Monday, 13 August 2018

WAHDAT UL WAJOOD KI TASHREEH.

"wahdat ul wajood ko aqeedah kehna ghalat hai yeh aqeedah nahi, na hi kisi aqeedah ki kitaab me maojood hai aur na hi ulama is ko aqaayed me shaamil kerte hain
is ko masla wahdat ul wajood ka naam dete hain
yeh sofia e kiraam ke zaoq ki baatein hain jin ko GHAIR MUQALLIDEEN ne aqaayed bana ker paish kiya hai
ab is ki mukhtasar sharah aap ke saamne bayaan ki jaati hai:
hazrat molana Ashraf Ali thaanvi (Rh) bayaan farmaate hain ke wajood 2 qism ke hain. 1 haqiqi or 2sra aarzi Allah ka wajood haqiqi hai or tamaam makhloqaat ka wajood aarzi hai to aarzi wajood to khatam ho jay ga or haqiqi rahy ga to khatam ho jaane waale ko wajood ka naam nahi diya ja sakta isliye dar asal wajood 1 hi hai aur woh hai Allah ta'ala ka wajood jis ko sofia e kiram ke zabaan me wahdat ul wajood kehte hain.
ﻭﺍﻟﻠﻪ ﺃﻋﻠﻢ
aaj aap hazraat ke saamne dosri tashreeh bayaan ker deta hoon jisko molana Ameen safdar okarvi (Rh) ne apne 1 bayaan me wahdat ul wajood ki tashreeh ke zimn me farmai hai chunaanche
hazrat farmate hain ke: her kasrat 1 wahdat ki taraf lot ti hai misaal ke taur per 1000 insaan aap ke saamne baithe hain to in 1000 ko lafz e insaan ne jama ker diya lekin mard mard rahe ga or aurat aurat hi rahe gi musalmaan musalmaan hi rahe ga or kaafir kaafir hi rahe ga bachcha bachcha hi rahe ga or borha borha hi rahyega .
lafz e insaan me sab aa gye lekin ab yeh kehna ke in sab ka huqaam bhi 1 ho gaya yeh ghalat baat hai
is se barh ker wajood ka daayerah hai insaan ka bhi wajood hai jaanwar ka bhi wajood hai doodh ka bhi wajood hai peshaab ka bhi wajood hai gharaz her cheez ka apna wajood hai is me itni baat per to sab ka ittefaaq hai ke her cheez ka wajood alag hai lekin chunk her cheez ka wajood hai isliy yeh saari cheezein ba-haisiyat e wajood baraabar hain lekin ba-haisiyat e hukm her cheez ka apna hukm hai or dosre se mukhtalif hai
to yeh ho gaya wahdat.
or wajood ki tashreeh GHAIR MUQALLIDEEN jo wahdat ul wajood ka ma'na lete hain woh wahdat wala nahi balke woh ittehaad wala hai
ittehaad kehte hain ke 1 cheez dosri cheez me hel ho gai or pehli cheez ka wajood dosri me hel ho gaya
misaal ke taor per paani or cheeni aap ne paani me cheeni mila di to cheeni paani me hel ho gayi or uska wajood khatam ho gaya ab yeh paani or cheeni ka mahlool ban gaya ab isko koi paani bhi nahi kehta or na koi isko cheeni kehta hai ab is ka naam sharbat ho gaya to yeh ittehaad hai
or is ittehaad ke to khod sofia e kiram bhi mukhalif hain Allama ibn e arabi (Rh) ne khod do baab baandhe hain is ko radd kerne ke liye
Ghair Muqallideen to itne jaahil hain ke un ko wahdat or ittehaad ka ma'na nahi pata
Allah ta'ala ham sab ko apne akaabir ka maoqf samajhne ki taofeeq ata farmay ameeen

Talb E Dua
Aaqibul islam
طالب علم 

No comments:

Post a Comment