GHAIR MUQALLIDEEN KA OPERATION AUR ZAROORAT E TAQLEED
NAHMADUHU WANUSALLI ALAA RASOOLIH IL KAREEM !! AMMAA BAAD
• GERMUQALLIDEEN KA OPERATION AUR ZAROORAT E TAQLEED •
HUJJATULLAH FIL ARZ IMAM UL MUTAKALLIMEEN MUNAZIR E ISLAM HAZRAT MOULANA MUHAMMAD AMEEN SAFDAR OKARVI NAUWARALLAHU MARQADAHU KAY GERMUQALLIDEEN SAY TAQLEED KAY MOZU'O PER SAWALAAT
• GERMUQALLIDEEN SAY WO SAWALAAT JIN SAY BILYAQEEN SABIT HOGA K FIRQAH JADEED NAME NIHAAD [AHLEHADEES] GERMUQALLIDEEN BILZAROOR TAQLEED KARTAY HAIN KIYOON KAY IS K BAGAIR GUZARA NAHI HAIN - IS KO TASLEEM KARNAY KO TAYYAAR NAHI HAY ¤
• 01 = Kiya AANHAZRAT SALLALLAHU ALAHI WASALLAM nay farmaya tha k aey AHLE QURAN ! Vitar pardho aur kiya ye bhi farmaya tha k AHLE QURAN khaas ahlullah hain - kiya in ahaadees may ahle quran say moujooda firqai AHLE QURAN yani munkireen e hadees muraad hay ?
• 02 = Kiya is lafz : ahle quran say ilmi tabqah yani huffaaz e kiraam muraad hain ya koi mazhabi firqah ?
• 03 = Kiya angraiz kay dour e hukumat say pehlay kisi jahil ko ahle quran kaha gaya ?
• 04 = Kiya paak o hind may 90 hijri may jo musalmaan aaye wo sub AHLE QURAN thay kiyoonkay us zamanay may sahah sitta'h ka wajood na tha ?
• 05 = Kiya firqah AHLE QURAN ka wajood kisi pehli islami hukumat may tha
• Inka Tarjuma'h quran
• Tafseer e quran
• Namaz ki kitab
• Inka Madarsa'h
• Inki Masjid
• Inki Qaber bhi kisi islami mulk may thi ?
• 06 = Is firqah nay jub apna name AHLE QURAN rakh liya to ab quran inka hogaya - ahlehadees ka quran say talluq raha ya nahi ?
AHLE HADEES GER MUSLIM
• 07 = Karachi kay masoodi firqah nay ahlehadees say cut kar apna name JAMAT UL MUSLIMEEN rakh liya - ab quran o hadees may jaha muslim ka lafz aata hay wo apna firqah muraad leta hay aur ahlehadees ko germuslim kehta hay - kiya is may wo haq bjaanib nahi ?
• 08 = Quran paak may lafz RABVA 2 jaga aaya hay kiya is say qadyaaniyoon ka shehar rabva shehar muraad hay ? Nahi to kiyoon ?
• 09 = Kiya quran paak may jaha hizbullah ka lafz aaya hay is say captain usmani karachi walay ka firqah muraad hay ?
• 10 = Ahle quran ka kehna hay k jub say quran hay is waqt say ahle quran hain - jub quran sacha hay to ahle quran yaqeenan sachay hain - ahle quran ko us waqt tak jhoota nahi kaha jasakta jub tak [maazallah] quran ko jhoota na kaha jaye ? Ye ahle quran walay kehtay hay ¤
AAJ TAK CHALLENGE QABOOL NAHI HUWA
• 11 = Ahle quran ka kehna hay k ahlehadees quran k munkir hain isy liye ahle quran ko kafir kehtay hain - quran ko maanna in kay nazdeek kufar hay ¤
• 12 = Inka kehna hay k sub SAHABA RAZI ALLAHU AUNHUM ahle quran thay in may sub say kisi 1 nay bhi sahah sitta'h nahi pardhi ¤
• 13 = Inka sawal hay k
• SAHABA RAZI ALLAHU AUNHUM
• TABAYEEN aur
• TABA TABAYEEN KIRAAM REHMAHULLAHI TA'ALA ALAHI sahah sitta'h manay bagair sirf quran maan kar musalmaan thay ya kafir ?
• 14 = In ka kehna hay k ahlehadees ye dawa'a kartay hain k ahaadees quran ka bayaan aur quran ki tafseer aur tashreeh hain lekin hum nay baar-ha challenge diya k aaiye hum tarteeb waar 1 - 1 hadees pardhtay jayain gay aap her hadees k muwaafiq 1 - 1 sareeh aayat likhatay jayain mager 1 bhi ahlehadees aaj tak is challenge ko qubool na karsaka ¤
TAFSEER E QURAN KA NAME KOOK SHAASTER
• 15 = In ka kehna hay k ahlehadees ko quran ki bilkul samajh nahi hay chunacha'h
• Nawab siddique hasan nay tafseer likhi to molvi sanaullah nay likha k sub shokaani ki tafseer hay
[ MAZAALIM E ROPRDHI PAGE NUM 21]
• Maulana sanaullah nay tafseer likhi to ulama e arab o ajam nay is murtad qaraar diya
• Molvi inaayat asri nay tafseer likhi to abdullah roprdhi nay us ko galat qaraar diya
• Abdullah roprdhi nay tafseer likhna shuru'o ki to molvi sanaullah nay us tafseer ka name KOOK SHAASTER rakha ¤
• 16 = In ka kehna hay ahlehadeds quran per amal nahi kartay aur kar bhi kesay saktay hain jubkay inko quran aata hi nahi - ye quran paak ko sirf tabarruk aur tilaawat kay liye maantay hay aur bus ¤
AHLEHADEES JHOOTAY HAIN
• 17 = In ka kehna hay k allah ta'ala nay farmaya k quran may her cheez ki tafseel hay jubkay ye khuda kay khilaaf quran ko mujmal kehtay hain ¤
• 18 = Wo kehtay hain :: quran yaqeeni hay aur hadees ko khud zinni maantay hain - deen yaqeen ka name hay na keh zan ka - INN ALZANNI LAA YUGNI MINAL HAQQI SHAIYYA ¤
• 19 = In ka kehna hay k jitni jhooti hadeesain musalmanoon nay ghardheen k is per mustaqil kitabain hain - itna jhoot kisi aur ummat nay apna nabi per nahi bola aur wo jhooti hadeesain ghardhnay walay sub ahlehadees hi to thay - to jo ahlehadees nabi per jhoot boltay thay in ki hadeesain deen kesay ban gayi ?
IKHTIRAA AHLEHADEES
• 20 = In ka kehna hay k RASOOL E AQDAS SALLALLAHU ALAHI WASALLAM nay ahle quran ko khaas ahlullah farmaya hay mager ahlehadees na is zamanay may thay na HAZRAT SALLALLAHU ALAHI WASALLAM nay kabhi in ko nijaat paanay wala farmaya ¤
• 21 = Balkay is kay baraks AAP SALLALLAHU ALAHI WASALLAM nay farmaya : k aakhri zamanay may kazzab o dajjal paida hoon gay - jo tumharay paas hadeesain laya karain gay jo tumharay baap dada nay suni bhi na hogi - in say bachna - wo loog gumraah karnay walay aur fitna daalnay walay hoon gay : AAUO KAMA QAAL MUSLIM ¤
• 22 = Khud AANHAZRAT SALLALLAHU ALAHI WASALLAM nay farmaya : Tumharay paas meray name say loog mukhtalif haseesain layain gay in may say jo kitabullah kay muwaafiq hogi ya meri sunnat k muwaafiq hogi wo meri taraf say hogi aur jo quran paak aur meri sunnat kay khilaaf hogi wo meri taraf say nahi hogi :
AL-KIFAYAH KHATEEB BAGHDADI :
maloom huwa k bohot si hadeesain sunnat ko mitanay wali hoon gi ¤
• 23 = AANHAZRAT SALLALLAHU ALAHI WASALLAM nay ALAIKUM BISUNNAT to farmaya ALAIKUM BIHADEESI kaheen nahi farmaya ¤
• 24 = Baaz germuqallid kaha kartay hain k sunnat aur hadees 1 hi cheez hay lekin ye baat guzashtah hadees k khilaaf hay - wo koi sareeh hadees pesh karain k sunnat aur hadees 1 cheez hay ?
• 25 = AANHAZRAT SALLALLAHU ALAHI WASALLAM nay farmaya : MAN RAGABA AN SUNNATI FALAISA MIN'NI [BUKHARI] mager ahlehadees sunnatoon ko chordh kar mukhalif sunnat hadeesoon per amal karnay lagay ¤
• 26 = Quran o hadees may ijma'ae ummat kay munkir ko dozakhi kaha gaya hay mager aaj ijma'ae ummat kay munkir apnay aap ko ahlehadees kehtay hain jo kisi hadees say sabit nahi ¤
• 27 = AANHAZRAT SALLALLAHU ALAHI WASALLAM nay fiqah kay mukhalif ko shetaan aur munafiq farmaya - fiqah kay mukhalif ka name ahlehadees kisi hadees may nahi ¤
•MUNKIREEN E FIQAH•
• 28 = Ahle quran kehtay hain k hum NABI PAAK SALLALLAHU ALAHI WASALLAM kay irshadaat ka inkar nahi kartay - haan sahah sitta'h o diger kutub e hadees ko hum quran kay baraaber aur deen ka maakhiz nahi mantay - to ahlehadees in ko munkireen e hadees kehtay hain lekin khud 4 fiqahoon ka inkar karnay k baad bhi apnay aap ko munkireen e fiqah nahi kehtay - ye kesa tazaad hay ?
• 29 = Ahle quran kehtay hain k ahaadees quran ki tarah yaqeeni aur daayimi zaabtah amal yani deen nahi - haan bwaqt e zaroorat in say istifadah kiya jasakta hay - yahi kuch ahlehadees fiqah kay baray may kehtay hain k ye daayimi amal keliye nahi - haan istifada kiya jasakta hay to farq kiya hay ?
• 30 = Allah ta'ala nay insanoon ki jo ye taqseem farmayi hay k kuch loog ahle zikar hotay hain - baaqi nawaaqif - in nawaqifoon ko ahle zikar say sawal ka hukum diya hay - aap is taqseem kay qaayil hain ya nahi ?
``
ISTINBAAT E IJTEHAAD
AUR•TAQLEED
• 31 = Allah ta'ala nay kuch logoon ko ahle istinbaat qaraar diya hay baaqi logoon ko in ki taraf lotnay ka hukum diya hay - is taqseem kay aap qaayil hain ya nahi ?
• 32 = Allah ta'ala nay her qoum say 1 ya chund 1 ko faqahi bannay ka hukum diya hay aur baaqi saari qoum ko in ki fiqah maannay ka hukum diya hay ya nahi ?
• 33 = Aap kay firqah may bhi ye taqseem hay ya aap kay firqah kay sub loog
• Faqahi
• Ahle zikar aur
• Ahle Istinbaat hain ?
• 34 = Aap kay firqah kay wo loog jo ahle istinbaat aur faqahi nahi aur in per bhi kitab o sunnat kay mutaabiq zindagi guzaarna laazim hay ya nahi ?
• 35 = Ager wo loog aehkaam kay paband hain to in kay liye aesay ijtehaadi aehkaam jaannay ka kiya rasta hay aur is rastay ka ikhtiyaar karna in per farz hay ya wajib ?
• 36 = Aap nay umer bhar Allah ki ebaadat aur Allah kay bandoon say Muaamilaat ijtehaad say kiye ya taqleed say ?
• 37 = Ijtehaad ki kiya kiya sharaayit hain ?
• Aap sub may moujood hay hain ya baaz may - jo loog ijtehaad ki quwwat na rakhtay huwe ijtehaad karain wo
• "FAIFTAO BIGAIRI ILMI FAZALLU WA AZALLU" kay misdaaq hain ya nahi ?
• 38 = Kiya aap tamaam masayeel may ijtehaad karnay ki aehliyat rakhtay hain ya baaz may - apnay khaas ijtehaad kay kam az kam 10 namoonay paish farmayain aur kam az kam 10 masayeel wo likhain jin may aap nay taqleed farmaayi ho ?
• 39 = Ijtehaadi masayeel may mujtahid ijtehaad karay to is may savaab per 2 ajar aur khata'a per bhi 1 ajar milay ga - to ye Farman e NABAVI SALLALLAHU ALAHI WASALLAM hay
• Mager ahlehadees ka kehna hay k ye raaye aur ijtehaad kaar e shetaan hay
• Ye kis hadees may hay ?
• 40 = Aayimmah mujtahideen ki taqleed ko shirk kehna aur apnay nafs ki taqleed ko farz kehna - yani feham e mujtahid hujjat nahi kiyoonkay khata'a say masoom nahi mager feham e na aehl hujjat hay k masoom anil khata'a hay misel rasool o khuda kay - isy liye jo loog is kay feham ka inkar kartay hain to wo ye nahi kehtay k inhoon nay hamaray feham ka inkaar kiya balkay kehtay hain k is nay
KHUDA O RASOOL SALLALLAHU ALAHI WASALLAM ka inkaar kiya ?
• 41 = Roz e awwal say aaj tak yahi mamool raha hay k aami ko jo maslah puchna ho - wo aalim say pusha - aalim nay hukum btaya - saayil nay maana aur kaarbund huwa
• SAHABA KIRAAM RAZI ALLAHU AUNHUM say aaj tak - hukum batatay waqt ulama'a nay kabhi awaam ko daleel e tafseeli is tarah bayaan nahi ki k is ko khoob zehan nasheen hojaye k ye hukum
• Sabit saheeh
• Wazeh aur
• Sareeh ger mua'ariz aur
• Ger mansookh hay na kabhi aami nay aesi daleel e tafseeli ka mutaalibah kiya - yahi taqleed hay aur kutub e hadees : MASLAN
• Kitaab ul aasaar
• Mouta'a
• Abdul Razzaq
• Ibne abi sheeba'h
aur diger kutub e hadees kay taraajum o abvaab may ye aftab nisf ul nahaar ki tarah sabit hay
• Hazaarhaa fatawa'a SAHABA KIRAAM RAZI ALLAHU AUNHUM aur TABAYEEN KIRAAM REHMAHULLAH kay kutub e hadees may aur
• Laakhoon fatawa'a fuqaha'a kay kutub e fiqah o fatawa'a may bharay pardhay hain jin may na mufti nay na daleel e tafseeli bayan ki na mustafti nay daleel e tafseeli ka mutaalibah kiya na muhaddiseen nay aesay fatawa'a ko mardood qaraar day kar kitaboon say khaarij kiya to germuqallideen kay nazdeek dour e SAHABA KIRAAM RAZI ALLAHU AUNHUM say lay kar aaj tak kay sub aami mushrik huwe aur tamaam ulama'e ummat mushrik gar huwe ?
• Kaha hay khair ul Quroon ? aur
• Kaha hay Khair ul Ummat ?
ZAMANA KHAIR UL QUROON
GUROOH DAR GUROOH
• 42 = SAHABA KIRAAM RAZI ALLAHU AUNHUM quran paak may
• FARRAQU DENAHUM WAKAANU SHAIYAA pardhtay rahay mager gurooh dar gurooh hogaye
• Makkah may Hazrat ibne Abbas razi allahu aunhu aur in kay muqallideen ka mazhab chalta tha
• Madinah may Hazrat Umar razi allahu aunhu ka alag mazhab tha
• Kufah may Hazrat Ali razi allahu aunhu aur Hazrat Ibne Masood razi allahu aunhu ka alag mazhab
• Aaj bhi kutube hadees in kay ikhtelaafi fatwoon say bharpoor hain
• Phir Hazrat Ata'a rehmahullah ka mazhab alag
• Hazrat ibrahim nakh'ai rehmahullah ka alag
• Hazrat Hasan Basri rehmahullah ka alag
• Hazrat mujahid rehmahullah ka alag
in kay ikhtelafaat aaj tak kitaboon may baaqi
• wo loog agercha'yh
• Abbasi
• Masoodi
• Ataa'yi
wager na kehlaaye mager kaam wahi raha jo
• Hanafi
• Shafayi
• Maalki
• Hunbali kartay hain
Hamain kaam say kaam hay na k name say phir ye
• Khair ul Quroon
aur
• Khair ul Ummat kesay huwa ?
HIJR PARASTI SHIRK
MAGERIBNE HIJR PARASTI
TAUHEED
• 43 = Aap hazraat Aayimmah lugat ki taqleed kartay hain
• Aayimmah sarf
• Aayimmah nahu aur
• Aayimmah ausool
ki taqleed kartay hain
• Rawiyoon ko zaeef aur siqah kehtay hain to
• Ulama'a Isma ur rijaal ki taqleed kartay hain
• Rawiyoon ki pedayish
• Rihaayish
• Mout may mua'arrikheen ki taqleed kartay hain
• Hadees kay zaeef o saheeh honay may muhaddiseen ki taqleed kartay hain
• Ye sub taqleedain kartay hain kis kay hukum say ?
• Kiya khuda o Rasool Sallahu Alahi Wasallam nay in ki taqleed ka hukum diya tha ?
• Aur aap kay koi bardhay buzrup farmagaye thay k beta sub ki taqleed karna bus Aayimmah Arbah may say kisi ki taqleed na karna ?
• 44 = Aap hazraat ki taqreer o tehreer say wazeh hay k
• Aayimmah Arbah ko to deen kay tukrdhay karnay wala kaha jata hay
• Lekin in kay muqallideen jesay
• Ibne Hijr rehmahullah
• Imam Nanavi rehmahullah
ki jootiyaan tak chaaty jati hain
• Jub Hazrat Imam Shafayi rehmahullah ki taqleed shirk hay to Ibne Hijr rehmahullah ki taqleed kiya emaan hay ?
• Ajeeb baat Hijr parasti shirk ho mager Ibne Hijr rehmahullah parasti tauheed
• Mushrikeen ka bhi kuch aesa hi tarz tha k
• RABBUL ARBAAB ZIL ARSH • ko chordhkar is kay bandoon ki bandigi kartay thay ¤
GERMUQALLIDIYAT
MANSAB E RISALAT PAR
• 45 = Jesa k ahle biddat ka tareeq hay k apni har adaa biddat husnah kehtay hain aur dusroon ki gustakhi ka name detay hain isi tarah aap bhi apni daleel ko 3 baar puraz zour say
• Saheeh
• Saheeh
• Saheeh
kehtay hain aur mukhalif jitni ahadees pardhay puri taqat say in ko
• Zaeef
• Zaeef
• Zaeef
kaha jata hay aur jo aap kay feslay ko na manay usay khuda ka munkir aur NABI SALLALLAHU ALAHI WASALLAM ka dushman kaha jata hay - aap nay kub say mansab e risaalat sanbhala k aap kay fesloon ka munkir - munkar e RASOOL SALLALLAHU ALAHI WASALLAM qaraar paaya ?
MUQALLID PATTAY WALA
AUR GERMUQALLID BAY
PATTAH KUTTA BAN BETHA
• 46 = Tareekh e islam is per shaahid adal hay k Awaam to kaja Ulama'a bhi KHER UL QUROON kay baad ijtehaad ki waadi may qadam rakhtay huwe dartay thay isi liye Ulama'a khuwah
• Mufassireen ho ya Muhaddiseen
• Qaazi ho ya Mufti
• Fuqaha'a hoon ya Mua'arikheen
• Salaateen hoon ya Wuzara'a
in sub kay Halaat may 4 hi qisam ki kitabain milti hain
• Tibqaat e Hanfiyah
• Tibqaat e Shafiyah
• Tibqaat e Malkiyah
• Tibqaat e Hanablah
Tibqaat e Germuqallideen naami koi kitab Ulama'a kay halaat may nahi likhi gayi mager aaj maadar pader aazadi aur zehni aawargi ki waba'a aesi pheli k in tamaam muqallideen ko pattay wala kutta kaha jata hay jo 1 hi maalik kay wafadaar aur 1 hi ghar say khatay hain aur her jahil Germuqallid bay pattah kutta ban betha hay jo
• Kabhi apnay imam masjid ki qay chatta hay
• Kabhi waheed uz zamaan ka fuzla talaash karta hay
• Kabhi Hidaya'h aur Fatawa'a Aalamgiri say chori Doodh penay ki koshish may pitta hay
• Kabhi apnay nafs ko ma'abood bana kar poojna shuro kardeta hay
• Pit pitaa kar Aayimmah Mujtahideen kay mou'nh aanay lagta hay
• In kay Ahkaam samajhnay ki liyaqat nahi mager in kay Ahkaam parakhnay ki himmat dikhata hay
• Katta hay - Dordhta hay
• Baqoul Moulana Room kay
• May fashanad noor sagh - ao ao kunad
• Her kasaay ber teenat khu khu kunad
• 47 = Dawa'a to ye karta hay k KHUDA aur RASOOL SALLALLAHU ALAHI WASALLAM kay siwaa kisi ki baat hujjat nahi lekin Ma'adiloon aur Jarahoon ko darmiyaan may khardha kar rakha hay k in kay Qoul ko na sirf ye k Quran o Hadees per haakim banadeta hay - wo SHAREEK FIL AULIHIYAT na ho to SHAREEK FIL RISAALAT zaroor hain balakay misdaaq
• "ITTAKHAZU AHBAARAHUM WA RUHBAANAHUM ARBAABAM MIN DUNILLAH" ka hay
• 48 = Aayimmah aur Aqwaal may her muqallid Aami ko Takhyeer hay ya Takhayiyur aur is ki kiya sabeel hay ?
• 49 = Ye Takhyeer ya Takhayiyur mutlaq hay ya Aayimmah Arbah Rehmahullah may mehsoor ?
• 50 = TALFEEQ aap kay haan jayiz hay ya FASAQ ?
• Mukhtalif Aamaal may ya 1 Amal may bhi ?
• Qabel Amal ya baad Amal bhi ?
TAQLEED
• 51 = TAQLEED KEHTAY HAIN !!!!!
• Kisi ka qoul mehaz is husn e zan per maan lena k ye Daleel kay muwafiq batlaye ga aur is say is ki Daleel ki Tehqeeq na karna
[•FATAWA'A SANAYIYAH PAGE NUM 260 JILD NUM 1•]
yani Taqleed ka Talluq
• Aetmaad
• Aetbaar aur
• Husn e Zan par hay -Iska matlab ye nahi k Qaayil kay paas is Qoul ki Daleel nahi hoti balkay Qaayil kay paas is Qoul ki tafseel hoti hay - sirf Saayil nay wo Daleel e Tafseel is liye talab nahh ki k is per Aetbaar karliya to Tark e Taqleed ye hay k kisi ki baat mehaz Aetbaar say na manna balkay kisi baat ko bagair Daleel e Tafseeli QURAN O HADEES kay na manna
• Kiya kisi Nafsul Amar may Badaleel baat ko Bilamutalbah Daleel manna
• Kufar
• Shirk
• Haraam ya
• Biddat hay ?
• 52 = Aaj kal 100% Musalmaan aesay hay jo is liye Musalmaan hain k Musalmanoon kay ghar paida huwe
• Wo kisi GERMUSLIM kay saamnay ISLAM ki sadaaqat ko Dalaayil say bayaan nahi karsaktay khud ISLAM ko Bilamutalba Daleel tasleem kiya hay
• Ye loog Musalmaan hay ya Kafir ?
• Ager in per Rehm farmaker in ko Musalmaan kaha jaye to Farmaayiye k jub Eimaniyaat may Taqleed jayiz hay to Furuaat may kesay Kufar hogi ?
• 53 = Ager koi Kafir Bilmutalba Daleel Musalmaan hojaye to us ko Musalmaan mana jaye ga ya wo DOUBLE KAFIR hojaye ga - 1 Kufar pehlay tha 1 Kufar Taqleedi hogaya ?
• 54 = MA'AZALLAH !! Ager ko Musalmaan Bilamutalbah Daleel Murtad hojaye to us ko Murtad mana jaye ga ya Musalmaan ?
• 55 = AAJ KAL 100% GERMUQALLID Namazi bhi - Namaz kay tamaam juziyaat kay dalaayil tafseeliyah say nawaaqif hain - in ki Namaz mehaz apnay Molviyoon ki Taqleed may adaa horahi hay
• Kiya ye loog Namaz pardh kar Taqleed ki wajah say KAFIR aur MUSHRIK hain ya nahi ?
HUSN E ZAN PER TILAAWAT
• 56 = AAJ KAL 100% Awaam GERMUQALLID jo Quran paak ki Tilaawal kartay hain wo na Aaraab kay dalaayil jantay hain na Auqaaf kay
• Sirf is Husn e Zan par Tilaawat kartay hain k agerchah hamain dalaayil yaad nahi
• Mager is Quran paak ki
• 1 Zabar
• 1 Zair
bhi bagair daleel kay nahi
• Ulama'a kay paas 1 - 1 Zabar ki daleel moujood hay
• Is Husn e Zan par Tilaawat karnay say Aadmi Kafir hojata hay ya nahi ?
GERMUQALLIDOON KA
TAQLEEDI HAJJ
• 57 = Aap kisi GERMUQALLID HAJI SAHAB ko bithalain - is say HAJJ ka tareeqah biltafseel - biltarteeb puchna shuro kardain aur her juzayi maslah ki Daleel tafseeli puchtay jayain wo bechara logoon ki dekha dekhi mehaz Taqleedan HAJJ karkay aaya hay to wo Taqleedi HAJJ kay baad Musalmaan raha ya Kafir hogaya ?
GERMUQALLIDOON KA TAQLEEDI JANAZAH
AUR BILAJANAZAH MAYIYAT
KO QABER MAIN PHENK AANA
• 58 = Aap kisi GERMUQALLID ko janazah kay mouqay per pakardhlain - pehlay is say Biltarteeb Mufassil Namaz e Janazah likhwaaker Dastkhat karwalain phir is say puchain k is may
• Farayiz kitnay hain ?
• Sunnatain kitni hain ?
Wo bagair kisi ki Taqleed kay hergiz nahi batasakay gaa ¤
• 59 = Phir is say puchain k
• Aap pehli Takbeer e Tehreemah kay baad
• Sana'a
• Ta'auz
• Tasmiyah
• Fatiha'h
• Aameen
• Surat Pardhtay hain
ye 7atoon cheezain Biltarteeb Janazah ki Hadees may dikhladain ?
• Wo hergiz na dikhasakay ga ¤
• 60 = Phir is say kahain k Dusri Takbeer kay baad Durood e Ibraheemi is tarah k
• Imam buland awaaz say pardhain aur
• Muqatadi Aahistah awaaz say is ki Daleel Quran ya Hadees say Dikhadain ?
• Wo hergiz na dikhasakain ga ¤
• 61 = Phir puchain k Teesri Takbeer kay baad 10 - 11 Dua'yain
• Imam buland awaaz say pardhay aur
• Muqtadi Aameen Aameen kehta rahain
is ki Sareeh Hadees dikhao ?
• 62 = Phir ye Chothhi Takbeer kay baad
• Imam buland awaaz say aur
• Muqtadi Aahistah awaaz say Salaam pherain - Iski Daleel Lao ?
• Wo hergiz na laa sakay ga
• Jub Taqleedi Amal in kay nazdeek Baatil hay to Goya ye Bilajanaza Apni Mayiyat ko Qaber may phenk aaye
• yani jis Germuqallid ka Inteqaal huwa uski Mayiyat ¤
GERMUQALLID AURAT KI
APNAY GHULAM SAY
• 63 = Ager Ummatiyoon per Aetmaad Shirk hay to Quran ki bohot si Aayaat per Saheeh Amal Namumkin hojaye ga
• Maslan 1 GERMUQALLID nay ye Aayat pardhli
• "WA'ABUDU RABBAKA HATTA YATIYAKAL YAQEEN"
• TARJUMAH = Aub ibaadat kar apnay Rab ki k tujhay yaqeen ajaaye
• is nay sub ibaadatain chordeen k eibadaat asal maqsood na thi asal maqsood to yaqeen tha wo mujhay haasil hochuka hay
• Ab Mufassireen k Aqwaal dikhayain k is Aayat may yaqeen say muraad Mout hay
• Wo kehta hay may Ummatiyoon ki baat maannay ko shirk samajhta hoon ¤
• 64 = Milk e Yameen Ghulaam aur Londi donoon ko kehtay hain
• Ab Quran paak ki jis Aayat kay mutabiq Aaqa ko apni Londi kay sath sohbat karnay ka haq hay
• Isy Aayat say 1 Germuqallid Aurat apnay Ghulaam say sohbat karwanay lagay to aap kesay rokain gay
• Mufassireen ki baat ko wo Quran kay khilaaf keh kar Rad kardeti hay ¤
• 65 = Aayat Wazu'o may na chehray ki had mazkoor hay na Ghusal aur Masa'h ka farq
• To is per GERMUQALLID kesay amal karay ga ?
• 66 = 1 Germuqallid Quran ka zaahirh tarjumah pardh kar wazu'o may paaon per masa'h karta hay aur kehta hay k asal Quraani hukum masa'h hi hay agerchah Hadees say Ghusal ka bhi jawaaz hay
• Wo Galat wazu'o say namazain barbaad kar raha hay
• Ahaadees ko Zaeef keh kar taalta hay ¤
` ROZA RAKHNAY KAY BAJAYE
•FIDYAH DAY DENA
67 = 1 Germuqallid Ramzan kay Rozay nahi rakhta or Fidyah day deta hay Aur ye Aayat pardh deta hay
• WALLAZEENA YUTIQUNAHU FIDYATUN TA'AAMIN MISKEEN
• Ab koi Mansookh kehta hay ya salb maakhiz ka Qoul karta hay to Ummatiyoon kay Aqwaal hain jo Hujjat nahi ¤
QURAN KA HAAL
• 68 = 1 Germuqallid nay 2 behnoon say 1 hi dafa'h Nikah karliya kisi nay Aayat pesh ki k
•"LAA TAJMAU BAINAL AUKHTAIN" Quran may aaya hay
• Is nay kaha ! Is ka matlab 1 makaan may jama'a karna hay
• Ager alag alag makaan may rakhay to is Aayat kay khilaaf nahi
• Isko is her Mufassireen kay aqwaal pesh kiye gaye k Nikah may jama'a karna muraad hay
• Is nay kaha may Ummatiyoon kay aqwaal maan kar Mushrik nahi ban sakta
• Ye Quran ka haal hoga ¤
• 69 = Aur Hadees ko to Aetmaad o Aetbaar kay bagair maana hi nahi jasakta
• Aaj ISMA'A UR RIJAAL ki kitabain 2 qisam ki hain - 1 wo jin ko manqah samjha jata hay jesay
• Taqreeb ul Tehzeeb
• Tehzeeb ul Tehzeeb
• Tazkirat ul Huffaaz
• Meezan ul Aetidaal
• Khulasah Tehzeeb ul Kamaal
in may na Jaare'h tak koi sanad ha jarah ki koi wazeh Daleel
• In kitaboon per Aetmaad Taqleer dar Taqleed ¤
• 70 = Dusri Qisam ki kitabain Germanqah hain jin may her qisem ki Ratb o Yabis batain asaaneed say mazkoor hain lekin asaaneed kay baaz raavi aesay hain jinkay halaat namaloom hain to aesi kitaboon per bhi Aetmaad karna Mehaz Taqleed hi Taqleed hoga ¤
•
DUNIYA KA SUB SAY
PEHLA GUNAAH
• 71 = Duniya may sub say pehla gunaah Tark e Taqleed hi huwa hay
• ALLAH TA'ALA nay HAZRAT ADAM ALAHIS SALAAM ko sijda'h ka hukum diya - ye hukum tha is kay sath koi Daleel na thi - Farishtay hukum suntay hi Bilamutalbah Daleel sijday may girgaye - yahi Tasleem ul Qoul Biladaleel hay aur Taqleed ka Haar galay may pehn liya
• Mager Shetaan nay is Biladaleel hukum ko Tasleem na kiya aur Taqleed kay Haar per La'anat kay Touq ko tarjeeh di ¤
KIYA SAHABA'H KIRAAM RAZI
ALLAHU AUNHUM AJMAYEEN MUSHRIK HOGAYE ??
• 72 = HAZRAT SIDDIQUE E AKBAR RAZI ALLAHU AUNHU nay jub jama'a Quran ka hukum diya to HAZRAT FAROOQ E AZAM RAZI ALLAHU AUNHU nay arz kiya aap wo kaam kiyoon kartay hain jo
• HUZOOR SALLALLAHU ALAHI WASALLAM nay nahi kiya
• HAZRAT SIDDIQUE E AKBAR RAZI ALLAHU AUNHU nay sirf ye farmaya k ALLAH ki qasam ye achhaayi hay koi Aayat ya Hadees na pardhi
• Sub SAHABA nay isay Bilatalb e Daleel tasleem farmaliya "BUKHARI" ¤
• 73 = HAZRAT SIDDIQUE E AKBAR RAZI ALLAHU AUNHU ki be'at kay waqt
• HAZRAT UMAR FAROOQ RAZI ALLAHU AUNHU nay ye Qiyaas farmaya k
• AANHAZRAT SALLALLAHU ALAHI WASALLAM nay HAZRAT SIDDIQUE E AKBAR RAZI ALLAHU AUNHU ko namaz may hum sub ka IMAM banadiya tha
• Isy per Qiyaas karkay hum Aehkaam e Saltanat may bhi aap ko aagay kartay hain
• Sub SAHABA KIRAAM RAZI ALLAHU AUNHUM nay us Qiyaas ki Taqleed may Be'at ki
• Kiya Germuqallideen kay nazdeek is Qiyaas ki waja'h say MA'AZALLAH HAZRAT UMAR FAROOQ RAZI ALLAHU AUNHU Shetaan banay ??? Hergiz nahi
• Shetaan to in kay saaye say bhaagta tha aur
• Kiya sub SAHABA KIRAAM RAZI ALLAHU AUNHUM mushrik hogaye ??? Hergiz nahi
• Inko mushrik kehna apnaz emaan ko barbaad karna hay ¤
• HAZRAT SAYYIDINA SIDDIQUE E •
•AKBAR RAZI ALLAH AUNHU SAY•
TAQLEED KA SABOOT
• 74 = HAZRAT ABU BAKER SIDDIQUE RAZI ALLAHU AUNHU nay apnay manshoor ka elaan yoon farmaya k aap
• Pehlay maslah Kitabullah say lettay ager na milta to
• Sunnat say letay ager kisi maslah ka nishaan na Quran may milta na Sunnat may to IJTEHAAD kartay
• Aur farmatay "HAAZA RAAYI" ye meri Raaye hay
• Ager Savaab ho to ALLAH ki taraf say
• Ager Khata'a ho to meri taraf say hay aur may ALLAH say bukhshish talab karta hoon ¤
[ JAMA'E BIYAAN UL ILM JILD NUM 2 PAGE NUM 51 ]
• Afsoos her jaahil Germuqallid ye Dawa'a karta hay k may sub Masayeel saaf tor per Quran o Hadees may dikha sakta hoon
• Goyaa is ka ilm Quran o Hadees kay baray may HAZRAT ABU BAKER SIDDIQUE RAZI ALLAHU AUNHU say ziyaada hay
• Is riwaayat say maloom huwa k jub HAZRAT ABU BAKER SIDDIQUE RAZI ALLAHU AUNHU raaye say maslah batatay to sub loog in ki raaye ko maantay - yahi TAQLEED hay
• Maloom huwa DOOR E SIDDIQUE RAZI ALLAHU AUNHU may koi Germuqallid na tha jo HAZRAT ABU BAKER RAZI ALLAHU AUNHU ki raaye ko kaar e iblees kehta aur is raaye ki pairvi karnay walaoon ko mushrik kehta ¤
• 75 = HAZRAT ABU BAKER SIDDIQUE RAZI ALLAHU AUNHU nay HAZRAT UMAR FAROOQ RAZI ALLAHU AUNHU ko Khalifa'h naamzud kardiya
• Is hukum nama'h may na Aayat say Daleel bayaan ki na Hadees say
• Mehaz apni raaye say aesa kiya - tamaam SAHABA KIRAAM RAZI ALLAHU AUNHUM nay aapki raaye ki TAQLEED may HAZRAT UMAR FAROOQ RAZI ALLAHU AUNHU ko Khalifa'h Tasleem karliya
• Yahi Tasleem ul Qoul Biladaleel Taqlee hay ¤
•HAZRAT UMAR FAROOQ
RAZI ALLAHU AUNHU SAY
TAQLEED KA SABOOT
• 76 = HAZRAT UMAR FAROOQ RAZI ALLAHU AUNHU nay Khalifa'h bantay hi apna Manshoor tamaam Mujtahid Qaaziyoon ko ye bhej diya k
• Ager Kitabullah aur Sunnat e Rasoolullahi Sallallahu Alahi Wasallam may Maslah na milay to IJTEHAAD o RAAYE say faisla'h karo ¤
[ JAMA'A BIYAN UL ILM JILD NUM 2 PAGE NUM 56 ]
• 77 = HAZRAT UMAR FAROOQ RAZI ALLAHU AUNHU kay zamanay may SAHABA KIRAAM RAZI ALLAHU AUNHUM in kay hukum say saara mahina Masjid may Bajama'at Taraweeh pardhnay lagay jo bazaahir
• HUZOOR SALLALLAHU ALAHI WASALLAM kay hukum Mubarak k FARZ kay baad baaqi Namazain ghar may pardha karo [BUKHARI] kay khilaaf tha jub kay HAZRAT UMAR FAROOQ RAZI ALLAHU AUNHU nay koi daleel bayaan na farmaayi thi ¤
• 78 = Jo loog DOOR E FAROOQI
• USMANI
• ALVI
may 20 Raka'at Taraweeh pardhtay thay aap kay nazdeek wo Aamil ba Sunnat thay ya kisi IJTEHAAD kay Muqallid ?
• 79 = HAZRAT UMAR FAROOQ RAZI ALLAHU AUNHU nay 3 Talaaq ko 3 Qaraar denay ka elaan farmaaya to sub nay us ko Tasleem karliya
• HAZRAT UMAR FAROOQ RAZI ALLAHU AUNHU nay is kay sath na ko Aayat Batoor e Daleel pesh farmaayi na Hadees
• Ye Tasleem ul Qoul Biladaleel TAQLEED hi hay ya kiya ?
HAZRAT USMAN E GHANI
RAZI ALLAHU AUNHU SAY TAQLEED KA SABOOT
• 80 = HAZRAT UMAR FAROOQ RAZI ALLAHU AUNHU kay baad HAZRAT USMAN RAZI ALLAHU AUNHU kay hath par Be'at is shart par huwe k wo HAZRAT ABU BAKER o HAZRAT UMAR FAROOQ RAZI ALLAHU AUNHUM kay tareeqah ki pairvi karain gay
• Kiya is Iqraar say jo Be'at huwe wo Khilafat
• Germuqallidoon kay Ausool per Saheeh hay ya Galat ?
• 81 = HAZRAT USMAN RAZI ALLAHU AUNHU kay zamanay maz Jumma'h ki Azaan ka jo Izaafah huwa is ka elaan kartay waqt HAZRAT USMAN RAZI ALLAHU AUNHU nay koi Aayat ya Hadees Bator e Daleel bayaan farmaayi thi ya sub SAHABA KIRAAM RAZI ALLAHU AUNHUM nay Bilamutalbah Aap kay hukum ko Tasleem karliya jo TAQLEED hay ?
•• GERMUQALLIDEEN KAY LIYE ••
LAMHA E FIKRIYAH
• AB BHI AGER HOSH NA AAYA
• MOUT KO PAAOGAY JIDHER JAAOGAY
• 82 = AANHAZRAT SALLALLAHU ALAHI WASALLAM nay ALLAH TA'ALA say Dua'yain maang maang kar Quran Paak k 7atoon Lughaat par tilaawat ki Ijaazat li thi
• Mager HAZRAT USMAN RAZI ALLAHU AUNHU nay SAHABA KIRAAM RAZI ALLAHU AUNHUM kay mashwarah say Lughat e Quraish kay elawah baaqi 6 lughaat par Quran Paak ki tilaawat say mana'a farmadiya
• Is par koi Aayat ya Hadees pesh na farmayi
• Ummat ko Ikhttelaaf say bachaanay ki maslehat thi
• Sub logoon nay aap kay is farmaan ko Bilamutalbah Daleel Tasleem karliya yahi TAQLEED hay ¤
DOOR E SAHABA KIRAAM
RAZI ALLAHU AUNHUM
AJMAYEEN MAY 1 BHI
GERMUQALLID NAHI THA
• 83 = AANHAZRAT SALLALLAHU ALAHI WASALLAM kay SAHABA KIRAAM RAZI ALLAHU AUNHUM ki ta'adaad 1 Lakh say mutajaaviz thi jinki Maadri zaban bhi Arbi thi
• Baqoul MOULANA SHAH WALI ULLAH REHMAHULLAH k
• Hazrat Siddique e Akbar Razi Allahu Aunhu kay baad
• Hazrat Umar Farooq Razi Allahu Aunhu
• Hazrat Usman Razi Allahu Aunhu
• Hazrat Ali Razi Allahu Aunhu aur
• Hazrat Abdullah Bin Masood Razi Allahu Aunhu wa
• Ibne Abbas Razi Allahu Aunhu
kamiyaab Mujtahi thay aur
• Hazrat Abdullah Bin Umar Razi Allahu Aunhu aur
• Hazrat Ammi Ayisha Siddiqah Razi Allahu Aunha
Juzvi tor par Mujtahid thay
[ HUJJATULLAHI BAALIGHA aur QURRAT UL AYINAIN fi TAFSEEL UL SHAIKHAIN ]
May farmatay hain
• SAHABA 2 GUROOH BUDAND MUJTAHID O MUQALLID maloom huwa k Door e Sahaba Kiraam Razi Allahu Aunhum may 1 bhi GERMUQALLID na tha ¤
••GERMUQALLID CHHUP CHHUP••
•••KAR TAQLEED KARTAY HAY•••
••KIYOONKAH BAGAIR TAQLEED••
• GUZARA NAHI
• 84 = Zaid nay 1 mard ko Zina ki tohmat lagaayi is par kitni HAD lagay gi ?
• Saaf Hadees pesh karain Aurat par Qiyaas na karain ?
• SIRF APNAY AUSOOL PAR QAYIM RAHIYE
• KIYOONKAH AAP KAY NAZDEEK QIYAAS KARNA SHETAANI AMAL HAY
• 85 = SUDHHAAYE HUWE KUTTAY KA SHIKAAR HALAAL HAY
• Ye Quran o Hadees may hay
• Ager koi
• Sher
• Cheetay
• Bhherdhiye
• Bandar
• Baaz
• Shikraay
wagerah ko Taleem day lay to in ka shikaar Halaal hoga ya Haraam ?
• Qiyaas say ya kis Nas say ?
• 86 = Bhens ko Arbi may JAMOOS kehtay hain
• Ye lafz na Quran hay na Hadees may
• Ab Bhens ka Gosht
• Doodh
• Dahi
• Ghee
• Paneer
• Lassi
Halaal hay ya Haraam ?
• Gaaye par Qiyaas karkay ya kisi Nas say to wo pesh karain ?
• 87 = Choha Ghee may gir kar marjaaye us ka hukum Hadees may moujood hay
• Ager Billi ka bachcha
• Khinzeer ka bachcha
• Kuttiya ka bachcha
• Chupkali
• Saanp
• Bichchho
• Chiyoti
• Bhirdh
• Jhheengar
wagerah Ghee may gir kar marjaayain to in ka hukum Qiyaas say maloom hoga ya kisi Nas say ?
• 88 = Ager Tail
• Dahi
• Doodh
• Sharbat
• Sirkah
• Sheeray
• Lassi
• Arq
wagerah may choha gir kar marjaayain to is ka hukum kisi Sareeh Nas may moujood hay ya Gher par Qiyaas say maloom kiya jaaye ga ?
• 89 = Kiya BE'A UL EINAM BILZABEEB jayiz hay ?
• Kisi Nas say ya BE'A UL RITAB BILTIMER par Qiyaas karkay ?
• 90 = Zaid nay Zainab ko 3 Sharayi Talaqain deen
• Is nay Baker say Nikah kiya - phir Baker nay isay Talaaq day di
• Ab Aurat Iddat guzaar kar Zahd say Nikah karsakti hay ? ye maslah Quran o Hadees may hay
• Lekin ager Baker nay Talaaq nahi di Zainab nay Khula'a karaali ya Bazariyah Adaalat Nikah Fasakh karaaya to Ab Iddat Guzaar kar Zaid say Nikah karsakti hay ya nahi ?
• Aur is ka Saboot kisi Sareeh Nas say hay ya Mehaz Talaaq par Qiyaas say ?
• 91 = AANHAZRAT SALLALLAHU ALAHI WASALLAM nay farmaya
• Sonay - Chandi kay bartanoon may khana Haraam hay
• Ab Sonay Chandi kay bartanoon nay Pani lay kar Wazu'o ya Ghusal karna
• Is say Tail lagaana
• Is kay Qalam say likhna
• Is ki Silaayi say Surmah lagana
• Is ki Itar Daani say Itar chhirdhakna Halaal hay ya Haraam aur Daleel Nas e Sareeh hay ya Mehaz e Qiyaas ?
• 92 = Chandi Sonay kay Warq khana jayiz hay ya nahi ?
• Daleel koi Nas hay ya koi Qiyaas ?
• 93 = AANHAZRAT SALLALLAHU ALAHI WASALLAM nay Paththaroon say istanja'a ka hukum farmaya
• Ab koi Shukhsh
• Kaprdhay
• Tisshue
• Paper
• Royi
• Aoon
• Ghaas
• Darakht kay Pattoon say Istanja'a karay to Paak samjha jaye ga ya nahi ?
• Daleel koi Sareeh Nas hay ya Pathther par Qiyaas ?
• 94 = Londi Zina ka irtekaab karay to is par Nisf HAD hay - Zani Ghulaam par bhi Nisf HAD hogi to kisi Nas say ya Qiyaas say ?
• 95 = Ghulaam Mard 1 waqt may 4 Aurtoon say Nikah karsakta hay
• Azaad Mard par Qiyaas karkay ya sirf
• 2 Aurtoon say HAD par Qiyaas karkay ?
• HAZRAT UMAR RAZI ALLAHU AUNHU kay zamanay may Dusray Qoul par Ijma'a hogaya
• Aap NAS ka hukum pesh karain ?
• 96 = Ghulaam 3 Talaaqoon ka ikhtiyaar rakhta hay ya 2 ka ya 1.50 ka
• Jawab Nas say dain na k Qiyaas say ?
• 97 = Londi ki Talaaq ki Iddat 3 Haiz hay ya 2 ya 1.50 Haiz
• Jawab Nas Sareeh say dain
• Qiyaas na Farmayain ?
• 98 = Janbi ko Ghusal kay liye Pani na milay to Hadees may Tayammum ka hukum hay
• Haizah ya Nifaas wali ko paak honay kay liye Ghusal kay liye Pani na milay to us ko bhi Tayammum jayiz hay ?
• Kisi Sareeh Nas say ya Janbi par Qiyaas karkay ?
• 99 = Quran Paak may hay k ager Safar may Kaatib na ho to Rehn rakhlo
• Ghar may Rehn rakhna jayiz hay ya nahi ?
• Kis Nas say ?
• 100 = Ager Safar may kaatib bhi moujood ho to bhi Rehn rakhna jayiz hoga ya nahi ?
• Jawab Sareeh Nas say dain ?
• 101 = ALLAH TA'ALA farmatay hain k Pakhanah say faarig hokar wazu'o kay liye Pani na milay to Tayammum karlo
• Ager Peshaab ya
• Khurooj e Reeh ya
• Khurooj e Mazi ya
• Qay ya
• Khoon Behnay say
• Ya Aap kay mazhab par
• Mas e Zakar ya
• Aurat ko Chhonay say Wazu'o Toot jaaye to Tayammum ka jawaaz Nas say hay ya Qiyaas say ?
• 102 = Ager pani moujood hay mager piyaas ka khouf hay ya Aata goondhnay ko pani na bachay ga ya pani kay istemaal say bemaar honay ya bemaari bardhnay ka khtarah ho to Tayummum jayiz hay ya nahi aur Daleel Nas e Sareeh hay ya koi Qiyaas ?
• 103 = Ager peenay ki cheez may Makhkhi gir kar marjaye to us ko nikalnay ka hukum Hadees may hay - Aper
• Makhkhi
• Machchar
• Chiyoonti
• Bhirdh
• Jugnoo
wagerah
• Doodh
• Shurbay
• Sirkay
• Arq
may girjayain to in ko kisi Nas say nikalain gay ya Qiyaas say ?
• 104 = Hadees may baghloon kay baal aukhardhnay ka hukum hay [BUKHARI]
• Aaj kar Germuqallid austaray say saaf kartay hain
• Is ki Hadees dikhayain ?
• 105 = Jo Germuqallid Aurtain Powder aur Cream say baghloon kay baal saaf karti hain wo kis Hadees par Amal karti hain ?
• 106 = Hadees may zer e naaf baal austaray say lenay ka ziker hay
• Germuqallid Aurtain Cream - Powder kay istemaal may kis Hadees par Amal karti hain ?
• 107 = ALLAH TA'ALA nay Qarz kay mutalliq nisaab e shahaadat kay baray may ye bayan farmaya k
• 2 Mard ya
• 1 Mard 2 Aurtain
Ab sawal ye hay k
• Miraas
• Wasiyat
• Amaanat
• Ghazab
aur Diger
• Maali Muamlaat
may bhi Nisaab e Shahaadat yahi hoga ?
• To Nas say ya Qiyaas say ?
• 108 = Kuttay kay JHHOTAY ka Napaak hona to Hadees may hay
• Khinzeer
• Sher
• Cheetah
• Bherdhiya
• Bandar
• Gainda
• Geedar
• Lomrdhi
wagerah darindoon kay jhhotay ka hukum is par Qiyaas karliye jaye ga ya her 1 kay liye Naam Bnaam Sareeh Nas pesh karsaktay hain ?
• 109 = Manderjah balaa Jaanwaroon kay jhhotay kay hukum kay elawaah in jaanwaroon kay
• Peeshaab
• Pakhanay
• Qaay
• Khoon
• Paseenay
wagerah kay
• Paak
ya
• Napaak
honay ki Naam Bnaam Sareeh Nasoos moujood hain ya
• Ye kaam Qiyaas say hi liya jaye ga ?
• HAZRAAT E GIRAAMI !! NABI KAREEM SALLALLAHU ALAHI WASALLAM ki Hadeesoon par Amal karnay ka Daayi Firqah Ahlehadees to khud Qiyaas par Amal karkay Mushrik bana betha hay kiyoonkay in kay haan Qiyaas par Amal karna Shirk hay aur Hum jo Hanfi hain hamain ye Qiyaas par Amal karnay say Mushrik batlaatay haiy
• Bhala ye kaha ka Insaaf hay k Germuqallid ager Qiyaas par Amal karain to Ahlehadees kehlayain
• Feslah aur Insaaf Josh may nahi Hosh may karain ¤
• 110 = QURAN PAAK may Parda'h ki Aayat may Hasar kay sath in ka hay jin say Parda'h nahi in kay elaawah sub say Parda'h hay mager in may
• Mamu
• Chacha
• Taayaa
kay ziker nahi to kiya in 3eenoon say Parda'h Farz hoga ya is waja'h say k jin say Parda'h nahi wo Mehram hain yani in say hamesha kay liye Nika'h Haraam hay aur ye waja'h
• Chacha
• Mamu
• Taayaa
may bhi moujood hay is liye is Hasar ko Tordh diya jaye ga aur in 3eenoon say bhi Parda'h Farz na hoga ?
• 111 = QURAN PAAK may Maa Baap kay samnay [UFF] kehnay say mana'a kiya gaya
• Ab koi Maa Baap ko
• Maaray
• Peetay ya un kay
• Moun'h par Thhookay
to is Aayat ki Dalaalat say wo bhi Haraam hoga ya nahi ?
• Kiya aap Dalaalat un Nas ko maantay hain ya nahi ?
• 112 = Ager aap
• Dalaalat un Nas
• Isharat un Nas
• Iqteza'a un Nas
ko maan tay hain to in ki Jama'e Mana'e Tareef bayaan farmayain ?
• 113 = Ager aap aesay masaayil may Qiyaas ko maantay hain
• To apnay aap ko Ahl e Qiyaas kiyo nahi kehtay ?
• Ahlehadees kiyo kehtay ho ?
• 114 = Hanfi
• Shafayi
• Maalki
• Hunbali
bwaqt e zaroorat Qiyaas ko maantay hain in sub ka Ausool e Fiqa'h moujood hay
• Ager aap Qiyaas ko maantay hain
• To apni Jama'at ki Musallima'h Kutub Ausool e Fiqa'h ki fehrist dain ?
• Ye kub likhy gayeen aur in may say kon kon si aap kay hay Daakhil e Nisaab hain ?
• 115 = MAZAAHIB E ARBA'H Qiyaas ko maantay hain to in sub ki Fiqa'h ki kitabain moujood hain jo Daakhil e Nisaab aur Madaar e Fataw'a hain
• To apni Musallimah Kutub e Fiqah jo Daakhil e Nisaab hoon in ki Fehrist bayaan farmayain ?
• 116 = Aap kay haan Mujtahid ki sharaayit wohi hain jo Mazaahib e Arba'h may Musallam hay ya kuch kam ya ziyada hain to irshaad farmayain ?
• 117 = Kiya aap kay her shukhsh may sharaayit ijtehaad kaamil tor par moujood hain ya baaz may ?
• 118 = AAYIMMAH ARABA'H ka mujtahid hona Daleel sharayi yani Ijma'a e Ummat say Sabit hain
• Aap kay haan kon kon say Mujtahid huwe hain jin ko AHLE SUNNAT WAL ki tamaam Jama'atoon nay Ijtehaad ka jama'e tasleem kiya ho
• In ki Tareekh Pedayish wagerah bayan farmayain ?
• 119 = Aap kay Qiyasaat Qatayi hotay hay ya Zinni
• Aap kay haan Qatayi aur Zinni ki Tareef aur in ka hukum kiya hay bahawala bayaan farmayain ¤
• 120 = Aap kay Mujtahideen may Ikhtelaaf bhi hota hay to ya nahi ?
• Ager hota hay to Donoon Haq par samjhay jatay hain ya 1 ko Haq dusray ko Baatil kaha jata hay ?
• 121 = Is ikhtelaaf ki bunyaad in kay Ikhtelaafi Ausool hain to wo kis kitab may hain ya ikhtelaaf mehaz Itteba'a e Hawa may hota hay ¤
• NABI PAAK SALLALLAHU ALAHI •
WASSALLAM PAR JHOOT
AUR AWAAM SAY FIRAADH
• 122 = Nawab Siddique Hasan Sahab ki kitab Alroza tul Nadiyah ¤
• Nawab Waheed uz Zamaan ki Nazlul Abrar Min Fiqah ul Nabi ul Mukhtar
• Kanzul Haqayiq Min Fiqahu Kher ul Khalayiq
• Hadiyat ul Mehdi Min Fiqahul Muhammadi ¤
• Meer Noor ul Hasan ki kitaab Arful Jadi Min Janaan Hadiyul Haadi ¤
• Hasan Ali ki kitaab Alnajhul Maqbool Min Sharayi ul Rasool ¤
• Abu al Hasan ki Fiqah Muhammadiyah kalaan
jo sub Door e Bartaniyah may likhy gayeen
• in may say 1 bhi kisi Islami Hukumat may nahi likhy gayi aur na in ko Fiqah Nabvi qaraar diya gaya
• In kitaboon ka her her maslah NABI MASOOM SALLALLAHU ALAHI WASALLAM say sabit hay ya NABI ALAHIS SALAAM kay name say mehaz in par jhhoot bandhay gaye hain ?
• Kiya Ahle Hadees honay kay liye NABI PAAK SALLALLAHU ALAHI WASALLAM par jhhoot bolna bhi zaroori hay ?
• 123 = Baaz loog kehtay hain k hum in kitaboon ko nahi maantay
• Iska kiya matlab hay k in kitaboon ka wajood hi nahi
• Ya in kay likhnay walay Ahlehadees nahi ?
• Ya inhoon nay Ahlehadees hoker Quran o Hadees ki taraf jhhootay maslay mansoob kiye ?
• To in Jhhoot bolnay waloon kay rad may aap ki jama'at ki taraf say kon kon si kitabain likhy gayeen ?
• Aur in Jhhoti kitaboon kay muqblah may Sachi kitaabain likhna zaroori tha
• Wo kitabain kon kon si hain jin may Deen kay masayeel hoon aur in ko aap ki puri Jama'at maanti ho ¤
• 124 = Kiya ye baat sachi nahi kay Ahlehadees
• Hadees ka name lay kar is qisem ki jhhooti kitabain likhtay hain jis tarah Ahlequran
• Quran ka name lay kar Deen may jhhoot boltay hain
• Aap logoon nay Deen may jub jhhoot bolna hota hay to Hadees ka name lay kar boltay hain ¤
• 125 = Baaz loog kehtay hain k hum sirf Hadees ko maantay hain - hum Ahlehadees hain to ye 1 jhhoot hay jesay Ahlequran kehtay hain k hum sirf Quran ko maantay hain
• Lekin 1 bhi shukhsh nahi jo apni zindagi kay mukammal masayeel Quran kay mutabiq sabit karsakay
• Aesay hi hamain aaj tak 1 Ahlehadees bhi aesa nahi mila jo zindagi kay tamaam masayeel to kiya sirf NAMAZ kay tamaam juzayi masayeel Hadees say dikhasakta ho ?
• 126 = Ager aap Ahlehadees hain to aap ki Hadees ki kon si kitab hay jiska
• Pehla Baab Mujtahideen ko iblees sabit karnay kay liye baandha gaya ho aur Ahaadees say sabit bhi kiya ho
• Dusra Baab Taqleed e Mujtahid ko Shirk sabit karnay ka baandha ho
• Aur Sareeh Aayaat o Ahaadees say sabit kar dikhaya ho k Ger Mujtahid ka ijtehaadi masayeel may Mujtahid ki Taqleed karna Shirk hay ?
• 127 = Baaz jaahil
• Awaam ko Dhhoka detay hain k hum chunkay Ahlehadees hain is liye Hadees ki saari kitabain hamari hain
• Ye mehaz Dawa'a hay Daleel nahi
• Jesay Munkireen e Hadees kehtay hain hum choonkay Ahlequran hain
• Is liye Quran hamara hay to kiya Ahlehadees in ka ye Dawa'a sun kar Quran say Dastbardaar hogaye hain ???
• Masoodi Firqah kehta hay hum Jamat ul Muslimeen hay ISLAM hamara hay
• Hamaray siva sub Germuslim hain to kiya Ahlehadees in ka ye Dawa'a sun kar ISLAM say Dastbardaar hochukay hain ???
• Shia kehtay hain - hum Muhabbaan Ahle Bait hain
• Ahle Bait sirf hamaray hain - hamaray elaawah sub Ahle Bait kay munkir hain
• To kiya in ka ye Dawa'a sun kar Ahlehadees Ahle Bait say Dastbardaar hogaye ???
• 128 = Jis tarah Ahlequran ka Amal Bilquran sirf itna saamnay aaya k Muhaddiseen ko Gaaliyaan dena aur Hadees kay khilaaf piropagenda karna
• Aur Shia say Hub e Ahle Bait ka yahi saboot milta hay k SAHABA KIRAAM RAZI ALLAHU AUNHUM AJMAYEEN ko Gaaliyaan day lain
• Isy tarah Moujoodah Ahlehadees ka Amal Bilhadees is say ziyada nahi k Fuqaha'a ko Gaaliyaan dain
• Fiqa'h kay khilaaf badgumaniyaan phelayain - badzabaniyaan karain
• Is par sekrdhoon ishteharaat aur risalay hum pesh karsaktay hain balkay is bad zabani may ye loog Ahlequran aur Shia say subqat lay gaye hain ¤
• 129 = Ager aap kay nazdeek Mujtahid aur Ijtehaad o Qiyaas ki koi shart nahi
• Her wo shukhsh jo muddayi ISLAM ho ijtehaad karsakta hay aur is kay ijtehadaat tasleem karna laazmi hay to
• Mirza Qadyaani Maloon
• Modoodi
• Aslam jeraajpuri
• Ghulam Ahmed Parwez
• Inayat ullah Mashriqi
aur in kay wo masayeel jo Quran o Hadees kay name par jo unhooo nay pesh kiye hain wo sub ap ko musallam hay ya nahi ?
• Ager musallam nahi to kiyon - is liye aap Quran o Hadees ko nahi maantay ya in kay Feham ko Galat kehtay hain to Feham kay Saheeh o Galat honay ka kiya miyaar hay ?
• 130 = Aur ager Dawa'e Islam ki bhi zaroorat nahi to
• Padri Fander
• Gold Seek
• Safdar Ali
• Imaduddeen
• Raam Chandar
• Swaami Diyanand
• Pandit Shardhhanand
nay bhi apni kitaboon may Quran o Hadees kay name say bohot masayeel likhay hain to wo sub aap ko tasleem hay ya nahi
• Adum tasleem ki waja'h bataaye k asal Quran o Hadees ka aap ko inkaar hay ya in kay Feham ko Galat samajhtay hain ?
• 131 = Jub aap kay nazdeek Mujtahideen ka Feham e Quran o Hadees bhi Galat
• Mirza Qadyani Maloon wagerahum ka Feham Quran o Hadees bhi Galat
• Swaami Diyanand wagera ka Feham Quran o Hadees bhi Galat
• To aap kay her jaahil ka Feham Quran o Hadees jo in sub kay haan Galat hay is ki Sehat ka kiya Miyaar hay ?
• 132 = Kiya Quran Hadees may
• Fuqaha'a
• Ahle Istinbaat
• Ahle Ziker aur
• Mujtahideen
Kay Feham ko mannay ka hukum hay ?
• Ager hay to is ko Tasleem farmaayiye
• Raha ye k Faqahi kis ko mana jaye her Muddayi ko ya sirf us ko jis ka Faqahi hona Daleel Sharayi Ijma'a e Ummat say sabit ho ?
• 133 = Aap kay nazdeek Awaamir e Shariya'h may
• Farz
• Wajib
• Sunnat e Moukidah
• Mustahab aur
• Mubaah
ki darja'h bandi hay ya nahi ?
• Ager hay to in ki Jama'e Mana'e tareef
• In kay Munkir aur Taarik ka hukum kiya hay aur Shariyat may her 1 kay saboot ka kiya tareeqah hay ?
• 134 = Aap kay nazdeek Munhiyaat e Shariyah may
• Haraam
• Mukrooh e Tehreemi
• Mukrooh e Tanzihi
aur Gunahoon may
• Kabeerah aur
• Sageerah
ki Taqseem hay ya nahi
• Ager hay to her 1 ki Jama'e Mana'e tareef - iskay
• Munkir aur
• Taarik
ka hukum aur is kay saboot ka
• Sharayi Tareeqah bayaan farmayain ?
• 135 = Kiya kisi Hadees may hay k Qiyaamat ko pehlay
• Farayiz ka hisaab hoga phir
• Nawaafil ka
• Aap kay wo Afaal jin ko aap
• Na Farz maantay hain
• Na Sunnat
• Na Nafil
wo hisaab kay kis khaatay may pardhain gay ya bekaar jaaye gay ?
• 136 = Hadees ki jis qadar kitabain aaj dastiyaab hain in kay Muallifeen
• ya MUJTAHIDEEM hain
• ya MUQALLIDEEN
jesa k Kutub e Tibqaat say zahir hay
• 1 kitab bhi kisi Germuqallid ki Taleef nahi balkay Duniya may 1 Hadees bhi aesi nahi jis kay Raviyoon ko Tareekhi shahaadat say Germuqallid kiya jasakay
• Germuqallid isay kehtay hain jo na Sharaayit e Ijtehaad ka Jama'e ho aur na hi Taqleed karay - Na Aehl hoker DEEN may raaye lagaaye ¤
••TIBQAAT E GERMUQALLIDEEN••
• 137 = Kisi cheez ka saboot jesay iqraar say bhi hota hay balkay Ulama'e Ausool nay to likha hay
•ALBAIYINATUN MUTADIYATUN WAL IQRAARI HUJJATUN QASIRATUN
ALMUDKHAL PAGE NUM 135•
• Baaz Germuqallideen kehtay hain k hum Muhaddiseen ko tub Muqallid manay gay jub unka apna iqraar sabit ho
• Hum kehtay hain k phir inko Germuqallid kehnay kay liye bhi inka inkaar dikhana zaroori hoga
• Inkay Muhaddis balkay Muslim honay kay liye bhi inka iqraar dikhana zaroori hoga
• Ager SAHABA KIRAAM RAZI ALLAHU AUNHUM kay munkir bhi yahi mutalbah karain k SAHABI wohi hay jis ka iqraar milay balkay koi yoon shart lagaday k Siqah wohi Raavi hoga jis ka iqraar ho k may Siqah hoon aur Kazzab wohi hoga jo khud kahay may Kazzab hoon
• Algarz jin Tibqaat ki kitaboon say in ka Muhaddis hona sabit hay in hi say in ka Muqallid hona sabit hay
• Isy tarah koi Tibqaat e Germuqallideen naami pesh karain ?
• 138 = AAYIMMA'H MUJTAHIDEEN kay ikhtelafaat ki bunyaad Ahadees aur Sahaba Kiraam ka ikhtelaaf hay
• Ahlequran nay is ikhtelaaf kay bahanay say
• Sahaba Kiraam
• Aayimma'h Kiraam
aur Ahaadees sub ko chordhdiya
• Bus 1 marhala baaqi hay k Ikhtelaaf e Qira'at ki wajah say Quran ko bhi chordhdain
• Germuqallideen nay
• Aayimmah Kiraam
• Sahaba Kiraam
ko to chordhdiya lekin
• Ahaadees aur
• Quran
ko nahi chordha
• Khud Ahlehadeesoon may ye Ikhtelaaf moujood hay
• Is liye Ahlehadees maslak ko bhi chordh dena chahiye balkay Ahle Islam kay Ikhtelaaf say ISLAM ko bhi Salaam kardain ?
• Algarz ager aesa Ikhtelaaf mazmoom hay to jahaah jahaan Ikhtelaaf hay sub ko chordhna chahiye ya sub ko manna chahiye ?
GER MUQALLID
WAKEEL KA BAYAAN
• 139 = 1 Germuqallid ka kehna hay k may nay [TIRMIZI SHAREEF mutarjum Moulana Bade uz Zamaan Ahlehadees] khareedi k NAMAZ - ROZA kay tamaam masayeel Hadees Saheeh kay mutabiq anjaam doon gaa
• Mager is kay mutallah say mujhay mukammal masayeel to na milay
• Albata mazeed kayi galat fehmiyaan door hogayeen
• May ye samajhta tha k Naaji Guronh ka name Ahlehadees hay aur Ahlequran Gumraah hain mager
• [ TIRMIZI PAGE NUM 198 JILD NUM 5 ] per Hadees milgayi k
• Ahlequran Vitar pardho
• Jubkay Ahlehadees ka name mujhay Hadees may nahi mila ¤
• 140 = May samajhta tha k her Saheeh Hadees sub Musalmanoon k liye Wajib ul Amal hay
• Mager TIRMIZI SHAREEF may beshumaar maqamaat par ye pardha k ye Hadees Saheeh hay aur is par baaz ka Amal hay aur baaz ka Amal is kay khilaaf hay ¤
• 141 = May ye samajhta tha k Hadees Zaeef Wajib ul Rad hay
• Mager TIRMIZI SHAREEF may bohot si Hadeesain aesi pardheen k Imam Tirmizi Rehmahullah in ko Zaeef kehnay kay bawajood likhtay hain k falaan falaan logoon ka Amal is kay Muafiq hay ¤
• 142 = Maslan Wazu'o say pehlay BISMILLAH kay baab may farmtay hain k
• Imam Ahmed Rehmahullah nay farmaya is baab may koi Hadees aesi nahi pata jis ki Isnaad umdah ho
• Aur kaha Ishaque nay ager chordhdiya BISMILLAH ko Qasdan to phir Wazu'o karay
[ PAGE NUM 60 ]
• Goya Zaeef say Farziyat sabit horahi hay ¤
• 143 = BAAB UL AZNAIN MIN RA'AS
• May 1 Hadees naqal karkay farmatay hain
• Is Hadees ki Isnaad kuch aesi mazboot nahi aur isy par Amal hay Aksal Aehl e ILM ka Ashaab aur Tabayeen say k
• Kaan sir may Daakhil hain aur yahi Qoul hay
• Sufiyaan Soori aur
• Ibne Mubarak
• Ahmad aur
• Ishaque
Rehmahumullahu Aunhum ka
[ PAGE NUM 63 ]
• 144 = Aur Baab Romaal say Badan pochnay ka bayan baad Wazu'o kay may 1 Hadees naqal karkay farmatay hain
• Ye Hadees Ghareeb hay aur Isnaad is ki Zaeef hay aur Ijaazat dy
• Baaz ULAMA'A SAHABA RAZI ALLAHU AUNHUM nay aur jo baad in kay thay Romaal rakhnay kay baad Wazu'o kay
[ PAGE NUM 67 ] ¤
• 145 = PAGE NUM 94 par Hadees naqal ki hay k
• Haiza Qurar say kuch na pardhay
• Aur is Hadees ko zaeef balkay munkir likha hay
• Mager sath hi likha hay yahi Qoul hay aksar Ahle ILM ka SAHABA KIRAAM RAZI ALLAHU AUNHUM aur TABAYEEN KIRAAM REHMAHUMULLAH may say aur jo baad in kay misel
• Sufiyaan Soori aur
• Ibne Mubarak aur
• Imam Shafayi aur
• Imam Ahmad aur
• Imam Ishaque ka ¤
• 146 = PAGE NUM 117 par 1 Hadees ko zaeef likh kar farmatay hain
• Isy par Amal hay aksar Ahld ILM ka k jo Azaan day wohi Takbeer kahay ¤
• 147 = PAGE NUM 143 par 1 Hadees ko zaeef keh kar farmatay hain
• Aur yahi mazhab hay aksar Ahle ILM ka k
• Mukrooh kehtay hay Iqa'a ko ¤
• 148 = PAGE NUM 164 par 1 Hadees ko zaeef keh kar farmatay hain
• Aur yahi mazhab hay aksar Ahle ILM ka - is ki misalain bohot hain
• Baaz Ahaadees say ye Maloom hota hay k
• AANHAZRAT SALLALLAHU ALAHI WASALLAM apnay farmaan par Amal zaroori nahi samajhtay thay ¤
• 149 = AAP SALLALLAHU ALAHI WASALLAM logoon ko waqt Rafa'a Hajat Qiblay ki taraf moun'h karnay say mana'a kartay mager khud is kay khilaaf Qiblah roo hokar Rafa'a Hajat kartay thay
[ PAGE NUM 54 + 55 ] ¤
• 150 = Aurat kay Ghusal say bachay huwe Pani say Ghusal karnay ko mana'a farmatay thay
• Mager khud aesay Pani say Ghusal farmaletay thay
[ PAGE NUM 70 + 71 ] ¤
• 151 = AAP SALLALLAHU ALAHI WASALLAM Aag ki paki huwe cheez khanay kay baad wazu'o ka hukum detay mager khud Aag ki paki cheez khakar wazu'o nahi kartay thay
[ PAGE NUM 75 ] ¤
• 152 = AAP SALLALLAHU ALAHI WASALLAM farmatay
• Fajr ki Namaz roshni may pardhnay ka bohot savaab hay
• Mager khud Andheray may pardhtay thay
[ PAGE NUM 103 ] ¤
• 153 = AAP SALLALLAHU ALAHI WASALLAM farmatay Namaz may Gosha'h chashem say Idher Udher dekhna Halaakat hay
• Mager khud dekha kartay thay
[ PAGE NUM 239 ] ¤
• 154 = AAP SALLALLAHU ALAHI WASALLAM logoon ko Janazah kay sath sawaar hokar janay say mana'a kartay thay
• Mager khud sawaar hokar jatay thay
[ PAGE NUM 373 + 374 ] ¤
• 155 = AAP SALLALLAHU ALAHI WASALLAM farmatay
• Gadhay kay Namazi kay aagay aanay say Namaz toot jati hay
• Mager khud Namaz pardhatay rahay aur Aagay Gadhi phirti rahi
[ PAGE NUM 162 ] ¤
• NOTE = FUQAHA'A o MUHADDISEEN nay in may Taqbeeqaat bayan farmaayi hain
• Aesi bzaahir Ikhtelaafi Ahaadees ki wazaahat par Ummat par sub say pehlay
• Imam Muhammad Rehmahullah nay kitab likhy jis ka naam
[ KITAB UL HUJJA'TH ALAA AHLE MADINA'H ]
• Phir Faqahi Muhaddis Imam Tahavi Rehmahullah nay
[ SHARAH MA'ANI UL AASAAR aur MUSHKIL UL AASAAR ]
tehreer farmaayi
• Afsoos say kehna pardhta hay k Germuqallideen ka is FUN [SHOBA'AH] may koi hissah nahi
• isy liye is Firqah kay loog Munkireen e Hadees banay
• Germuqallideen kay haan Ummatiyoon ki ye Tatbeeqaat Hujjat nahi is liye in ka FARZ hay k Sareeh Nasoos say koi Tatbeeq bayaan farmayain ?
• 156 = IMAM ABDULLAH BIN MUBARAK REHMAHULLAH farmatay hain
• AL ISNAADU MINAD DEENI WALAU LAA ALISNAADU LAQAALA MAN SHA'A MAASHA'A
[ SAHEEH MUSLIM ]
• Yani isnaad deen ka juz hay - ager isnaad na ho to jo shukhsh jo chahay kehnay lagay
• Ye sanad ka wujoob Aqli hay ya Sharayi ?
• To is ki Daleel sharayi kiya hay ?
• 157 = RASOOLULLAH SALLALLAHU ALAHI WASALLAM kay baad Tehqeeq ka Haq her her Jaahil ko hay ya sirf Ahle Istinbaat Tehqeeq karain gay aur baaqi un ki Taqleed karain gay ?
• 158 = IMAM IBNE SIREEN REHMAHULLAH farmatay hain
• Pehlay loog SAHABA KIRAAM RAZI ALLAHU AUNHUM wagera say Sanad nahi puchtay thay
• Jub Fitna waqa'e huwa to Raviyoon kay Mutalliq puchnay lagay takay Ahle Sunnat raavi ki riwaayat qabool karain aur Ahle Biddat ki Hadees Qabool na karain
[ MUSLIM ]
• Ager sanad ki Tehqeeq ka wajoob sharayi hay to pehlay kay loog is wajib kay Tark say Gunaahgaar thay ya nahi
• Aur ager is ka wajoob sharayi nahi to baad waloon ka isay Wajib kehna Biddat hay ya nahi ?
• 159 = Kiya Hadees kay Saheeh honay kay liye Raavi ka Ahle Sunnat hona kaafi hay ya aur bhi Sharaayit hain ?
• Wo kis nay kis zamanay may lagaayeen ?
• 160 = Kiya ye Saheeh hay k
• Imam Bukhari Rehmahullah nay 1435 aesay Raaviyoon say Hadees ly jin say Imam Muslim Rehmahullah nay Hadees nahi ly aur un may say 80 Raavi sub kay sub Mutakallim Feeh hain
• Aur Imam Muslim Rehmahullah nay 1620 aesay Raaviyoon say Hadees ly hay jin say Imama Bukhari Rehmahullah nay Hadees nahi ly
• Aur un may say 160 Raavi sub kay nazdeek Mutakallim Feeh hain
[ IMAAN UL NAZAR PAGE NUM 57 ]
• Ye baaz Raviyoon ka Rad ya Qabool karna kisi Daleel Sharayi say hay ya Mehaz apni apni Raaye say ?
• 161 = Jub Kher ul Quroon may feslah hogaya tha k Ahle Biddat ki Hadees Mardood hay to
• Imam Bukhari o Imam Muslim Rehmahumullah nay is feslay ko mustarad karkay Ahle Biddat ki Rivayaat apni kitaboon may Darj karleen
• Ye kisi Daleel Sharayi say huwa ya Mehaz Raaye say ?
• 162 = Wo kon si Daleel Sharayi hay k
• Imam Bukhari Rehmahullah
• AOUF UL AERAABI
ki sanad say Hadees laaye
• Jis kay Mutalliq Ibne Hijr Sahafyi Rehmahullah farmatay hain k
• KAANA QADRIYAN RAAFZIYAN SHAITANAA
yani Taqdeer ka munkir aur Shetaam Raafzi tha
[ TEHZEEB PAGE NUM 167 JILD NUM 8 ]
• Mager Imam e Azam Abu Hanifa Rehmahullah ki Sanad say Hadees nahi ly ¤
• 163 = Abdul Malik Bin Ayeen AKHBAS RAAFZI ki Sanad say Hadees ly
• Mager Imam Jaafar Sadiq Rehmahullah ki Sanad say Hadees nahi ly ¤
• 164 = Huraiz Bin Usman
• Bahaz Bin Asad
• Eibaad Bin Yaqoob
jo HAZRAT USMAN E GHANI RAZI ALLAHU AUNHU ko barmalaa Galiyaan baktay thay
• Inki Sanad say Hadees ly
• Aur Imam Shafayi Rehmahullah say Hadees na ly ¤
• 165 = Jurair bin Abdul Majeed
• HAZRAT AMEER MUAVIA RAZI ALLAHU AUNHU ko Aelaaniyah Galiyaan bakta tha
• Is ki Rivaayat ly hay mager
• Imam Shafayi Rehmahullah kay Austaad Muslim Bin Khalid say Hadees nahi ly ¤
• 166 = Jub Isnaad Deen hay to
• Imam Bukhari Rehmahullah nay Bay Sanad Ta'aleqaat aur
• Imam Tirmizi Rehmahullah nay FIL BAAB may Bay Sanad Ahaadees kiyoon naqal farmayeen ?
• 167 = Kiya Imam Bukhari Rehmahullah nay aesay Raaviyoon say bhi SAHEEH BUKHARI may Hadees ly hay jin ko khud Tareekh may Zaeef kaha gaya hay ?
• 168 = SAHEEH BUKHARI ko Ashah ul kutub Baad Kitabullah
• Kisi Daleel Sharayi say kaha jata hay ya Mehaz Ibne Salaah ki Taqleed may ?
• 169 = BUKHARI O MUSLIM
• Aap kay nazdeek puri ki puri Wajib ul Amal hain ya in ka Baaz hissah Naqaabil e Amal bhi hay to is ki Ta'ayaiyun farmayain ?
INTEKHAAB LAAJAWAB
KITAB
TAJALLIYAT E SAFDAR
JILD NUMBER 3
PAGE NUM 468 TO 494
Talb Dua
Aaqibul islam
طالب علم

No comments:
Post a Comment