Friday, 28 September 2018

WITAR KI NAMAAZ KE AKHIRI RAKAT ME DUA E QUNOOT SE PEHLE RAFULYADAIN KARNE KI DALIL….

Assalamu alaikum Wr Wb

WITAR KI NAMAAZ KE AKHIRI RAKAT ME DUA E QUNOOT SE PEHLE RAFULYADAIN KARNE KI DALIL….

Iss Mazmoon ke dalil se pehle me batlana chata hu ke Sahaba Raz Ka Fail Aur Qaul Hum Ahle Sunnat Wal Jammat Chahe Woh Hanabela ho, Shawafia ho, Malikiya Ho Ya Hanafia Ho Hujjat Hoti He…

Aur Sahaba Raz Mese Zada Afzal Abu Bakr Umar Usman Aur Ali Raz Ke Baad Hazrat Abdullah Bin Masood Raz Ka Fail Ya Qaul Hai Hum Ahnaf Ke Nazdeek Iski Wajah Yeh He Ke Rasoolullah S.A.W Ka Farman.. Aur Hamari Hanfi Fiqh Puri Ki Puri Hazrat Ibn Masood Raz Ke fail Ya amal Ya Hadees Par Mabni He Aur Kyu Na Ho Jisko Allah Ke Nabi S.A.W Pasand Farma Le Unko Ham Bhi Pasand Karte He…

Lehaza Muqqam E Abdullah Bin Masood Imamul Ambiya Rasul ullah S.A.W Ki Zubani…

1) Rasool ullah S.A.W Farmate He Ke “jis cheez ko tumhare liye Ibn Masood Raz pasand Karte He Me Ispar Raazi Hu..
(Hakim jild 3 Safa 319)

* Imam Hakim Rah Ne Sahih Kaha..
* Imam Zehbi Ne Bhi Sahih Kaha..
* Shaikh Naseeruddin Albani Ne Sanad Ko Sahi Kaha..
(Silsilatul Hadees Sahiha Raqam#1225)
* Shaikh Muhammad Awwama Rah Ne Bhi Hadees Ko Sahih Kaha
(Hasiyyah Musannaf Ibn Abi Shaiba 17/193)

2) Rasool ullah S.A.W Ne Farmaya- “Ibn Masood Raz Ke Farman Ko Mazbooti Ke Sath Pakdo”
(Isko Riwayat kiya he Tirmizi, Musnad Ahmad Aur Tahawi Me)

* Shoaib Arnaut Rah Farmate He Hadees Sahih He
(Hasiyya SharhMushkil Aasar Raqam#1224)

Lehaza In Do Marfoo Riwayato Se Pata Chala Ke Ibn Masood Raz Ka Qaul Wa Amal Hujjat He Deen Me Jesse Sahaba Ki Shaan E Mubarak He Lekin Tarjeeh Ibn Masood Ko He Rasul Ullah S.A.W Ke taraf Se..

Ab Asal Masle Pe Ate He Ke Ham Ahnaf Qunut Ke Takber Me Rafal Yadain Kyu Karte He??

1) SANAD
Imam Abi Shaiba- Abdul Rahim Al Muharibi Zaida- Lais Bin Abi Sulaim- Abdur Rahman Bin Aswad- Aswad Bin Yazid- Abdullah Bin Masood Rdh. Witr
Ki Teesri Rakaat Me Qirat Ke
Baad Allahuakbar Kehkar
(Takbeer E Tehrima Ki Tarah)
Haat Utaate Aur Duaaye
Qunoot Padhte Aur Phir
Takbeer Kehkar Ruku Me
Jaate. (Mussanaf Ibn Abi Shaiba Jild 2 Hd.no-7027,7028, Juz E Rafe-Yadain :
Safa 24,28,Raqm-163
Aasaar Us Sunan :
Safa 328)

* Yehi Riwayat Imam Bukhari Ne Apni Sanad Se Juzz rafaya dain Me Aur Imam Abdur Razzaq Rah Ne Musanaf Abdur Razzaq 4/325 Me Hasan Sanad Ke Sath Naqal Kiya He.

2) Hazrat Ali Rdh., Ibn
Omer Rdh. Aur Baraa Rdh. Se
Bhi Yahi Amal Saabit Hai.
(At-Ta’aliqun Hasan : Safa
327)

3) Hazrat Umar Raz Se Bhi Marvi He Ke Witar Ke Qunut Ke Takbeer Me Vo Rafayadain Karte The..
( Juzzul Rafulyadain Raqam 23, Baihaqi Jild 3)
* Shaikh Albani Rah Ne Sanad Ko Sahi Kaha
( Dekhiye Irwaul Ghalil)
* Shaikh Ibn Bazz Rah Ne Bhi Sahih Kaha He..
(Majmua Fatawa Ibn Bazz)

4) Ibraheem Naqhai Tabain He Farmate He 7 Maqaam Par Hatho Ko Uthaya Jaye( Rafayadain Kiya Jaye) jismese Ek Unhone WITR KE QUNUT KE PEHLE TAKBEER bhi Shamil He..
(Musanaff Ibn Abi Shaiba Jild 2 Hd.no-7029,
Sharh Ma’anail Asaar lil Tahavi rah)

* Iski Sanad Ko Imam Nemwi Ne Sahi Kaha He..
(Aasarus Sunan Safa 210)

Lehaza Hum Rafa Yadain Tab He Karte He Jab Hadees Wa Asaar Se Sabit Ho Tark Na Hua Ho..

AITERAAZ…

Ghair Muqallideen Ka Ek Iskal Yeh He Ke Hum Ahnaf Qunoot Ke Takbeer Ke Dauraan Hath Uthakar Dua Kyu Nahi Mangte Kyuki Qunut Ek Dua He Aur Dua Hath Utha Kar Mange Jayegi…

JAWAAB..

Hum Ahnaf Sunnat Ko Zada Pasand Karte He Na Ke Raaye Ko…
Kisi Bhi Marfu Hadees Ya Asaar E Sahaba Raz Se Hath Utha Kar Dua Karna Sabit Nahi Lehaza Pehle Aplog Hath Uthakar Dua Karneki Sahih Sharah Hadees Dikhayein…

JAWAB DUWWAM

Iska Aur ek Jawab Yeh He Ke Rasul ullah Saw Ne Kabhi Bhi namaaz Ke Dauraan Apne Hath Utha Kar Dua Nahi Kiya He Haan Jab Namaaz Khatam Hojati Tab Karte Iski Dalil Mulaiza Ho..

Hazrat Abdullah Bin Zubair Raz Ne Ek Shakhs Ko Dekha ke vo Apne Hath Ko Uthaye Huye Namaaz Khatam Honese Pehle Dua Kar Raha Tha, Jab Uski Namaaz Khatam Hui Toh Abdullah Bin Zubair Raz Uske Pass Tasreef Farma Huye Aur Farmane Lage Beshaq!! Rasool ullah S.A.W Sirf Namaaz Ke Khatam Honeke Baad Apne Hatho Ko Uthate Aur Dua Mangte The..
(Majmua Zawaaid 1/169
Imam Haismi Rah Se Hadees Ko Sahih Qarar Diya He)

Umeed He Ke Dalilo Se Rabbta Honeke Baad Ghair Muqallideen Hampar ungli Uthaneki Galati Nahi Karenge…

Jazak Allah…

No comments:

Post a Comment