Monday, 14 September 2020

Imam Abu Hanifa r.a Imam AbduLLaah Ibn Mubarak r.a ki Nazar me

 

Imam Abu Hanifa r.a Imam AbduLLaah Ibn Mubarak r.a ki Nazar me

BismiLLaahirRahmaanirRaheem

Imam AbduLLaah Ibn Mubarak r.a Jo Khud Ameer uL Mumineen fiL Hadees hain,  Jo Khud Ek JaLiL uL Qadar Muhaddis wa Faqih hain Lekin Iske Bawajood Imam Abu Hanifa r.a ki Bohot Zyada Tareef Karne WaLe hain… Aapki Shan Duniya ke Samne Lane waLe hain,  Aapki Tareef Bhi Karte hain aur Aitraaz Karne WaLon ko Jawab bhi dete hain… Yahan Aap Logon ki Khidmat me Kuch HawaLe Pesh Kiye Jate hain Jisse Imam AbduLLaah Ibn Mubarak r.a ki Nigah me Imam Abu Hanifa r.a ka Maqam Wazeh ho Jaye…

Imam AbduLLaah Ibn Mubarak r.a Farmate hain:

1:- Jab Ye Log ( Imam Abu Hanifa r.a par Aitraaz Karne waLe ) Imam Abu Hanifa r.a ka Tazkira Burai se Karte hain To Mujhe TakLeef hoti hai aur Main Darta hoon ke Imam Sahab r.a ki MukhaLifat karne ki Wajah se Kahin In Logon par ALLaah ka Azaab na NaziL ho jaye… ( FazaiL Abi Hanifa r.a Pg : 75, Sanad Sahih ) 

Sanad Ki Tehqeeq:  (a) Muhammad bin Ahmad bin Hammad Yani Abu Bishr DauLabi r.a Siqah hain . Jaisa ke Imam Zahabi r.a ke QauL se Wazeh hota hai… ( Siar A’aLamin NubaLa 309/14 )

(b) Ahmad bin Qasim AL Burti bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh E Baghdad 575/5 )

(c) ( Muhammad ) Ibn Abi Rizma bhi Siqah hain,  Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya. ( AL Kashif 216 )

(d) Abdan yani AbduLLaah Ibn Usman r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi ne Farmaya ( Tarikh uL IsLam 605/5 )

MaLoom hua Iski Sanad Sahih hai…

2:- Agar Kisi Mas’aLe me Apni Rai ( Ijtihad) se kuch Kehne ka Haq ( agar kisi ko hai to ) Imam Abu Hanifa r.a Iske AhL ( Haqdar )  Hain… ( Tarikh e Baghdad )

Sanad ki Tehqeeq: – (a) Imam Abu Nuem As’bahani r.a Siqah Hain Jaisa ke Imam Zahabi r. ne Farmaya ( Siar A’aLamin NubaLa 453/17 )

(b) Muhammad bin Ibrahim bin ALi r.a bhi Siqah hain jaisa ke Imam Abu Nuem r.a ne Farmaya ( Tarikh As’bahan 267/2 )

(c) Abu Aruba AL Harrani r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Tarikh uL IsLam 339/7 )

(d) SaLamah bin Shabib r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Siar A’aLamin NubaLa 256/12 ) 

(e) Imam Abdur Razzaq r.a bhi Siqah hain jaisa ke Imam Ibn Hajar r.a ne Farmaya  ( Taqreeb uL Tehzeeb 607 ) 

MaLoom Hua ke Iski Sanad Sahih hai.

3:- Agar Rai ( Ijtihad ) ki Baat ho to Imam Abu Hanifa r.a Sabse Mazboot Rai ( Ijtihad ) WaLe hain ( FazaiL Abi Hanifa r.a Sanad Sahih )

Sanad ki Tehqeeq: (a) Muhammad bin J’afar bin A’ayun Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne NaqaL kara ( Tarikh uL IsLam 1018/6 )

(b) Y’aqoob bin Shaiba r.a Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Tarikh uL IsLam 451/6 )

(c) Is’haq bin abi IsraiL r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Tarikh uL IsLam 1084/5 )

(d) Imam Abdur Razzaq bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Hajar r.a ne Farmaya ( Taqreeb uL Tehzeeb page 607 )

MaLoom hua ke ye Sanad Sahih hai.

4:- Imam Abu Hanifa r.a ka qauL ( Asar )  Hamare Yahan ( Sahaba r.a ke ) Asar Ki Tarah hai ( Jab Koi Hadees Ya Sahabi r.a ka Asar na ho)  ( FazaiL Abi Hanifa r.a Sanad Sahih )

Sanad ki Tehqeeq: (a) Abu Bishr DauLabi r.a ki Tauseeq Guzar Chuki

(b) Ahmad bin Qasim AL Burti r.a ki Tauseeq bhi Guzar Chuki

(c) Abu Hafs  AL Marwazi r.a se Yahan Murad agar Umar bin Ahmad bin ALi r.a hain to Ye Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Siar A’aLamin NubaLa 243/15 )

Aur agar Abu Hafs AL Marwazi r.a se Yahan Murad Amr bin SaLeh r.a hain to ye bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Hibban r. ne Siqat me NaqaL Karne ke Sath Inse Apni Sahih me Riwayaten Li hain , aur Imam Shoaib AL Arnaut r.a aur ALbani r.a ne bhi Inki Ahadees ko Sahih Kaha hai,  Jo ke Inke Siqah Hone ki DaLiL hai

(d) ALi bin Hasan bin Shaqeeq r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Hajar r.a ne Farmaya
( Taqreeb uL Tehzeeb page 692 )

MaLoom hua ke ye Sanad Sahih hai.

5:- Imam Abu Hanifa r.a Hadees me Mazboot the … ( AL KamiL 237/8 )

Sanad Ki Tehqeeq:  (a) Muhammad Bin Yusuf Farabri r.a Siqah Hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Siar A’aLamin NubaLa 10/15 )

(b) ALi Bin Khashram r.a Siqah Hain Jaisa ke Imam Ibn Hajar r.a ne Farmaya ( Taqreeb uL Tehzeeb 695 )

(c) ALi Bin Is’haq r.a bhi Siqah Hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( AL Kashif 35/2 )

MaLoom Hua ke Ye Sanad Sahih Hai.

6:- Imam Abu Hanifa r.a ko Duniya ke Nazdeek Le jaya gaya aur Unpar Zameen ke Khazane Pesh Kiye gaye aur Unko ( Mansab ) Qaza ( Qazi Banne ) KeLiye TaLab Kiya gaya Hatta ke Unko 11 ya 12 Kore Lagaye gaye Lekin Unhone ( In Sab KeLiye)  Inkar Kar diya ( FazaiL Abi Hanifa r.a Sanad Sahih )

Sanad ki Tehqeeq:  (a) Imam Abu Bishr DauLabi r.a ki Tauseeq Guzar chuki

(b) Ahmad bin Qasim AL Burti r.a ki Tauseeq bhi Guzar Chuki

(c) Ibn Abi Rizma r.a ki bhi Tauseeq Guzar Chuki

(d) Muhammad bin A’ayun r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Hajar r.a ne Farmaya ( Taqreeb uL Tehzeeb page 827 )

MaLoom hua Ye Sanad Sahih hai.

7:- Jab Ye 2 Log Kisi Baat me Muttafiq ho Jayen to Tum use Mazbooti se Thaam Lo .. Imam Ibn Mubarak r.a ki Murad Imam Sufiyan Sauri r.a aur Imam Abu Hanifa r.a the … ( AL Intiqa Sanad Sahih )

Sanad ki Tehqeeq: (a) AbduL Waris bin Sufiyan r.a Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Siar A’aLamin NubaLa 84/17 )

(b) Qasim bin Asbagh r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Ammad r.a HambaLi ne Farmaya ( Shazarat uz Zahab 220/4 )

(c) Abu Bakar bin Abi Khaisma r.a yani Ahmad bin Zuhair bin Harb r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Tarikh uL IsLam 481/6 )

(d) WaLid bin Shuja’a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Hajar r.a ne Farmaya ( Taqreeb uL Tehzeeb page 1038 )

(e) ALi bin Hasan bin Shaqeeq r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Ibn Hajar r.a ne Farmaya
( Taqreeb uL Tehzeeb page 692 )

MaLoom hua ke ye Sanad Sahih hai.

8:- Agar Kisi Mas’aLe par Hazrat Sufiyan Sauri r.a aur Imam Abu Hanifa r.a Muttafiq ho jayen to kiski Himmat ke Unke KhiLaf Fatwa De… ( Tarikh e Baghdad 469/15 Sanad Sahih )

Sanad ki Tehqeeq: (a) Muhammad Bin Hussain Bin FazaL r.a Siqah Hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 44/3 )

(b) Usman Bin Ahmad AL Daqqaq r.a Siqah Hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh  Baghdad 190/13 )

(c) Muhammad Bin Ibrahim AL Marwazi r.a bhi Siqah Hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 286/2 )

(d) ( Muhammad ) Bin A’ayun r.a ki Tauseeq Guzar Chuki

MaLoom Hua ke ye Sanad Sahih hai.

9:- Jab Ye Dono ( Imam Sufiyan Sauri r.a aur Imam Abu Hanifa r.a ) Jis Baat par Muttafiq Ho Jayen to wo Baat Mazboot Hoti hai… ( Tarikh e Baghdad 469/15 Sanad Sahih )

Sanad Ki Tehqeeq:  (a) Hussain Bin ALi Bin Muhammad r.a Yani Imam Saimri r.a Siqah Hain jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( AL Ibar )

(b) ALi Bin Hasan AL Razi r.a Hasan uL Hadees hain Jaisa ke Imam Atiqi r.a aur Imam Saimri r.a ke AqwaL se MaLoom Hota hai ( Tarikh e Baghdad 323/13 )

(c) Muhammad Bin Hussain AL Z’afrani r.a Siqah Hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 31/3 )

(d) Ahmad Bin Zuhair Bin Harb r.a ki Tauseeq Guzar Chuki

(e) WaLid Bin Shuja’a r.a ki Tauseeq Guzar Chuki

(f) ALi Bin Hasan Bin Shaqeeq r.a ki Tauseeq Guzar Chuki

MaLoom Hua ke ye Sanad Hasan Hai.

10:- Maine Imam Abu Hanifa r.a ko Dekha hai Ke Rozana Unki Samajhdari aur BhaLai me Izafa hi hota ja Raha hai , Wo Sawab WaLi Baten Karte hain … ( aage Farmate hain ) Jab Imam Abu Hanifa r.a ko ( Unke Ustad Imam Hammad r.a ke Mansab par ) Laya gaya To Unke ILm ko Thanthe Marta Samandar Samjha Gaya … ( Tarikh Baghdad Sanad Sahih  )

Sanad ki Tehqeeq : (a) AbuL Qasim AL Azhari r.a Siqah hain jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ke qauL se MaLoom hota hai ( Tarikh e Baghdad 120/12 )

(b) Abdur Rahmaan bin Umar AL KhaLLaL r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 608/11 )

(c) Muhammad bin Ahmad bin Y’aqoob r.a Siqah Hain jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Tarikh uL IsLam 648/6 )

(d) Y’aqoob bin Shaiba r.a ki Tauseeq Guzar Chuki

Iski Sanad me Agarche Imam Ibn Mubarak r.a ke As’hab ( Shagirdon ) ke naam nahi Bataye gaye Lekin Imam Ibn Mubarak r.a ke As’hab Siqah Aur Sudooq hain Jaise Hasan bin Rabii r.a , ALi bin Hasan bin Shaqeeq r.a ,  Y’amar bin Bishr r.a , Abdur Rahmaan bin ALqamah r.a , Hatim bin Yusuf r.a Wagherah … Iske ALawa AL Intiqa me Shagird ki Wazahat bhi hai,  Wahan Imam Ibn Mubarak r.a se ye qauL Hasan bin Rabii r.a NaqaL karte hain Jo Siqah hain,  Agarche Us Sanad ke Muhammad bin Muhammad bin Shabaur ke HaLat Hame nahi miLe Lekin Usse Farq nahi Parta Kyonki Usne Muhammad Bin Ahmad bin Y’aqoob r.a ki Mutabi’at Kar rakhi hai,  Gharz ye Sanad bhi Sahih hai…

11:- Maine Sabse Zyada Faqahat Rakhne WaLa Dekha hai , Sabse Zyada Faqahat Rakhne WaLe Imam Abu Hanifa r.a hain… Maine Un Jaisa Faqahat WaLa nahi Dekha … ( Tarikh e Baghdad 469 /15 )

Sanad ki Tehqeeq:  (a) Imam Hasan bin Muhammad AL KhaLLaL r.a Siqah Hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya  ( Tarikh e Baghdad 453/8 )

(b) ALi bin Amr AL Hariri r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 470/13 )

(c) ALi bin Muhammad Ibn Kas r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne Farmaya ( Tarikh e Baghdad 540/13 )

(d) Muhammad bin ALi bin Affan r.a bhi Siqah hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Siar A’aLamin NubaLa 27/13 )

(e) Abu Kureb r.a bhi Siqah hain jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Farmaya ( Siar A’aLamin NubaLa 394/11 )

MaLoom Hua Ke Iski Sanad Sahih Hai..

12:- Imam Ibn Mubarak r.a Jab Imam Abu Hanifa r.a ka Tazkira karte to Aapki Har Khoobi ka Zikr karte aur Aapki ( Khoob)  Tauseeq aur Tareef karte Jabki Abu Is’haq Fazari r.a Imam Abu Hanifa r.a ko Pasand nahi karte the Lekin Jab Ye Log Ikaththe hote to Abu Is’haq Fazari r.a ki ye Jurrat nahi hoti ke Wo Imam Abu Hanifa r.a ki Koi Burai Bayan Karen ( AL Intiqa Sanad me Koi Kharabi Nahi )

Sanad ki Tehqeeq: (a) Muhammad bin Ahmad bin Y’aqoob r.a ki Tauseeq Guzar Chuki

(b) Y’aqoob bin Shaiba r.a ki Tauseeq Guzar Chuki

(c) Muhammad bin MusLim r.a Siqah Hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne NaqaL Farmaya ( Tarikh uL IsLam 423/6 )

(d) IsmaiL bin Daood AL Jauzi r.a bhi MaqbooL Darje ke Rawi Hain,  inse Siqah ki Jama’at ne Riwayat kiya hai Aur Imam Ibn Adi r.a ne Inka ILm hote hue Inka Tazkira Apni Kitab AL KamiL me nahi kiya Jo Imam Ibn Adi r.a ke Nazdeek inke Siqah hone ki DaLiL hai…

MaLoom Hua ke ye Sanad bhi Durust hai…

No comments:

Post a Comment