AZaaN-e-Usmani (Raziallahu Anhu)
Jam'hoor Musalmano ke khilaf aur Shia' Rawafiz ke muwafaq Ghair-Muqallideen (Naam Nihaad) Ahl-e-Hadees ke nazdeek Juma'h ki Azaan-e-Awwal (Pehli Azaan) Jisko Hazrat Usman-e-Ghani (raziallahu ta’la anhu) ne Jaari kiya tha BID'AT hai.
Hazrat Saa'ib bin Yazeed (raziallahu anhu) farmate hain ke Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) aur Hazrat Abu Bakar wa Umar (raziallahu ta’la anhuma) ke Zamane me Juma'h ki Azaan us waqt hoti thi Jab Imam Minbar per baith jata tha phir Jab Hazrat Usman (raziallahu anhu) ka Daur-e-Khilafataaya aur LOG ZYADAH HO GAYE to Usman (raziallahu anhu) ne TEESRI AZAAN (Ya'ni Juma'h ki Pehli Azaan) ka hukm diya, Chunanchah Zoraa' per Wo Azaan kahi gayi aur YE TAREEQAH QAAYEM ho gaya. [Sahih Al-Bukhari, Jild: 1, Page: 125]
Tamam Sahaba-e-Kiraam(raziallahu ta’la anhum) Jo Hazrat Usman (raziallahu anhu) ke daur me Ba-Hayaat the, Taaba’een wa deegar A'imma-e-Mujtahideen (rahmatullahi alaihim) ne Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ke is Irshaad ki pairvi karte hue Hazrat Usman (raziallahu anhu) ki muwafaqat farmayi hai.
Chunanchah Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka irshaad hai: ".....Tum per Laazim hai ke Meri Sunnat aur Mere Khulafa-e-Raashideen (raziallahu anhum) ki Sunnat ko ikhtiyar karo...." [Sunan Ibn-e-Majah]
Is hadees se ma'loom hua ke, Khulfa-e-Rashideen (raziallahu anhum) ka Tareeqah bhi SUNNAT hai.
Phir doosri baat ye bhi Muslim hai ke, Ummat-e-Muhammadiyah Kabhi Kisi Gumraahi per Ittifaaq kar ke Jama' nahi ho sakti.
Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ka farmaan hai: “Meri Ummat Gumrahi Per Jama' Nahi ho sakti.” [Sunan Ibn-e-Majah]
Pas Ijma’-e-Sahaba aur Ijma’-e-Ummat bohat badi Mazboot DALEEL-E-SHARA’I hai. Isliye Ijma’ ki Mukhalifat HARAAM hai aur Iski Mukhalifat par Qur’an-e-Kareemme Dunya me GUMRAAHI aur AAKHIRAT me DOZAKH ki Wa’eed hai.
Allah ta’la ka irshaad hai: “Jo Koi Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ki Mukhalifat Karega aur Mu’mineen ka Raasta Chhor kar doosre Raaste par Chalega Hum Us par Wahi Gumraahi Musallat kar denge, Us ne Jis Gumrahi ko Ikhtiyar kiya, aur (Akhirat me) Usko Jahannam me daakhil Karenge Jo bura Thikanah hai.” [Surah An-Nisaa’: 115]
Lihaaza Sadiyo'n se Ummat-e-Muhammadiyah me jaari is amal ki mukhalifat Yaqeenan Gumrahi aur Khulfa-e-Rashideen (raziallahu anhum) ki Sunnat ki Mukhalifat ke Zamray me aayegi.
Ek hai Khula Raafzi (Ya'ni Shia') aur doosra hai Chhupa Raafzi (Ya'ni Firqah Ahl-e-Hadees). Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ki Ittiba' ki Aad me (Naam Nihaad) Ahl-e-Hadees, Hazrat Usman-e-Ghani (raziallahu anhu) ki Jaari kardah is SUNNAT ko BID'AT qaraar dene per tulay hue hain.
Jab ke Jam'hoor Ummat Usman (raziallahu anhu) ke Jaari kardah is amal ki pairvi karti hai.
Chunanchah Allamah Ibne Taimiyah (rahmatullahi alaih) farmate hain: "Hazrat Usman (raziallahu anhu) ne Jo Pehli Azaan ka amal ikhtiyar kiya, logo'n ne ba'd me is per Ittifaaq kar liya aur Charo Mazaaheb (Ya'ni Hanafi, Shafa'i, Hanbali aur Maliki) me isey ikhtiyar kiya gaya jaisa ke (Taraaveeh me) Ek Imam per Logo’n ko Jama' karne ke silsilay me Hazrat Umar (raziallahu anhu) ke Jaari kardah Tareeqah per Ittifaq kiya hai."
Isko BID'AT kehne waale Shia' Raafziyo'n se khitaab karte hue kehte hain: "Ye Aap kis bina' per keh rahe hain ke Usman (raziallahu anhu) ne baghair Kisi Shara'i Daleel se Ye amal anjaam diya.?
Mazeid farmaate hain: "Ye is baat ki daleel hai ke Logo'n ne iske Istehbaab per Usman (raziallahu anhu) ke sath Ittifaaq kiya hatta ke Hazrat Ali (raziallahu anhu) ke Sathiyo'n ne bhi inki muwafaqat farmayi hai jaise Ammar, Suhail bin Haneef (raziallahu anhum) aur Saabiqeen wa Awwaleen se ta'lluq rakhne waale doosre baday Sahaba (raziallahu anhum), agar Ye iska Inkaar kar dete to koi Inki Mukhalifat na karta." [Minhajus Sunnah An-Nabawiyah Jild: 3, Page: 204]
Ek aur jagah farmaya: "Ye Azaan Hazrat Usman (raziallahu anhu) ki Jaari kardah hai aur Musalmano ne is per Ittifaq kiya hai isliye Azaan Shara'i kaha jaayega." [Minhajus Sunnah Jild: 4, Page: 193]
Note: (Minhajus Sunnah An-Nabawiyah) Wo kitab hai Jo Allamah Ibne Taimiyah (rahimahullah) ne Shia' Raafziyo'n ke Ahle Sunnat Wal Jama’t per Aitrazat ke Jawabat me likhi hai.
Pas ma'loom hua ke, Firqah Ahl-e-Hadees Shia' Raafziyo'n ki Andhi Taqleed me is Azaan-e-Usmani ko Shara'i Bid'at sabit karna chaahte hain.
Jab ke haqeeqat ye hai ke Ye Azaan sirf Lughatan Bid'at hai aur Khaleefa-e-Raashid (raziallahu anhu) ki Jaari kardah Sunnat hai.
AzaaN-e-Usmani Ka Maqsad:
Hazrat Usman (raziallahu anhu) ne Ye Azaan Zoraa' naam ke maqaam per dilwayi Jo Madeenah ke ek Baazaar ka naam hai taa ke Log apna Kaarobaar wagherah chhor kar Juma'h ki Tayyari me jut jaayei'n....
Lekin us waqt Masaajid ki kami thi isliye Azaan baahar dilwaayi gayi...
Aur Jab Masaajid ki te'daad barhne lagi to Ye Azaan Jo Baahar di jaati thi, Masajid ke andar aa gayi kyonke Masaajid ke andar se hi logo'n ko aagaah karna aasaan ho gaya...
Aaj bhi Masaajid me 2 Azaanei'n isi maqsad ke liye di jaati hain ke log apni mashghooliyat ko chhor kar Juma'h ki tayyari me jut jaayei'n.... isi Maqsad ki wajah se Hum Ahnaaf ne Usman (raziallahu anhu) ki taraf se jaari kardah Is Sunnat ko Tark nahi kiya hai...

No comments:
Post a Comment