MUQALLID JAAHIL NAHI HOTA BALKE MUTTABE JAAHIL HOTA HAI....
Aal-e-Hadeeso ke Maulwi Zubair Ali Zai ne apni Tashreeh me 2 baatein bayaan ki hain jo ghaur karne laaiq hai...
1. "Ulama se Masaail poochna aur un per Amal karna TAQLEED nahi hai." Yani Hanafi, Shafai, Hanbali wa Maliki haqeeqat me Muqallid nahi hain kyonke ek Hanafi khud ko Muqallid isiliye bataata hai ke wo Ulama se Masaail daryaaft kar ke amal karta hai... Agar Ye Taqleed hi nahi to Hanafi ab Muqallid kahan raha...?
2. "Agar Jaahil ho to Ittiba' karein" se maloom hua ke Muttabe Jaahil hota hai aur Jahan Jahan bhi lafz Muqallid Jaahil hone ka aaya hai wo ghalat istemaal hua hai. Us ko badal kar sabhi ko ye kahna chaahye ke Muttabe Dunya ka badtareen Jaahil hai jaisa ke ghalat posts lagayi ja rahi hain ke Muqallid dunya ka badtareen Jaahil hai wagherah....
Ye sab alfaaz ka khel hai ke Aap logon ke dil o dimaagh me bitha diya jaata hai ke Aap Aalim ki baat lo agar is ko ITTIBA kahoge to Tum haqq per ho gaye aur Agar is ko Taqleed kah diya to lo ji aap GUMRAAH ho gaye...
Yani Haqq wa Baatil ka meyaar ISTILAAH ko bana diya gaya hai...
Jab ke hona to ye chahye tha ke Jis ki Taqleed ya Ittiba' ki ja rahi hai us ko Haqq wa Baatil ka meyaar banaate...
Jaisa ke Allah ne Quran me Haqq waalon ki Ittiba ka hukm diya hai Jaise Allah wa Rasool (sallallahu alayhi wa sallam) ki Ittiba', Neik Baap-Daada ki Ittiba' aur Allah ne Mana' kiya hai Shaitan ki Ittiba se, Khwahishat ki Ittiba se, Mushrik Baap-Daada ki Ittiba' se... Agar Ittiba finafsihi ACHHI hai to Mana' kyon hai...?
Ye sab Lafzi khel khel kar logon ko ulloo banaate hain aur haqeeqat per baat nahi karte ke Ulama se Masaail lena Jaaiz hai ya nahi.
No comments:
Post a Comment