Bismillahir Rahmaanir Raheem
.
Ghair-Muqallid, Muhammad
Joonagadhi (Naam Nihaad) Ahl-e-
Hadees ne ek Hadees naqal ki hai.
.
“Hazrat Maalik bin Huwairis (raz.) ne
Rasoolullah ( ﷺ) ki Namaz is tarah
Dekhi ke Aap Jab Pehli raka’t se Ya
Teesri raka’t se Khara hona Chaahte to
Sajde se Uth kar Jab tak Achhi taraha
Theek thaak Durustugi se na Baith
Jaate Kharey Na hote the.” [Bukhari
Shareef]
.
Ye Hadees alaawah Aa’la Martabe ki
SAHEEH hone ke, Bohat Khuley Lafzon
me bayan karti hai ke Jab Pehli raka’t
ka doosra Sajdah kar ke doosri raka’t
ke liye Uthna Chaahe to Sajde se Uth
kar Achhi tarah baith kar Phir Uthey.
.
AITRAAZ:
.
Phir Hanafi Mazhab par Aitraaz karte
hue Likhte hain:
.
Lekin Hanafi Mazhab is Hadees ko
Nahi maanta Wo Kehta hai ke hargiz
Na baithe. Chunacha Hanafi Mazhab
Fiqh ki Behtareen [KITAAB HIDAAYAH
1/93, Baab Sifatus Salaah] me hai,
“Apne Panjon ke bal Seedha Khara ho
Jaaye, Baithe Nahi.”
.
Hanafi Bhaiyo! Hadees wa Fiqah Aap
ke saamne hai. Hadees me hai ke
Baithe. Hanafi Mazhab me hai ke Na
Baithe. Ab Kaho Tum Kya Karogey.?
Hanafi ban kar Na Baithogey.? Ya Ahle
Hadees ban kar Baith Jaaya Karogey.?
Mera Mashwarah to Yehi hai ke
Rasoolullah ( ﷺ) ko Na Chhoro Go
Tumhein Duniya Chhor de. Aagey
Tumhein Iqtiyar hai. [Shama'
Muhammadi pg57; Zafar Al-Mubeen
1/108, 110; Fathul Mubeen Ala Radde
Mazaheb Al Muqallideen pg55, 135;
Iqtilafe Ummat ka Ilmiyah pg62,
Sabeelur Rasool]
.
AL-JAWAAB:
.
Ahle-Sunnat Wal Jama’t, Ahnaaf aur
Jam’hoor ke Nazdeek Jalsa’-e-Istira
ahat SUNNAT Nahi hai balke inka
Mauqaf Ye hai ke Jalsa’-e-Istiraahat
UZR (excuse) ki bina’ par tha.
.
Ghair-Muqallideen (Naam Nihaad) Ahl-
e-Hadees kehte hain ke Namaz me
Muqtadi ko Pehli raka’t ke dono Sajdah
karne ke ba’d Thhori deir baithna
Chaahiye (Ya’ni Jalsa’-e-Istiraahat
karna Chahiye) aur iske ba’d Uthna
chaahiye. Aur Jalsa-e-Istirahat inke
Nazdeek SUNNAT hai.
..
La-Mazhab, Ghair Muqallid (Naam
Nihaad) Ahle Hadees, MOHAMMAD
JOONAGADHI ne HIDAAYAH ki
MUKAMMAL IBAARAT naqal karne me
BAD-DIYANATI dikhayi hai.
.
HIDAYAH ki mukammal Ibarat
Mulaahizah ho..
.
“Sajdah Saaniyah (Ya’ni doosre
Sajdah) ke ba’d Seedha Apne Qadmo
par Khara ho Jaaye, Na baithe aur Na
Zameen par Hathon se Teik Lagaaye.
Imam Ash-Shaafa’i (rah.) farmate hain
ke Thhora sa Baith kar Uthey aur
Zameen par hath ka Sahaara le kar
Uthey Kyonke Rasoolullah SAWS ne Ye
(Jalsa’-e-Istiraahat) kiya hai aur
Hamari (Ya’ni Ahnaaf ki) DALEEL
Hazrat Abu Hurairah (raz.) ki Hadees
hai. Rasoolullah SAWS, Namaz me
Apne Paaon par seedhe Kharey hote
the (Ya’ni Ye Aap ki Mubarak Aadat
thi) aur Jis Hadees me Jalsa’-e-Istira
ahat ka fa’l mazkoor hai Wo BUDHAAPE
(Old Age) par Mehmool hai Ya’ni Jab
Aap ka BADAN ka MUBARAK
BUDHAAPE ki wajah se bojhal ho gaya
tha (Abi Dawood) Us waqt Aap SAWS
ne Ye fa’l farmaya aur Ye Aaraam ka
Qa’edah hai aur Namaz Aaraam ke liye
Nahi banayi gayi.” [HIDAAYAH 1/110]
.
Qaara’een-e-Kiraam! Dekhiye, Sahab-
e-Hidaayah ne Na to Jalsa’-e-Istira
ahat wali Hadees ka Inkaar kiya ke in
par Inkaar-e-Hadees ki TOHMAT
lagaayi Jaaye aur Na FIQH-E-HANAFI
ke masla’ ko BE-DALEEL likha hai
balke Baa-Qaa’idah Hadees Paak se
isey saabit farmaya hai.
.
(Naam Nihaad) Ahle Hadees
Mohammad Joonagadhi ne HIDAAYAH
me Is Hadees ko parhne ke ba-wajood
Hadees-e-Rasool ( ﷺ ) ka INKAAR kar
diya balke SUNNAT-E-RASOOL ( ﷺ) ko
Sahab-e-Hidaayah ka Be-Daleel HUKM
qaraar diya. Aur is SUNNAT par amal
karne ko HADEES ke chhorne se
Ta’beer kiya.
.
MISAAL:
.
Is Masla’ ko misaal se Samajhte hain:
Rasoolullah ( ﷺ) ki Aadat-e-Mubarak
ah (SUNNAT) Ye thi ke Aap ( ﷺ ) baith
kar Peishaab farmaya karte the Magar
Aap ( ﷺ ) se Kharey ho kar Peishaab
farmana bhi BUKHARI SHAREEF ki
SAHEEH TAREEN HADEES se sabit hai.
Ab Ek Aalim in Dono Hadeeson me Ye
TATBEEQ bayan kar de ke, Asal
SUNNAT to Baith kar Peishaab karna hi
hai aur Jo Hadees ba-zaahir iske
mukhaalif hai UZR par Mehmool hai ke
Koi UZR (excuse, problem) ho to
Kharey ho kar Peishab karna bhi
JAYEZ hai Lekin Bila Uzr ke TAREEQ-
E-SUNNAT ko Na Chhorna chaahiye.
..
Ab Koi Ghair-Muqallid, is Aalim ko
MUNKAR-E-HADEES kehna Shuru’ kar
de to darassal Wo KHUD MUNKAR-E-
SUNNAT hai. Ahnaaf ne Kisi Kitab me
Ye da’wa Nahi Kiya ke Hamara Ye
Masla’ Mehaz QIYAASI hai balke
AHNAAF ke paas DALAA’IL maujood
hain.
.
La-Mazhab, Ghair-Muqallideen ka Ye
Koi TEHQEEQI AITRAAZ Nahi hai phir
bhi Mai Samajhta hu ke iska TEHQEEQI
Jawab diya Jaaye.
.
GHAIR-MUQALLIDEEN KE DALAA’IL KA
MUKHTASAR SA JAAYEZAH:
.
1. Ek rivayat pesh karte hain Abu
Humaid Sa’di (raz.) se manqool hai
Jisey Abi Dawood, Tirmizi, waghera ne
rivayat kiya hai. Iski Sanad wa Matan
par mukhtasar Kalaam mulaahiza ho.
.
[Abi Dawood] ki SANAD me ek Raavi
Abdul Hameed bin Ja’far hai, inke
baare me Allamah Maardeeni (rah.)
kehte hain ke Wo Apni Hadees me
Mat’oon hain aur aisa hi Yahya bin
Sa’eed (rah.) kehte hain………….in
tamam Wujoohaat ki bina’ par Ye
Rivayat Isnaad-o-Matan me Muztarib
hai. [Sunan Abi Dawood Ma'e At
Taa'leeq Al Mahmood pg106]
.
Tirmizi ki SANAD me Muhammad bin
Bashaar hain, Inke baare me bhi
Kalaam hai. [Dekhiye TEHZEEB AT-
TEHZEEB 9/70]
.
Gharz, Rivayat SAHEEH darjah tak Nahi
Pohanchti. Aur Ghair-Muqallideen ka
Da’wa hai Unki DALEEL sirf SAHEEH
HADEES hai.
.
2. Ek aur rivayat Maalik bin Huwairis
(raz.) ki BUKHARI SHAREEF waghera ke
hawale se pesh karte hain Jo
Joonagadhi ne naqal ki hai.
.
Iska Jawab Khud Ghair-Muqallid,
Albani ne diya hai, farmate hain:
“Jalsa’-e-Istiraahat ko is amr par
Mehmool karna ke Ye Haajat ki bina’
par tha, Ibadat ki gharz se Nahi.
Lihaaza Ye (Jalsa’-e-Istirahat)
Mashroo’ Nahi hai Jaisa ke Ahnaaf
waghera ka Qoul hai….” [Arwa' Al-
Ghaleel 2/83]
.
Jab Albani ne bhi isey Haajat per
mehmool kiya hai to Ghair-Muqallide
en ko Albani per bhi Inkaar-e-Hadees
ka fatwa lagaana chaahiye..
.
AHNAAF KE DALAA’IL:
.
1. Abu Hurairah (raz.) se marwi Marfoo’
Hadees me hai ke Rasool ( ﷺ ) ne Ek
A’raabi ko Namaz ki Ta’leem dete hue
irshaad farmaya: “…… phir Itminaan se
Sajdah karo phir Sajdah se Uth kar
Seedha Kharey ho Jao aur isi tarah
Saari Namaz me karo.” [Bukhari
Shareef 2/986]
.
Agar Jalsa’-e-Istirahat, SUNNAT hoti
to Rasoolullah ( ﷺ ) iski Ta’leem bhi
Zaroor farmaate iske bajaaye
Rasoolullah ( ﷺ) ne Seedha kharey
hone ki Ta’leem farmayi.
2. Abu Hurairah (raz.) farmate hain ke,
“Rasoolullah ( ﷺ ) Namaz me (Sajdon
ke ba’d) Apne Panjon ke bal kharey
hote the.” [Tirmizi 1/64, Sunan Kubra
Beihaqi 2/124, Jama' Al Fawaa'id
1/212]
.
Is Hadees ko Naqal karne ke ba’d
Imam Tirmizi (rah.) farmate hain: “Ahle
Ilm ke nazdeek Hadees Abu Hurairah
(raz.) par hi amal hai. Wo Yehi Pasand
karte hain ke Namaz parhne wala Apne
Pairon ke agley Hisson ke bal Kharey
ho Jaaye.”
3. Sahal Sa’di (raz.) ke Saahab zaadey
se marwi hai ke Wo Apne Walid ke sath
Ek Majlis me haazir the. Unke Walid
Nabi ( ﷺ ) ke As’haab me se the. Isi
Majlis me Abu Hurairah (raz.), Abu
Humaid Sa’di (raz.) aur Abu Usaid
(raz.) maujood the. Unhone Hadees
zikr ki, rivayat me hai ke Aap ( ﷺ) ne
Takbeer keh kar SAJDAH kiya Phir
Takbeer keh kar Kharey hue aur
TAWARRUK nahi kiya (Ya’ni Doosre
Sajdah ke ba’d Nahi baithe).” [Sunan
Abi Dawood 1/107, Tahawi 1/127, Is
Hadees ki ISNAAD SAHEEH hai]
..
4. Abu Malik Al-Ash’ari (raz.) ne Apni
Qoum ko Rasoolullah ( ﷺ ) ki Namaz
padh kar dikhayi, isme hai ke Aap ne
Takbeer kahi phir Sajdah kiya phir
Takbeer keh kar Seedhe Kharey ho
gaye. [Musnad Ahmad 5/343]
.
KHULFA’-E-RAASHIDEEN JALSA-E-
ISTIRAAHAT NAHI KARTE THE:
.
4. Jaleel-o-Qadar Taaba’ee Imam
Shu’ba (rah.) se rivayat hai ke Umar
(raz.) wa Ali (raz.) aur Rasoolullah ( ﷺ)
ke Sahaba-e-Kiraam (raz.) Namaz me
Apne Qadmo ke Panjo ke bal Kharey
hua karte the.” [Musannaf Ibne Abi
Shaibah 1/394]
.
ABDULLAH BIN MAS’OOD (Raz.) KA
AMAL:
.
5. Ubdah bin Abi Lubaabah (rah.)
farmate hain ke, “Maine Abdullah bin
Mas’ood (raz.) ko Namaz me ba-ghaur
dekha: Maine Dekha ke Aap (pehli aur
teesri raka’t ke ba’d seedhe) Kharey ho
jaate hain baithte Nahi. Abdur Rahman
bin Yazeed (rah.) kehte hain ke Aap
apne Qadmon ke Panjo ke bal kharey
hote the Pehli aur Teesri raka’t ke
ba’d.” [Mu'ajjam Tabrani Kabeer 9/266,
Sunan Kubra Beihaqi 2/125, Musannaf
Abdur Razzaq 2/178]
.
ABDULLAH BIN ZUBAIR (raz.) KA
AMAL:
.
6. Wahab bin Kaisaan (rah.) kehte hain
ke, “Maine Abdullah bin Zubair (raz.)
ko dekha ke Wo Jab doosra Sajdah kar
lete to Apne Paon ke Panjo ke bal
Jaise hote Waise hi kharey ho
jaate.” [Musannaf Ibne Abi Shaibah
1/394]
.
ABDULLAH BIN UMAR (raz.) KA AMAL:
.
7. Naafe’ (rah.) Ibne Umar (raz.) se
rivayat karte hain ke Wo Namaz me
Paon ke Panjo ke bal kharey hote the.
[Musannaf Ibne Abi Shaibah 1/394]
.
ABDULLAH BIN ABBAS AUR ABU
SA’EED KHUDRI (raz.) KA AMAL:
.
Imam A’imash (rah.) kehte hain ke,
“Maine Umarah bin Umair (rah.) ko
Abwabe Kunindah ki jaanib Namaz
parhte dekha. So Maine dekha ke Aap
ne Ruku’ kiya phir Sajdah kiya, Jab
Aap doosre Sajdah se Uthey to Jaise
the Waise hi Kharey hue, Jab Aap
Namaz se faarigh hue to Maine iska
Tazkirah kiya. Aap ne farmaya: Mujh se
Abdur Rahman bin Yazeed ne Hadees
Ibrahim Naqa’i (rah.) se bayan ki
Unhone farmaya Mujhse Abdur Rahman
bin Zaid ne Hadees bayan ki hai ke
Unhone Abdullah bin Mas’ood (raz.)
ko dekha hai ke Wo Namaz me Apne
Qadmo ke Panjo ke bal Kharey hote
hain. Imam A’imash kehte hain, Phir
Maine Ye Hadees Khusaimah bin
Abdur Rahman se bayan ki to Unhone
farmaya ke Maine Abdullah bin Umar
raz. ko dekha ke Wo Apne Qadmo ke
Panjo ke bal kharey hote the. Imam
A’imash kehte hain Maine Ye Hadees
Muhammad Abdullah Saqfi se bayan ki
to Unhone farmaya ke Maine Abdur
Rahman bin Abi Laila (rah.) ko dekha
hai ke Wo bhi Apne Qadmo ke bal hi
Kharey hote the. Imam A’imash (rah.)
kehte hain ke Maine Ye Hadees Atya
Aufi (rah.) se bayan ki to Unhone
farmaya ke Maine Abdullah bin Umar
(raz.), Abdullah bin Abbas (raz.),
Abdullah bin Zubair (raz.) aur Abu
Sa’eed Khudri (raz.) ko dekha hai ke
Wo Namaz me Apne Paon ke Panjo ke
bal kharey hote the.” [Sunan Kubra
Beihaqi 1/125]
..
AAM SAHABA (raz.) KA AMAL:
.
Nu’man bin Abi Ayaash (rah.) farmate
hain ke Maine Nabi ( ﷺ ) ke be-
shumaar Sahaba Kiraam (raz.) ko
paaya hai ke Wo Jab Pehli aur Teesri
Raka’t ke sajde se apna Sar Uthaate
the to Waise hi Seedhe Kharey ho jate
the, baithte Nahi the.” [Musannaf Ibne
Abi Shaibah 1/395]
.
IBRAHEEM NAQA’I (rah.) KA AMAL:
.
Ibraheem (rah.) se marwi hai ke “Wo
Pehli raka’t ka doosra Sajdah kar ke
Qiyaam me Jaldi karte the.” [Musannaf
Ibne Abi Shaibah 1/395]
.
ZUHRI (rah.) KA AMAL:
.
Imam Zuhri (rah.) farmate hain ke
Hamare Mashaa’iq maa’el nahi hote
the Ya’ni Jab koi inme se Pehli aur
Teesri raka’t ke doosre Sajdah se Sar
uthaata to Waise hi Seedha Khara ho
jata tha, baithta Na tha.” [Musannaf
Ibne Abi Shaibah 1/394]
.
IMAM ABU HANEEFAH (rah.), IMAM
MALIK (rah.), IMAM AHMED BIN
HANBAL (rah.) JALSA’-E-ISTIRAAHAT
KE QAAYEL NAHI HAIN:
.
“TAMHEED me hai ke Sajdah se Qiyaam
ke liye Uthne me Fuqaha’ ka Iqtilaf hai.
Imam Malik, Imam Awza’i, Sufyan
Sauri, Abu Haneefah (rah.) aur inke
As’haab (rah.) ka kehna hai ke Namazi
apne Qadmo ke bal Khara ho aur
Jalsa’-e-Istiraha na kare aur Yehi
marwi hai Ibne Mas’ood (raz.), Ibne
Umar (raz.), Ibne Abbas (raz.) se.
Nu’man bin Abi Ayaash (rah.) kehte
hain ke Maine Nabi SAWS ke Be-
shumaar Sahaba Kiraam ko aisa hi
Karte hue paaya hai. Abu Zinaad (rah.)
kehte hain ke Jalsa Istirahat na Karna
hi SUNNAT hai. Imam Ahmad bin
Hanbal aur Is’haaq bin Raahwiyah
(rah.) bhi isi ke Qaayel hain. Imam
Ahmad farmate hain ke Aksar Ahaadees
isi par hain (ke Jalsa Istirahat na kiya
jaaye). [Al Jawaahar An Naqi 2/125]
.
IJMA’-E-UMMAT:
.
Aslaaf-e-Ummat ka Ijma’ wa Ittifaaq is
baat par hai ke Pehli aur Teesri raka’t
ke ba’d baithe baghair Seedha Khara
ho jana chahiye.
.
“Imam Ash-Shafa’i (rah.) ke siva
tamam ASLAAF ka Ijma’ hai ke Pehli
aur Teesri raka’t me doosre Sajdah ke
ba’d Seedha Khara ho Jaye.” [Jawahar
An Naqi 2/126]
.
Khulfa-e-Raashideen aur Aam Sahaba
(raz.), Taaba’een wa Tabe’ Taaba’een,
Imam Al Aazam Fil Fuqaha’ Abi
Haneefah, Imam Malik, Imam Ahmad
(rahmatullahi alaihim) Jalsa-e-Istiraa
hat ke Qayeleen me se Nahi the.
.
Jis tarah Joonagadhi Sahab baar baar
kehte hain ke Ahnaaf is Hadees ko
Nahi maante, Hum bhi Ye Keh sakte
hain Ke………..
.
In Tamam Ahaadees wa Aasaar ke
Khilaf Uzr waghera ki Tafreeq ke
baghair Ghair Muqallideen ka Kehna
hai ke Jalsa-e-Istirahat MUSTAHAB
balke SUNNAT hai.
.
Chunacha Nawab Noorul Hasan ne
[Urful Jaadi pg30] par, Isma’eel Salafi
ne [Rasool Akram SAWS ki Namaz
pg83] par isey SUNNAT kaha hai
waghera. Aur Nawab Waheeduz Zaman
ne MUSTAHAB kaha. [Nuzoolul Abraar
1/81]
.
Qaaraeen e Kiraam! Mulaahizah
farmaa’iye, Jo amal Na to Khud Rasool
( ﷺ ) ka ma’mool hai Na Aap ( ﷺ ) ne
iska Hukm diya hai aur Na hi Wo
Khulfa-e-Raashideen, Sahaba,
Taaba’een wa Tabe’ Taaba’een Azzaam
ka ma’mool hai aur Na hi Wo Khairul
Quroon me Rivaaj Pazeir hai. Aisa amal
Ghair Muqallideen ke Nazdeek SUNNAT
hai. Iska Matlab to Ye hua ke Khulfa-
e-Rashideen, Sahaba-e-Kiraam,
Taaba’een wa Tabe’ Taaba’een,
A’imma-e-Mujtahideen ko Is SUNNAT
ka Ilm na ho saka aur Wo is SUNNAT
se MEHROOM rahe. (Al Ayaazu billah).
Ye Hadees ki muwafiqat hai ya
mukhalifat.?
..
GHAIR-MUQALLID, KHALID GIRJAAKHI
KA JHOOT:
.
Likhta hai ke “Ba’z Log Jalsa-e-Istirah
at ke Qayel nahi hain Haalaanke Ye
SUNNAT SAABITA hai. Fiqh Hanafi me
iska SUNNAT hona maujood hai.
[Hidayah 1/383, Salaatun Nabi SAWS
pg174]
.
Ulema’-e-Deoband ki taraf se 1 lakh ka
In’aam hai agar Koi Ghair Muqallid
Jalsa’-e-Istirahat ka SUNNAT hona
HIDAYAH ki Arabi Matan se tehreer kar
ke sabit kar dega to.
.
Rahi Asal HAQEEQAT Us Hadees ki Jo
Joonagadhi ne Aitraaz me Naql ki hai
mukhtasar hai, Imam Bukhari (rah.) ne
is Hadees se Qabl Ye rivayat Mufassal
bhi Naql ki hai Wo Hum Yahan par
Naql karte hain.
.
Ayub Saqtiyani (rah.), Abu Qilaabah
(rah.) se rivayat karte hain ke Maalik
bin Huwairis (raz.) ne apne Sathiyon
se Kaha, Kya Mai Tumhein Rasoolullah
( ﷺ ) ki Namaz Na batlaon.? Abu
Qilaabah (rah.) kehte hain ke Ye Koi
FARZ Namaz Ka Waqt Na tha,
chunacha Aap Kharey hue phir ruku’
kiya aur Takbeer kahi phir Ruku’ se Sar
uthaaya aur Thhori deir Tehre rahe phir
Sajdah kiya phir Sajdah se Sar utha kar
Thhori deir tehre rahe phir Aap ne
Sajdah kiya phir Sajdah se Sar utha kar
Thhori deir Tehre rahe. Gharz, Unhone
hamaare Sheikh Umroo bin Salmah
(rah.) ki tarah Namaz parhi. Abu
Saqtyani (rah.) farmate hain ke Umroo
bin Salmah (rah.) Namaz me Ek Aisa
Kaam kiya karte the Jo maine aur
Logon ko Karte hue Nahi dekha, Wo Ye
ke Wo Teesri raka’t ke ba’d ya Chauthi
raka’t ke shuru’ me baithte the (Ya’ni
Jalsa’-e-Istirahat karte the). [Bukhari
Shareef 1/113, H#779]
.
Is Hadees se sabit hua ke Khairul
Quroon me Jalsa-e-Istirahat ka rivaaj
Nahi tha. Kyonke Ayub Saqtyani
Muttawafi 131 Hijri Jo Jaleel-o-Qadar
Taaba’een me se hain Jinhone Sahaba
Kiraam aur Taaba’een Azzaam ko
dekha hai Unhone Hazrat Malik bin
Huwairis (raz.) ki Ye Hadees bayan ki
to farmaya ke Malik bin Huwairis (raz.)
ne hamaare Sheikh Umroo bin Salmah
(rah.) jaisi Namaz parhi, Umroo bin
Salmah (rah.) Namaz me ek Aisa Kaam
karte the Jo Maine Logon (Sahaba wa
Taaba’een) ko Karte hue Nahi dekha
Wo Ye ke Umroo bin Salmah (rah.)
Teesri raka’t ke ba’d Ya Chauthi raka’t
ke shuru’ me baithte the (Jalsa
Istirahat karte the). Is se ma’loom hota
hai ke Us daur me Jalsa’ Istirahat ka
bilkul Rivaaj Nahi tha Warna iske baare
me Ayub Saqtyani (rah.) ye Na farmate
ke Maine Ye Logon ko (Sahaba wa
Taaba’een ko) Karte hue Na dekha.
.
Aaj bhi Haramain Shareefain ke Imam
Jalsa-e-Istirahat nahi karte. Haan!
Agar Koi Shaqs Kisi Uzr ki wajah se
Pehli aur Teesri raka’t ke doosre Sajde
se faarigh ho kar baith jaaye aur phir
Uthey to Koi Harj Nahi Kyonke Kisi Uzr
ki wajah se Aa’maal me Shari’at ki taraf
se Ruqsat hai.
.
Maulana Muhammad Joonagadhi to
Wafaat paa gaye. Unhone is masla’ par
Koi Tehqeeqi Aitraaz bhi Naqal Nahi
kiya hai balke mazed Ibarat naqal
karne me Bad-diyanati dikhaayi hai.
.
Hum Aaj ke Ghair Muqallideen, se
poochte hain ke Malik bin Huwairis
(raz.) ki Hadees me Jalsa’-e-Istirahat
Karne ka Zikr hai aur Doosri Ahaadees
me Na karne ka. Ab Is Zaahiri Ta’ruz
ko Kaise Rafa’ kiya Jaaye.? Aap ke
Nazdeek Daleel Shara’i sirf Qur’an aur
Sahih Hadees hain to Aap ke mutabiq
Is Ta’ruz ka hal kya hona chahiye sirf
Qur’an wa Hadees se Jawab dein, Kisi
Ummati ka Qoul pesh kar ke MUSHRIK
na banein.? Agar Aap ki bayan ki gayi
Ek Hadees Naasiq hai aur baaqi Sab
Mansooq hain to Daleel Pesh karein
Qur’an ya Hadees se.?
.
Hamare Imam, Abi Haneefah (rah.) ne
Is masla’ me IJTIHAAD kiya aur Hum
ko Behtareen Raasta dikhaaya Jis se
hamaara Dono Qism ke Ahadees par
amal hota hai ke Jo Qudrat, Taaqat
rakhne wale hain Jalsa-e-Istirahat
Nahi Karte aur Boodhe Ma’zoor Jaise
Umroo bin Salmah Jalsa’-e-Istirahat
karte hain.
.
Jinka Amal Dono Qism ke Ahaadees
par hai Unko Hadees ka Mukhalif
kehna aur Jo Ahaadees me Khiyanat
karey Usko Ahle Hadees Kaha Jaaye.
Ye Kahaan ka Insaaf hai.?
.
Ae Ghair-Muqallido! Kab tak Khud
Dhoke me rahogey aur Kab tak
Doosron ko Gumraah karte rahogey.?
.
GHAIR-MUQALLIDEEN SE KUCH
SAWALAAT WA MUTAALBAAT:
.
Aap ka da’wa hai ke Jalsa-e-Istirahat
SUNNAT hai to Kya kisi SAHEEH
SAREEH Hadees me hai ke Ye
SUNNAT-E-MU’AKKIDAH hai?
..
Kya Jalsa-e-Istirahat me koi ZIKR bhi
masnoon hai? Ye AQEEM AS-
SALAATHA LI-ZIKRI ke khilaf hai ya
nahi?
.
Kya Jalsa-e-Istirahat ke ba’d Takbeer
keh kar Uthna bhi Kisi hadees se sabit
hai? Agar sabit Nahi hai to Ye SUNNAt
ya MUSTAHAB na hoga kyonke har
Uthne baithne ke waqt TAKBEER ka
hukm hai.?
.
Abu Malik Ash’ari (raz.) ne Apni Qaum
ko na to pehli Takbeer ke ba’d
Rafaulyadain sikhaayi na hi Jalsa-e-
Istirahat to Kya Is Sahabi (raz.) ne
SUNNAT ke khilaf Namaz sikhayi? Kya
ye Taarik-e-Sunnat the.? (Al-
Ayaazubillah)
.
Jin Sahaba (raz.) ne Jalsa-e-Istirahat
nahi kiya hai, Unki Namaz hui ke
Nahi.? Agar koi Shaqs bhooley se Ye
na karey to SAJDAH SAHOO wajib hoga
ke nahi.?
.
Ghair-Muqallid Albani ne bhi Ahnaaf ki
tarah Taaweel ki hai aur hadees ko
Haajat per mehmool kiya hai? Un per
Munkareen-e-hadees ka fatwa
lagaaoge ke nahi.?
.
Ghair-Muqallid, Muhammad
Joonagadhi (Naam Nihaad) Ahl-e-
Hadees ne ek Hadees naqal ki hai.
.
“Hazrat Maalik bin Huwairis (raz.) ne
Rasoolullah ( ﷺ) ki Namaz is tarah
Dekhi ke Aap Jab Pehli raka’t se Ya
Teesri raka’t se Khara hona Chaahte to
Sajde se Uth kar Jab tak Achhi taraha
Theek thaak Durustugi se na Baith
Jaate Kharey Na hote the.” [Bukhari
Shareef]
.
Ye Hadees alaawah Aa’la Martabe ki
SAHEEH hone ke, Bohat Khuley Lafzon
me bayan karti hai ke Jab Pehli raka’t
ka doosra Sajdah kar ke doosri raka’t
ke liye Uthna Chaahe to Sajde se Uth
kar Achhi tarah baith kar Phir Uthey.
.
AITRAAZ:
.
Phir Hanafi Mazhab par Aitraaz karte
hue Likhte hain:
.
Lekin Hanafi Mazhab is Hadees ko
Nahi maanta Wo Kehta hai ke hargiz
Na baithe. Chunacha Hanafi Mazhab
Fiqh ki Behtareen [KITAAB HIDAAYAH
1/93, Baab Sifatus Salaah] me hai,
“Apne Panjon ke bal Seedha Khara ho
Jaaye, Baithe Nahi.”
.
Hanafi Bhaiyo! Hadees wa Fiqah Aap
ke saamne hai. Hadees me hai ke
Baithe. Hanafi Mazhab me hai ke Na
Baithe. Ab Kaho Tum Kya Karogey.?
Hanafi ban kar Na Baithogey.? Ya Ahle
Hadees ban kar Baith Jaaya Karogey.?
Mera Mashwarah to Yehi hai ke
Rasoolullah ( ﷺ) ko Na Chhoro Go
Tumhein Duniya Chhor de. Aagey
Tumhein Iqtiyar hai. [Shama'
Muhammadi pg57; Zafar Al-Mubeen
1/108, 110; Fathul Mubeen Ala Radde
Mazaheb Al Muqallideen pg55, 135;
Iqtilafe Ummat ka Ilmiyah pg62,
Sabeelur Rasool]
.
AL-JAWAAB:
.
Ahle-Sunnat Wal Jama’t, Ahnaaf aur
Jam’hoor ke Nazdeek Jalsa’-e-Istira
ahat SUNNAT Nahi hai balke inka
Mauqaf Ye hai ke Jalsa’-e-Istiraahat
UZR (excuse) ki bina’ par tha.
.
Ghair-Muqallideen (Naam Nihaad) Ahl-
e-Hadees kehte hain ke Namaz me
Muqtadi ko Pehli raka’t ke dono Sajdah
karne ke ba’d Thhori deir baithna
Chaahiye (Ya’ni Jalsa’-e-Istiraahat
karna Chahiye) aur iske ba’d Uthna
chaahiye. Aur Jalsa-e-Istirahat inke
Nazdeek SUNNAT hai.
..
La-Mazhab, Ghair Muqallid (Naam
Nihaad) Ahle Hadees, MOHAMMAD
JOONAGADHI ne HIDAAYAH ki
MUKAMMAL IBAARAT naqal karne me
BAD-DIYANATI dikhayi hai.
.
HIDAYAH ki mukammal Ibarat
Mulaahizah ho..
.
“Sajdah Saaniyah (Ya’ni doosre
Sajdah) ke ba’d Seedha Apne Qadmo
par Khara ho Jaaye, Na baithe aur Na
Zameen par Hathon se Teik Lagaaye.
Imam Ash-Shaafa’i (rah.) farmate hain
ke Thhora sa Baith kar Uthey aur
Zameen par hath ka Sahaara le kar
Uthey Kyonke Rasoolullah SAWS ne Ye
(Jalsa’-e-Istiraahat) kiya hai aur
Hamari (Ya’ni Ahnaaf ki) DALEEL
Hazrat Abu Hurairah (raz.) ki Hadees
hai. Rasoolullah SAWS, Namaz me
Apne Paaon par seedhe Kharey hote
the (Ya’ni Ye Aap ki Mubarak Aadat
thi) aur Jis Hadees me Jalsa’-e-Istira
ahat ka fa’l mazkoor hai Wo BUDHAAPE
(Old Age) par Mehmool hai Ya’ni Jab
Aap ka BADAN ka MUBARAK
BUDHAAPE ki wajah se bojhal ho gaya
tha (Abi Dawood) Us waqt Aap SAWS
ne Ye fa’l farmaya aur Ye Aaraam ka
Qa’edah hai aur Namaz Aaraam ke liye
Nahi banayi gayi.” [HIDAAYAH 1/110]
.
Qaara’een-e-Kiraam! Dekhiye, Sahab-
e-Hidaayah ne Na to Jalsa’-e-Istira
ahat wali Hadees ka Inkaar kiya ke in
par Inkaar-e-Hadees ki TOHMAT
lagaayi Jaaye aur Na FIQH-E-HANAFI
ke masla’ ko BE-DALEEL likha hai
balke Baa-Qaa’idah Hadees Paak se
isey saabit farmaya hai.
.
(Naam Nihaad) Ahle Hadees
Mohammad Joonagadhi ne HIDAAYAH
me Is Hadees ko parhne ke ba-wajood
Hadees-e-Rasool ( ﷺ ) ka INKAAR kar
diya balke SUNNAT-E-RASOOL ( ﷺ) ko
Sahab-e-Hidaayah ka Be-Daleel HUKM
qaraar diya. Aur is SUNNAT par amal
karne ko HADEES ke chhorne se
Ta’beer kiya.
.
MISAAL:
.
Is Masla’ ko misaal se Samajhte hain:
Rasoolullah ( ﷺ) ki Aadat-e-Mubarak
ah (SUNNAT) Ye thi ke Aap ( ﷺ ) baith
kar Peishaab farmaya karte the Magar
Aap ( ﷺ ) se Kharey ho kar Peishaab
farmana bhi BUKHARI SHAREEF ki
SAHEEH TAREEN HADEES se sabit hai.
Ab Ek Aalim in Dono Hadeeson me Ye
TATBEEQ bayan kar de ke, Asal
SUNNAT to Baith kar Peishaab karna hi
hai aur Jo Hadees ba-zaahir iske
mukhaalif hai UZR par Mehmool hai ke
Koi UZR (excuse, problem) ho to
Kharey ho kar Peishab karna bhi
JAYEZ hai Lekin Bila Uzr ke TAREEQ-
E-SUNNAT ko Na Chhorna chaahiye.
..
Ab Koi Ghair-Muqallid, is Aalim ko
MUNKAR-E-HADEES kehna Shuru’ kar
de to darassal Wo KHUD MUNKAR-E-
SUNNAT hai. Ahnaaf ne Kisi Kitab me
Ye da’wa Nahi Kiya ke Hamara Ye
Masla’ Mehaz QIYAASI hai balke
AHNAAF ke paas DALAA’IL maujood
hain.
.
La-Mazhab, Ghair-Muqallideen ka Ye
Koi TEHQEEQI AITRAAZ Nahi hai phir
bhi Mai Samajhta hu ke iska TEHQEEQI
Jawab diya Jaaye.
.
GHAIR-MUQALLIDEEN KE DALAA’IL KA
MUKHTASAR SA JAAYEZAH:
.
1. Ek rivayat pesh karte hain Abu
Humaid Sa’di (raz.) se manqool hai
Jisey Abi Dawood, Tirmizi, waghera ne
rivayat kiya hai. Iski Sanad wa Matan
par mukhtasar Kalaam mulaahiza ho.
.
[Abi Dawood] ki SANAD me ek Raavi
Abdul Hameed bin Ja’far hai, inke
baare me Allamah Maardeeni (rah.)
kehte hain ke Wo Apni Hadees me
Mat’oon hain aur aisa hi Yahya bin
Sa’eed (rah.) kehte hain………….in
tamam Wujoohaat ki bina’ par Ye
Rivayat Isnaad-o-Matan me Muztarib
hai. [Sunan Abi Dawood Ma'e At
Taa'leeq Al Mahmood pg106]
.
Tirmizi ki SANAD me Muhammad bin
Bashaar hain, Inke baare me bhi
Kalaam hai. [Dekhiye TEHZEEB AT-
TEHZEEB 9/70]
.
Gharz, Rivayat SAHEEH darjah tak Nahi
Pohanchti. Aur Ghair-Muqallideen ka
Da’wa hai Unki DALEEL sirf SAHEEH
HADEES hai.
.
2. Ek aur rivayat Maalik bin Huwairis
(raz.) ki BUKHARI SHAREEF waghera ke
hawale se pesh karte hain Jo
Joonagadhi ne naqal ki hai.
.
Iska Jawab Khud Ghair-Muqallid,
Albani ne diya hai, farmate hain:
“Jalsa’-e-Istiraahat ko is amr par
Mehmool karna ke Ye Haajat ki bina’
par tha, Ibadat ki gharz se Nahi.
Lihaaza Ye (Jalsa’-e-Istirahat)
Mashroo’ Nahi hai Jaisa ke Ahnaaf
waghera ka Qoul hai….” [Arwa' Al-
Ghaleel 2/83]
.
Jab Albani ne bhi isey Haajat per
mehmool kiya hai to Ghair-Muqallide
en ko Albani per bhi Inkaar-e-Hadees
ka fatwa lagaana chaahiye..
.
AHNAAF KE DALAA’IL:
.
1. Abu Hurairah (raz.) se marwi Marfoo’
Hadees me hai ke Rasool ( ﷺ ) ne Ek
A’raabi ko Namaz ki Ta’leem dete hue
irshaad farmaya: “…… phir Itminaan se
Sajdah karo phir Sajdah se Uth kar
Seedha Kharey ho Jao aur isi tarah
Saari Namaz me karo.” [Bukhari
Shareef 2/986]
.
Agar Jalsa’-e-Istirahat, SUNNAT hoti
to Rasoolullah ( ﷺ ) iski Ta’leem bhi
Zaroor farmaate iske bajaaye
Rasoolullah ( ﷺ) ne Seedha kharey
hone ki Ta’leem farmayi.
2. Abu Hurairah (raz.) farmate hain ke,
“Rasoolullah ( ﷺ ) Namaz me (Sajdon
ke ba’d) Apne Panjon ke bal kharey
hote the.” [Tirmizi 1/64, Sunan Kubra
Beihaqi 2/124, Jama' Al Fawaa'id
1/212]
.
Is Hadees ko Naqal karne ke ba’d
Imam Tirmizi (rah.) farmate hain: “Ahle
Ilm ke nazdeek Hadees Abu Hurairah
(raz.) par hi amal hai. Wo Yehi Pasand
karte hain ke Namaz parhne wala Apne
Pairon ke agley Hisson ke bal Kharey
ho Jaaye.”
3. Sahal Sa’di (raz.) ke Saahab zaadey
se marwi hai ke Wo Apne Walid ke sath
Ek Majlis me haazir the. Unke Walid
Nabi ( ﷺ ) ke As’haab me se the. Isi
Majlis me Abu Hurairah (raz.), Abu
Humaid Sa’di (raz.) aur Abu Usaid
(raz.) maujood the. Unhone Hadees
zikr ki, rivayat me hai ke Aap ( ﷺ) ne
Takbeer keh kar SAJDAH kiya Phir
Takbeer keh kar Kharey hue aur
TAWARRUK nahi kiya (Ya’ni Doosre
Sajdah ke ba’d Nahi baithe).” [Sunan
Abi Dawood 1/107, Tahawi 1/127, Is
Hadees ki ISNAAD SAHEEH hai]
..
4. Abu Malik Al-Ash’ari (raz.) ne Apni
Qoum ko Rasoolullah ( ﷺ ) ki Namaz
padh kar dikhayi, isme hai ke Aap ne
Takbeer kahi phir Sajdah kiya phir
Takbeer keh kar Seedhe Kharey ho
gaye. [Musnad Ahmad 5/343]
.
KHULFA’-E-RAASHIDEEN JALSA-E-
ISTIRAAHAT NAHI KARTE THE:
.
4. Jaleel-o-Qadar Taaba’ee Imam
Shu’ba (rah.) se rivayat hai ke Umar
(raz.) wa Ali (raz.) aur Rasoolullah ( ﷺ)
ke Sahaba-e-Kiraam (raz.) Namaz me
Apne Qadmo ke Panjo ke bal Kharey
hua karte the.” [Musannaf Ibne Abi
Shaibah 1/394]
.
ABDULLAH BIN MAS’OOD (Raz.) KA
AMAL:
.
5. Ubdah bin Abi Lubaabah (rah.)
farmate hain ke, “Maine Abdullah bin
Mas’ood (raz.) ko Namaz me ba-ghaur
dekha: Maine Dekha ke Aap (pehli aur
teesri raka’t ke ba’d seedhe) Kharey ho
jaate hain baithte Nahi. Abdur Rahman
bin Yazeed (rah.) kehte hain ke Aap
apne Qadmon ke Panjo ke bal kharey
hote the Pehli aur Teesri raka’t ke
ba’d.” [Mu'ajjam Tabrani Kabeer 9/266,
Sunan Kubra Beihaqi 2/125, Musannaf
Abdur Razzaq 2/178]
.
ABDULLAH BIN ZUBAIR (raz.) KA
AMAL:
.
6. Wahab bin Kaisaan (rah.) kehte hain
ke, “Maine Abdullah bin Zubair (raz.)
ko dekha ke Wo Jab doosra Sajdah kar
lete to Apne Paon ke Panjo ke bal
Jaise hote Waise hi kharey ho
jaate.” [Musannaf Ibne Abi Shaibah
1/394]
.
ABDULLAH BIN UMAR (raz.) KA AMAL:
.
7. Naafe’ (rah.) Ibne Umar (raz.) se
rivayat karte hain ke Wo Namaz me
Paon ke Panjo ke bal kharey hote the.
[Musannaf Ibne Abi Shaibah 1/394]
.
ABDULLAH BIN ABBAS AUR ABU
SA’EED KHUDRI (raz.) KA AMAL:
.
Imam A’imash (rah.) kehte hain ke,
“Maine Umarah bin Umair (rah.) ko
Abwabe Kunindah ki jaanib Namaz
parhte dekha. So Maine dekha ke Aap
ne Ruku’ kiya phir Sajdah kiya, Jab
Aap doosre Sajdah se Uthey to Jaise
the Waise hi Kharey hue, Jab Aap
Namaz se faarigh hue to Maine iska
Tazkirah kiya. Aap ne farmaya: Mujh se
Abdur Rahman bin Yazeed ne Hadees
Ibrahim Naqa’i (rah.) se bayan ki
Unhone farmaya Mujhse Abdur Rahman
bin Zaid ne Hadees bayan ki hai ke
Unhone Abdullah bin Mas’ood (raz.)
ko dekha hai ke Wo Namaz me Apne
Qadmo ke Panjo ke bal Kharey hote
hain. Imam A’imash kehte hain, Phir
Maine Ye Hadees Khusaimah bin
Abdur Rahman se bayan ki to Unhone
farmaya ke Maine Abdullah bin Umar
raz. ko dekha ke Wo Apne Qadmo ke
Panjo ke bal kharey hote the. Imam
A’imash kehte hain Maine Ye Hadees
Muhammad Abdullah Saqfi se bayan ki
to Unhone farmaya ke Maine Abdur
Rahman bin Abi Laila (rah.) ko dekha
hai ke Wo bhi Apne Qadmo ke bal hi
Kharey hote the. Imam A’imash (rah.)
kehte hain ke Maine Ye Hadees Atya
Aufi (rah.) se bayan ki to Unhone
farmaya ke Maine Abdullah bin Umar
(raz.), Abdullah bin Abbas (raz.),
Abdullah bin Zubair (raz.) aur Abu
Sa’eed Khudri (raz.) ko dekha hai ke
Wo Namaz me Apne Paon ke Panjo ke
bal kharey hote the.” [Sunan Kubra
Beihaqi 1/125]
..
AAM SAHABA (raz.) KA AMAL:
.
Nu’man bin Abi Ayaash (rah.) farmate
hain ke Maine Nabi ( ﷺ ) ke be-
shumaar Sahaba Kiraam (raz.) ko
paaya hai ke Wo Jab Pehli aur Teesri
Raka’t ke sajde se apna Sar Uthaate
the to Waise hi Seedhe Kharey ho jate
the, baithte Nahi the.” [Musannaf Ibne
Abi Shaibah 1/395]
.
IBRAHEEM NAQA’I (rah.) KA AMAL:
.
Ibraheem (rah.) se marwi hai ke “Wo
Pehli raka’t ka doosra Sajdah kar ke
Qiyaam me Jaldi karte the.” [Musannaf
Ibne Abi Shaibah 1/395]
.
ZUHRI (rah.) KA AMAL:
.
Imam Zuhri (rah.) farmate hain ke
Hamare Mashaa’iq maa’el nahi hote
the Ya’ni Jab koi inme se Pehli aur
Teesri raka’t ke doosre Sajdah se Sar
uthaata to Waise hi Seedha Khara ho
jata tha, baithta Na tha.” [Musannaf
Ibne Abi Shaibah 1/394]
.
IMAM ABU HANEEFAH (rah.), IMAM
MALIK (rah.), IMAM AHMED BIN
HANBAL (rah.) JALSA’-E-ISTIRAAHAT
KE QAAYEL NAHI HAIN:
.
“TAMHEED me hai ke Sajdah se Qiyaam
ke liye Uthne me Fuqaha’ ka Iqtilaf hai.
Imam Malik, Imam Awza’i, Sufyan
Sauri, Abu Haneefah (rah.) aur inke
As’haab (rah.) ka kehna hai ke Namazi
apne Qadmo ke bal Khara ho aur
Jalsa’-e-Istiraha na kare aur Yehi
marwi hai Ibne Mas’ood (raz.), Ibne
Umar (raz.), Ibne Abbas (raz.) se.
Nu’man bin Abi Ayaash (rah.) kehte
hain ke Maine Nabi SAWS ke Be-
shumaar Sahaba Kiraam ko aisa hi
Karte hue paaya hai. Abu Zinaad (rah.)
kehte hain ke Jalsa Istirahat na Karna
hi SUNNAT hai. Imam Ahmad bin
Hanbal aur Is’haaq bin Raahwiyah
(rah.) bhi isi ke Qaayel hain. Imam
Ahmad farmate hain ke Aksar Ahaadees
isi par hain (ke Jalsa Istirahat na kiya
jaaye). [Al Jawaahar An Naqi 2/125]
.
IJMA’-E-UMMAT:
.
Aslaaf-e-Ummat ka Ijma’ wa Ittifaaq is
baat par hai ke Pehli aur Teesri raka’t
ke ba’d baithe baghair Seedha Khara
ho jana chahiye.
.
“Imam Ash-Shafa’i (rah.) ke siva
tamam ASLAAF ka Ijma’ hai ke Pehli
aur Teesri raka’t me doosre Sajdah ke
ba’d Seedha Khara ho Jaye.” [Jawahar
An Naqi 2/126]
.
Khulfa-e-Raashideen aur Aam Sahaba
(raz.), Taaba’een wa Tabe’ Taaba’een,
Imam Al Aazam Fil Fuqaha’ Abi
Haneefah, Imam Malik, Imam Ahmad
(rahmatullahi alaihim) Jalsa-e-Istiraa
hat ke Qayeleen me se Nahi the.
.
Jis tarah Joonagadhi Sahab baar baar
kehte hain ke Ahnaaf is Hadees ko
Nahi maante, Hum bhi Ye Keh sakte
hain Ke………..
.
In Tamam Ahaadees wa Aasaar ke
Khilaf Uzr waghera ki Tafreeq ke
baghair Ghair Muqallideen ka Kehna
hai ke Jalsa-e-Istirahat MUSTAHAB
balke SUNNAT hai.
.
Chunacha Nawab Noorul Hasan ne
[Urful Jaadi pg30] par, Isma’eel Salafi
ne [Rasool Akram SAWS ki Namaz
pg83] par isey SUNNAT kaha hai
waghera. Aur Nawab Waheeduz Zaman
ne MUSTAHAB kaha. [Nuzoolul Abraar
1/81]
.
Qaaraeen e Kiraam! Mulaahizah
farmaa’iye, Jo amal Na to Khud Rasool
( ﷺ ) ka ma’mool hai Na Aap ( ﷺ ) ne
iska Hukm diya hai aur Na hi Wo
Khulfa-e-Raashideen, Sahaba,
Taaba’een wa Tabe’ Taaba’een Azzaam
ka ma’mool hai aur Na hi Wo Khairul
Quroon me Rivaaj Pazeir hai. Aisa amal
Ghair Muqallideen ke Nazdeek SUNNAT
hai. Iska Matlab to Ye hua ke Khulfa-
e-Rashideen, Sahaba-e-Kiraam,
Taaba’een wa Tabe’ Taaba’een,
A’imma-e-Mujtahideen ko Is SUNNAT
ka Ilm na ho saka aur Wo is SUNNAT
se MEHROOM rahe. (Al Ayaazu billah).
Ye Hadees ki muwafiqat hai ya
mukhalifat.?
..
GHAIR-MUQALLID, KHALID GIRJAAKHI
KA JHOOT:
.
Likhta hai ke “Ba’z Log Jalsa-e-Istirah
at ke Qayel nahi hain Haalaanke Ye
SUNNAT SAABITA hai. Fiqh Hanafi me
iska SUNNAT hona maujood hai.
[Hidayah 1/383, Salaatun Nabi SAWS
pg174]
.
Ulema’-e-Deoband ki taraf se 1 lakh ka
In’aam hai agar Koi Ghair Muqallid
Jalsa’-e-Istirahat ka SUNNAT hona
HIDAYAH ki Arabi Matan se tehreer kar
ke sabit kar dega to.
.
Rahi Asal HAQEEQAT Us Hadees ki Jo
Joonagadhi ne Aitraaz me Naql ki hai
mukhtasar hai, Imam Bukhari (rah.) ne
is Hadees se Qabl Ye rivayat Mufassal
bhi Naql ki hai Wo Hum Yahan par
Naql karte hain.
.
Ayub Saqtiyani (rah.), Abu Qilaabah
(rah.) se rivayat karte hain ke Maalik
bin Huwairis (raz.) ne apne Sathiyon
se Kaha, Kya Mai Tumhein Rasoolullah
( ﷺ ) ki Namaz Na batlaon.? Abu
Qilaabah (rah.) kehte hain ke Ye Koi
FARZ Namaz Ka Waqt Na tha,
chunacha Aap Kharey hue phir ruku’
kiya aur Takbeer kahi phir Ruku’ se Sar
uthaaya aur Thhori deir Tehre rahe phir
Sajdah kiya phir Sajdah se Sar utha kar
Thhori deir tehre rahe phir Aap ne
Sajdah kiya phir Sajdah se Sar utha kar
Thhori deir Tehre rahe. Gharz, Unhone
hamaare Sheikh Umroo bin Salmah
(rah.) ki tarah Namaz parhi. Abu
Saqtyani (rah.) farmate hain ke Umroo
bin Salmah (rah.) Namaz me Ek Aisa
Kaam kiya karte the Jo maine aur
Logon ko Karte hue Nahi dekha, Wo Ye
ke Wo Teesri raka’t ke ba’d ya Chauthi
raka’t ke shuru’ me baithte the (Ya’ni
Jalsa’-e-Istirahat karte the). [Bukhari
Shareef 1/113, H#779]
.
Is Hadees se sabit hua ke Khairul
Quroon me Jalsa-e-Istirahat ka rivaaj
Nahi tha. Kyonke Ayub Saqtyani
Muttawafi 131 Hijri Jo Jaleel-o-Qadar
Taaba’een me se hain Jinhone Sahaba
Kiraam aur Taaba’een Azzaam ko
dekha hai Unhone Hazrat Malik bin
Huwairis (raz.) ki Ye Hadees bayan ki
to farmaya ke Malik bin Huwairis (raz.)
ne hamaare Sheikh Umroo bin Salmah
(rah.) jaisi Namaz parhi, Umroo bin
Salmah (rah.) Namaz me ek Aisa Kaam
karte the Jo Maine Logon (Sahaba wa
Taaba’een) ko Karte hue Nahi dekha
Wo Ye ke Umroo bin Salmah (rah.)
Teesri raka’t ke ba’d Ya Chauthi raka’t
ke shuru’ me baithte the (Jalsa
Istirahat karte the). Is se ma’loom hota
hai ke Us daur me Jalsa’ Istirahat ka
bilkul Rivaaj Nahi tha Warna iske baare
me Ayub Saqtyani (rah.) ye Na farmate
ke Maine Ye Logon ko (Sahaba wa
Taaba’een ko) Karte hue Na dekha.
.
Aaj bhi Haramain Shareefain ke Imam
Jalsa-e-Istirahat nahi karte. Haan!
Agar Koi Shaqs Kisi Uzr ki wajah se
Pehli aur Teesri raka’t ke doosre Sajde
se faarigh ho kar baith jaaye aur phir
Uthey to Koi Harj Nahi Kyonke Kisi Uzr
ki wajah se Aa’maal me Shari’at ki taraf
se Ruqsat hai.
.
Maulana Muhammad Joonagadhi to
Wafaat paa gaye. Unhone is masla’ par
Koi Tehqeeqi Aitraaz bhi Naqal Nahi
kiya hai balke mazed Ibarat naqal
karne me Bad-diyanati dikhaayi hai.
.
Hum Aaj ke Ghair Muqallideen, se
poochte hain ke Malik bin Huwairis
(raz.) ki Hadees me Jalsa’-e-Istirahat
Karne ka Zikr hai aur Doosri Ahaadees
me Na karne ka. Ab Is Zaahiri Ta’ruz
ko Kaise Rafa’ kiya Jaaye.? Aap ke
Nazdeek Daleel Shara’i sirf Qur’an aur
Sahih Hadees hain to Aap ke mutabiq
Is Ta’ruz ka hal kya hona chahiye sirf
Qur’an wa Hadees se Jawab dein, Kisi
Ummati ka Qoul pesh kar ke MUSHRIK
na banein.? Agar Aap ki bayan ki gayi
Ek Hadees Naasiq hai aur baaqi Sab
Mansooq hain to Daleel Pesh karein
Qur’an ya Hadees se.?
.
Hamare Imam, Abi Haneefah (rah.) ne
Is masla’ me IJTIHAAD kiya aur Hum
ko Behtareen Raasta dikhaaya Jis se
hamaara Dono Qism ke Ahadees par
amal hota hai ke Jo Qudrat, Taaqat
rakhne wale hain Jalsa-e-Istirahat
Nahi Karte aur Boodhe Ma’zoor Jaise
Umroo bin Salmah Jalsa’-e-Istirahat
karte hain.
.
Jinka Amal Dono Qism ke Ahaadees
par hai Unko Hadees ka Mukhalif
kehna aur Jo Ahaadees me Khiyanat
karey Usko Ahle Hadees Kaha Jaaye.
Ye Kahaan ka Insaaf hai.?
.
Ae Ghair-Muqallido! Kab tak Khud
Dhoke me rahogey aur Kab tak
Doosron ko Gumraah karte rahogey.?
.
GHAIR-MUQALLIDEEN SE KUCH
SAWALAAT WA MUTAALBAAT:
.
Aap ka da’wa hai ke Jalsa-e-Istirahat
SUNNAT hai to Kya kisi SAHEEH
SAREEH Hadees me hai ke Ye
SUNNAT-E-MU’AKKIDAH hai?
..
Kya Jalsa-e-Istirahat me koi ZIKR bhi
masnoon hai? Ye AQEEM AS-
SALAATHA LI-ZIKRI ke khilaf hai ya
nahi?
.
Kya Jalsa-e-Istirahat ke ba’d Takbeer
keh kar Uthna bhi Kisi hadees se sabit
hai? Agar sabit Nahi hai to Ye SUNNAt
ya MUSTAHAB na hoga kyonke har
Uthne baithne ke waqt TAKBEER ka
hukm hai.?
.
Abu Malik Ash’ari (raz.) ne Apni Qaum
ko na to pehli Takbeer ke ba’d
Rafaulyadain sikhaayi na hi Jalsa-e-
Istirahat to Kya Is Sahabi (raz.) ne
SUNNAT ke khilaf Namaz sikhayi? Kya
ye Taarik-e-Sunnat the.? (Al-
Ayaazubillah)
.
Jin Sahaba (raz.) ne Jalsa-e-Istirahat
nahi kiya hai, Unki Namaz hui ke
Nahi.? Agar koi Shaqs bhooley se Ye
na karey to SAJDAH SAHOO wajib hoga
ke nahi.?
.
Ghair-Muqallid Albani ne bhi Ahnaaf ki
tarah Taaweel ki hai aur hadees ko
Haajat per mehmool kiya hai? Un per
Munkareen-e-hadees ka fatwa
lagaaoge ke nahi.?
No comments:
Post a Comment