Saturday, 1 December 2018

Firqa Ahulhadees se Asaan Sawal koi hai jo jawab de

Ahle Hadees Ghair Muqallideen Kehte
Hai Ke Hume Quran Aur Hadees Kaafi Hai
Kisi Ki Rai Ki Hume Zarurat Nahi.Jab Firqa E
Ahle Hadees Ka Yeh Dawa Hai Toh Phir Wo
Log Quran Wa Hadees Ke Hote Huve Apne
Ulama Se Fatwe Kyun Puchte Hai Aur Firqa
E Ahle Hadees Ke Kutub Khaane Fatawa
Ahle Hadees , Fatawa Naziriya , Fatawa
Sanaaiya Wa Ghaira , Rai Aur Aqwaal E
Rijaal Ke Shirk Se Bhari Huvi Kitabe Kyun
Chaap Rahe Hai.Kya Ab Ahle Hadees Ke
Liye Quran Wa Hadees Kaafi Nahi Raha ?
Lehaza Ghair Muqallid Ulama Aur Muftiyo
Se Guzarish Hai Ke Har Masla Puchne Wale
Ke Sawaal Ke Jawaab Me Apni Rai Aur
Tehqeeq Pesh Karne Ke Bajai Is Nasihat Ke
Saat Hadees Ki Kitabe Rawana Karde Ke Is
Me Se Padhkar Masla Maloom Karlo ,
Hamari Tehqeeq Maankar Mushrik Mat
Bano.

No comments:

Post a Comment