Ghair muqallideen ki taraf se aksar ye waswase aam bhole bhale musalmano mein phailaye jate hain, jo bazahir sawalat ki shakl mein hote hain lekin dar haqeeqat wo waswase hote hain. Unhi wasawason mein se kuch ke jawab yahan diye ja rahe hain…
Sawal: Taqleed kise kahte hain ?
Jawab: Masaail e ghair mansoosa ka hukm jaanne ke liye, aur masaaile ghair mansoosa mutaaraz feeha ke daf e taaruz ke liye kisi Mujtahid ki itteba karne ko TAQLEED kehte hain.
Sawal: Taqleed zaruri kyon ?
Jawab: jo admi khud Mujtahid na ho uske liye kisi Mujtahid ki taqleed ke baghair koi chara nahi.
Sawal: Taqleed kiski zaroori hai ?
Jawab: Jin Aimma ke Mujtahid hone par puri ummat ka ijma ho chuka hai, unhi ki taqleed zaruri hai.
WASWASA: Kyon mai hanafi hoon ? Kyon mai maliki hoon ? Kyon mai shafaee hoon ? Kyon mai hambali hoon ?
Jawab: Ijtehadi masaail mein main jis mujtahid ke ijtehad par amal karta hun, is etebar se main Hanafi, Shafaee, Maliki, Hanbali hun.
Wasawasa: Kya taqleed karna zaruri hai ?
Jawab: Agar aap khud Mujtahid nahi hain to kisi Mujtahid ki taqleed karna zaruri hai.
waswasa:Taqleed kab tak karna zaruri hai ?
Jawab: Jab tak apko Ijtehadi masaail darpesh aayen, us waqt tak taqleed karna zaruri hai.
Waswasa: Agar mai ek Imaam ko manta hoon, to kya baaki imaam haq par nahi hain ?
Waswasa: Agar sab Imaam haq par hain to mai ek imaam ke pichhe kyon ?
Jawab: Jis tarah kisi basti mein 100 Alim hon aur aap kisi ek Alim se masla maloom karke us par amal kar len to iska matlab ye nahi hota k baqi ke 99 Alim haq par nahi hain, thik usi tarah agr aap kisi ek imam ke ijtehad par amal karte hain to iska matlab ye hargiz nahi k baqi imam haq par nahi hain.
Waswasa: Agar sab imam haq par hain to fir inke andar apas me ikhtelaaf kyon ?
Jawab: Imamo ka Haq aur batil ka koi ikhtelaf nahi hai, un faroi masaail mein ikhtelaf hai jin mein hadithon mein taaruz hai, maslan raful-yadain karne ki bhi Hadith hai aur raful-yadain na karne ki bhi Hadith hai aur dono sahi hain, isi tarah kano tak hath uthane ki Hadith bhi sahi hai aur kandhon tak hath uthane ki Hadith bhi sahi hai, naaf ke neeche hath bandhne ka amal bhi sahaba ka hai aur naaf ke ooper hath bandhne ka amal bhi sahaba ka hai.
In short: jin masaail mein sahaba mein ikhtelaf hai, neeche aa kar imamo mein bhi ikhtelaf hai, aur jin masaail mein sahaba mein ijma ho gaya un masaail mein imamo mein bhi ijma hai, (ghair muqallideen sahaba ke ijma ka inkar karte hain)
Waswasa: Agar imaam ko naa maan’na gunah hai, to ek imaam ko maan’ne se teen imaam chhut’te hain, iska gunah mere sar par kyon ?
Jawab: Ye waswasa batil hai, kisi ek alim se masla maloom kar ke amal karne ka ye matlab nahi hota k ye baqi alimo ko nahi maanta.
Waswasa: Jab imaamo ne bhi apne aapko hanafee, shaafaee, maliki ya hambali aesi nisbaton se nahi jodha, to phir mai kyon apne aapko aesi nisbato se jodhta hoon ?
Jawab: Ye waswasa bhi batil hai, Jo khud Mujtahid mutlaq ho usko kisi dusre Mujtahid ki taraf nisbat karne ki zarurat nahi.
Waswasa: Kya hamare imaam ne humse kaha hai ki sirf meri taqleed karna mere alaawa kisiki bhi taqleed na karna ?
Jawab: Jis tarah 7 Qariyon mein se kisi ne bhi nahi kaha k sirf meri hi Qirat par tilawat karna aur kisi Qari ki Qirat par tilawat na karna, phir bhi sari duniya ke musalman ek hi Qari (Asim KUFI) ki Qirat par tilawat karte hain, (halanke kisi Hadith mein nahi hai k ek hi Qari ki Qirat par tilawat karna) aur is mein koi haraj nahi hai, isi tarah kisi ek imam ki taqleed karne mein koi haraj nahi hai,
Waswasa: Kya mera manhaj wahi hai jo mere imaam ka tha ?
Jawab: Jo musalaman khairul quroon ke Mujtahid ki taqleed karta hai uska manhaj sahaba aur tabaeen wala manhaj hai jo k haqeeqat mein Nabi s a w wala manhaj hai, aur jo ghair muqallid khairul quroon ke logo ki taqleed na karke aaj (sharrul quroon) ke khud sakhta mujtahid, naam nihad ahle-hadithon ki taqleed karta hai wo sahaba aur tabeen ke manhaj par nahi hai.
Waswasa: Mai apne imaam ke baare me kitna jaanta hoon ?
Jawab: hamein apne Nabi s a w ke bare, Apke ahle-bait ke bare mein, Khulafa e Rashideen ke bare mein, Sare Sahaba ke bare mein aur tabaeen aur tab e tabaeen aur isi tarah aimma mujtahideen aur sare aslaaf ke bare mein zyada se zyada jaanne ki zarurat hai.
Waswasa: Kitni kitaabe ab tak maine ya mere gharwalo ne apne imaam ki padhi hain ?
Jawab: Jis tarah ek musalman jisne Quran ki tafseeren nahi padhin aur sari Hadith ki kitaben nahi padhin aur wo Alimo se puch kar wo jo namaz yad karta hai wo Quran Hadith wali namaz hoti hai, usi tarah jin faroi masaail mein ham mujtahid ke bataye hue masaail par amal karte hain wo usi ki kitabo ke hote hain, achhi baat ye hai k ham deeni kitabo ka mutalea karne ki adat dalen.
WASWASA: Qayamat ke din kya mujse yeh sawaal puchha jaaega-bataa tera imaam kaun tha ? tu kiski taqleed karta tha ?
agar haan to mai baaki imaamo ke bareme kya jawab dunga ?
Jawab: Jis tarah kisi musalman se ye nahi pucha jayega, k bata tera Alim kon hai? Aur tu ahle-haq alimo mein se kis alim se masla puchta tha, usi tarah ye bhi nahi pucha jayega k bata tera imam kon hai? Aur tu kis imam ki taqleed karta tha.
Haan, agar khud Mujtahid bhi nahi aur kisi imam ki taqleed bhi nahi ki zarur pucha jayega k jaanne walo se kyun nahi pucha? Jabke hamne Quran mein hukm de diya tha k
ﻓﺎﺳﺎﻟﻮﺍ ﺍﮬﻞ ﺍﻟﺬﻛﺮ ﺍﻥ ﻛﻨﺘﻢ ﻻ ﺗﻌﻠﻤﻮﻥ
Aur aise admi ke liye jab jahannam ka faisla hoga to wo hasrat aur afsos se kahega…
ﻟﻮ ﻛﻨﺎ ﻧﺴﻤﻊ ﺍﻭ ﻧﻌﻘﻞ ﻣﺎ ﻛﻨﺎ ﻓﻰ ﺍﺻﺤﺎﺏ ﺍﻟﺴﻌﻴﺮ
(Kaash k ham khud jaanne wale hote ya jaanne walo ki maan lete to aaj jahannam mein jane walo mein nahi hote)
Allah hifazat farmaye.
Waswasa: Kya meri, ya mere waledain ki, ya mere ulmaao ki itni haisiyat hai, ki woh yeh faisala kar saken ki kis imaam ko mana jaae aur kisko chhodh diya jaye ?
Jawab: Jin imamo ke ilm taqwa aur Mujtahid hone par puri ummat ka ijma hai, un mein se kisi bhi Mujtahid ki taqleed ki ja sakti hai, jis tarah kisi bhi ek ahle-haq alim se masla pucha ja sakta hai aur kisi bhi ek Qari ki Qirat par tilawat ki ja sakti hai.
Un logo ke liye lamha e fikriya hai jo faroi masaail mein khud bhi ijtehad ki salahiyat nahi rakhte aur kisi bhi Mujtahid ki taqleed nahi karte aur sare imamo ko chhor dete hain, wo sochen k unhone, unke walidain, behen bhai, biwi bachhon ne kis buniyad par ye faisal kiya? Khud Quran Hadith padh kar is nateeje pr pahnche? Ya ek dusre ki taqleed mein ye faisal kiya?
Kaash ghair muqallideen is par ghaur kar lete k
kya yeh imaamo se zyada taqwe waale aur ilm waale hai ?
waswasa: Or ek khaas waswasa ye hai ki jab ye imaam nahi the to musalmaan kiski taqleed karte the ?
Jawab: Jab ye imam nahi the to musalman apne apne ilaqe mujtahideen ki taqleed karte the, sahaba k zamane mein khud sahaba kiram apne zyada jaanne walo se Ijtehadi masaail maloom karte the aur aur tabaeen ke zamane mein bhi yehi mamool tha. Khud Nabi s a w ke zamane mein Yaman ke sare log Hazrat Maaz bin Jabal ki taqleed karte the, jaisa k Hadith mein hai k Hazrat Maaz ne chalte waqt kaha tha k jin masaail ka hukm Quran aur Sunnat mein nahi milega unme mein ijtehad karunga aur is par Nabi s a w ne khushi ka izhar farmaya. Us waqt na communication ke asbab the na transportation ke asbab the jo Nabi s a w se faoran puch liya jata, Hazrat Maaz naye pesh aane wale masaail mein ijtehad karte the aur sare yaman wale unki taqleed karte the, halanke yaman walo ki zaban Arabic thi, Quran Hadith padh sakte the lekin phir bhi Hazrat Maaz ki taqleed karte the. Yahan sirf ek hawala us hasti ka dena kafi hoga jiske ilm taqwa aur ahle-haq hone par ghair mujtahideen bhi muttafiq hain, Hazrat Shah Waliullah Muhaddis dehelvi farmate hain…
“हज़रात सहाबा किराम के ज़माने से लेकर मज़ाहिबे अरबा के ज़हूर तक लोग उलमा ए किराम में से जिस पर भी इत्तेफ़ाक़ होता, बराबर तक़लीद करते रहे, और बगैर किसी इंकार के ये अमल होता रहा। अगर तक़लीद बातिल होती तो वो हज़रात ज़रूर इस पर इंकार करते। (इकदुल जीद page 99)
Waswasa: Bhaiyo agar aap ke paas in waswaso ke jawab nahi hain to maaf karna, aap na to hanafi hain, na shafaee, na maliki, aur na hambli, Aur shayad aapko yeh bhi nahi pata, ke aap kya hain ?
Jawab: alhamdulillah sare waswaso ke tasalli bakhsh jawab de diye gaye hain.
Waswasa: Wo konsa imam hoga jo Allah ke aage hamari sifarish ke liye sajde me jayega ?
Wo konsa imam hoga jiski sifarish hamare haq me Allah qubool karega ?
Waswasa: Wo konsa imam hoga jo hoz-e-kosar par khada hoga ?
Waswasa: Wo konsa imam hoga jiske bare me hamse qabr me sawaal hoga ?
Waswasa: Wo konsa imam hai jiski itaat Allah ki itaat hai or nafarmani Allah ki nafarmani hai ?
Waswasa: Wo konsa imam hai jiska qalma hamne pada hai ?
Waswasa: Wo konsa imam hai wo apni ummat ki khatir roya hai ?
Waswasa: Wo konsa imam hai jiske laye hue deen par imaan laga zaroori hai ?
Jawab: Waswasa banane walo ko Allah se darna chahiye aur farq e maraatib ko samjhna chahiye. Ek sahab ne bht achhi baat kahi
“गैर मुक़ल्लिदिय्यत की सबसे बड़ी खराबी ये है क गैर मुक़ल्लिद होकर आदमी फर्के-मरातिब भूल जाता है”
Nabi s a w ka ummati ke sath taqabul karna Nabi s a w ki tauheen hai, achhi tarah samjh lo jo khususiyaat Allah ne Nabi s a w ko ata farmayi hain unmein na koi dusra farishta shareek hai, na Koi Nabi, Na Sahabi, na Tabaee, na Imam.
In sare waswaso ke jawab samne aane k baad bhi agar aap ke waswase dur nahi hue to sochiye…
kyon hum itne dur hain haqeeqi islam se…. ??????
Talb E Dua
Aaqibul islam
طالب علم

No comments:
Post a Comment