Monday, 13 August 2018

GHAIR MUQALLID AUR AHLE QURAN KI BAAT CHEET

GHAIR MUQALLID AUR AHLE QURAN KI BAAT CHEET
ghair Muqallid aur Ahle Quran ki guftgu
abhi kuch arse pehle ki baat hai ke Hamare ek ghair muqallid bhai ko tableegh ka shauq hua . masha Allah ek bade JAMIA SALFIA ke faarigh the HADEES mi doctrait ki bhari bharkam degree bhi unke paas thi. Shakal o soorat bhi is layaq thi ke wo Tableegh ka ahem fareeza anjaam desaken. Libaas bhi wo aam ghair muqallid ulama ke khilaf Aalimana pahente the yani sar par amama rakhte the, Qamees Naaf se zara neeche raha karti thi. The ban ain sunnat ke mutabiq NISF PINDLI tak, DADHI Bhi Ghair Muqallid Ulama ki adat ke bar khilaf Qaabile lihaz had tak daraaz balke baraaz dar daraaz dar daraaz thi yani itni Daraaz ke Qamees ke daman ko choona chahte thi., gharz Shakal o Soorat aur libaas o haiyat ke aetebar se wo MUBALLGH hosakte the. Chunanche unko bhi tableegh ka shauq paida hua lekin SAW Al ye tha ke Tableegh kisko ki jaye?
Unke gaau ke paas ek doosra gaau tha. Gaau to log usko yunhi keht dete the haqeeqatan wo ek qasba tha kisi zamane me gaau raha hoga. Ghair muqallid Muballigh bhai ko maloom tha ke us gaau me kisi zamane me khalis AHLE SUNNAT yani AHLE HADEES yani GHAIR MUQALLID log rehte the. Lekin chand saalon se gaau ke tamam GHAIR MUQALLIDEEN AHLE QURAN yani MUNKIREEN E HADEES hogaye hain. Iska charcha Door door tak tha ke khudai poora naam ka gaaau jo kisi zamane me GHAIR MUQALLIDEEN KA GARDH tha ab MUNKIREEN E HADEES ka gardh bana hua hai.
Hamare ghair Muqallideen bhai ko ye Khabar thi. Chunanche unhone apna shauqe Taqleed poora karne ke lye is gaau ka intekhaab kiya. Ghaliban unke zahen me ye baat thi ke chaunke us gaau ke log INKAAR E TAQLEED se INKAAR E SUNNAT ki taraf aye hain islye unko phir se apne Deen me ba zor e Tableegh wapis aasani se laya jasakta hai. Hadees me P.H.D. ki jo degree mere paas hai wo Hamare kye aur hamari tableegh ke lye ek mazboot sahara sabit hogi.
Chunanche ek Roz wo poore tableeghi saaz o saman ke sath yani BUKHARI,MUSLIM, Maulana Abdur Rahman Mubarak poori ki TOHFATUL AHWAZI, ABKAARUL MINAN aur Maualan Amritsari ki kitaben neez Nawab Waheeduz Zaman hyderabadi marhoom ki NUZUL ABRAR, KANZUL HAQAIQ, HADYATUL MEHDI waghaira jin se tableegh ki jasakti thi(kisi maslihat se Quran paak apne sath nahi le jasake)wo ghair muqallid sahib lekar us gaau KHUDAI POORA me pohanche. Unhone gaau ke kuch muqtadir logo se mulaqat ki, unki baaten sun kar Hamare Muballigh ghair muqallid bhai ko ye maloom kar ke bada gham hua ke ye gaau jo kabhi inkar e Taqleed ki Awaaz se goonja karta tha aur yahan ki 80% abaadi ahle hadis yani munkireene Taqleed thi aj ye poori 80% abaadi AHLE QURAN yani MUnkireen e SUNNAT O HADEES ki hai aur is gaau ki 20% Musalman jo kisi mazhab e khaas ke Muqallid the aur inme aksar wo log the jo hanafi the bas yahi 20% musalman Deen e Islam par Qayam , masjido ko abaad karne wale, Namaz, Roza ke paband reh gaye hain. In par Munkireen e hadees ka koi JAADOO nahi chal saka. Apne Deen se Murtad hone wale aur Shariat e islaam aur sunnate Rasool sallallahu alaihi wasallam ka mazaaq udane wale yani AHLE QURAN sirf wahi hue jo kabhi INKAARE TAQLEED ki Nemat se mehzooz the.
Hamare is ghair muqallid muballigh bahi ko in baton ke janne se bada dukh hua aur unka azm e Taqleed pukhta hogaya aur unho ne than li ke un munkireen e Hadees ko phir se Munkireen e Taqleed bana kar hi dum loonga. Aur us waqt tak apne sar se tableegi amama nahi utarunga jab tak ke is muhim ko poora na karlo.
GHAIR MUQALLID MUBALLIGH KI GAAU KE CHAUDHRI SE MULAQAAT:
Hamare in ghair muqallid bhai ne apne is pukhta azm o irade ke sath aur tableegh ke poore saaz o saman ke sath(yani ubhi kitabo ke sath jo wo apni tableeghi muhim sar karne ke lye apne sath le gaye the) Gaau ke un zimmme daron se milne ka ek naqsha murattab kiya jin se in Maslae khaas me guftgu ki jasakti thi. Unhe maloom hua ke GAAU KA CHAUDHRI agar Qaabu me ajaye to poore gaau ke logo par Qaabu paya jasakta hai. Aur ye bhi maloom hua ke gaau ka ye chaudhri na kahin ka faazil hai na uske paas hadis me doctorait ki sanad hai. Ye jaan kar unko itminan hau unhe yaqeen tha ke jaahil chaudhri ko Qaabu me karlena aur apne Ilmi dhaak se usko Maroob kar ke apni baat manwalena bada Mushkil kaam bhi nahi hoga(magar wo chaudhri munkireen e sunnat ke JAME QURANIA ka bohat bada Faazil tha). Chunanche ghair muqallid Muballigh bhai ne chaudhri se mulaqat ki ayr apni baat yun Shuru ki.
GHAIR MUQALLID AUR GAAU KE CHAUDHRI KI MULAQAAT
Chaudhri sahib mai apke padosi gaau ka rehna wala hun. Hindustan ke mashhoor JAMIA SALFI ka faarigh hun. Aur mai ne Ilm e Hadees me doctrait ki degree hasil ki hai yani P.H.D hu.
Chaudhri: ji haan apke bade JAMIA SALAFIA se faarigh hone aur sahib eilm hone ka andaza to apke is bade AMAME aur Resh e Daraaz aur apki shakal o soorat hi se horaha hai. Farmayye kasie tashreef laye.
Ghair Muqallid Muballigh: janab chaudhri sahib maine suna hai ke aaj se kuch roz pahle is gaau ki aksar abaadi AHLE HADEES thi lekin aj ye kya dekh raha hu ke jitney AHLE HADEES the wo sab ke sab MUNKIREEN E HADEES aur MUNKIREEN E SUNNAT hogaye hain. Akhir ye hadsa kaise ronuma hua. Deen e Haq ko chord kar Deen e Baatil ikhtiyar karne ka sabab kya bana. unhone Raushni se Tareeki ko kaise pasand kiya. Apo ko maloom hai ke AHLE QURAN ki jamat gumrahon ki Jamaat hai. Wo hadees e Rasool ka inkaar karti hai. Rasoolullah ki sunnat se muh modti hai. Naam quran ka leti hai lekin uska amal Quran par bhi nahi hota hai. Quran me saaf saaf hai “ATEE ULLAH WA ATEE UR RASOOL”. Wo Quran ke pehle juz ko maanti hai lekin uske Doosre juz ko nahi maanti. Jis me Itaa’ate Rasool ka hokum hai wo hadees o sunnat ka inkar sareeh hukme khudawandi ki Mukhalif bani hui hai. Hidayat ke baaf gumrahi ka ye rasta maine suna hai ke ap ne bhi ikhtiyar kar rakha hai. Kyu ke ap log gumrahi me pade hue hai gumrahi se nikalye . hidayat ka rasta ikhtiyar kijye.
Chaudhri sahib ap samajhdar admi hain. Agar gumrahi ka rasta apne chord diya to mujhe yaqeen hai ke gaau ke bohot se log apki TAQLEED karenge AUR SAB ANDHERI SE RAUSHNI KI TARAF , Zalalat se Hidayat ki taraf , Bidat se Sunnat ki taraf, baatil se haq ki taraf aajayenge. Aur in sab ke hidayat pane ka sawab apko milega.
Chaudhri: Janab mai apka shukr guzaar hu ke apne yahan aane ki zehmat farmai. Magar Maulana mujhe ap ka tableegh ka ye andaaz pasand nahi aya . ap kehte hain ke ap KITAB O SUNNAT ke maanne wale hain magar apne apni dawat o tableegh me na KITAABULLAH ki hidayat par amal kiya aur na SUNNAT E RASOOLULLAH ki riayat ki. Dekhye Quran kehta hai
“ Aye paighambar logon ko hikmat aur nek naseehat se apne parwardigaar ke raaste ki taraf bulaao aur bohot ache tareekha se unse munazara karo” (16:125)
Apne tableegh karne me Quran ki is irshaad ki sareeh khilaf warzi ki. Apne hum AHLE QURAN ko jo sarasar HIDAYAT par hai Gumraa kaha. Hamare mazhab ko BAATIL kaha. Hame Tareeki me batlaya halanke hum az SAR TA PAA raushni me hain Apne Sunnat e Rasool ki bhi mukhalifat ki. Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam to apne Mukhalifon se badi NARMI se pesh aate the. Gumrahon ko bhi wo direct Gumraah nahi kehte the. Aur apne Hum Ahle Haq aur hidayat yafta jamat ko gumrahon ki Jamat qarar diya hai. Hamare yahan Nizam uddin dehli ki TABLEEGHI JAMAAT bhi aati hai. Usme Ulama bhi hote hain. Jaded Uloom ke maahireen bhi hote hain. Ap jaise Doctors bhi hote hain. Magar unke tableegh ka andaz to bhot masoom hota hai na kisi ko gumrah kehte hai na kisi ko baatil qarar dete hain. Bhot Naram Andaz aur Mohabbat ke LABB o LEHJE me guftfu karte hain. Maulana mujhe maaf farmayye , ghaliban ap is tableegh ke maifan me Naye utre hain. Ap ne jo guftgu farmai hai usme kai baaten Qaabile ghaur hain. Apne farmaya ke AHLE QURAN ki Jamaat Gumrahon ki Jamaat hai, to jab Quran Walo ki jamat gumrahon ki jamat hosakti hai to phir HADEES WALON Ki jamaat gumrah kyu nahi hosakti. Apko to khud maloom hai ke QURAN ka Number Khuda ke Deen me AWWAL hia aur HADEES ka Number Doosre darje me hai to agar NUMBER AWWAL WALE HIDAYAT YAFTA NA HONGE TO NUMBER DUWWAM WALE KYUN KAR HIDAYAT PAANE WALE HONGE.
Apne Hamare upar ek ilzam ye bhi rakha hai ke hum HADEES ayr SUNNAT ka INKAR karte hain. Mujhe aisa Mehsoos hota hai ke aplo Hamare Mazhab ka pata hi nahi . hum log to Hadees o Sunnat ko daanto se pakadte hain bashart ye ke wo HADEES o SUNNAT sabit bhi ho. Aur uske sabot me koi shubah na ho. Daleel Qatai se maloom hojaye ke wo ALLAH ke Rasool ki HADEES ya SUNNAT hai. Ap Hamare samne Qatai sabot ke sath kisi Hadees ko pesh kijye. Bila shak o shubah tareekha ke sath kisi Sunnat ko sabit kijye. Jis tarah Quran Mutawatir tareekha se bila kisi shak o shubah ke Khuda ki kitab sabit hai. Isi tarah agar HADEES o SUNNAT ka bhi Saboot miljaye to hum is par zaroor amal karenge. Ye ahmare khilaf aur jamat AHLE QURAN ke khilaf bilkul Jhoota propaganda hai ke hum hadees o sunnat KO NAHI MAANTE. Hame poore Hadees ke zakheere me Ek hadees bhi aur poore Zakheerai Sunnat me Ek Sunnat bhi Daleel e Qatai sw sabit nahi mili ke wo Hadeese Rasool ya Sunnate Rasool hai ke hum log itminan e Qalb aur inshiraah e Sadr ke sath us par amal kar saken.
Aur Maulan apki guftgu ka akhri hissa to mere lye bada tajjub khaiz sabit hua jis ne mere hosh o hawaas gum kardye. Ap farmate hain ke agar mai apke khayal ke mutabiq Gumrahi ka Rasta chord doon to Doosre bhi Meri TAQLEED karenge aur sab ke sab zalalat se Hidayat ki taraf aur Tareeki se Raushni ki Taraf baatil se Haq ki taraf , Bidat se Sunnat ki taraf aajayenge.
Ek taraf to ap Hazraat TAQLEED ko SHIRK qarar dete hain. Aur doosri taraf ap nke nazdeek TAQLEED ke ye besh baha Fawaid bhi hain. Baraahe karam zara iski wazahat farmayye ke SHIRK ke Raste se jo HIDAYAT milegi kya us HIDAYAT kaha bhi jayega???
Apko jaisa ke maloom hai aur ap kis ko Hadsa qarar de rahe hain hum sab log MUNKIREEN E TAQLEED the aur ab bhi hum MUNKIREEN E TAQLEED hain. Magar ab hum Raushni me hain, AHLE HADEES nahi , AHLE QURAN hain. Him apni zindagike beshtar ayyam AHLE HADEES hokar Guzare. Hum ne dekha ke Mazhab Ahle Hadees tazadaat(opposites) ka majmua hai. Naam ye log HADEES ka lete hain, magar inka amal kisi Saheeh Hadees par hai hi nahi. Ye logkehte hain ke Hum AHLE SUNNAT hain magar SUNNAT se inko bughz hai. Ye log kehte hain ke hum SALAF ke tareekha par hain magar aj tak inke SALAF ka pata hi nahi laga ke ye SALAF kaun log hain jinke Tareekhe par AHLE HADEES hain. Ye kehte hain ke TALEED HARAM hai magar ye sab se bade MUQALLID hain. Hum ne parakh parakh kar dekh liya ke Ghair Muqallideen naami giroh se bada koi MUQALLID hai hi nahi..
GHAIR MUQALLIDON NE APNE MUTA’ADDID NAAM RAKHEN HAIN JO AHLE HAQ HONE KI ALAMAT NAHI
Hum ne dekha hai ke aj tak khud inko pata hi nahi ke Akhir hum kya hain. Kabhi apne apko MUWAHHID kaha, kabhi MUHAMMADI kaha, kabhi GHAIR MUQALLID bhi kaha kabhi AHLE SUNNAT kaha, kabhi AHLE HADEES kaha , kabhi SALAFI kaha, kabhi ASARI kaha, to jo Jamaat aj tak apna naam rakhne me is Qadar muztarib ho wo apne DEEN , apne MASLAK aur apne Mazhab me kis Qadar Muztarib hogi, aur jis Deen o mazhab me iztiraab ho uske Ikhtiyar karne me ITMINAN o INSHIRAAH ka Sawal kahan paida hota hai.
AHLE QURAN BHI TAQLEED KE MUNKIR
Hum AHle Quran hain. TAQLEED kka hm bhi INKAAR karte hain. Taqleed ko hum bhi SHIRK samajhte hain. Taqleed se buri Hamare nazdeek koi doosri cheez nahi. Lekin hum ap AHLE HADEES log ki tarah do rukhapan ikhtiyar nahi karte ke FUQAHA ki TAQLEED ko to SHIRK samjhen aur HARAAM kahen aur MUHADDISEEN ki TAQLEED ko JAYAZ qarar den. Aur DEEN samjhen. Taqleed HARAAM hai to sab ki TAQLEED HARAAM hogi. Fuqahaa ki bhi aur MUHADDISEEN ki bhi IMAM ABU HANEEFA,IMAM SHAFAI, IMAM MAALIK, IMAM AHMED ki bhi aur BUKHARI O MUSLIM, IBNE NAYEEM AUR ABU NAYEEM BAIHAQI AUR AAM MUHADDISEEN ki bhi. Ap log jo khud ko GHAIR MUQALLID kehte hain usme sachai se door door ka koi taluq nahi. Hum KHUDA ka Shukr ada karte hain ke Hum AHLE HADEES nahi AHLE QURAN hai. Hum KHUDA ka Shukr ada karte hain ke Hum AHLE HADEES nahi AHLE QURAN HAI. HAMARE paas Deen maloom karne ka jo zarya hai wo Qatai aur na qabile tardeed aur bila shak o shuba hai. Islye Hamare bhatak ne ka koi Sawal nahi. Gumrahi me hum nahi ap hain. Tareeki me hum nahi JAMAATE AHLE HADEES hai. Khuda ke lye Maulan Hum asli GHAIR MUQALLIDEEN par Rahem farmayye aur hame Naqli ghair muqallideen banana ki koshish se ap baaz aajayen. Hame ap logo ke mazhab o aqeede me sirf tazaad nazar ata hai aur ap log KITAB o SUNNAT ki pairwi nahi karte balke apne apni khahishe NAFS ki pairwi karte hain. KITAB O SUNNAT ka naam to ap sirf DHOKA dene ke lye ZABAN parlate hain. Hum bhi AHLE HADEES the magar gumne apni AQAL apna ZAHEN khula rakha tha ayr hum ne baarha tajurba kiya ke ap logon ka mazhab sirf TAZAAD aur ZIDD par Qayam hai, aur phir Allah ne hame hidayat di aur aj hum sab aur mere gaau ke AKSAR log QURAN ki seedhi raah par hain. Ap hame raah e hidayat se hata kar phir RAAH E ZALALAT ke raaste pare aur ZIDD aur TAZAAD wale MAZHAB par bula rahe hain.

Talb E Dua
Aaqibul islam
Talb ilm

No comments:

Post a Comment