Mursal e Motazid Yaani Jab Mursal ki Taa-id Kisi Dusre Mursal ya Musnad se hojaaye, Toh Use Mursal e Motazid Kehte hai.
Aur Mursal e Motazid Ahlehadeeso ke Nazdeek HUJJAT hai :
1 – Ahlehadees Muhaddis, Maulana Abdur Rehman Mubarakpuri Rh. Abu Qilaaba Rh. ki Mursal ke Zail me Farmaate hai ke
Tamaam Muhaddiseen ke Nazdeek Mursal e Motazid ke Hujjat. (Abkaar ul Minan : Safa 471-472)
Scan Page :
2 – Ghair Muqallid Muhaqiq Abdur Rawf Sahaab Likhte hai : ke
Yeh Mursalan Marwi hai aur Yeh Hadees Apne Shawaahid ki Binaa par SAHEEH hai. (Al Qaul ul Maqbool : Safa 621)
Scan Page :
3 – Qazi Shaukaani Rh. Al Mutawaffa 1250 Hij. Farmaate hai ke
هَذَا وَإِنْ كَانَ مُرْسَلًا لَكِنَّهُ مُعْتَضِدٌ بِمَا سَبَقَ
Agarche Yeh riwayat Mursal hai, Lekin Saabiqa riwayaat se Motazib aur Mu-aiyyad hai.
(Nail ul Autaar : Jild 7 : Safa 92)
Scan Page :
4 – Maulana Saadiq Sialkoti Sahaab Likhte hai ke
Goya Yeh Hadees Mursal hai, Lekin Dusri Mustanad Ahadees se Milkar Qawi hogayi hai. (Salaat ur Rasool : Safa 340)
Scan Page :
5 – Maulana Rayees Nadwi Salafi Sahaab Likhte hai : ke
Mursal Hadees Ahnaaf wa Maalikiya ke Nazdeek Mutalaqan Hujjat hai aur Dusre Ahle ilm ke nazdeek Baaz Sharaa-it ke saat Hujjat hai, Jinme se Ek Yeh hai ke wo Dusri Muttasil Sanad se, Khuwa Zaeef ho Marwi ho.
(Namaz e Janaaza aur Uske Masaail : Safa 46)
Scan Page :
Maloom huwa Ghair Muqallideen Ahle Hadees Hazraat ke Nazdeek Mursal e Motazid Hujjat hai.
No comments:
Post a Comment