Saturday, 29 May 2021

FIQH HANAFI PER AITRAAZ: KA'BATULLAAH KI CHHAT PER NAMAAZ

*FIQH HANAFI PER AITRAAZ: KA'BATULLAAH KI CHHAT PER NAMAAZ*

HADEES aur FIQH HANAFI ke darmiyaan Taqaabul karte hue Firqah Aal-e-Hadees ke Maulwi Muhammad Saadiq Siyaalkoti ne BAITULLAH KI CHHAT PAR NAMAAZ ka Unwaan qaa'im kar ke likha hai:

*PAIGHAMBAR-E-RAHMAT (sallallāhu alaihi wa sallam) KI MUMAANI'AT:*
"Hazrat Ibn Umar (raziallāhu anhu) riwaayat karte hue kehte hain ke Rasoolullah (sallallāhu alaihi wa sallam) ne BAITULLAH ki Chhat par Namaaz Parhne se MANA’ KIYA.” (Tirmizi Shareef)

*FIQH KA IKHTILAAF:*
“Ka'bah ki Chhat per Namaaz Jaa'iz hai..” (Hidaayah – Baab As-Salaath Fil Ka’bah)

Huzoor (sallallāhu alaihi wa sallam) Ka’bah ki Chhat par Namaaz parhne se mana’ farmaaei'n.
Laikin Fiqh kahe ke Jis ne Ka’bah ki Chhat par Namaaz parhi us ki Namaaz Jaa'iz hai. Kyon Jaa'iz hai.? Jo Kaam Hazrat Anwar (sallallāhu alaihi wa sallam) mana’ karein wo kyon kar Jaa'iz ho sakta hai.? Ye Hadees par Zyaadati hai.

*AL-JAWAAB:*

*MUKAMMAL HADEES:*

Sanad (Chain): Mahmood bin Ğailaan »» Al-Muqri' »» Yahya bin Ayub »» *Zaid bin Jabeerah* »» Dawood bin Al-Hussain »» Naafi' »» Ibn Umar (raziallāhu anhu)

Matn (Text): Abdullah bin Umar (raziallāhu anhu) se riwaayat hai ke Rasoolullah (sallallāhu alaihi wa sallam) ne 7 Maqaamaat me Namaaz padhne se MANA' FAMAAYA.
(1):.. Kooda Karkat daalne ki jagah me
(2):.. Jaanwar ke Zabah karne ki jagah me
(3):.. Qabrastaan me
(4):.. Aam Raasto'n per
(5):.. Hamaam (Ğusl khaane) me
(6):.. Oont baandhne ki jagah me aur
(7):.. BAITULLAH KI CHHAT PER..

حدثنا محمود بن غيلان، حدثنا المقرئ، حدثنا يحيى بن ايوب، عن *زيد بن جبيرة،* عن داود بن الحصين، عن نافع، عن ابن عمر، ان رسول الله صلى الله عليه وسلم: " نهى ان يصلى في سبعة مواطن: في المزبلة، والمجزرة، والمقبرة، وقارعة الطريق، وفي الحمام، وفي معاطن الإبل، وفوق ظهر بيت الله ".

*[Sunan Tirmizi, Raqam# 346]*

*ZA'EEF AAL-E-HADEESO'N KI ZA'EEF HADEES:*

Firqa Aal-e-Hadees ke Ulama' se le kar Juhalaa' tak Ye da'wa karte hain ke wo sirf aur sirf SAHEEH HADEES per AMAL karte hain. Magar Jab Un ke is DA'WA ki tahqeeq ki jaae to phir Haqeeqat khul kar saamne aati hai ke Ye mahaz ek JHOOTA DA'WA hai...

Aal-e-Hadees ke Maulwi Saadiq Siyaalkoti ne Jo Hadees istedlaal me pesh ki hai wo intihaa'i darjah ki ZA'EEF hai...

*HADEES PER JARAH:*

*(1):.. IMAAM TIRMIZI (rahimahullah):*

وحديث ابن عمر اسناده ليس بذاك القوي، وقد تكلم في زيد بن جبيرة من قبل حفظه...........
وقد روى الليث بن سعد هذا الحديث عن عبد الله بن عمر العمري عن نافع عن ابن عمر عن عمر عن النبي صلى الله عليه وسلم مثله وحديث داود عن نافع عن ابن عمر عن النبي صلى الله عليه وسلم اشبه وأصح من حديث الليث بن سعد وعبد الله بن عمر العمري ضعفه بعض أهل الحديث من قبل حفظه منهم يحيى بن سعيد القطان

Ibn Umar (raziallāhu anhu) ki Hadees ki Sanad Koi zyaadah Qawi (Mazboot) nahi hai, Zaid bin Jabeerah ke silsilah me Un ke Hifz ke ta'lluq se Kalaam kiya gaya hai..............
Lais bin Sa'd ne ye Hadees batareeq Abdullah bin Umar Al-Umri ('an) Naafe' ('an) Ibn Umar ('an) Umar ('an) Nabi (sallallāhu alaihi wa sallam) se isi ke misl riwaayat ki hai. Aur Hadees Dawood ('an) Naafe' ('an) Ibn Umar ('an) Nabi (sallallāhu alaihi wa sallam) zyaadah Qareen Sawaab aur ZYAADAH SAHEEH hai Lais bin Sa'd ki Hadees se aur Abdullah bin Umar Al-Umari ko Ba'z Ahl-e-Hadees (Ya'ni Muhaddiseen) ne un ke Hifz ke ta'lluq se ZA'EEF qaraar diya hai, unhi me se hai Yahya bin Sa'eed Al-Qattaan (rahimahullah) bhi hain. *[Sunan Tirmizi, Raqam# 347]*

Is se pata chala ke, Ye Hadees 2 Sanado'n se marwi hai magar dono ki dono Sanadei'n ZA'EEF hain. Albattah Ibn Umar (raziallāhu anhu) se marwi Hadees ko Umar (raziallāhu anhu) se marwi Hadees se Zyaadah Qawi batlaaya gaya hai Jis ka Hum aagey Tafseeli Jaa'izah lenge. 

Imaam Tirmizi (rahimahullah) ne Jab dono Sanado'n ka ZU'AF zaahir kar diya tha is ke bawajoood Saadiq Siyaalkoti ki himmat dekhiye ke is Hadees se FIQH ka IKHTILAAF saabit karne aa gaye.

*(2):.. ABU HAATIM (rahimahullah):*

Hadees Lais bin Sa'd aur Hadees Zaid bin Jabeerah dono ke baare me kaha:

جميعا واهيين

Sab ki sab ZA'EEF hain. *[Al-illal li ibn Abu Haatim, Jild: 2/ Safha: 336-338, Raqam# 412 (Maktabah Al-Malik Fahad)]*

*(3):.. IBN JAUZI (rahimahullah):*

هذا حديث لا يصح

Ye Hadees Saheeh nahi hai. *[Al-illal Mutanaahiyah, Jild:2/ Safha: 399, Raqam# 671]*

*(4):.. IMAAM BAYHAQI (rahimahullah):*

تفرد به زيد بن جبيرة، قال البخاري منكر الحديث

Is me Zaid bin Jabeerah Munfarid hain, Imaam Bukhaari (rahimahullah) ne farmaaya wo MUNKAR AL-HADEES hain. *[Sunan Kubra Bayhaqi, Jild:2/ Safha:466 (Daarul Kutab ilmiyah)]*

*(4):.. IMAAM SAAJI (rahimahullah):*

حدث عن داود بن الحصين بحديث منكر جدا يعنى حديث النهى عن الصلاة فى سبعة مواطن

*[Tahzeeb At-Tahzeeb, Jild:1/ Safha: 660 (Mu'assasa risaalahl)]*

*(5):.. IBN HAJAR (rahimahullah):*

وفي سند الترمذي ، زيد بن حبيرة ، وهو ضعيف جدا

Aur SUNAN TIRMIZI ki sanad me Zayd bin Jabeerah hai, aur wo Zaeef Jiddan hai. *[Talkhees Al-Habeer, Jild: 1/ Safha: 531, Raqam# (Daarul Kutab ilmiyah)]*

*(6):.. IBN DAHIYAH AL-KALBI (rahimahullah):*

هذا حديث باطل عندهم أنكروه على ابن جبيرة

Ye Hadees Hamaare nazdeek Baatil hai. Zaid bin Jabeerah per Jarah ki gayi hai. *[ikmaal Tahzeeb Al-Kamaal, Jild:3/ Safha: 165, Raqam#1930 (Daarul Kutab ilmiyah)]*

*(7):.. ALBAANI (Aal-e-Hadees ke Maulwi):*

Zaid bin Jabeerah ki Hadees ke baare me kaha:

ضعيف

Za'eef hai.

Aur Lais bin Sa'd ki Hadees ke baare me kaha:

وفي سند ابن ماجة عبد الله بن صالح، وعبد الله بن عمر العمري المذكور في سنده ضعيف أيضا

Aur IBN MAAJAH ki Sanad me Abdullah bin Saaleh aur Abdullah bin Umar Al-Umari Jo Sanad me mazkoor hain wo Za'eef hain. *[Al-irwa' Al-ghaleel, Jild: 1/ Safha: 318-319, Raqam# 278]*

*(8):.. ZUBAIR ALI ZAI (Aal-e-Hadees ke Maulwi):*

Zaid bin Jabeerah ki Hadees aur Lais bin Sa'd ki Hadees dono ke baare me kaha:

إسناده ضعيف

Is ki sanad Za'eef hai. *[Sunan Ibn Maajah (Urdu), Jild:1/ Safha: 597, Raqam# 746, 747 (Daarus Salaam)]*

*ZAID BIN JABEERAH BIN MAHMOOD BIN ABI JABEERAH PER JARAH:*

*(1):.. IMAAM BUKHAARI (rahimahullah):*

منكر الحديث

*[Taareekh Al-Kabeer, Jild:3/ Safha: 326 (Daarul Kutab ilmiyah)]*
*[Taareekh Ausat, Jild:2/ Safha: 49 (Daar As-Samee'i)]*

Ibn Qattaan (rahimahullah) ne Imaam Bukhaari (rahimahullah) se naqal kiya hai ke farmaaya: Jis ko Main MUNKAR AL-HADEES keh doon us se Hadees riwaayat karna HALAAL NAHI... *[Meezaan Al-Eitedaal]*

(2):.. IMAAM NASA'I (rahimahullah):

ليس بثقة

*[ikmaal Tahzeeb Al-Kamaal, Jild:3/ Safha: 165, Raqam#1930 (Daarul Kutab ilmiyah)]*

*(3):.. ABU HAATIM (rahimahullah):*

زيد بن جبيرة ضعيف الحديث، منكر الحديث جدا، متروك الحديث، لا يكتب حديثه 

*[Al-Jarah wa Ta'deel, Jild:3/ Safha: 502 (Daarul Kutab ilmiyah)]*

*(4):.. IMAAM ZAYLA'I (rahimahullah):*

وزيد بن جبيرة اتفق الناس على ضعفه

*[Nasbur Raayah, Jild: 2/ Safha: 323]*
*[Tuhfatul Ahwazi, Jild: 2/ Safha: 226 (Darul Kutab ilmiyyah)]*

*(5):.. IBN HIBBAAN (rahimahullah):*

يروي المناكير عن المشاهير فاستحق التنكب عن روايته

*[Al-Majrooheen, Jild: 1/ Safha: 388 (Daar As-Samee'i)]*

*(6):.. YAHYA BIN MA'EEN (rahimahullah):*

لا شيء 

Wo koi Cheez nahi hai. *[Su'aalaat Ibn Al-Junaid, Safha: 121 (Maktabah Ad-Daar)]*
*[Al-Majrooheen, Jild: 1/ Safha: 388, Raqam# 365 (Daar As-Samee'i)]*

*(7):.. IBN ADI (rahimahullah):*

عامة ما يرويه عن من روى عنهم لا يتابعه عليه أحد

*[Al-Kaamil Fi Zu'afa' Ar-rijaal, Jild: 4/ Safha: 157 (Daarul Kutab ilmiyah)]*

*(8):.. IMAAM BAYHAQI (rahimahullah):*

زيد بن جبير غير قوي في الرواية

Zaid bin Jabeerah riwaayat-e-Hadees me Qawi nahi hai. *[Shu'abul Eimaan, Jild:2/ Safha:232 (Daarul Kutab ilmiyah)]*

*(9):.. IMAAM HAAKIM (rahimahullah) ne farmaaya:*

روى عن أبيه وداود بن الحصين وغيرهما المناكير

Apne Baap aur Dawood bin Hussain wagherah se Munkar riwaayaat bayaan ki hain. *[Al-Madkhal, Safha: 151, Raqam# 64 (Maktabah Al-Abeekaan)]*

*(10):.. ABU NU'AYM AL-ASBAHAANI (rahimahullah):*

منكر الحديث متروك

*[Al-Musnad Al-Mustakhraj, Jild:1/ Safha:66, Raqam# 79 (Daarul Kutab ilmiyah)]*

*(11):.. ABUL FAZAL AL-HARWI (rahimahullah):*

منكر الحديث

*[Al-Muajjam Fi Mushtabah Asaami Al-Muhaddiseen, Safha: 140, Raqam#266 (Maktabah Ar-Rushd)]*

*(12):.. IBN TAYMIYAH (rahimahullah):*

وزيد بن جبيرة عندهم منكر الحديث

*[Iqtizaa' Siraat Al-Mustaqeem, Jild: 1/ Safha: 394-395 (Maktabah Ar-rushd)]*

*(13):.. YAQOOB BIN SUFYAAN AL-FASAWI (rahimahullah):*

ضعيف منكر الحديث

*[Tahzeeb At-Tahzeeb, Jild: 1/ Safha: 660 (Mu'assasa risaalah)]*

*(14):.. AL-AZDI (rahimahullah):*

متروك 

*[Tahzeeb At-Tahzeeb, Jild: 1/ Safha: 661 (Mu'assasa risaalah)]*

*(15):.. IBN ABDUL BARR (rahimahullah):*

أجمعوا على ضعفه

*[Tahzeeb At-Tahzeeb, Jild: 1/ Safha: 661 (Mu'assasa risaalah)]*

*(16):.. IBN HAJAR ASQALAANI (rahimahullah):*

متروك الحديث

*[Taqreeb At-Tahzeeb, Safha: 162, Raqam#2122 (Mu'assasa Risaalah)]*

*(17):.. IMAAM ZAHABI (rahimahullah):*

متروك الحديث

*[Al-Mughni Fiz Zu'afa', Jild: 1/ Safha: 380, Raqam# 2264 (Daarul Kutab ilmiyah)]*

*(18):.. IMAAM DAARQUTNI (rahimahullah):*

ذكره في الضعفاء

*[Az-Zuafa' Wal Matrokeen, Raqam# 232]*

*(19):.. IBN JAUZI (rahimahullah):*

ذكره في الضعفاء

*[Az-Zu'afa' wal Matrokeen, Jild: 1/ Safha: 304, Raqam# 1315 (Daarul Kutab ilmiyah)]*

*(20):.. AL-UQAYLI (rahimahullah):*

ذكره في الضعفاء 

*[Az-Zu'afa' Al-Kabeer, Jild: 2/ Safha: 71, Raqam#515 (Daarul Kutab ilmiyah)]*

*(21):.. IBN AL-JAAROOD (rahimahullah):*

ذكره في الضعفاء

*[ikmaal Tahzeeb Al-Kamaal, Jild:3/ Safha: 165, Raqam#1930 (Daarul Kutab ilmiyah)]*

*(22):.. ABU SA'EED NAQAASH (rahimahullah):*

ذكره في الضعفاء

*[ikmaal Tahzeeb Al-Kamaal, Jild:3/ Safha: 165, Raqam#1930 (Daarul Kutab ilmiyah)]*

*(23):.. ABU AL-ARAB (rahimahullah):*

ذكره في الضعفاء

*[ikmaal Tahzeeb Al-Kamaal, Jild:3/ Safha: 165, Raqam#1930 (Daarul Kutab ilmiyah)]*

Jis raawi per is qadar Kalaam kiya gaya ho, Kya us ki Hadees SAHEEH ho sakti hai..? Laikin Za'eef Aal-e-Hadees phir bhi is Hadees se istedlaal kar rahe hain... Laikin is ke bawajood Ye ZA'EEF HADEES Firqah Aal-e-Hadees ko koi faaydah na degi...

*HIDAAYAH KI MUKAMMAL IBAARAT:*

Allaamah Margheenaani (rahimahullah) ne farmaaya:

 صلى على ظهر الكعبة جازت صلاته ، خلافاً للشافعي رحمه الله ، لان الكعبة هي العرصة والهواء إلى عنان السماء عندنا دون البناء ، لأنه ينقل ، ألا ترى أنه لو صلى على جبل أبي قبيس جاز ، ولا بناء بين يديه ، إلا أنه يكره لما فيه ، ومن ترك التعظيم وقد ورد النهي عنه عن النبى صلى الله عليه وسلم. 

(754):.. Jis ne Baitullaah ki chhat per Namaaz parhi, us ki Namaaz Jaa'iz hai (Ya'ni Namaaz ho jaayegi), khilaaf Imaam Shaafa'i (rahimahullah) ke isliye ke Ka'bah hamaare nazdeek Maidaan aur Aasmaan tak ki Fizaa' ka naam hai, imaarat ka naam nahi hai isliye ke wo muntaqil ho sakti hai, Kya aap nahi dekhte hain ke agar Abu Qubays pahaad per Namaaz padhe to Jaa'iz hai (Ya'ni Namaaz ho jaayegi) haalaanke us ke saamne Baitullaah ki koi imaarat nahi hai magar Ye ke Baitullaah ki Chhat per Namaaz parhna MAKROOH hai isliye ke is me us ki Ta'zeem ka chhorna hai. Chunanchah Nabi (sallallāhu alaihi wa sallam) se is ke baare me NAHI waarid hai...

*IBAARAT KI TASHREEH:*

Hamaare nazdeek Ka'bah aur Qiblah imaarat ka naam nahi hai balke Jis jagah per Baitullaah hai us jagah se le kar Aasmaan tak ki Jo Fizaa' hai is sab ka naam Ka'bah hai chaahe Deewaar ho ya na ho, Yehi wajah hai ke Koi Aadmi Baitullah ke saamne maujood Pahaad Abu Qubays per Namaaz padh le (Ya Hawaa'i Jahaaz (Aeroplane) me Namaaz padh le) to Us ki Namaaz ho jaayegi haalaanke us ke saamne Ka'bah ki Deewaar nahi hai kyonke Deewaar to bohat neeche reh gayi laikin choonke Ka'bah ki Fizaa' us ke saamne hai Jo Qiblah ban rahi hai, isliye Namaaz ho jaayegi. Agar koi Baitullaah ki Chhat per Namaaz padhta hai to Ka'bah ki Fizaa' ka kuch na kuch hissa us ke saamne hoga Jo Qiblah ban Jaayega Jaisa ke Koi Baitullaah ke andar Namaaz padhe to Baitullaah ka kuch na kuch hissa saamne hoga Jo Qiblah ban jaata hai, isliye Us ki Namaaz Jaa'iz hai Ya'ni ho jaayegi laikin Chhat per Namaaz padhna MAKROOH (Ya'ni Na-pasandeedah) hai kyonke is soorat me Baitullaah ki Ta'zeem wa Takreem nahi hogi aur Hadees me bhi is se MANA' farmaaya gaya hai...

*BAITULLAAH KE ANDAR NAMAAZ PADHNA:*

عن ابن عمر، قال: دخل النبي صلى الله عليه وسلم البيت، واسامة بن زيد، وعثمان بن طلحة، وبلال فاطال، ثم خرج وكنت اول الناس دخل على اثره، فسالت بلالا:" اين صلى؟ قال: بين العمودين المقدمين".

Abdullah bin Umar (raziallāhu anhu) ne farmaaya: Nabi (sallallāhu alaihi wa sallam) Baitullaah ke andar daakhil hue, aur Usaama bin Zayd, Usmaan bin Talha, Bilaal (raziallāhu anhum) bhi aap ke saath the. Aap (sallallāhu alaihi wa sallam) deir tak andar rahe, phir baahar aaye. Aur Main sab logo'n se pehle Aap (sallallāhu alaihi wa sallam) ke peeche hi waha'n aaya. Maine Bilaal (raziallāhu anhu) se poocha ke Nabi (sallallāhu alaihi wa sallam) ne kaha'n Namaaz padhi..? Unhoney bataaya: Aagey ke 2 sutoono (pillars) ke beech me padhi.. *[Saheeh Al-Bukhaari, Raqam# 504]*

Is Hadees se pata chala ke Ka'batullaah ka kuch hissa saamne ho to bhi wo Qiblah ban jaata hai...

*AAL-E-HADEES MAULWI KI KHIYAANAT:*

HIDAAYA ki mukammal ibaarat padh lene ke ba'd ma'loom ho gaya ke Namaaz JAA'IZ MA'E KARAAHAT hogi magar Saadiq Siyaalkoti ne JAA'IZ waali baat to pesh kar di magar KARAAHAT waali baat Khiyaanat karte hue Chhupa daali. Mazeid Ye ke Jis Hadees ko Saahib-e-Hidaayah ne khud istedlaal kar ke KARAAHAT saabit ki hai usi HADEES ko FIQH HANAFI ke khilaaf pesh kiya aur Ye bhi nahi socha ke SAHEEH HADEES ka da'wa karte karte FIQH HANAFI se bughz me Firqah Aal-e-Hadees ke Maulwiyo'n ko kya kya nahi karna padta hai...

*HADEES ME NAHI TAHREEM KE LIYE HAI YA KARAAHAT KE LIYE HAI..?*

Jab Saadiq Siyaalkoti ki saari pol khol di jaaye to us ke Difa' me Firqah Aal-e-Hadees ka Ye aakhri Harbah hai ke is Hadees me NAHI نهى se muraad TAHREEM hai...

Haalaanke Imaam Tirmizi (rahimahullah) ne is Hadees per in alfaaz me Baab baandha hai:

 باب: ماجاء في كراهية ما يصلى إليه و فيه

"Baab: Jin Cheezo'n ki taraf Ya Jin Jagaho'n me Namaaz padhna MAKROOH hai"

Aur Imaam Ibn Maajah (rahimahullah) ne is Hadees per in alfaaz me Baab baandha hai:

باب: المواضع التي تكره فيها الصلاة

"Baab: Jin Jagaho'n me Namaaz padhna MAKROOH hai"

Is se pata chala ke ASLI AHL-E-HADEES Ulama' ne is Hadees me NAHI نهى se KARAAHAT muraad li hai Na ke TAHREEM to Kya ye kaha jaayega ke in Muhaddiseen ne HADEES ki Mukhaalifat ki hai..?

NAHI نهى se agar Tahreem ke bajaaye Karaahat ka ma'na muraad lene per Koi Qareenah maujood ho to bil-ittifaaq NAHI se KARAAHAT muraad li jaati hai...

Chunaanchah Abu Sa'eed Khudri (raziallāhu anhu) ne farmaaya ke Rasoolullah (sallallāhu alaihi wa sallam) ne farmaaya: "Saari Zameen Masjid (Sajdah gaah) hai siwaaye Qabrastaan aur Hamaam ke."

عن ابي سعيد الخدري قال: قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: الارض كلها مسجد الا المقبرة والحمام 

*[Sunan ibn Maajah, Raqam# 745; Sunan Abu Dawood, Raqam# 492]*

Zubair Ali Zai ne is Hadees ki Sanad ko SAHEEH kaha hai. *[Sunan Ibn Maajah (Urdu), Jild:1/ Safha: 597, Raqam# 745 (Daarus Salaam)]*

Is Hadees me QABRASTAAN aur HAMAAM ke siwa Tamaam Jagaho'n per Namaaz padhna Jaa'iz saabit hota hai...

Ek aur waazeh Daleel is per Ye Hadees hai...

Jaabir bin Abdullah (raziallāhu anhu) se riwaayat hai ke Nabi (sallallāhu alaihi wa sallam) ne farmaaya: Mujhe 5 Cheezei'n aisi di gayi hain Jo mujh se pehle Kisi ko nahi di gayi thi'n..........
(2):.. Aur tamaam Zameen mere liye Masjid (sajdah gaah) aur Paaki ke laa'iq banaayi gayi. Pas meri Ummat ka Jo Insaan Namaaz ke waqt ko paa le usey waha'n hi Namaaz adaa kar leni chaahiye.. 

قال: اخبرنا جابر بن عبد الله، ان النبي صلى الله عليه وسلم، قال: اعطيت خمسا لم يعطهن احد قبلي، نصرت بالرعب مسيرة شهر، وجعلت لي الارض مسجدا وطهورا، فايما رجل من امتي ادركته الصلاة فليصل

*[Saheeh Al-Bukhaari, Raqam# 335]*

Hanafiyah ka istedlaal ye hai ke, Jab poori Zameen ko SAJDAH GAAH banaaya gaya hai to ba'z Jagaho'n ki Mumaani'at KARAAHAT per mahmool hogi Na ke TAHREEM per...

KHULAASAH: Aal-e-Hadees ka Ye Da'wa Jhoota saabit hua ke wo sirf SAHEEH HADEES per Amal karte hain, Sadiq Siyaalkoti ne Hadees ko SUNAN TIRMIZI se naqal karne ke bawajood Ye baat Chhupaayi ke Imaam Tirmizi (rahimahullah) ne is Hadees per KARAAHAT ka Baab baandha hai aur Ye bhi chhupaaya ke Imaam Tirmizi ne Ibn Umar (raziallahu anhu) ki Hadees ki Sanad ke baare me kaha: LAISA BI-ZAAK AL-QAWI. Sadiq Siyalkoti ne HIDAAYA ki poori ibaarat bhi Chhupaayi Jis me saaf saaf likha tha ke Ye Amal MAKROOH hai. 

Is ek Misaal se Aap Andaazah laga sakte hain ke Aal-e-Hadees ke Maulwiyo'n ne AWAAM ko GUMRAAH karne ke liye kis kis tarah DHOKE diye hain..

Allaah se dua' hai ke wo Humei'n Deen ki Saheeh samajh ataa farmaaye aur is Fitne se Hamaari hifaazat farmaaye.. (Aameen)

 

No comments:

Post a Comment