Hakeemul Ummat Hazrat Maulana Ashraf Ali Thanwi RahimaUllah Par Mureed Ko Kalima Padhane Ke Bohtan Ka Muh Todh Jawab ( Part-1 )
Aiteraaz : Haqeemul Ummat Hazrat Maulana Ashraf Ali Thanwi RahimaUllah Ke Mureed Ne Kalima Padha “ Lailaaha Illallah Ashraf Ali Rasool Allah “ Aur Ispar Thanwi Sahaab Ne Unhe Kuch Nahi Kaha.
Al-Jawaab : Yeh Bohtan Hai Ye Kehna Ke Maulana Ashraf Ali Thanwi Sahaab Rh. Ke Ek Mureed Ne Aisa Padha Qatan Ghalat Hai , Wo Shaqs Us Waqt Tak Mureed Huwa Hi Nahi Tha Balke Wo Iraada Kar Raha Tha Bait Hone Ka , Magar Yeh Kuch Samajh Nahi Pa Raha Tha Ke Ki Kisse Mureed Hu Tab Yeh Khuwaab Dekha.
Jubki Aisa Harghiz Nahi Aap Ibarat Mulaheza Farmayen
“ Kuchh Arsa Ke Baad Khwab Dekhta Hun Ke Kalima Shareef La Ilaha Illal Lah Mohammedur Rasool Ullah Padhta Hun Lekin Mohammedur Rasool Ullah Ki Jagah Huzoor Ka Naam Leta Hun Itne Me Dil Ke Andar Khayaal Peda Hua Ke Mujhse Gahalti Hui Kalima Shareef Ke Padhne Me Aise Sahi Padhna Chahiye Is Khayaal Se Dobara Kalima Shareef Padhta Hun Dil Par To Ye Hai Ke Sahi Padha Jaawe Lekin Zabaan Se Be Sakhta Bajaye Rasool Ullah ﷺ Ke Naam Ashraf Ali Nikal Jata Hai Halanke Mujhko Is Baat Ka ilm Hai Ke Is Tarhan Durust Nahi Lekin Be Ikhteyaar Zabaan Se Yahi Kalima Nikalta Hai ” ( Risala Al Imdad-Page-35 )
Scan:
Ek Hadees Me Aata Hai
Aur Hadees Me Hai Ke 3 Aadmi Marfu Ul Qalam Nahi Hain ( Yaani Shar’ii Qanoon Ki Zadd Se Mehfooz ) Unme Se Ek Soone Waala Hai Jab Tak Ke Wo Bedaar Na Ho.( Mustadrak Al Haakim : Jild-Page-67/68 )
Scan:
Ye Hadees Muslim Ki Shart Par Sahi Hai. ( Mustadrak Al Haakim : Jild-Page-67/68 )
Scan:
Isi Tarhan Hazrat-E-Ali Rdh. Se Bhi Ye Riwayat Mankool Hai Kaseer Ta’adaad Me Ye Mazmoon Warid Hua Hai Alag Alag Alfazon Ke Sath Or Har Riwayat Me Sote Huai Shaqs Ka Zikr Hai In Riwayaat Ko In Kitabon Me Naqal Farmaya Gaya Hai Mulaheza Farmayen.
Sahi Ibn Hibban-Jild-1-Page-355
Mu’ajjam Ausat Tabrani-Jild-3-Page-361
Musnad Abu Dawood Tyalsi-Jild-1-Page-89
Musnad-E-Abi Yala Mosuli-Jild-7-Page-366
Jame Us Sahi Tirmidhi-Jild-4-Page-32
Sunan Al Kubra Lil Bahqi-Jild-1-Page-118
Sunan Daarimi-JIld-2-Page-225
Sunan Abu Dawood-JIld-4-Page-363
Sunan Ibn Maja-474
Sunan Al Kubra Nisai-Jild-6-Page-488
In Hawalajaat Ka Urdu Motrajim Scan Bhi Mulaheza Farmayen
Jame Us Sahi Tirmidhi-Jild-1-Page-559/560
Scan:
Sunan Daarimi-Jild-2-Page-216
Sunan Abu Dawood-Jild-3-Page-402
Sunan Ibn Maja-Jild-3/227
Wazaahat : Barhaal In Hadeeso Se Maloom Huwa Ke Neend Ki Halat Me Jo Kaam Huwa Ho Toh Wo Jurm Nahi Hai.
Kyunki Agar Koi Khwab Me Zina Kare To Kya Wo Zaani Kehlayega ?? Kya Us Par Hadd Lagai Jayegi ???
Imam Shami Al Hanfi Rh. Likhte Hain
“ Tahreer Al Wusool Me Hai Ke Sone Waale Ki Baten Maslan Islam Lana ,Murtad Ho Jana,Aur Talaaq Dena Sab Batil Aur Laghu Hain,Sone Waale Ki Baton Ko Na Khabar Keh Sakte Hain, Na Insha’a Na Sachhi Keh Sakte Hain Na Jhooti , Jese Parindon Ki Awaaz Ko ( Na Khabar Keh Sakte Hain , Na Insha’a Na Jhoot ”( Hashiya Ibn Abideen Shami-JIld-4-Page-453 )
Scan:
Mazeed Aage Farmate Hain:
“ Or Talvih Me Bhi Aisa Hi Hai, Pas Ye Ibarat Is Silsile Me Sarih Hai Ke Sone Waale Ke Kalaam Ko Na Lughvi Aitbar Se Kalaam Keh Sakte Hain , Na Shar’ii Aitbaar Se , Jese Mahmal Lafz ( Ko Kalaam Nahi Keh Sakte ) ” ”( Hashiya Ibn Abideen Shami-JIld-4-Page-453 )
Scan:
Or Kud Barelviyon Ke Nazdeek Khwaab Kuchh Nahi
“ Or Khwaab Ki Baton Ka Kya Aitbaar ”
Kya Khoob Hai Mere Haq Me Gawahi Teri_(Jahaan-E-Mufti-E-Aazam-208)
Scan:
Khwaab Ke Chand Waaqiyaat Mulaaheza Farmaaye :
Waaqiya-1
Hazrat Mohammed Saw Ki Phuphi Hazrat Umme Fazl Bin Haaris Rdh. Ne Ek Khwaab Dekha Aur Wo Anhazrat Saw Ki Khidmat E Aqdas Me Haazir Huwi Aur Arz Kiya Ke Ya Rasoolullah Saw Aaj Raat Maine Ek Bura Khuwab Dekha Hai Aap Saw Ne Farmaya Ke Wo Kya Khwaab Hai ? Inhone Farmaaya Ke Wo Bahut Hi Sakht Hai Aap Ne Farmaaya Ke Bataao Toh Sahi Wo Kya Hai Hazrat Ummul Fazl Ne Arz Kiya Ke Mai Ne Khuwaab Hai Goya Aap Ke Jism E Mubarak Se Ek Tukda Kaat Kar Meri Good Me Rak Diya Gaya Hai___Anhazrat Saw Ne Farmaaya Ke Tumne Bahut Acha Khuwaab Dekha Hai (Uski Taabeer Yeh Hai ) Ke Insha Allahu Tala Meri Laqte Jigar Beti Hazrat Fatima Rdh Ke Yaha Ladka Paida Hoga Jo Tumaari Ghod Me Khelega_Chunaanche Sayyidina Hussain Rdh. Paida Huwe Aur Meri Ghod Me Khele Jaisa Ke Huzur Saw Ne Irshaad Farmaaya Tha. ( Mishkaat : Jild 2 : Safa 572 / Mustadrak Al Haakim : Jild-3-Page-194 )
Scan:
Wazaahat: Baazahir Khwaab Kitna Bura Tha Ke Khud Umme Fazal Rdh. Usse Ghabraa Rahi Thi’n Aur Batlaane Par Bhi Aamada Nahi Thi Magar Huzur Saw Ke Kehne Par Inhone Aakhir Bayaan Kiya Hai Aur Phir Jab Aap Ne Ta’abeer Bayaan Farmaayi Wo Kis Qadr Khush Kin Aur Khaalis Khush Khabri Thi.
Waaqiya -2
“ Imam E Aazam Abi Haneefa An Nauman Bin Sabit RahimaUllah Ne Khwaab Me Dekha Ki Imam Sahab Rasool Ullah ﷺ Ki Qabar Mubarak Ko Khoda Rahe Hai Hain Iski Tabeer Imam Sahab Ke Ustad Ne Batayi Ke Tum Rasool Ullah ﷺ Ki Hadeeson Ki Tahqeeq Karoge ” (Tabeer-Al-Rauya-Page-13-14 )
Scan:
Ye Waaqiya Kaafi Jagah Aaya Hai Maar Alag Alag Alfazon Ke Sath Ek Jagah Or Likha Hai
Imam E Aazam Abi Haneefa An Nauman Bin Sabit RahimaUllah Ne Khwab Dekha Goya Ke Aap Nabi E Kareem SWA Ki Qabr-E-Aqdas Ko Ugat Rahe Hain To Ibne Sireen Rh. Ne Tabeer Farmai Ke Wo Aqa Alayhissalam Ki Qabro Ko Zahir Farmayenge. (Al Kheratul Hisaan Arbi-Page-159 / Urdu Motrajim Tarjuma Barelvi-Page-169 )
Scan:Arbi
Scan:Urdu
Waaqiya-3
Taareekh Ke Baaz Kitaabo Me Mazkoor Hai Ke Haaron Rasheed Rh. Ke Biwi Zubeda Ne Khuwaab Dekha Ke Kaseer Taadaad Makhlooq Jama Hokar Usse Zinah Kar Rahe Hai.
Jab Aankh Khuli Toh Behad Pareshaan Huwi,Ghabraahat Ki Koi Intehaa Na Thi Aakhir Jab Is Khuwaab Ki Taabeer Batlaayi Gayi Toh Malom Huwa Ke Unse Koi Aisa Kaam Liya Jayega Jisse Beshumaar Makhlooq Ko Faiziyaab Hogi.
Chunaanche Aisa Hi Huwa Usne Naher E Zubeda Khudwaai Jo Iraaq Arab Ke Ek Bahut Bade Hisse Ko Sairaab Karti Hai Aur Aiyyaam Hajj Me Mashriq Wa Maghrib Ke Musalmaan Usse Faiziyaab Hote Hai Jo Isi Khuwaab Ki Taabeer Hai. ( Mussala Rashaul Khiyaar : Safa 51 )
Wazaahat : Dekhiye ! Khuwaab Sunne Me Kitna Kharaab Aur Ghanda Nazar Aata Hai Lekin Uski Ta’abeer Kitni Umda Hai.
Agar Koi Khuwaab (Ba Zahir) Ganda Ho Uska Yeh Matlab Harghiz Nahi Hai Ke Uski Taabeer Bhi Gandi Ho.
Barhaal In Hadeeso Aur Waqiat Se 2 Baate’n Waazeh Huwi Hai.
1. Khuwaab Ki Halat Me Hone Waali Khata Par Koi Fatwa Nahi Lagta.
2. Khuwaab Ba-Zahir Bura Nazar Aata Hai Lekin Yeh Baat Zaruri Nahi Hai Ke Uski Taabeer Bhi Buri Ho. Lekin Basa Auqaat Uski Taabeer Nihayat Hi Umda Hoti Hai Jaise Ke Aap Ne Upar Mulaaheza Farmaaya Hai.
Ab Raha Us Shaqs Ke Khwaab Ka Masla Toh Us Shaqs Ne Hazrat Thanwi Rh. Ki Khidmat Me Haazir Huwa Hai Aur Kaha Ke Maine Khuwaab Me Is Tarah Padha Hai.
Toh Hazrat Thanwi Rh. Ne Khuwaab Ki Taabeer Karte Huwi Farmaaya Ke Jiski Taraf Tum Ruju Hona Chahte Ho Wo Muttabe Sunnat Hai.
Wazaahat : Agar Koi Shaqs Khuwaab Me Yeh Dekhe Ke Wo Kisi Aurat Ke Saat Zinaah Kar Raha Hai Toh Kya Sharan Us Shaqs Par Koi Pabandi Hogi.
Bilkul Nahi Jis Tarah Us Shaqs Par Koi Pabandi Nahi Isi Tarah Us Shaks Par Bhi Koi Pabandi Nahi Hai Jisne Khwaab Me Kalima Me Huzur Saw Ke Naam Ke Alaawa Koi Naam Ke Saat Rasoolullah Kaha Ho Toh Us Par Fatwa Nahi Hoga_ Kyunke Usne Yeh Khuwaab Me Padha Hai_Lehaaza Isme Koi Aiteraaz Ki Baat Nahi Hai.
Lekin Agar Koi Badnaam Hi Karna Chahta Hai Toh Uska Kya Ilaaj Hai.
Allah Hum Sabko Samajhne Ki Taufeeq Ata Farmaye.Ameen
To Be Continued
SHOAIB IKRAM HAYATI
No comments:
Post a Comment