Sunday, 12 August 2018

USO0L E KARKHI PAR ETARAAAZ KA JAWAAAB

USO0L E KARKHI PAR ETARAAAZ KA JAWAAAB
USOOL-E-KARKHI
ﺍﺻﻮﻝ ﮐﺮﺧﯽ
]]AL-ASAL[[ jo Aayat hamaray
Ashaab kay qoul k khilaaf hogi to
is may Taweel hogi ya Nasukh ya
Tarjeeh.
TAWEEL KI MISAAL
ﺗﺎﻭﯾﻞ ﮐﯽ ﻣﺜﺎﻝ
Taweel ki misaal ye hay k 1
Aadmi ko Qibla'h may ishtebaa'h
hogaya, is nay kaafi soch o
bichaar kay baad Namaz pardhi,
Lekin Qibla'h is ky Po'usht ki taraf
tha to hamaray Nazdeek Jayiz
hay. Quran paak ki Aayat.
ﻓﻮﻟﻮﺍ ﻭﺟﻮﻫﮑﻢ ﺷﻄﺮﻩ
kay Bazaahir ye khilaaf hay k
waha Qibla'h ki taraf Mou'nh
karnay ka hukum hay or is ky
Po'usht Qibla'h ki taraf thi to
hum Taweel karain gay K is Aayat
ka mukhatib wo Shukhs hay jisay
Qibla'h ka ILM ho or jisay Qibla'h
ka ILM na ho wo Taharry karkay
Namaz pardhlay
ﻓﺎﯾﻨﻤﺎ ﺗﻮﻟﻮﺍ ﻓﺜﻢ ﻭﺟﻪ ﺍﻟﻠﻪ
per Amel karlay Jis taraf Mou'nh
karo Khuda audher hay . is
Taweel say 2ono Aayaat may
Toufeeq hogayi.
NASAKH KI MISAAL
ﻧﺴﺦ ﮐﯽ ﻣﺜﺎﻝ
Ab Maal-e-Ganimat Taqseem kiya
jaye to ﺫﻭﯼ ﺍﻟﻘﺮﺑﯽ ka Hissa'h nahi
nikala jata, Halaankay Quran Paak
may hay.
ﻭﻟﺮﺳﻮﻟﻪ ﻭﻟﺬﯼ ﺍﻟﻘﺮﺑﯽ
hum kehtay hain iskay Mansookh
honay per
ﺻﺤﺎﺑﻬﮑﺮﺍﻡ ﺭﺿﻮﺍﻥ ﺍﻟﻠﻪ ﺗﻌﺎﻟﯽ ﻋﻠﯿﻬﻢ
ﺍﺟﻤﻌﯿﻦ
ka Ijmaa'a hochuka hay.
TARJEEH KI MISAAL
ﺗﺮﺟﯿﺢ ﮐﯽ ﻣﺜﺎﻝ
Quran paak ki 1 Aayat ye hay k jis
Aurat ka Khawand Fout hojaye
wo 4 Maah 10 Din Iddat guzaray
or 2usri Aayat hay k Haamla'h
Aurat is waqt tak hay jub Bacha
peda ho . ]]Ab 1 Shukhs Fout
huwa , isky BiwiHaamla'h thi or
Aglay Din bacha peda hogaya , Ab
Ek Aayat kay mutabiq isky Iddat
Khatam , Dusri Aayat k mutabiq
abhi 4 Maah 8 Din Iddat baaqi
hay ya 1 Aadmi Fout huwa or is
ky Biwi ko 1 Maah ka Hamel tha
,Ab 1 Aayat kay mutabiq isky
Iddat 4 Maah 10 Din hay . Dusri
kay mutabiq 8 Maah[[ is surat
may Hum nay bacha peda honay
wali ko Raje'h qaraar diya , Q kay
ﺣﻀﺮﺕ ﻋﺒﺪﺍﻟﻠﻪ ﺑﻦ ﻋﺒﺎﺱ ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ
ﻋﻨﻪ
Farmatay hay K ye Aayat is Aayat
kay baad naazil huwe hay or
ﺣﻀﺮﺕ ﻋﻠﯽ ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ
ko in kay Nuzool ki Tareekh may
ishtebaah hay , isliye 2ono
Iddatain puri karayi jaye gy.
AL-ASAL
ﺍﻻﺻﻞ
Her wo hadees jo hamaray
Ashaab kay khilaaf hogi to isay
Nasukh per Mahmool kya jaye ga
ya ye hoga K is kay Khilaaf koi
2usri Daleel hay , is per Hamara
Amel hay or Ausool kay mutabiq
Tarjeeh ya Tatbeeq hogy or ye
sub kuch Daleel Sharayi kay sath
hoga . Ager Nasukh ki Daleel mil
gaye to Mansookh kaha jaye ga
ya Tarjeeh Tatbeeq ki Daleel mil
gaye to isy ko liya jaye ga.
MANSOOKH KI MISAAL
ﻣﻨﺴﻮﺥ ﮐﯽ ﻣﺜﺎﻝ
Namaz e Fajr kay baad
Sooraj ]SUN[ nikalnay say pehlay
Sunnat pardhnay ki Hadees
Mansookh hay is Mutawatir
Hadees say K Fajr kay baad
Namaz nahi jub tak Sooraj ]SUN
[ na niklay.
MUARIZA'H KI MISAAL
ﻣﻌﺎﺭﺿﮧ ﮐﯽ ﻣﺜﺎﻝ
ﺣﻀﺮﺕ ﺍﻧﺲ ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻨﻪ
ki 1 Hadees may hay ﺣﻀﻮﺭ ﺻﻠﯽ
ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﯿﻪ ﻭﺳﻠﻢ saari Umer Namaz
may Qunoot pardhtay rahay or
2usri Hadees may hay K 1 Maah
baad chordi , ye 2ono Ta'aruz ki
waja'h say Saaqit hogayi or
ﺣﻀﺮﺕ ﻋﺒﺪﺍﻟﻠﻪ ﺑﻦ ﻣﺴﻌﻮﺩ ﺭﺿﯽ ﺍﻟﻠﻪ
ﻋﻨﻪ wagera say hay K 1 Maah
baad ﺁﭖ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﯿﻪ ﻭﺳﻠﻢ nay
Chordi thi, isy per hum nay Amel
kya.
TAWEEL KI MISAAL
ﺗﺎﻭﯾﻞ ﮐﯽ ﻣﺜﺎﻝ
1 Hadees may hay K jub ﺣﻀﺮﺕ
ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﯿﻪ ﻭﺳﻠﻢ Ruku'o say sir
Authatay to ﺳﻤﻊ ﺍﻟﻠﻪ ﻟﻤﻦ ﺣﻤﺪﮦ ،
ﺭﺑﻨﺎ ﻟﮏ ﺍﻟﺤﻤﺪ kehtay , yani
Tasmee'a or Tamheed 2ono Ziker
kehtay , 2usri Hadees may hay K
ﺣﻀﻮﺭ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﯿﻪ ﻭﺳﻠﻢ nay
Farmaya : Jub Imam ﺳﻤﻊ ﺍﻟﻠﻪ ﻟﻤﻦ
ﺣﻤﺪﮦ Kahay tum ﺭﺑﻨﺎ ﻟﮏ ﺍﻟﺤﻤﺪ
kaho, Yaha apnay Taqseem
farmady or Taqseem shirkat kay
khilaaf hay.
Hum nay 2ono may Tatbeeq dy K
2ono Zikroon ko Jama'a karna
Akelaay
Namazi kay liye hay or Taqseem
Imam or Muqtadi kay liye hay.
]]Ausool e Karkhi Page 84&85[[
ye hay wo Ausool Jis per Peer ]]
Badiuddeen Shah[[ sahab nay
likha hay
K Hanfiyoon kay haan Quran o
Hadees may Nuqs hota hay ,
Fiqa'h Hanfi
may koi Nuqs nahi , ye Fiqa'h
Hanfi ko mantay hain Quran o
Hadees ko
chordhtay hay . Halaankay is
Ausool may Quran o Hadees per
hy Amel ka
Tareeqa'h Sikhaya hay .
Peer ]]Badiuddeen Shah[[ sahab
nay Eibarat
Puri Naqel nahi ky . Kaash in ko
ﻻ ﺍﯾﻤﺎﻥ ﻟﻤﻦ ﻻ ﺍﻣﺎﻧﺔ ﻟﻪ or ﻧﻬﯽ ﺭﺳﻮﻝ
ﺍﻟﻠﻪ ﺻﻠﯽ ﺍﻟﻠﻪ ﻋﻠﯿﻪ ﻭﺳﻠﻢ ﻋﻦ
ﺍﻻﻏﻠﻮﻃﺎﺕ
yaad hoti to wo is waswasa
Andaazi ka naam Quran o Sunnat
ki Daawat na rakhtay.
Ya Allah sahi baat mannay ki or
usper Amel karnay ki Toofeeq
ataa
farma.
AAMEEN SUMMA'H AAMEEN.

Talb dua
Aaqibul Islam
طالب علم 

No comments:

Post a Comment