*NAMAAZ BAJAMAAT ME TAKHNE SE TAKHNA MILAANE KA MSLA*
Huzoor Anwar ne Namaz bajamaat me Safo Ki Drustagi pe Khusoosi Tawajjo Farmai he Or Safo ko Seeda Or Drust Rakne ko
” ﺣﺴﻦِ ﺻﻠﻮٰﺓ "Or ” ﺍﺗﻤﺎﻡ ﺻﻠﻮٰﺓ “ Qaraar Diya he Jesa K Syyedna Abu Huraira Rz.A se Riwayat he, RasoolUllah ne Irshaad Farmaaya
” ﺍﻗﯿﻤﻮﺍ ﺍﻟﺼﻒ ﻓﯽ ﺍﻟﺼﻼﺓ ﻓﺎﻥ ﺍﻗﺎﻣﺔ ﺍﻟﺼﻒ ﻣﻦ ﺣﺴﻦ ﺍﻟﺼﻼﺓ “
[Bukhari, Jild 01, Page 100]
Tarjuma: Namaz me Saf Ko Drust Karo Isliay K Saf Drust Karna Namaz Ki Khoobi ka Aik Juz he.
Syyedna Anas Rz.A se Riwayat he K RasoolUllah ne Farmaya "Tum Log Apni Safe Drust Rakha Karo Q k SafBandi se Namaz ki Takmeel Hoti he"
[Saheh Muslim, Jild 01, Page 182]
Sayyedna Hazrat Jabir Rz.A se Riwayat he "RasoolUllah (Sallallahu Alaihe Wasallam) ne Irshaad Farmaaya Beshak Namaz ki Takmeel Safo ki Drustagi se Hoti he"
[Musnad Imam Ahmed, Jild 03, Page 322]
[Tibraani Kabeer, Jild 02, Page 198]
Sayyedna Anas Rz.A se Riwayat he RasoolUllah ne Farmaaya "Safo Ko Drust Karo Q k Safo ka Barabar Karna Namaz ki Takmeel ka Juz he"
[Saheh Ibne Hebaan, Hadis 2178]
Sunnat kk Mutabik Safo Ko Drust Karne ki Saheh Surat ye he k Namazi Aik Doosre Se Is Tara Mil k Karhe ho k Darmyaan me Jaga Khaali NA Rahe or Saf Aesi Seedhi Ho K kOI aADMI Aage ya Peeche Nikla hua Na ho, Muhaddiseen, Fuqaha or Jamhoor Ummat ne Safo ki Drustagi ka Yahi Mana Muraad Liya he Lekin GHAIR MUQALLIDEEN Or Salafi Hazraat Ka Khayaal ye he K Namaz me Namazi ka Tukhna Or Qadam Doosre Namazi k Tukhne Or Qadam se Milna Sunnat Or Zaroori he Or wo Log Aesa Na Karne waalo pe Zubaan Ta'an Daraaz Karte he or Inhe Mukhalifeen e Sunnat Qaraar Daite he Lehaza Is Amal ki Wazahat Or Saraahat k Liay Ahadees Nabwi Se Rahnumai Haasil Ki Jaati He Or Muhaddiseen Or Fuqaha Ki Tashreehaat Ko b Malhooz Raka Jaega.
Rasoolullah (s.a.w.w) se namaz me safon ki drustgi ke silsle me kaie riwayat marvi hain lekin Rasoolulah (s.a.w.w) kay kisi bhi irshad ya app ke amul se tukhne se tukhna milana or qadam se qadam milana sabit nahi hai ise trah hazrat khulfa e rashideen bhi apne apne ramana e khilafat me suf bandi ka ahtemam tu furmate rahe lakin in se bhi tukhne se tukhna milana or qadam se qadam milana na qulan sabit hai na he filan is ke shawahid mundurja zeel hai:
1:
Muslim 281/1 (tarjuma: "hazrut numan bin basheer se rivayut hai ke rasoolullah (s.a.w) hamari safon ko is qadar seeda or braber karte thy goya in ke zreye app teeron ko seeda karen gay yahan tk kai app ko khayal ho gya ke ab hum log samaj gai ke humai kis trha seeda or khara hoona chaheye is ke baad aeek din aysa hua ke app bahar tushreef laye or namaz parhane ke lie apni jaga karhe bhe ho gai yaha tak ke qareeb tha ke app takbeer kah kur namaz shru farmaden k aap ki nigah aik shakhs pr pari jiska seena saf se kuch aagay nikla hua tha to Aap ne farmaya: "Allah k bando! Apni safen zaroor seedhi or drust rakha karo warna allah tala tumhare rukh aeek doosre ke mukhalif kur de ga "
Ahle arab shikar ya jang me istemal ke liye jo teer tiyar kute thy unko bilkul seedha or baraber krne ki bare koshish krty the is liye kisi cheez ki barabri or seedhe pun ki tareef me mubalgha ke toor pur kaha jata tha k iske zareye teeron ko seedha kia ja sakta hai yane teeron ko seedha kurne me mi'yar or pemana ka kam de sakti hai
2: (hadees)
Tarjuma: "hazrat abdullah bin umar se rivayat hy k Rasoolullah ne irshsd farmaya: safen qaim kro, kandhay ek doosray ki seedh mai karo, khlaa ko pur karo or apnay bhaion k hath mai naram hojao, shetan k liye safon mai khali jagah na choro, jis ne saf ko milaya Allah usay milaaingy or jis ne saf ko kata Allah usay katengy"
3: (hadees)
Tarjuma: "Rasoolullah ne farmaya: jis shakhs ne saf mai khali jagah pur kardi (yani sath khara hogaya) Allah uska aik darja buland karday ga or us k liye Jannat mai ghar banaaye ga"
4: (hadees)
Tarjuma "hazrat Braa bin a'azib se rivayat hay k Rasoolullah saf mai aik janib se doosri janib tashreef lay jatay or saf ko braber karnay k liye hamary seenon or kandhon par hath mubarak phertay thy or irshad farmatay thy k tum mukhtalif yaani aagay peechay na hona warna tmharay dil baham mukhtalif hojaaingy nez farmatay thy Allah tala pehli safon par apni rehmat naazil farmatay hein or farishtay agli saf walon k liye dua e maghfirat karty hein"
Yani agar safon ko braber or seedha karnay mai bay parwai or kotahi karogy tou Allah tala iski saza mai tmharay rukh aik doosray se mukhtalif karday ga, tmhari wahdat or ijtima'iyat paara paara ho jaayegi.
5: (hadees)
Tarjuma: "hazrat anas bin malik Rasoolullah se rivayat karty hein k Aap (s.a.w.w) ne farmaya apni safen milaao or unhen nazdeek rakho or gardanon ko braber aik seedh mai rakho qasam hay us zaat ki jis k qabza e qudrat mai meri jaan hay mai shetan ko dekhta hoon k wo saf ki khali jagah mai ghus aata hay goya k bheyr ka bacha hay"
6:- ﻋﻦ ﺍﺑﻦ ﻋﺒﺎﺱ ﻗﺎﻝ : ﻗﺎﻝ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﮧ ﺍ ﺗﺮﺍﺻﻮﺍ ﺍﻟﺼﻔﻮﻑ ‘ ﻓﺎﻧﯽ ﺭﺍﯾﺖ ﺍﻟﺸﯿﺎﻃﯿﻦ ﺗﺨﻠﻠﮑﻢ ﮐﺎﻧﮩﺎ ﺍﻭﻻﺩ ﺍﻟﺤﺬﻑ “ ۔ ( ﻣﺠﻤﻊ ﺍﻟﺰﻭﺍﺋﺪ
tarjumah :-
:Hazrat Ibn E Abbas ra se riwayat hai keh rasoolAllah Sallallaho alaihe wasallam ne farmaya : "safon ko milao (Koi jagah khali na rahe .) me dekhta hoon keh shayateen khaali jagah ghus rahe hain , goya woh bhed ke bache hain."
ﻭﺭﻭﯼ ﻋﻦ ﻋﻤﺮ ﺍﻧﮧ ﮐﺎﻥ ﯾﺆﮐﻞ ﺭﺟﻼ ﺑﺎﻗﺎﻣﺔ ﺍﻟﺼﻒ ﻭﻻﯾﮑﺒﺮ ﺣﺘﯽ ﯾﺨﺒﺮ ﺍﻥ ﺍﻟﺼﻔﻮﻑ ﻗﺪ ﺍﺳﺘﻮﺕ ‘ ﻭﺭﻭﯼ ﻋﻦ ﻋﻠﯽّ ﻭﻋﺜﻤﺎﻥ ‘ ﺍﻧﮩﻤﺎ ﮐﺎﻧﺎ ﯾﺘﻌﺎﮨﺪﺍﻥ ﺫﻟﮏ ﻭﯾﻘﻮﻻﻥ ﺍﺳﺘﻮﻭﺍ ﻭﮐﺎﻥ ﻋﻠﯽّ ﯾﻘﻮﻝ ﺗﻘﺪﻡ ﯾﺎ ﻓﻼﻥ ‘ ﺗﺎﺧﺮ ﯾﺎﻓﻼﻥ “ ۔ ( ﺟﺎﻣﻊ ﺗﺮﻣﺬ
tarjumah " Sayyadna Hazrat Umar Ra ke muta'alliq murawwi hai keh unhon ne safon ki durustagi ke liye ek shakhs muqarrar farma rakha tha aur jab tak woh shakhs aap ko safen durust hone ki ittela'a na deta ,aap takbeer nahin kahte the.Hazrat Ali aur Hazrat Usmaan ke muta'allique murawwi hai keh woh bhi iss ka bahut khayal rakhte the aur farmaate the keh seedhe aur barabar ho jao .Hazrat Ali farmaate the keh fulaan aage ho , aye fulan peechhe ho "
ﻋﻦ ﻣﺎﻟﮏ ﺑﻦ ﺍﺑﯽ ﻋﺎﻣﺮ ﺍﻻﻧﺼﺎﺭﯼ ﺍﻥ ﻋﺜﻤﺎﻥ ﺑﻦ ﻋﻔﺎﻥ ﮐﺎﻥ ﯾﻘﻮﻝ ﻓﯽ ﺧﻄﺒﺘﮧ ﺍﺫﺍ ﻗﺎﻣﺖ ﺍﻟﺼﻼﺓ ﻓﺎﻋﺪﻻ ﺍﻟﺼﻔﻮﻑ ﻭﺣﺎﺫﻭﺍ ﺑﺎﻟﻤﻨﺎﮐﺐ “ ۔ ( ﻣﻮﻃﺎﺍﻣﺎﻡ ﻣﺤﻤﺪ :
۸۲ )
8:
tarjumah : " Hazrat Malik Bin Abi Aamir Ansari se rwayat hai keh Hazrat Usman Bin Affan apne khutbe me Irshaad farmate the keh jab jama'at qayem ho to safon ko durust karna aur kandhon ko ek seedh me barabar kar lena "
ﻋﻦ ﺑﻼﻝ ﻗﺎﻝ : ﮐﺎﻥ ﺍﻟﻨﺒﯽ ﺍ ﯾﺴﻮﯼ ﻣﻨﺎﮐﺒﻨﺎ ﻓﯽ ﺍﻟﺼﻼﺓ “ ۔( ﻃﺒﺮﺍﻧﯿﺼﻐﯿﺮ : ۲ / ۸۱ ‘ ﻣﺠﻤﻊ ﺍﻟﺰﻭﺍﺋﺪ : ۲ / ۳ ‘ ۲ )
9:- tarjumah Hazrat Bilal se rewayat hai keh RasoolAllah Sallallaho alihe wasallam namaaz me hamare kaandhon ko bilkul barabar karte the...
:
۱۰:-” ﻋﻦ ﻋﺒﺪ ﺍﻟﻠﮧ ﺑﻦ ﻋﻤﺮ ﻗﺎﻝ : ﻗﺎﻝ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﮧ ﺍ : ﺧﯿﺎﺭﮐﻢ ﺍﻟﯿﻨﮑﻢ ﻣﻨﺎﮐﺐ ﻓﯽ ﺍﻟﺼﻼﺓ ﻭﻣﺎ ﻣﻦ ﺧﻄﻮﺓ ﺍﻋﻈﻢ ﺍﺟﺮﺍً ﻣﻦ ﺧﻄﻮﺓ ﻣﺸﺎﮨﺎ ﺭﺟﻞ ﺍﻟﯽ ﻓﺮﺟﺔ ﻓﯽ ﺍﻟﺼﻒ ﻓﺴﺪﮨﺎ “ ۔ ) ﻣﺠﻤﻊ ﺍﻟﺰﻭﺍﺋﺪ : ۲ /۲۰۳ ( Tarjuma: Hazrat Abdullah Bin Umer (Ra) Se Riwayat Hai K Rasool Allah (Saw) Ne irshad Farmaya: Tum Mein Wo Log Bht Achchey Hain Jo Namaz Mein Kandhey Barabar Rakhtey Hain Aur Jo Qadam Safh Mein Khali Jaga Pur Karny K Liyey Uthta Hai, Us Par Ajar e Azeem Hasil Hota hai.
Imam Bukhari (Rha) Ne Baab Qayim Farmaya : ” ﺑﺎﺏ ﺍﺛﻢ ﻣﻦ ﻟﻢ ﯾﺘﻢ ﺍﻟﺼﻔﻮﻑ “IS BAAT K ZIMN MEIN HADEES BIYAN FARMATEY HAIN: ۱۱:-” ﻋﻦ ﺍﻧﺲ ﺑﻦ ﻣﺎﻟﮏ ﺍﻧﮧ ﻗﺪﻡ ﺍﻟﻤﺪﯾﻨﺔ ‘ ﻓﻘﯿﻞ ﻟﮧ ﻣﺎ ﺍﻧﮑﺮﺕ ﻣﻨﺎ ﻣﻨﺬ ﯾﻮﻡ ﻋﮩﺪﺕ ﺭﺳﻮﻝ ﺍﻟﻠﮧ ﺍ ﻗﺎﻝ ﻣﺎ ﺍﻧﮑﺮﺕ ﺷﯿﺌﺎ ﺍﻻ ﺍﻧﮑﻢ ﻻﯾﻘﯿﻤﻮﻥ ﺍﻟﺼﻔﻮﻑ “ ۔ ) ﺻﺤﯿﺢ ﺑﺨﺎﺭﯼ : ۱/۱۰۰ ( TARJUMA :: ''HAZRAT ANAS BIN MALIK (RA) BASRA MADINA SE TASHREEF LAYEY TOU UN Se PUCHA GAYA K AAP NE RASOOL ALLAH K ZAMANEY KY LIHAZ SE IS ZAMANEY MEIN KON SI BAT NA PASANDEEDA PAYI HAI? Unhone Farmaya Ke Aur Tou Koi Khas Bat Nahi Albatta Yeh Ke Tum Log Safon Ko Seedha Nhi Kartey Ho."
Mazkuura Bala Ahadees Se Sabit Hota K Rasool Allah (Saw) Safhon Ki Dursutghi K Liyey kandhey Barabar Karney Ka Hukm Kartey Thay Aur Jab Safhen Durust Karatey Tou Namaziyon Ke Seeney Aur Kandhey Barabar Karney Ki Taakeed Farmate Thay Lekin Safhon Ki Durustgi K Waqt Na To Huzoor (Saw) Ne Takhney Se Takhna Milaney Ka Hukm Farmaya Aur Na Hi Qadam Sy Qadam Milaney Ki Takeed Farmayi.
Yehi Tarz e Amal Khulfa Rashideen Ne Ikhtiyar Farmaya Tha.. Khalifa e Rashid Hazrat Usman (Ra) Safhon Ko Durust Karney Aur Kandhon Ko Barabar Karney Ka Hukm Dete Thay ,Takhney Sy Takhna Milana Ya Paoun Se Paoun Milaney Ka Hukm Hargiz Nhi Dete Thay.. Hazrat Ali (Ra) Safhon Ki Durustgi Ky Waqt Namazyion Ko Agey Peechy Honay Ko Farmatey Thay Lekin Takhney Se Takhna Milaney Ya Qadam Sy Qadam Milaney Ka Hukm Nhi Detey Thay , Jis Se Maloom Hota Hai Ke Takhney Se Takhna Milana Aur Qadam Se Qadam Milana Maqsood Nahi Tha.. Ghair Muqallideen Hazraat Apne Moaqqif Mein Hazrat Noman Basheer Aur Hazrat Anas (Ra) Ki Rivayat Pesh Karte Hain Jinhen Imam Bukhari Ne Riwayat Kia Hai.” ﺑﺎﺏ ﺍﻟﺰﺍﻕ ﺍﻟﻤﻨﮑﺐ ﺑﺎﻟﻤﻨﮑﺐ ﻭﺍﻟﻘﺪﻡ ﻓﯽ ﺍﻟﺼﻒ ﻭﻗﺎﻝ ﺍﻟﻨﻌﻤﺎﻥ ﺑﻦ ﺑﺸﯿﺮ ﺭﺍﯾﺖ ﺍﻟﺮﺟﻞ ﻣﻨﺎ ﯾﻠﺰﻕ ﮐﻌﺒﮧ ﺑﮑﻌﺐ ﺻﺎﺣﺒﮧ ۔ ﻋﻦ ﺍﻧﺲ ﻋﻦ ﺍﻟﻨﺒﯿﺎ ﻗﺎﻝ : ﺍﻗﯿﻤﻮﺍ ﺻﻔﻮﻓﮑﻢ ﻓﺎﻧﯽ ﺍﺭﺍﮐﻢ ﻣﻦ ﻭﺭﺍﺀ ﻇﮩﺮﯼ ﻭﮐﺎﻥ ﺍﺣﺪﻧﺎ ﯾﻠﺰﻕ ﻣﻨﮑﺒﮧ ﺑﻤﻨﮑﺐ ﺻﺎﺣﺒﮧ ﻭﻗﺪﻣﮧ ﺑﻘﺪﻣﮧ “ ۔ ) ﺻﺤﯿﺢ ﺑﺨﺎﺭﯼ : ۱/۱۰۰ (Tarjuma:BaabHai Safh Mein Kandhey Se Kandha Aur Qadam Se Qadam Milaney K Mutalliq, Hazrat Noman Basheer Farmaty hain Ke Maine Aik Shakhs Ko Dekha Ke Wo Apney Takhney Se Takhna Milata Tha. Hazrat Anas (Ra) Farmatey Hain Rasool Allah (Saw) Ne Farmaya Tum Apni Safhon Ko Seedha Rakho Bey-Shak Main Tumhein Apni Pusht Ki Taraf Se Dekh Raha Hun Aur Hum Mein Se Har Shakhs Apna Kandha Apne Sathi Ke Kandhey Se Aur Apna Qadam us Ke Qadam Se Milata Tha.
Gair Mukallidin hazraat un riwayat se istadalal krte huye yah mouka pesh krte he ke Namazi ka Jama't ki surat me Dusre Namazi k kadam k sath qadam milana aur Takhno se takhna milana zaroori he aur aysa na krne wale Sunnat k tarqi he..
un Riwayat pr Adna sa gour krne se yah haqiqat wajeh ho jati he k unme Rasolullah Sallal lahu Alaihi Wa Sallam ka irshad sirf oos kadar he..
۔ ” ﻭﺍﻗﯿﻤﻮﺍ ﺻﻔﻮﻓﮑﻢ ﻓﺎﻧﯽ ﺍﺭﺍﮐﻢ ﻣﻦ ﻭﺭﺍﺀ ﻇﮩﺮﯼ “ Aur yahi baat gujishta tamam hadis se ishara hoti he aur yahi mukif hadrat ahnaf kasrahmallah ka he...
Takhno se takhna aur kadmo se kadmo ko milane ka huqm Rasulullah ne hargiz nahi diya..balki yah to hadrat Bashir bin Nouman aur hadrat Anas bin Malik k akwal he...jaisa ki Hafiz Ahmad bin Ali bin Hazr Askalani rakmtaraj he.
"An Anas Rawah Sayeed Bin Mansoor wahi koul he ۔
” ﻋﻦ ﺍﻧﺲ ﺭﻭﺍﮦ ﺳﻌﯿﺪ ﺑﻦ ﻣﻨﺼﻮﺭ ﻭﮨﯽ ﻗﻮﻟﮧ ﻭﮐﺎﻥ ﺍﺣﺪﻧﺎ ﺍﻟﺦ ﻭﺻﺮﺡ ﺑﺎﻧﮩﺎ ﻣﻦ ﻗﻮﻝ ﺍﻧﺲ ﻭﺍﺧﺮﺟﮧ ﺍﻻﺳﻤﺎﻋﯿﻠﯽ ﻣﻦ ﺭﻭﺍﯾﺔ ﻣﻌﻤﺮ ﻋﻦ ﺣﻤﯿﺪ ﺑﻠﻔﻆ ﻗﺎﻝ ﺍﻧﺲ ﻓﻠﻘﺪ ﺭﺍﯾﺖ ﺍﺣﺪﻧﺎ ﺍﻟﺦ “ ۔ ) ﻓﺘﺢ ﺍﻟﺒﺎﺭﯼ ﻗﺪﯾﻢ : ۲ /۲۱۱ Hadrat Nouman bin Basheer aur Hadrat Anas bin Maalik wagairah Sahaba k akwal wa Afa'al Gair Mukallidin k nazdik Huzzat Sharyi nahi he..Agar bil garz Apni "Zidd" ka Bhram kayim rakhne k liyewah oon Sahaba k akwal se isdalal krte he to firse Rasulullah oose mansoob krne kjurm ka irtikab to na kre kyunki kandho se kandha milana yah hadrat Nouman Bin Bashir ka koul he aur kandhe se kandha milaana wa kadam se kadam milane ka koul hadrat Anas ka heilawah ajih agar Sahaba k Akwal wa Afa'al ko huzzat taslim krte he to fir oos masayil me Hadraat khulfaye Rashideen k tarze Amal ko kabool kre..jis ki tafsil pahle bayan ho chuki he..aur agar Hadrat Anas ka koul aap hadrat ko kabile kabool he to jaisa k Bukhari Sharif ki riwayat bayan ho chuki he jisme unhone Safe Durust na krne ka shakuh to kiya he magar takhno se takhna aur kadam ka kadam se milaane ka naam tk nahi
No comments:
Post a Comment