imaam abu hanifa (rh) ne hadees e nabwi ki
roshni me kam se kam maher ki miqdaar das
dirham muqarrar ki hai. (jaisake daar e qutni
aur baheqi me hai ke Rasoolullah sallallahu
alaihi wa sallam ne farmyaa: LAA YAKOONAL
MAHRU AQALLA MIN ASHRATI DARAAHIM) Ek
dirham saadhe teen maasha chaandi ka hota
hai aur ek maashah; 972 mili grame ka hota
hai. Aur das dirham me 2 tolah saadhe saat
maashah chaandi hoti hai aur yeh maujooda
gramon ke hisaab se 30 grame 618 mili grame
hota hai aur das grame ke tolah se 3 tolah 618
mili grame chaandi hoti hai. Lehaaza ab koi
maher muqarrar karta hai to la muhaalah usko
itna taye karna hai, yeh to maher ki kam se
kam ki miqdaar thi, isse kam maher muqarrar
nahi kiya jaa sakta, Albatta ziyada maher ki koi
had nahi, jaisaki annisa, aayet 20 se ma'loom
hota hai. Magar ziyaadti me is baat ka khayaal
rakha jaaye ke maher utna hi muqarrar kiya
jaaye jitna ke woh usi waqt ya mustaqbil
qareeb me ada karne ki salaahiyet rakhta ho,
Maher aurat ka haq hai magar ada shauhar ko
karna hai, islye iska lehaaz bhi zaruri hai.
Mutaddad kai aisi hadeesein hai jinse adaaza
hota hai ke huzoor sallallahu alaihi wasallam ne
hamesha mard ki haisiyet ka lehaaz kiya hai,
jaisake naan wa nafqah ke silsila me lehaaz
kiya gaya hai, agar fakhr wa ghuroor ya kisi aur
ghair sharai wajah ki bina par ziyaada maher
muqarrar kar diya, aur dil me khayaal yeh raha
ke dena to hai nahi, jitna chaaho muqarrar
kardo to yeh sakht gunaah hai yeh aurat ka
haq hai, aur kisi ka haq maarne ka khayaal
karna bahot bada zulm aur gunaah hai.
NOTE: ahnaaf ka mash-hoor maslak yahi hai,
magar mutakhkhireen ne das dirham se kam
aur ta'leem kitaab wa ghaira ko bhi maher
muqarrar karne ko jaayez qaraar diya hai.
Tafseel ke liye Dekhiye (sharh wiqaayeh jild 2)
Talb E Dua
Aaqibul Islam
طالب علم

No comments:
Post a Comment