Saturday, 15 June 2019

Imaam Abu Hanifa Rha Par Bohtan Ke Aap Ne Joote Ki ibadat ki izajat di [Nauzzbillah]

Bismillahirrehmannirraheem***
>ALLAh TA’ALA ne Insan ko peda kia to usko uskey Dimagh mein AQAL naam ki ek cheez bhi ata farmayi… Us AQAL ka istemal karkey Insan SAHIH aur GHALAT ka Andaza lagata hai… Ye AQAL kisi mein Kam hoti hai kisi mein Ziyada hoti hai… Aaj hum aisey Fareeq ke aitraz ka jawab deney jarahey hain jissey ALLAH ne Hidayat ke sath AQAL bhi cheen rakhi hai iska andaza aapko ba khubi hojayega jab aap is fareeq ki taraf se IMAM UL KABEER IMAM ABU HANIFA (Ra) par kiya janey wala Aitraz parhengey, INSHAALLAH wo aitraz parhtey hi aapko Andaza hojayega ke ye Fareeq (jisko ILMI Duniya mein GHERMUQALLID ke naam se jana jata hai jo ke RAWAFIZ ka ek Sargaram Firqa hai) kis qadar KORR MAGHAZ, BEGHERAT, AJHAL(jahil tareen) aur GHALEEZ ZEHNIYAT ka Malik hai…!!! Mulahiza farmaiye… Hum pehley AITRAZ Naqal karengey phir uska jawab dengey…!!!
>>>RAWAFIZ KI JANIB SE PESH KARDAH RIWAYAT…:
>SANAD…:
Akhbarana…[1] MOHEMMED BIN AL-HUSAIN BIN AL-FAZAL AL-QATTAAN…>
Akhbarana…[2] ABDULLAH BIN JA’FAR BIN DARASTUWIYAH…>
Haddasana…[3] YA’QOOB BIN SUFIYAN…>
Haddasani…[4] ALI BIN USMAN BIN NUFAIL…>
Haddasana…[5] ABU MUS,HAR ABDUL A’LA BIN MUS,HAR AL-DAMISHQI…>
Haddasana…[6] YAHIYA BIN HAMZA…>
Waa…[7] SA’EED BIN ABDUL ‘AZIZ…
>MATAN…:
(Matan GHERMUQALLIDEEN ke hi tarjumey ke mutabiq bayan kartey hain jo post mein hai)…:
“YAHIYA BIN HAMZA ne SA’EED ke samney ye baat bayaan ki ke ABU HANIFA ne kaha hai ke AGAR KOI SHAKHS JOOTEY KI ‘IBADAT KAREY ALLAH KA TAQARRUB HASIL KARNEY KI NIYAT SE TO MAIN IS MEIN KOI HARJ NAHIN SAMAJHTA to SA’EED (BIN ABDUL’AZIZ AL-NATUKHI) ne ye (Sunkar) kaha YE TO SARIH KUFUR HAI.”
>HAWALA…:
1[TAREEKH E BAGHDAD, j#13 p#372].
2[TAREEKH E BAGHDAD, j#15 p#509].> Is Hawaley ko GHERMUQALLIDEEN ne {TABA’ JADEED} kaha hai, aur post mein isi {TABA’ JADEED} ka hi SCAN diya hai, IS BAAT KO YAAD RAKHIEN.
>TASIH…:
HASHIYA NO.4 KO LAAL RANG SE GHERMUQALLIDEEN NE HIGHLIGHT KIA HAI JIS MEIN LIKHA HUA HAI {ISNAADUHU SAHIHUN} TAAKEY GHERMUQALLIDEEN KA NAZARIYA SAMNEY AJAYE KE UNKE NAZDEEK YE RIWAYAT SAHIH HAI…!
>>>AL-JAWAAB…:
Humney shuru mein aapse kaha tha ke ALLAH ne insan ko AQAL naam ki ek cheez ata farmayi hai, us ke Bal par insan SAHIH ghalat ka andaza lagasakta hai aur wo insan jinki AQAL kamzor hoti hai wo bhi un baton ka SAHIH GHALAT hona pehchan saktey hain jo intihayi Zahir hon jin mein Ziyada Aqal larani naa parey….Yahan aisa hi hai!!! Ye pesh kardah riwayat itni mazheka khaiz hai ke is par koi Jahil se Jahil Aadmi bhi yaqeen naa karey…!
Aap zara andaza lagaiye! Ke is jahan mein koi aisa AADMI ya Aisa FIRQA kabhi nikla hai jo JOOTEY ki IBADAT ko Jayiz samajhta ho? Koi PAGAL se PAGAL Aadmi bhi aisa mila hai kahin is duniya mein? Agar nahin mila aur hargiz nahin mila to MUSALMANO ke AZEEM IMAM se ye UMEED lagayi jasakti hai ke wo aisey wahiyaat aur Qabih Fa’el ko Jayiz kehdein??? Nauzubillah!!! Jab Aam se Aam PAGAL se PAGAL aur NAFSIYATI se NAFSIYATI MUSALMAAN se ye UMEED nahin lagayi jasakti to MUSALMANO ke MUTTAFIQA IMAMUL KABEER IMAMUL A’ZAM se ye UMEED kis tarha lagayi jasakti hai??? Kia ye Ehmakana harkat nahin hogi??? Yahi baat is riwayat ko mangharat sabit kardeti hai! Ab bataiye? Jo is riwayat ko MATAN ke aitbar se SAHIH samjhey, isko NAQAL karey, IMAM SAHIB ki TANQEES karey aur unse JOOTEY KI POOJA ke FATWEY ko SABIT samjhey uske andar AQAL naam ki koi cheez hoti hogi??? Kia wo koi badtareen BADAQAL aur GHALEEZ TAREEN RAFIZI nahi hoga??? Jo IMAMON ki TAZLEEL ke liye kisi bhi tarha ki OOT PATANG riwayaat ko naqal karta rahey??? BESHAK WO BAD AQAL HI HAI AUR RAFIZI BHI! IS MEIN KOI SHAQ NAHIN HAI! UMEED HAI KE AAPKO MALUM HOGAYA HOGA KE JIS FAREEQ SE HUMARA PALA PARA HAI WO KITNI AQAL O ADAB APNEY ANDAR RAKHTA HAI!!!
“Khurd Ka Naam Junoon Rakhdiya, Junoon Ka Khurd,
Jo Chaahey Aapka Husun Karishmah Saaz Karey.”
>IS PURI AQALI BEHAS KE BAAD ZARURI TO NAHI KE HUM IS RIWAYAT PAR KOI KALAM BHI NAQAL KAREIN(Kyunke Aqal waley ke liye wohi jawab kafi hai!), LEKIN CHUNKEY HUMAREY FAREEQ E MUKHALIF KO ZOR AAZMAYI KA BARA HI SHOQ HAI, TO HUM IS SANAD PAR KALAM KARKEY USKA YE SHOQ BHI PURA KIYE DETEY HAIN…ALLAH KI TOFEEQ SE!!!
>>>JAWAB SE PEHLEY EK USOOL…:
Zaruri hai ke Jawaab se pehley ek Intihayi eham USOOL samajhlein aur mulahiza farmalein…:
>Muhaddiseen ka ye Usool hai ke MUTASSID ki Riwayat aisey Shakhs ke Khilaf Jissey wo TASSUB rakhta ho NAQABIL E QUBUL aur RADD hoti hai… Chunancheh…:
1):IMAM E AHLUS SUNNAH IMAM SHAFAY’II(Ra) farmatey hain…:
“MUTA’SSIB LOGON KI GAWAHI RADD KARDI JAYEGI…!” (…Aur kyun RADD kardi jayegi? Iski Kafi TAWEEL Behas IMAM SHAFAY’II(ra) ne ki hai).
Dekhiye…: [KITABUL UMMUSH SHAFAY’II, j#6 p#211].
2): IMAM TAJUDDIN SUBKI ASH-SHAFAY’II(Ra) farmatey hain…:
“…Balkey DURUST baat humarey Nazdeek ye hai ke jiski IMAMAT o ‘ADALAT Sabit ho aur uski MUDDAH aur SAFAYI bayan karney waley ZIYADAH hon aur JIRAH karney waley KAM hon AUR WAHAN KOI AISA QAREENA BHI MOJUD HO JIRAH MEIN JISSEY MALUM HOTA HO KE JIRAH TASSUB E MAZHABI waghera KI WAJEH SE KI GAYI HAI, To HUM iskey baarey mein JURUHAAT ko QABIL E ILTIFAAT nahin samjhengey(yani Radd kardengey!) aur HUM unko AA’DIL(SIQAH) hi kahengey. Warna agar hum ye darwaza kholdein ya Hum JIRAH ko A’LAL ITTILAQ MUQADDAM Samajhney lagein to IMAMON mein se kon bach sakta hai? Kyunke KOI IMAM AISA NAHIN JIS PAR TA’AN KARNEY WALON NE TA’AN NAA KIA HO, ya un mein HALAK honey waley HALAK na hue hon.”
>…isi safhey par aagey farmatey hain…:
“…Lekin USOOL o ZABITA to ye hai jo Hum kehrahey hain ke jiski A’DALAT Sabit ho uske baarey mein us SHAKHS ki baat QABIL E ILTIFAT hi nahin(yani Radd hai!) Jis SHAKHS ke MUTALLIQ Qaraen(SHAWAHID o DALAIL) ye SHAHADAT detey hon ke Wo SHAKHS ZIYADTI ya *TASSUB E MAZHABI* ki WAJEH se ILZAM QAYIM karta hai.”
Dekhiye…: [TABQATUSH SHAF’IYATUL QUBRA, j#1, p#188].
>SAARI BAAT KA KHULASA YE NIKLA KE…:
1): MUTASSIB KI RIWAYAT O GAWAHI RADD HAI BHALEY WO SIQAH HI KYUN NA HO.
2): AGAR KOI SHAKHS AISEY ADMI YA IMAM PAR JIRAH KAREY JISKI SIQAHAT O A’DALAT KI GAWAHI DENEY WALEY BUHAT ZIYADA HON AUR USKI IMAMAT PUREY AALAM MEIN QUBUL KI JACHUKI HO AUR US PAR JIRAH KARNEY WALEY KAM HON AUR SAFAYII BAYAN KARNEY WALEY ZIYADA HON AUR PHIR JO JIRAH KARRAHEY HAIN WO TASSUBKA SHIKAR BHI HON TO AISI JURUHAAT US IMAM KE BAREY MIEN RADD HOTI HAIN, AUR IS QABIL HOTI HAIN KE…..
“Uthaakar Phainkdo Bahir Gali Mein…!”
3): Agar Aisey AEMMA jinki IMAMAT Purey AALAM mein Qubul ki jachuki ho un par juruhaat ka darwazah kholdiya jaye tab to koi bhi IMAM SIQAH NAHIN RAHEGA kyunke HAR IMAM par KISI na KISI ne JIRAH kar rakhi hai… Jesey IMAM BUKHARI(ra) ko IMAM ABU HATIM(ra) ne MATROOK kehkar RADD kardiya hai. Lekin hum IMAM ABU HATIM(Ra) ki baat nahin mantey.
>>>YAAD RAHEY…!!! IMAM UL A’ZAM ABU HANIFA(ra) KI SIQAHAT O IMAMAT O ADALAT PURI DUNIYA MEIN MUSALLAM AUR SABIT SHUDA HAI… AAP PAR JIRAH KARNEY WALEY INTIHAYI KAM HAIN BANISBAT UNKE JINHONEY AAPKI TA’DEEL O SAFAYI BAYAN KI HAI, PHIR JIN BECHARON NE AAP PAR JIRAH KI HAI WO KAM HONEY KE SATH SATH INTIHAYI MUTASSIB BHI HAIN, LIHAZA UNKI SARI RIWAYAT HAR HAR AITBAR SE RADD HAIN…. BHALEY WO HAZRAAT SIQAH HI KYUN NA HON.
>USOOL ko Achi tarha zehan nasheen karney ke baa dab ajaiye SANAD ki BEHAS ki Taraf…:
KITAB “TAREEKH E BAGHDAD” KE MUSANNIF **KHATEEB BAGHDADI(RA)** KI BEHAS…:
Ye Kitab jis se aitraz naqal kia gaya hai “TAREEKH E BAGHDAD” KHATEEB BAGHDADI(ra) ki hai aur wo is mein apni SANAD se riwayat bayan kartey hain.
>KHATEEB BAGHDADI INTIHAYI TASSUB rakhney waley they aur ye ek khuli hui Haqeeqat hai, chunancheh unke barey mein…:
1)…: HAFIZ IBNE AL-JUZI AL-HANBALI(ra)-[jo IMAM, ALLAMA, ALHAFIZ aur AALIM UL IRAQ they –TAZKIRAH j#4 p#131] apni SANAD ke sath ISMAIL BIN ABI FAZAL AL-QAMUSI AL-ASBAHANI(ra) ka Qaul naqal kartey hain…:
“…Wo (ISMAIL BIN FAZAL Al-ASBAHANI) HADEES ke janney waley they farmatey they Main TEEN(3)HUFFAZ e HADEES ko PASAND NAHIN karta kyunkey wo **SAKHT MUTASSIB** aur *QALEELUL INSAAF(Buhat kam insaaf karney waley)* hain…
1: IMAM HAKIM(ra)
2: ABU NU’EM ASBAHANI(ra) aur
3: **KHATEEB BAGHDADI**.”
…Aagey HAFIZ IBNE AL-JUZI(ra) IMAM ISMAIL ke is Qual ki Khud bhi Tayid kartey hain aur farmatey hain…:
“…Aur ISMAIL ne BILKUL SACH kaha hai aur wo Ahle Mu’arifat mein se they.”
DEKHIYE…: [AL-MUNTAZIM, j#8, p#269].
*HAFIZ IBNE AL-JUZI(ra) apni Dusri kitab mein bhi yahi mazmoon zikar farmatey hain…:
“IMAM KHATEEB(ra) un dono(IMAM HAKIM aur ABU NU’EM) se TASSUB aur BUREY QASAD mein ZIYADA BARHEY hue hain.”
Dekhiye…: [AS-SEHAMUL MUSAIYAB bahawala AL-TANEEB, p#11, Taba’ MISAR.]
2)…: IMAM IBNE HUJAR MAKKI SHAFA’YII(ra) KHATEEB BAGHDADI(ra) ki un sari Riwayaat (jo unhoney zair e behas kitab TAREEKH E BAGHDAD mein IMAM ABU HANIFA(ra) ke khilaaf naqal ki hain) ka Hawala detey hue farmatey hain…:
“…is par jo cheez Dalalat karti hai wo ye hai ke KHATEEB BAGHDADI ne IMAM ABU HANIFA(ra) ki QUDAH mein(JIRAH mein)ko SANADEIN pesh ki hain wo ZIYADA TAR *MUTAKALLIM FEAH* RUWAAT ya *MAJHOOL* rawiyon se Manqool hain aur AISI (Bekar) SANADON se BIL-ITTEFAQ kisi bhi MUSALMAN ki Hutak e Izzat NAHIN ki jasakti Chey Jayeka MUSALMANO KE IMAM ki KI JAYE(yani aisi bekar SANADON se kisi chotey adna se musalman ki Izzat par koi aanch nahin aati to jisko IMAMUL A’ZAM Mana gaya ho us ki izzat par kia aanch ayegi???).”
Dekhiye…: [AL-KHAIRATUL HISAAN, p#69].
>Ye Gawahi kisi HANAFI ki NAHIN balkey KHATEEB ke HUM MASLAK SHAFAY’II IMAM ki hai, SubhanALLAH!
3:…: IMAM ZEHBI(ra) ne bhi KHATEEB ke TASSUB ka izhar karte hue unki IKHLAQI PASTI ka rona roya hai, aap farmatey hain…:
“…**KHATEEB BAGHDADI** aur ABU NU’EM aur dusrey buhat se ULAMA E MUTAKHIREEN ka koi GUNAH issey BARA main NAHIN Janta ke ye HAZRAAT BE TAHASHA apni kitabon JAA’LI RIWAYATEIN NAQAL KARTEY HAIN jabkey ye GUNAH hai…”
Dekhiye…: [AR-RUWAATUS SIQAAT, p#11].
>>>In sarey Hawalajaat aur behas se Pata chala ke KHATEEB BAGHDADI IMAM IBNE AL-JUZI aur IMAM ISMAIL BIN FAZAL ke nazdeek SHADEED MUTASSIB hain aur INSAAF karney waley hargiz nahin hain,
…IMAM IBNE HUJAR ke haan KHATEEB BAGHDADI IMAM ABU HANIFA(ra) ke muamley mein MUTASSIB hain aur IMAM ABU HANIFA(ra) ke khilaf JAALI RIWAYAAT NAQAL kartey hain , lihaza IMAM SAHIB ke Khilaf KHATEEB ki Sari baatein RADD hain(Usool ke tehat!) kyunke wo mutassib hain.
…ALLAMA ZEHBI ke nazdeek KHATEEB BAGHDADI GUNEHGAR hain kyunke unhoney apni kitab mein JAALI RIWAYAAT ki bharmaar kar rakhi hai khaskar IMAM ABU HANIFA(ra) ke khilaf!!!
…LIHAZA TAREEKH E BAGHDAD KITAB MEIN JITNI RIWAYAAT IMAM ABU HANIFA(ra) KE KHILAF HAIN WO SABKI SAB BEKAR AUR ZA’EEF HOGAYIN KYUNKE UNKA MARKAZI RAWI KHATEEB HAI AUR WO SHADEED MUTASSIB AUR GUNEHGAR HAI.
>Is Behas ke Baad SANAD par Behas o Kalam ki Mazeed koi zarurat nahin hai yahi behas kafi hai, par hum aagey ke khas abhi ki zair e behas Riwayat ke Rawiyon ki Mukhtasar Behas bhi kiye detey hain…Mulahiza Farmaiye…:
RAWAFIZ KI PESH KARDAH ZAIR E BEHAS RIWAYAT KI SANAD KE RAWIYON KI BEHAS AUR UNKA KA HAAL…:
***[2] SANAD ke DUSREY RAWI “ABDULLAH BIN JA’FAR BIN DARASTUWIYAH” ka Haal..:
>ABDULLAH BIN JA’FAR BIN DARASTUWIYAH aisa Aadmi tha, ke chand Dirham diye jayein to jhoot bolney par amadah hojaye…Chunancheh…:
*IMAM ZAHID BIN AL-HASAN AL-KAUSARI(RA) farmatey hain…:
“Is Riwayat ka RAWI ABDULLAH BIN JA’FAR jo hai wo IBNE DARASTUWIYAH hai jo ke chand Dirham ke khatir un logon se bhi HADEES bayan kardeta tha jinsey iski Mulaqat bhi nahin hui hoti. Pas! Agar aap isko 1 DIRHAM dein to wo aapki marzi ke mutabiq jhooti baatein gharr kar pesh kardega.”
*Aagey IMAM ZAHID KAUSARI R.A. likhtey hain…:
“…ABDULLAH BIN JA’FAR IBNE DARASTUWIYAH jab AL-DORI ya YA’QOOB BIN SUFIYAN se Riwayat karey to wo Riwayat MUNKIR hojati hai, aur yahi Qaul hai AL-BARQANI(Ra) ka jo ke Mashur Qaul hai.”
Dekhiye…: [TANEEBUL KHATEEB, p#133 – URDU].
>Pata chala ke IBNE DARSTUWIYAH itna SAHIH nahin ke uski Riwayat par bharosa hi karliya jaye kyunke uska QALAM Ujrat ka hai, aur ye bhi pata chala ke jab wo YA’QOOB BIN SUFIYAN se koi Riwayat Bayan karey to wo MUNKIR hojati hai aur Yahan aisa hi hai ke IBNE DARASTUWIYAH , YA’QOOB BIN SUFIYAN se hi Riwayat karraha hai(aap uppar jakar wahan dekhsaktey hain jahan humne sanad naqal ki hai! Aur post mein bhi scan mein dekhlein!) Lihaza ye ZAIR E BEHAS RIWAYAT MUNKIR aur ZA’EEF hai.
***[5] PAANCHWEY RAWI “ABU MUS,HAR ABDUL A’LA BIN MUS,HAR DAMISHQI” ka Haal…:
>ABU MUS,HAR QURAN PAK ke MAKHLOOQ honeka GUMRAHKUN AQEEDAH rakhney wala aadmi tha, ye Aqeedah AHLE SUNNAT WAL JAMA’AT aur uske IMAM IMAM ABU HANIFA(Ra) ke Aqeedey ke Sarasar khilaf hai…
*IMAM ZAHID AL-KAUSARI(Ra) farmatey hain…:
…ABU MUS,HAR ABDUL A’LA BIN MUS,HAR DAMISHQI HAI jisney QURAN (ke Makhlooq ya GherMakhlooq hone) ke baarey mein jo Aazmayish ayi thi us mein (Hukumat ke Ghalat Nazariye yani Quran ke Makhlooq honey ke) nazariye ko Qubul karliya tha, lihaza jin logon ke (Usool) ke mutabiq Aazmayish mein (Ghalat masley ko) Qubul karleney waley ki Riwayat MUTLIQAN MARDOOD hoti hai unke Nazdeek ye (Zair e Behas) Riwayat bhi MARDOOD hojayegi.”
Dekhiye…: [TANEEBUL KHATEEB, p#133 – URDU].
>Pata chala ke ABU MUS,HAR AHLE SUNNAT ke khilaf Aqeeda rakhney wala aadmi hai, aur aisey Aadmi se koi Naa mumkin baat nahin ke wo Apney mukhalifeen yani Ahle Sunnat ke Aqeedey walon ko Badnaam karney ke liye Jhoot boley ya Jhooti Riwayaat Gharrley, Lihaza GHER AHLE SUNNAT ki Riwayat AHLE SUNNAT ke IMAM ke Barey mein 100% Radd kardi jayegi.
***[6] CHHATEY RAWI “YAHIYA BIN HAMZA” ka Haal…:
>YAHIYA BIN HAMZA “QaDRI” Firqey se Talluq rakhney wala Aadmi hai jo ke Ahle Sunnat ke Khilaf TAQDEER ka INKAR karney wala ek Batil firqa hai, Chunancheh…:
*IMAM ZAHID AL-KAUSARI(Ra) farmatey hain…:
“YAHIYA BIN HAMZA QaDRI firqey wala hai, iski baat AHLE SUNNAT ke kisi bhi IMAM ke RADD mein DALEEL (Hargiz) NAHIN Bansakti.”
Dekhiye…: [TANEEBUL KHATEEB, p#133 – URDU].
1): QaDRI Firqey ke baarey mein ALLAH KE RASUL S.A.W ki HADEES hai…:
“IBNE UMAR RZ.A. se riwayat hai ke RASUL S.A.W ne farmaya ke QaDRI is Ummat ke MAJOOSI hain, wo bimar hojayein to unki ‘Ayadat mat karo, wo marein to unke Janazey mein Shareek mat ho.”
Dekhiye…[SUNAN ABU DAWOOD, j#2, p#644].
2): IMAM MALIK(ra) farmatey hain…:
“QaDRIYON ke Peechey Namaz bhi mat parho, aur UNSEY RIWAYAT BHI MAT LIYA KARO.”
Dekhiye…: [AL-KIFAYAH FIL ‘ILMUL RIWAYAH, p#124].
3): SHEIKH ABDUL QADIR JILANI HANBALI(ra) farmatey hain…:
“…aur ALLAH TA’ALA ki SIFAAT ke INKAAR ke baarey mein MU’ATAZILA, JEHMIYA aur QaDRIYAH ek hi jesey hain.”
Dekhiye…: [GHUNIYA TUL TALIBEEN, p#175].
4): ZUBAIR ALI ZAYI GHERMUQALLID ke RISALEY “AL-HADEES” mein IMAM HASAN BASRI(ra)ke hawaley likha hua hai…:
“…QaDRI KAAFIR hain.”
Dekhiye…:[AL-HADEES risala, Shumarah#31, p#6].
>Pata chala ke Awwal to ye Rawi Qadri hai jinko NABI S.A.W ne Ummat ka MAJOOSI KAAFIR kaha hai.
…QaDRI ki Riwayat IMAM MALIK(ra) ke Haan MU’ATTABAR NAHIN Lihaza ye ZAIR E BEHAS Riwayat RADD hai.
…Phir ye AQAYID mein IMAM ABU HANIFA(ra) ka mukhalif hai. Lihaza ek MUKHALIF AQEEDEY (GHER AHLE SUNNAT) waley ki SHAHADAT AHLE SUNNAT par kiya hujjat hogi? Wo bhi IMAM E AHLE SUNNAT par?
…Yahi Baat IMAM ZAHID AL-KAUSARI(Ra) ne bhi ki hai jesa ke uppar humne naqal kia hai ke QADRI ki RIWAYAT AHLE SUNNAT ke AEMMA KIRAM ke RADD mein DALEEL nahin bansakti…Falilhamdulillah!
>>> LIHAZA MALUM HOGAYA… KE IS RIWAYAT KA MARKAZI RAWI KHATEEB HAI JO IMAM ABU HANIFA R.A. KE KHILAF MUTASSIB HAI LIHAZA ISKI EK EK RIWAYAT KHUD ISI KI WAJEH SE ZA’EEF HOJATI HAI, PHIR IS ZAIR E BEHAS RIWAYAT KE RAWI INTIHAYI KAMZOR , AHLE SUNNAT WAL JAMA’AT KE AQEEDEY KE KHILAF AQEEDA RAKHNEY WALEY HAIN LIHAZA IMAM E AHLE SUNNAT KE KHILAF INKI RIWAYAAT KHUDI BATIL HAIN… PHIR IS ZAIR E BEHAS RIWAYAT KA MATAN HI ISKE MANGHARAT HONE KE LIYE KAFI HAI JO KE INTIHAYI MAZHEKA KHAIZ HAI JESA KE HUM JAWAB KE SHURU MEIN LIKH AYE HAIN… TO YE RIWAYAT BARI HI MOZU’ AUR ZA’EEF HAI, AUR ISKO NAQAL KARKEY KHUSH HONEY WALEY AAJKAL KE GHERMUQALLID RAWAFIZ BAREY HI GHALEEZUL FITRAT INSAN HAIN…!
>>>IS ZAIR E BEHAS RIWAYAT KA EK AUR ANDAZ SE JAWAAB…:
Main(Mohemmed Bilal Ahmed Hanafi) kehta hun ke Ye to humari tehqeeq ke mutabiq behas thi, lekin iska ek aur jawab bhi hosakta hai, ghaur farmaiye…:
GherMuqallideen ne jo scan diya hai wo unke mutabiq TABA’ JADEED yani NEW EDITION ka scan hai, us scan ke HASHIYA NO.# 4 ko parhein to jawab yahan se bhi ho hi jata hai…chunancheh tarjumah pesh kiya jaraha hai, HASHIYA # 4 ka Arabi matan post mein YELLOW color se HIGHLIGHT hua hua hai wahin dekhlein…:
>Tarjumah…:
HASHIYA # 4: “ISKI SANAD SAHIH HAI. LEKIN YE QAUL MUMKIN HI NAHI KE AAM ADMI SE SADIR HO CHEY JAYEKE IMAM ABU HANIFA R.A. NE AISA KAHA HO. AUR YAQOOB BIN SUFIYAN AL-QASWI BUHAT ZIYADA IZAFA KARDETEY HAIN ISTARHA KE AKHBAR O RIWAYAAT MEIN.”
>HASHIYA NIGAR khud likhrahey hain ke ye Qaul jo is riwayat mein hai ke “jootey ki ibadat taqarrub ke liye jayiz hai”(Nauzubillah!) ek AAM Admi se bhi Sadir hona NAA MUMKIN hai to IMAM ABU HANIFA Ra se ye kisi bhi tarha sabit nahin hosakta… aur phir is riwayat ke TEESREY number ke Rawi YAQOOB BIN SUFIYAN par JIRAH bhi karrahey hain ke ye Aadmi Aisi Tareekhi Riwayaat o Akhbaar mein apni taraf se izaafey kardeta hai, to phir ye Hashiye ke shuru mein ISNAADUHU SAHIHUN kistarha likharhey hain? Ye samajh se bahar hai, jabkey JIRAH bhi karrahey hain aur MATAN ki kharabi bhi batarahey hain to phir ye ISNADUHU SAHIHUN kesey hogayi? Hosakta hai ye Sanad Hadees mein Sahih ho tabhi aisa likhdiya ho ya phir Mutab’iat agar hon tab sahih hojaye isliye likhdiya hai beharhaal job hi wajeh hai ye riwayat apne MATAN o SANAD ke aitbar se khud SAHIB E HASHIYA ke nazdeek bhi SABIT NAHI HOTI!!!!!! Falilhamdulillah!!!
>>>UMEED HAI KE AHLE SUNNAT WAL JAMA’AT DOSTON KO YE JAWAB PASAND AYEGA AUR BATIL KO DA’WAT E FIKAR HOGI… ALLAH SE DUA HAI KE WO HUMARI KOSHISH KO QUBUL KAREY AUR ISEY ROSHNI KA ZARIYA SABIT KAREY! AUR HUMEIN AEMMA KI TAQLEED MEIN HI MAUT DE!!! AMEEN!!!<<<
Note…: KOI BHI KISI BHI QISIM KI GHALATI DEKHEIN TO BARA E KARAM ITTILA’ DEIN USKI ISLAH KARDI JAYEGI.
image
>Aztaraf..:
Saif e Hanafiyat… Khaak Paye ULAMA E AHLE SUNNAT… Talib e ‘ilm…:

No comments:

Post a Comment