi Jamaat Ahle Sunnat Pakistan )
Scan:
Ek Doosre Editon Se Bhi Mulaheza Farmayen ( Al Sawarimul Hindiyya-Page-138-Nashir-An Nooriya Rizviyya Publications Companay Pakistan )
Scan:
Or Fatawa-E-Sadrul Afazil Me Bhi Yahi Likha Hai ( Fatawa-E-Sadrul Afazil-Page-134 )
Scan:
Or Raza Khaaniyon Ke Ghar Ki Tauhed Ki Taraf Chalte Hain Mulaheza Ho Raza Khanio Ka Durood
“ Allah Humma Salli Wasallim Wa Barik Alayhi Wa Alayhim Wa Alal Maula Alhumaam Imam Ahle Al Sunnat Mujaddid Al Maita Al Hazirah Al Milta Al Tahira Hazrat Ash Shaykh Ahmad Raza Khan Razi Allahu Ta’ala An )
Besharam Raza Khanio Ab Zafar Uddeen Bihaari Par Kya Fatwa Hai Na Wo Be Ikhteyaar Tha Na Wo Majboor To Is Par Fatwa Kyun Nahi Lagta Or Maulvi Ahmed Raza Khan Par Bhi Or Isko Tumne Sahaba Ka Darjah De Diya Hai Or Kyun Na Do Ahmed Raza Khan Ka Beta Khud Kehta Hai Ki Ahmad Raza Khan Ko Dekh Kar Sahaba Ko Dekhne Ki Khwahish Kam Ho Gayee Maaz Allah Astag Firullah…Durood Wala Hawala Mulaheza Farmayen..( Hayaat-E-Ala Hazrat-Jild-1-704/705/706/707/708 )
Scan:Page 704
Scan:Page 705
Scan:Page 706
Scan:Page 707
Scan:Page 708
Or Barelviyon Urf Raza Khanio Ki Kitab Mir’atul Ashqueen Me Hai
“ Allah Humma Salli Ala Mohammed Ala Shaykhena Mohammed Sulaiman”(Mir’atul Aashiqueen-Page-229-Nashir Tasawwuf Foundation)
Scan:
Ek Or Editon Mulaheza Farmayen ( Mir’atul Aashiqueen-Page-229-Nashir-Seerat Foundation Lahore )
Scan:
Or Shajra E Tayyeba Jo Apna Shajra Likha Hai Akhtar Raza Al Azhari Ne Usko Bhib Mulaheza Farmayen Jo Upar Durood Hai Wahi Azhari Miyan Ne Bhi Likha Hai
Scan:Page-13
Scan-Page-14
Scan-Page-15
Or Yahi Nahi Maulvi Rehan Raza Qadri Ne Bhi Yahi Likha Hai Shajra-E-Tayyeba Alya Qadria Rizviyya Me
Scan:Page-12
Scan:Page-13
Scan:-Page-14
Note : Upar Jo Wasaya Shareef Ka Hawala Diya Gaya Hai Usko Bhi Mulaheza Farma Len Or Barelviyat Ki Haqiqat Se Bhi Aashna Ho Jayen.
“ Taqwe Ka Ye Aalam Tha Ke Mene Ba’az Masha’ikh-E-Ikram Ko Ye Kehte Suna Hi Ke Unko Dekh Kar Sahaba Ikram Rizwan Allah Alayhim Ajma’een Ka Shauq Kam Ho Gaya….Mu’aaz Allahi Rabbil Alameen( Wasaya Shareef-Page-24)
Scan:
Raza Khanio Tumhare Dharm Me To Maulvi Ahmed Rza Khan Hi Nabi Bana Tumhare Hi Dharm Me Sahabi Banaya Gaya Or Tohmat Khwab Ke Waqye Par Lagaate Ho Bohtan Be Ikhteyari Ke Masle Par Lagate Ho Agar Thodi Si Bhi Gerat Tum Me Baaqi Hai To Ye Jawabaat Tumhare Liye Kaafi Hain Warna Itna Hi Kaha Jayega….. Tu Hi Na Maane To Bahaane Hazaar Hain’..
Allah Ta’ala Hum Sabko Deen-E-Haq Par Jama Farmaye,Ameen
SHOAIB IKRAM HAYATI
Bat yahan khawab dekhne waly ki nahi ho rahi, usky peer ki btaen usne sun kr kya jawab dia ? ye fzool mn itna barbad mat kren mohtram. swal chana jawab gandum
ReplyDelete