GAAU KE CHAUDHRI(AHLE QURAN/MUNKIRE HADEES) AUR GHAIR MUQALLID MUBALLIGH KI GUFTGU(CONTINUE)
Ghair Muqallid Muballigh : ap Hamare mazhab ko baar baar TAZAAD aur zid wala mazhab keh rahe hain halanke hum Salaf ke Tareekhe par hain. Kitab o Sunnat ke maanne wale hain. Sahaba Ikram ke tareeq par hain . HumaAllah ke Rasool ki har Sunnat ko Dil o jaan se Qabool karte hain. Bidat se door rehte hain . tamam Saheeh Hadeeson par Amal karte hain ap hamare is Saheeh aur sache mazhab ko Tazaad wala aur zid walamazhab kehte hain. Ap Hamare mazhab me kya tazaad dekha , ahle hadees Mazhabme zid ka ansar apko kahan nazar aa gaya?
Chaudhri : maullana hum ne Ahle Hadees mazhab me reh kar ap logo ko Khoob jaancha aur parkha hai . apka ye dawa ke hau SALAF ke tareekha par hain aur isi wajeh se ap log aj kal SALAFIbhi keh rahe hain. Ye Dunya ka sab se bada JHOOT hai. Ap ke mazhab me jo tazaad aur ALE HADEESo me jo ZID hai Mai usko baad me sabit karunga pehle ap ke is dawe par nazar karte hain ke ap SALAF ke tareekha par hain.
GHAIR MUQALLIDEEN SALAF KE TAREEKHE PAR NAHI HAIN
Batlayye ke SAHABA IKRAM ko ap SALAF me shumar karte hain ke nahi. Aur agar wo SALAF na honge to phir kaun SALAF hoga. Lekin JAMAAT E AHLE HADEES ke bade ULAMA ye AELAN karte hain ke SAHABA ka QAUL O FAEL HUJJAT nahi.
Nawab Shaba Bhopali jin ka naam ap log bade bade ALQAAB ke sath lete hain aur unko Deen ka MUJADDID Shumaar karte hain. Apni AT TAAJUL MUKALLAL ke Safha 292 par saaf likhte hain ( ﻭ ﻓﻌﻞ ﺍﻟﺼﺤﺎﺑﻲ ﻻ ﻳﺼﻠﺢ ﺣﺠﺔ ) yani “ SAHABI KA FAEL QAABILE HUJJAT NAHI”
FATAWA NAZEERIA me ap ke SHAIKHUL KUL FIL KUL Maulana Nazeer Hussain sahib farmate hain ke:
SAHABI KA QAUL HUJJAT NAHI (SAFHA 340 JILD 1)
To ap batlayye ke Jab Ap logo ke yahan NA SAHABI ka QAUL HUJJAT hai aur na hi FAEL HUJJAT
hai aur SALAF ka jab naam liya jaye to AWWAL NUMBER par yahi SAHABA IKRAAM SALAF hain. To phir ye Dawa bilkul JHOOT sabit hota hai ke ap SALAF KE TAREEKHE par hain.
SAHABA KE QAUL O FAEL KO HUJJAT NA MANNA UN PAR BAD AETEMADI KA IZHAAR HAI
Maulana sahib! Ap log naam to SALAF ka lete hain magar afsos hame hota hai ke SALAF ka ap se badh kar koi DUSHMAN nahi Dekhye ap ke ULAMA kehte hain ke SAHABA ka QAUL O FAEL Hujjat nahi. Iska Saaf matlab hai ke unko SAHABA IKRAM par AETEMAD nahi na unke QAUL par AETEMAD hai na unke FAEL par Aetemad hai. Ap SAHABA IKRAAM ko MAJROOHUSH SHAHADAT qarar dete hain is se badh kar un ke Janab me GUSTAKHI aur kya hosakti hai.
SAHABA IKRAAM KE QAUL O FAEL KA INKAAR BUGHZ E SAHABA KA MAZHAR HAI
Sahaba Ikram ke qaul o fael ka INKAAR SHIYAO ka tareekha hai. Shia khule taur par SAHABA IKRAM se BUGHZ rakhte hain aur ap ka SAHABA se bughz rakhne dhake andaz ka hai magar BUGHZ E SAHABA ki bababt ap aur AHle tashi’i(SHIA) me koi FARQ nahi. Sahaba ikram ke Qaul o Fael ka wo bhi INKAAR karte hain aur ap bhi usey HUJJAT tasleem nahi karte. Batlayye ke Ap aur SHIYAON me ab kya FARQ raha. Haqeeqat ye hai ke SAHABA ke QAUL O FAEL ko Hujjat na Maanna BUGHZ E SAHABA ka Mazhar hai.
GHAIR MUQALLIDEEN NE SAHABA KO FAASIQ KAHA
Aur ap logo ka yahi Bughz e SAHABA hai ke ap ke ULAMA ne SAHABA IKRAAM ki Ek JAMAAT ko FAASIQ keh diya hai ye jo ap apne sath kitabon ka ek MOTABAR ghard laye hain. Mai dekh raha hun ke usme ek kitab ka naam NUZOOLUL ABRAAR bhi likhi hai ye wahi Kitab hai jis ke bare me ap ke JAMIA SALAFIA Banaras ki Matbbooa kitab “ JAMAAT E AHLE HADEES KI TASNEEFI KHIDMAAT ” me bayen ALFAAZ TARUF karaya gaya hai.
“ NUZOOLUL BARAR MEIN FIQHIN NABIYYIL MUKHTAAR JILD 1 SAFHAAT 292 MUSANNIF ASH SHAIKH AL ALLAAM NAWAB WAHEEDUZ ZAMAN HYDERABAD MATBA’ SAYEEDUL MATAABI’ BANARAS TAB’E AWWAL 1328 HIJRI Ye Kitab bhi Fiqhe AHLE HADEES KE MAUZOO PAR HAI AUR AWAAM ME BOHOT MAQBOOL HAI ”
Is Fiqh e AHLE HADEES wali aur Awaam me bohot maqbool kita me ye likhi hai
" ﻭ ﻣﻨﻪ ﻳﻌﻠﻢ ﻣﻦ ﺍﻟﺼﺤﺎﺑﺔ ﻣﻦ ﻫﻮ ﻓﺎﺳﻖ ﻛﺎﻟﻮﻟﻴﺪ ﻭ ﻣﺜﻠﻪ ﻳﻘﺎﻝ ﻓﻲ ﺣﻖ ﻣﻌﺎﻭﻳﺔ ﻭ ﻋﻤﺮﻭ ﻭ ﻣﻐﻴﺮﺓ ﻭ ﺳﻤﺮﺓ "
“yani is se maloom hua ke kuch SAHABA FASIQ hain jaise WALEED aur isi ke misl kaha jayega MAWIYA, AMR , MUGHEERA aur SAMURA ke HAQ me(ke ye tamam SAHABA bhi FASIQ hain).”
Batlayye ke SAHABA IKRAAM ke bare me Apke AQEEDE aur SHIAON ke Aqeede me kya FARQ hai . sahaba ko SHIA bhi BURA kehte hain aur JAMAATE AHLE HADEES ke log bhi. Tajjub to ye hai ke Ap ke ULAMA MASHAIKH SALAF ke tareekha par hone ka dawa karne wale log is KITAB ke MUSANNIF ko " ﺍﻟﺸﻴﺦ ﺍﻟﻌﻼﻡ " kehte hai, SAHABA IKRAAm ko FAASIQ kehne wala ap ka MAMDOOH hai aur apki JAMAT ke log FAKHARYA isko " ﺍﻟﺸﻴﺦ ﺍﻟﻌﻼﻡ " ke SHARF se nawazte hain. Kis Qadr Afsos aur jaye Sharm hai. Aur JAMIA SALAFIA ki isi shaya shudah kitab ke bare me jaisa ke ap dekh rahe hain ye kaha jaraha hai ke ye kitab FIQHE AHLE HADEES ke Mauzoo par hai aur Awaam me bohot maqbool hai,
NUZOOLUL ABRAAR ME MAZKOOR MASAEL KI NISBAT RASOOLULLAH KI TARAF KARNA YE AP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KI ZAAT PAR IFTERAA AUR BOHTAN HAI
Is gandi kitab me jo kuch hai uaka Namoona to maine abhi apke samne NAQAD pesh kar diya hai. Iske ilawa bhi isme jo Masael hai wo itne Gande hain ke unla ZABAN par lana SHAREEf admi gawarah nahi karega.
Kya Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam par ye Sarasar IFTERA nahi hai ke Ap in Masael ko Allah ke Rasool Sallallahu Alaihi wasallam ki taraf mansoob karen?
Isi kitab ki isi jild me jiska TA’RUF JAMIA SALAFIA banaras ke logon ne AHLE HADEES ki Taneefi Khidmaat me karaya hai. Ye Masla likha hai:
“ JISM par MAKHIYON ka Paikhana laga ho to Dhona zaroori nahi hai isme koi HARJ nahi ” ( NUZOOLUL ABRAAR jild 1 safha 12)
Is Masle ko ap to HADEES me P.H.D hain kisi HADEES se Sabit karden mai aplo IMAN DAAR samajhta hu ap khud INSAAF se farmayen ke is Masle ko HUZOOR sallallahu alaihi wasallam ki taraf mansoob larna aur isko MEIN FIQHIN NABIYYIL MUKHTAAR batana kya Huzoor sallahu alaihi wasallam par Sarasar Iftera o Bohtan nahi hai?
Is kitab ki isi Jild me ye Masla bhi hai
“Aurat ne kis KHUSAR se JIMAA karaya to Ghusl Farz nahi”
( NUZOOLUL ABRAAR jild 1 safha 24)
Aur ye masla bhi hai:
“FALSAFA aur MANTIQ aur KALAAM ki KITABON se ISTENJA karna Jayaz hai”
( NUZOOLUL ABRAAR jild 1 safha 22)
Aur ye masla bhi hai:
“KUTTE aur KHINZEER ka JHOOTA pani Doodh waghaira paak hai”
( NUZOOLUL ABRAAR jild 1 safha 31)
Aur ye masla bhi hai:
“Har HALAAL aur HARAAM Janwar ka Peshaab paak hai”
( NUZOOLUL ABRAAR jild 1 safha 49)
Ye is kitab ke jo ap ke is waqt hath me hai pehli JILD ke chand MASLE hain is tarah ke Sainkdo Masle is Kitab me hain. Ap HADEES me authority hain P.H.D hain in MASLON ko Ap QURAN o HADEES se sabit kar sakte hain? In Masael ko Allah ke Rasool sallahu alaihi wasallam ki tarf Mansoob karna AP sallallahu alaihi wasallam ki Zaat par IFTIRAA nahi hai? Magar ap log AIMMA ARBA ki FIQH ke Dushman hain is MASNOOI FIQH jiska Apne FIQHUN NABI aur AHLE HADEES ka FIQH naam rakha hai isko ap Tareef ki nigah se dekhte hain. Is se badh kar DUNYA me FRAUD aur DHAANDLI kya hosakti hai. Allah ke Rasool sallallahu alaihi wasallam ka ye Irshaad ap log bilkul bhool gaye ke
“JISNE MERI TARAF QASADAN JHOOT BAAT MANSOOB KI USKA THIKANA JAHANNAM HAI. ”
KISI FIQH LA FIQHUN NABI NAAM RAKHNA BIDA’T HAI
Ap log ek taraf to FIQH aur FUQAHA ke DUSHMAN hain. Tamam FIQHON ka ap MAZAAQ udate hain aur unke MASAEL ko FARZI aur IKHTERAI qarar dete hain aur doosri tarf khud apne lye ek FIQH bhi ghard lete hain. Ye koi INSAAF PASANDI hai. Aur phir Ap Hazraat ke JURRAT beja ye hai ke apne FIQH ko FIQHUN NABIL MUKHTAAR aur FIQH E AHLE HADEES kehte hain. Suraj ki Ruashni me itna bada JHOOT to shayad hi kisi JAMAAT ne Ijtemai tareekha par bola ho.
Agar FIQHUN NABI aur FIQHE AHLE HADEES naam ki kisi FIQH ka is ASMAAN ke neeche kabhi wajood raha hai to NAWAB WAHEEDUZ ZAMAN ki is kitab se pehle is ka naam lijye, SAHABA o TABAEEN ke zamane me is ka wajood batlayye, TABE TABAEEN ke zamane me iska wajood batlayye 1887 se pehle poori ISLAMI TAREEKH me iska wajood batlayye. Kisi kitab ka naa lijye jis ka naam FIQHUN NABIL MUKHTAAR ya FIQHE AHLE HADEES kaha gaya ho.
TABQAAT AHNAAF ka naam humne suna , TABQAAT SHAFIYYA ka naam humne suna, TABQAAT MAALIKIYYA aur TABQAAT HANABALA ka hum ne naa suna magar aj tak Hamare kaa me kisi TABQAAT AHLE HADEES ka naam nahi pada.
Ap log to doosron ko BID’ATI kehte hain aur khud BID’AT IIJAAD karte hain, kis Qadar afsos aur sharam o haya ke maa waraa(oopar) baat hai ke AIMMA ARBAA ka FIQH to KHAIRUL QUROON ya Qareeb bi ahde KHAIRUL QUROON mudawwan hua hai ussse to ap ki dushmani hai. Aur apke is jaded aur chaudhwi sadi ke FIQH ko galey se lagaye hue hain ayr kehte hain ke ye Awaam me Bohot maqbool hai. Awaam apne kis ka naam rakh rakha hai. Awaam isi AHLE HADEES Jamaat ka naam hai? Awaam e Muslimeen ne to na kabhi is FIQH AHLE HADEES ka naam suna aur na jaana.
GHAIR MUQALLID MUBALLIGH : Chaudhri sahib ap to non-stop bolte hi jaa rahe hain , mujhe to ap kuch kehne ka mauqa dete hi nahi. Apne jo baaten ab tak ki hain ye wahi baaten hai jo JAMAATE HAQQA AHLE HADEES ke Khilaaf Muqallideen bakaa karte hain. Kya ap bui AHLE TAQLEED me se hain?
Gaau ka Chaudhri : Muballigh sahib baat is waqt apki aur apki jamaat ki hai . hum ALHAMDU LILLAH AHLE QURAN hain. Hum Muqallid kisi ke nahi. Na hum TAQLEED ko jayaz samajhte hain. Hum to apko ye batana chahte hain ke apki JAMAAT jis ka naam ap ne JAMAAT E AHLE HADEES rakh rakha hai aur apka dawa ye hai ke ap log sa kisi ki TAQLEED nahi karte hain ye Sab JHOOT hai Haqeeqat ye hai ke ap log sab se bade MUQALLID hain. Taqleed KA INKAAR MAHEZ ZAAHIRI HAI………….
Talb e Dua
Aaqibul islam
طالب علم

No comments:
Post a Comment