Mursal Riwayat Jamhoor Fuqaaha wa Muhaddiseen ke Nazdeek Hujjat hai.
Ahadees e Marfuaa me Mursal Riwayat ka Matlab yeh hai ke Taba’ain Sahaabi ko Chor kar Allah ke Nabi SAW se Riwayat kare.
Ahadees e Mauqufaa me Mursal Riwayat ka Matlab yeh hai ke Taba’ain Apne Shaik ko Chorkar , Sahabi Rdh. Se Riwayat kare Jisse Unki Mulaaqaat Saabit nahi hai.
Ya Yeh Matlab bhi mumkin hai ke Taba-Taba’ain , Taba’ain ka Naam Chor kar Sahabi Rdh. Se Riwayat kare.
Mursal Riwayat Jamhoor ke Nazdeek hujjat hai :
Chunaanche
1 – Imam Ibn Jareer Rh. Farmaate hai ke Hazraat e Tabien Sab ke Sab Is Baat par Muttafiq hai ke Mursal Qaabil e Qubool hai.
Aur Tabien se Lekar Dusri Sadi ke Aakhir Tak Kisi Shaks ne Uske Hujjat Hone se Inkaar Nahi Kiya.
(Tadreeb ur Raavi : Safa 104)
Scan Page :
2 – Imam Suyuti Rh. Farmaate hai ke Jinka Haasil yeh hai ke Imam Malik Rh. , Imam Abu hanifa Rh. Aur Imam Ahmed Rh. Ki Riwayat ke Mutaabiq Mursal Riwayat ko Saheeh Qaraar Diya hai. (Tadreeb ur Raavi : Safa 103)
Scan Page :
3 – Imam Nawawi Rh. Bhi Farmaate hai ke Imam Malik Rh. Aur Imam Abu hanifa Rh. Se Qareeb Mursal Riwayat Saheeh hai. (Taqreeb Lin Nawawi : safa 55)
Scan Page :
4 – Imam Ibn Himaam Rh. Farmaate hai ke Mursal Riwayat Jamhoor Ulama ke Nazdeek Hujjat hai. (Fathul Qadeer : Jild 1: Safa 42)
Scan Page :
5 – Muqaddama Nasb ur Riyaa me Maujood hai ke
Agar Irsaal Karne Waala Siqa hai Toh Hanafiyya ke Nazdeek Wo Mursal Qubool Hojaayegi Jaisa ke Musnad Qubool Ki Jaati hai.
Dusri Sadi ke Aakhir Tak Isi par Jamhoor Fuqaaha e Ummat , Sahaba Rdh. , Tabien ka Amal Jaari Tha. (Muqaddama Nasb ur Riyaa : Jild 1 : Safa 27)
6 – Imam Shaizoori Rh. Likhte hai ke aur Mursal se Istedlaal Karna Imam Malik Rh. , Imam Abu hanifa Rh. Aur in Dono ke Muqallideen ka Mazhab hai.
(Muqaddama Ibn Salah : Safa 50)
7 – Allama Nur-uddin Uske Haashiya me Tehreer Karte hai :
Imam Ahmed ka Ek Riwayat ke Mutaabiq Mazhab hai aur isi par Salaf e Mutaqaddimeen ka Amal Tha.Imam Abu Dawud ne Apni Khat me Jo ke Ahle Makkah ke Naam Likha hai Uske Safa 5 par Tehreer Farmaaya ke Mursal se Zamaana e Maazi me Ulama Aitejaaj Karte the.
Jaisa ke Imam Sufiyan Suri Rh. , Imam Malik Rh. , Imam Auzaayi Rh. Yaha Tak ke Jab Imam Shafa’I Rh. Jab Aaye Toh Inhone Is Masle me Ikhtelaaf Kiya hai. (Ta’aleeq Nur Uddin Atr Alaa Muqaddama Ibn Salah : Safa 50)
8 – Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Farmaate hai ke
Imam Ahmed Bin Hanbal ke 2 Qaulo me Ek Qaul ke Mutaabiq aur Malikiya wa Ahle Kufa (Imam Abu hanifa Rh. , Imam Sufiyan Suri Rh. , Imam Muhammed Rh. Wagaira) ke Qaul ke Mutaabiq Mursal ko Mutlaqan Qubool Kiya Jaayega. (Nuzhatun Nazr : Safa 99)
Scan Page :
9 – Imam Ibn Hajar Asqalaani Rh. Yahi Baat Apni Kitaab Nukhbatul Fikr me bhi Farmaate hai aur Tehreer Karte hai ke
Imam Ahmed Bin Hanbal ke 2 Qaulo me Ek Qaul ke Mutaabiq aur Malikiya wa Ahle Kufa ke Qaul ke Mutaabiq Mursal ko Mutlaqan Qubool Kiya Jaayega. (Sharah Nukhbatul Fikr : Safa 258)
10 – Mazeed Farmaate hai ke Jinka Haasil yeh hai ke Imam Malik Rh. , Imam Abu hanifa Rh. Aur Imam Ahmed Rh. Ki Ek Riwayat ke Mutaabiq Mursal Riwayat ko Saheeh Qaraar Diya hai.
(Sharah Nukhbatul Fikr : Safa 258)
Scan Page : Number 9 ka bhi yahi hai.
11 – Imam Nawawi Rh. Likhte hai ke Imam Shafa’I Rh. Isi Tarah Muhaddiseen Ya Jamhoor Muhaddiseen aur Fuqaaha ki Ek Jamaat ka Mazhab yeh hai ke Mursal se Aitejaaj Nahi Kiya Jaasakta hai.
Imam Malik Rh. , Imam Abu hanifa Rh. , Imam Ahmed Bin Hanbal Rh. Aur Aksar Fuqaaha ka Mazhab yeh hai ke Mursal se Aitejaaj Durust hai. (Muqaddama Sharah Muslim Lin Nawawi : Jild 1 : Safa 30)
Scan Page :
12 – Imam Khateeb e Baghdadi Rh. Farmaate hai ke
فَقَالَ بَعْضُهُمْ: إِنَّهُ مَقْبُولٌ وَيَجِبُ الْعَمَلُ بِهِ , إِذَا كَانَ الْمُرْسِلُ ثِقَةً عَدْلًا , وَهَذَا قَوْلُ مَالِكٍ وَأَهْلِ الْمَدِينَةِ وَأَبِي حَنِيفَةَ وَأَهْلِ الْعِرَاقِ وَغَيْرِهِمْ
Baaz ne Kaha ke Beshak wo maqbool hai aur uspar amal karna waajib hai jabke irsaal karne waala siqa aadil ho. Aur yahi qaul Imam Malik Rh. , aur Ahle Madina wa Imam Abu hanifa Rh. Wa Ahle Iraaq wagaira ka hai. (Al Kifaaya : Safa 384)
Scan Page :
13 – Imam Ibn Hajar Rh. Farmaate hai ke
خامسها: كالرابع لكن من غير قيد بالكبار وهو قول مالك وأصحابه وإحدى الروايتين عن أحمد.
Maraasil e Tabien Hujjat hai , Imam Malik Rh. Aur Unke Shagirdo ke Nazdeek aur Yahi Imam Ahmed Rh. Ki 2 Riwayato me se (Ek Mashoor )Riwayat hai.
(An Nukat : Jild 1 : Safa 551)
Scan Page :
14 – Mazeed Tehreer Karte hai Jiska Haasil yeh hai ke
وكذا ما وقع في رسالة أبي داود إلى أهل مكة في وصف السنن قال: “وأما المراسيل فقد كان يحتج بها العلماء فيما مضى مثل سفيان الثوري ومالك والأوزاعي حتى جاء الشافعي فتكلم فيه تابعه على ذلك أحمد بن حنبل وغيره”
Imam Abu Dawud ne Apni Khat me Jo ke Ahle Makkah ke Naam Likha hai Uske Safa 5 par Tehreer Farmaaya ke Mursal se Zamaana e Maazi me Ulama Aitejaaj Karte the.
Jaisa ke Imam Sufiyan Suri Rh. , Imam Malik Rh. , Imam Auzaayi Rh. Yaha Tak ke Jab Imam Shafa’I Rh. Jab Aaye Toh Inhone Is Masle me Ikhtelaaf Kiya hai (Ek Qaul ke Mutaabiq) Unki Pairiwi ki Imam Ahmed Bin Hanbal Rh. Wagaira ne.
(An Nukat : Jild 1 : Safa 568)
Scan Page :
15 – Imam Ibn Hajar Rh. Likhte hai ke
قوله (ص): “وما ذكرناه من سقوط الاحتجاج بالمرسل هو المذهب الذي استقر عليه آراء جماهير حفاظ أهل الحديث”…إلى آخره
اعترض عليه مغلطاي بأن أبا جعفر محمد بن جرير الطبري ذكر أن التابعين أجمعوا بأسرهم على قبول المرسل، ولم يأت عنهم إنكاره ولا عن أحد من الأئمة بعدهم إلى رأس المائتين.
قال ابن عبد البر: “يشير أبو جعفر بذلك إلى الشافعي رضي الله عنه -” انتهى.
وكذا نقل ابن الحاجب في مختصره إجماع التابعين على قبول المرسل
Jo Humne Zikr kiya ke Mursal se Aitejaaj ke Chor ne par Unlogo ka mazhab hai jispar jamhoor huffaz e ahle hadees ki raaye jama hogayi.
Magar uspar Imam Mughaltaayi ne Aiteraaz kiya ke Imam Abu jafer Muhammed Bin Jareer Al Tabri Mursal ko qubool karne par tabien ka ijma naql kiya hai.
Aur uspar Kisi ki ek imam taraf se inkaar nahi huwa aur na 200 saal kisi ne uska inkaar kiya,
Imam Ibn Abdul Barr Farmaate hai ke Imam Abu Jafer AL Tabri ne Is baat se Imam Shaf’ii Rh. Ki Taraf Ishaara kiya aur Isi Imam Haajib Rh. Ne Mursal ko Qubool KArne par Tabien ka ijma naql kiya hai.
(An Nukat : Jild 1 : Safa 567)
Scan Page :
16 – Imam Sakhawi Rh. Farmaate hai ke
(وَاحْتَجَّ) الْإِمَامُ (مَالِكٌ) هُوَ ابْنُ أَنَسٍ فِي الْمَشْهُورِ عَنْهُ وَ (كَذَا) الْإِمَامُ أَبُو حَنِيفَةَ (النُّعْمَانُ) بْنُ ثَابِتٍ (وَتَابِعُوهُمَا) الْمُقَلِّدُونَ لَهُمَا، وَالْمُرَادُ الْجُمْهُورُ مِنَ الطَّائِفَتَيْنِ، بَلْ وَجَمَاعَةٌ مِنَ الْمُحَدِّثِينَ، وَالْإِمَامُ أَحْمَدُ فِي رِوَايَةٍ حَكَاهَا النَّوَوِيُّ وَابْنُ الْقَيِّمِ وَابْنُ كَثِيرٍ وَغَيْرُهُمْ (بِهِ) أَيْ: بِالْمُرْسَلِ (وَدَانُوا) بِمَضْمُونِهِ، أَيْ: جَعَلَ كُلُّ وَاحِدٍ مِنْهُمْ مَا هُوَ عِنْدَهُ مُرْسَلٌ دِينًا يَدِينُ بِهِ فِي الْأَحْكَامِ وَغَيْرِهَا، وَحَكَاهُ النَّوَوِيُّ فِي شَرْحِ الْمُهَذَّبِ عَنْ كَثِيرِينَ مِنَ الْفُقَهَاءِ أَوْ أَكْثَرِهِمْ، قَالَ: وَنَقَلَهُ الْغَزَالِيُّ عَنِ الْجَمَاهِيرِ.
وَقَالَ أَبُو دَاوُدَ فِي رِسَالَتِهِ: وَأَمَّا الْمَرَاسِيلُ فَقَدْ كَانَ أَكْثَرُ الْعُلَمَاءِ يَحْتَجُّونَ بِهَا فِيمَا مَضَى، مِثْلُ سُفْيَانَ الثَّوْرِيِّ وَمَالِكٍ، وَتَابَعَهُ عَلَيْهِ أَحْمَدُ وَغَيْرُهُ. انْتَهَى.
Imam Malik , Abu hanifa rh. Aur unke muqallideen , Muhaddiseen ki Ek Badi Jamaat aur Imam Ahmed Ek Riwayat Mutaabiq Jisko Bayaan Kiya imam nawawi rh, imam ibn qayyim aur imam kaseer rh. Wagaira ne usse (mursal hadees ) se istedlaal kiya hai.
Aur unhone uske mafhoom ko ikhtiyaar farmaaya hai , yaani in mazkoora imamo me se har ek ne unke paas jo mursal hadees thi usko ahkaam wagaira me apna maslak banaaya aur yeh baat imam nawawi rh. Ne sharahul muhazzab me bahut saare balke aksar fuqaaha se naql ki hai.
Farmaate hai yeh baat imam e ghazaali rh. Ne jamhoor se naql farmaayi hai.
Imam Abu dawud Apne Risaale me farmaate hai ke Bahut se Ulama Mursal se Aitejaaj karte hai Jaise Sufiyan Suri Rh. , Imam Malik Rh. Aur unki ki Itteba karte huwe Imam Ahmed Bin Hanbal Rh. Wagaira ne.
(Fathul Mughees : Jild 1 : 246)
Scan Page :
Yahi Wajah hai ke
17 – Imam Ibn Maeen Rh. Ne Maraasil e Ibrahim Nakh’ii Rh. Ko Saheeh Qaraar diya hai.(An Nukat : Jild 1 : Safa 556)
Scan Page :
18 – Imam Ahmed Rh. Ne Saheeh Kaha Imam Ibrahim Nakh’ii Rh. Ki Maraasil Riwayato ko. (An Nukat : Jild 1 : Safa 556)
Scan Page :
19 – Sharah Elal e Tirmizi me Imam Ibn Rajab Rh. Naql karte hai ke Imam Ahmed Rh. Ne Farmaaya ke Ibrahim Nakh’ii Rh. Ke Maraasil me Koi Kharaabi nahi hai. (Sharah Elal e Tirmizi : Jild 1 : Safa 542)
Scan Page :
20 – Imam Yahiya Bin Maeen Rh. Ne Ibrahim Nakh’ii Rh. Ki Maraasail ko Saheeh Qaraar diya hai.(Sharah Elal e Tirmizi : Jild 1 : Safa 542)
Scan Page :
21 – Imam Ejli Rh. Ne Shaibii Rh. Ki Maraasil ko Saheeh Qaraar Diya hai. (Sharah Elal e Tirmizi : Jild 1 : Safa 543)
Scan Page :
22 – Imam Ibn Rajab Rh. Farmaate hai ke
Bahut se fuqaaha ne mursal se istedlaal kiya hai aur wo wo log jinka hamaare ashaab ne zikr kiya hai ke Mursal se istedlaal karna saheeh hai
Aur yahi qaul imam abu hanifa rh. Aur unke ashaab aur Ashaab e Imam Malik Rh. Ka Hai ke Wo Mursal ko Binaa Qaid ke Qubool karte hai. (Sharah Elal e Tirmizi : Jild 1 : Safa 543)
Scan Page :
23 – Mazeed Ibn Rajab Rh. Tehreer Karte hai ke
Aur Mursal se Aitejaaj ko Naql kiya Tamaam Ahle kufa wa Ahle Iraq ne aur usko Naql kiya hai Imam Haakim rh. Ne Ibrahim Nakh’ii Rh se aur Hammad Bin Abi Sulaiman rh. Se aur Imam Abu hanifa rh. Se aur Unke Ashaab se.
Imam Abu Dawud ne Risaale me Jo ke Ahle Makkah ke Naam Likha hai Usme Tehreer Farmaaya ke Mursal se Zamaana e Maazi me Ulama Aitejaaj Karte the.
Jaisa ke Imam Sufiyan Suri Rh. , Imam Malik Rh. , Imam Auzaayi Rh. Yaha Tak ke Jab Imam Shafa’I Rh. Aaye Toh Inhone Is Masle me Ikhtelaaf Kiya hai (Ek Qaul ke Mutaabiq) Unki Pairiwi ki Imam Ahmed Bin Hanbal Rh. Wagaira ne.
(Sharah Elal e Tirmizi : Jild 1 : Safa 543)
24 – Imam Ibn Taimiya Rh. Farmaate hai ke Wo hadees e Mursal Jispar Salaf ka Amal ho Fuqaaha ka Ittefaaq hai wo Hujjat hai. (Al Fatawa ul Kubra : Jild 6 : Safa 47)
Scan Page :
Mazeed Ulama wa Muhaddiseen ne Kai Maraasil e Taba-in e Izaam Rhm. Ko Saheeh Qaraar diya hai.
25 – Imam Ibn Madeeni Rh. Farmaate hai ke Mujahid Rh. Ki Mursal Mujhe Aata Rh. ki Mursal se Kahi Zyaada Pasand hai. (Tadreeb ur Raavi : 229)
Scan Page :
26 – Imam Yahiya Bin Saeed Al Qattan Rh. Farmaate hai ke Mujahid ki Mursal Mujhe Aata Rh. Ki Mursal se Zyaada Pasand hai. (Tehzeeb ut Tehzeeb : Jild 10 : safa 43)
Scan Page :
27 – Imam Ahmed Rh. Farmaate Hai Ke Ibrahim Nakh’ii Rh. Ki Mursalaat me koi Kharaabi nahi hai. (Tadreeb Ur Raavi : Jild 1 : Safa 309)
Scan Page :
28 – Isi Tarah Imam Haakim Rh. Ne Ibrahim Nakh’ii Rh. Ki Mursalaat Ko Mursalaat E Sahiya Me Shumaar Kiya Hai. (Tadreeb Ur Raavi : Jild 1 : Safa 308)
Scan Page :
29 – Imam Yahiya Bin Maeen Rh. Farmaate Hai Ke Maraasil E Nakh’ii Rh. Maraasil E Shaibii Rh. Wa Saalim Rh. Se Behtar Hai. (Tadreeb Ur Raavi : Jild 1 : safa 311)
Scan Page :
30 – Imam Ibn Taimiya Rh. Maraasil se Aitejaaj aur Adab e Aitejaaj ke bare me bahes karte huwe likhte hai ke
وَالْمَرَاسِيلُ قَدْ تَنَازَعَ النَّاسُ فِي قَبُولِهَا وَرَدِّهَا، وَأَصَحُّ الْأَقْوَالِ أَنَّ مِنْهَا الْمَقْبُولَ، وَمِنْهَا الْمَرْدُودَ، وَمِنْهَا الْمَوْقُوفَ، فَمَنْ عُلِمَ مِنْ حَالِهِ أَنَّهُ لَا يُرْسِلُ إِلَّا عَنْ ثِقَةٍ قُبِلَ مُرْسَلُهُ، وَمَنْ عُرِفَ أَنَّهُ يُرْسِلُ عَنِ الثِّقَةِ وَغَيْرِ الثِّقَةِ كَانَ إِرْسَالُهُ رِوَايَةً عَمَّنْ لَا يُعْرَفُ حَالُهُ فَهَذَا مَوْقُوفٌ، وَمَا كَانَ مِنَ الْمَرَاسِيلِ مُخَالِفًا لِمَا رَوَاهُ الثِّقَاتُ كَانَ مَرْدُودًا.
وَإِذَا جَاءَ الْمُرْسَلُ مِنْ وَجْهَيْنِ : كُلٌّ مِنَ الرَّاوِيَيْنِ أَخَذَ الْعِلْمَ عَنْ شُيُوخِ الْآخَرِ ، فَهَذَا مِمَّا يَدُلُّ عَلَى صِدْقِهِ، فَإِنَّ مِثْلَ ذَلِكَ لَا يُتَصَوَّرُ فِي الْعَادَةِ تَمَاثُلُ الْخَطَأِ فِيهِ وَتَعَمُّدُ الْكَذِبِ
Barhaal maraasil ke qubool aur radd karne me logo ne ikhtelaaf kiya hai aur saheeh tar qaul yeh hai ke maraasil me maqbool wa mardood aur mauqoof bhi iqsaam hai , so jiske haal se maloom yeh maloom huwa ke wo siqa hi se irsaal karta hai toh uska mursal qubool kiya jaayega aur
jisse usne hadees e mursal riwayat ki hai.Uska ilm nahi toh aisi mursal hadees mauqoof hogi aur jo maraasil siqaahat ki riwayat ke khilaaf ho toh wo mardood hogi aur jab mursal 2 tariqo se marwi ho ek mursal alag shaik se aur dusra alag se , toh yeh uske sidq (sach-che hone) par dalaalat karta hai kyunke aadatan isme qata aur jaan boochkar jhoot bolne ka tasawwur nahi kiya sakta.
(Minaaj us Sunnah: Jild 7 : Safa 435)
Scan Page :
Barhaal Iska Khulaasa Yeh hai ke
Tamaam Tabien E Izaam Rh. Ka Ijma Hai Ke Mursal Hadees Hujjat Hai.
Aimma e Salaasa
1 – Imam abu hanifa Rh.
2 – Imam Malik Rh. Aur
3 – Imam Ahmed Rh. Ke Nazdeek Hujjat hai
Aur Jamhoor Fuqaaha wa Muhaddiseen Masalan
4 – Imam Sufiyan Suri Rh.
5 – Imam Auzaayi Rh. Waghaira aur Ahle Madina , Ahle Iraaq Qususan Ahle Kufa ka Yahi Mazhab aur Maslak hai ke Mursal Riwayat Hujjat hai Khaaskar Ibrahim Nakh’ii Rh. , Imam Mujahid Rh. Aur Degar Siqa Taba-in Rh. Ki.
Pas , Allah Tala Haq ko Samjhne aur ispar Amal Karne ki Taufeeq Aata Farmaaye….Ameen.
Note no 1 :
Imam Shafa’ii Rh. aur Unke Hum Fikr Muhaddiseen ke Nazdeek Mursal Hujjat nahi, Lekin Mursal e Motazid Hujjat hai.
Yaani Jab Mursal ki Taa-id Kisi Dusre Mursal riwayat ya Musnad se hojaaye, Toh Use Mursal e Motadhid Kehte hai, Jo ke Imam Shafa’ii Rh. aur Unke Hum Fikr Muhaddiseen ke Nazdeek Hujjat hai.
(Sharah Muslim Lin Nawawi : Jild 1 : Safa 30)
(Nuzhatun Nazr Li Ibn Hajar : Safa 220)
Scan Page : Sharah Muslim Lin Nawawi
Scan Page : Nuzhatun Nazr Li Ibn Hajar
Maloom huwa ke Mursal Toh Jamhoor ke Nazdeek Hujjat hai aur Mursal e Motazid Toh Imam Shafa’ii Rh. aur Unke Hum Fikr Muhaddiseen ke Nazdeek bhi Hujjat hai.
Note no 2 :
Mursal e Motazid Ahlehadeeso ke Nazdeek HUJJAT hai. Dekhiye,
https://aalimuqamhaideobandwale.blogspot.com/2021/03/mursal-e-motazid-ahlehadeeso-ke-nazdeek.html
No comments:
Post a Comment