Kya Imam AbduLLaah Ibn Mubarak r.a ne Imam Abu Hanifa r.a ko Tark Kar Diya Tha?
BismiLLaahirRahmaanirRaheem
Ek Aitraaz Bohot Zor Shor se Kara Jata hai Aur Wo Ye Ke Imam AbduLLaah Ibn Mubarak r.a ne Akhiri Umar me Imam Abu Hanifa r.a ko Tark kar diya tha Yani Imam Ibn Mubarak r.a ne Akhiri Umar me Imam Abu Hanifa r.a se Riwayat NaqaL Karna Band Kar diya tha…
Aaj Is Post me Ham In sha ALLaah ye dekhenge ke DaLaaiL ki Roshni me Ye Baat GhaLat hai Yani Ye Sabit nahi Ke Imam Ibn Mubarak r.a ne Imam Abu Hanifa r.a ko Tark Kiya tha…
Is SiLsiLe me Jitne bhi AqwaL hain Ham Un Sab Ka Jayza Lenge.
1:- Sabse PehLa QauL Jo Imam Ibn Abi Hatim r.a ne Apne WaLid Imam Abu Hatim r.a se NaqaL Kiya ke Imam Abu Hatim r.a Farmate hain ke Imam AbduLLaah Ibn Mubarak r.a ne Akhir ( Umar ) me Imam Abu Hanifa r.a ko Tark Kar Diya tha… ( AL Jarah wa AL T’adeeL )

Jawab: –
Imam Abu Hatim r.a ne Yahan ye Baat nahi Batayi ke Un tak ye Baat Kis Zariye se Pohonchi hai, Kyonki Imam Ibn Mubarak r.a ka IntiqaL 182 Hij. me huwa tha.
aur Imam Abu Hatim r.a ke Paidasih 195 Hij. me huwi, IsLiye Yahan Ye MaLoom nahi ke Imam Abu Hatim r.a tak ye Baat Kaise Pohonchi …
Natija Ye QauL Hujjat nahi…
2:- Imam Ibn AbduL Barr r.a ne Imam Zakariya Saji r.a ke HawaLe se NaqaL Kiye ke Jisme Imam Ibn Mubarak r.a ne Farmaya ke Hamne ( Imam Abu Hanifa r.a ko ) Tark Kar Diya … ( AL Intiqa 292 )

Jawab: –
Iski Sanad me Ek Rawi Muhammad bin Rooh AL Madaini Hai Jinki Tawseeq Nahi mili. IsLiye ye Sanad Zaeef hai aur ye qauL Sabit nahi…
3:- Imam Khatib Baghdadi r.a ne NaqaL Kiya hai ke ( Jiska KhuLasa ye hai ke ) Imam Ibn Mubarak r.a ne Farmaya ke Maine Imam Abu Hanifa r.a se 400 Ahadees Likhi hain, Jab Iraq wapas Jaoonga to Unhe Mita Doonga… (Tarikh e Baghdad 572/15 )

Jawab: –
Is qauL ki Sanad me Ahmad bin Muhammad bin Yusuf hai Jo ke Zaeef hai, Sath Is Riwayat me Wo Apne Jis Shaikh se Riwayat Kar raha hai Unse Riwayat Karne me Bhi KaLam hai … MaLoom Hua Ye QauL bhi Sabit nahi….
4:- Imam Khatib Baghdadi r.a Ne hi ALi bin Jarir ke Waste se 2 QauL NaqaL Kare Jinka KhuLasa se ye hai Ke ALi bin Jarir Imam Ibn Mubarak r.a ke Paas aaya To Unse Kaha ke Teri Wajah se Logon ne Kafir ko Imam Bana rakha hai, Kyonki Tu ( Imam Ibn Mubarak r.a ) Unse ( Imam Abu Hanifa r.a se) Riwayat Karta hai, Ispar Imam Ibn Mubarak r.a ne ( Imam Abu Hanifa r.a se Riwayat Karne ki Wajah se) ALLaah se Tauba ki … (Tarikh e Baghdad 572/15)

Jawab: –
Ye QauL Matan Lehaz se Ghair SAHEEH aur Munkar Hai.
Kyunke Isme hai ke Imam Abdullah bin Mubarak Rh. ke Saamne Imam Abu Hanifa Rh. ko Kaafir Kaha gaya aur wo Chup Rahe, Jabke Degar SIQAAT ki Riwaayaat me Imam Ibn Mubarak Rh. ne Imam Abu Hanifa Rh. ki Tawheen karne waalo ka RADD kiya hai.
5:- Imam Khatib Baghdadi r.a ne Ibrahim Bin Shammas r.a ke Waste se NaqaL Kara ke Imam Ibn Mubarak r.a ne Farmaya ke Main Apni Kitab se Imam Abu Hanifa r.a ki Ahadees NikaL Doonga … ( Tarikh e Baghdad 573/15 )

Jawab: –
Is QauL ki Sanad me Maujood Raavi SaLLama bin Mahmood ki Tawseeq Nahi mili.
MaLoom Hua Is QauL ki Sanad bhi Sahih nahi…
6:- Ibrahim bin Shammas r.a Ka Kehna Hai ke Imam Ibn Mubarak r.a Unhe Kitab se Para rahe the.Jab bhi ( Imam ) Abu Hanifa r.a ki Hadees aati to Farmate Ise Khurach do (Mark Kardo / Mita do ) [iske Kuch din Baad Imam Ibn Mubarak r.a ka IntiqaL ho gaya ] … ( Tarikh e Baghdad , AL Siqat Ibn Hibban)

Jawab: – Is Ibarat ke Kai Jawab diye Ja sakte hain… Ham SiLsiLewar Unka Zikr Karte hain.
1:- Yahan ye Wazeh nahi ke Abu Hanifa r.a se Kaun Murad hain, Kyonki Imam Ibn Mubarak r.a ke Ustadon me 2 Abu Hanifa r.a hain. PehLe Imam Abu Hanifa r.a ( Nauman bin Sabit r.a ) Doosre Abu Hanifa r.a ( Nashira Bin AbduLLaah )
[TafseeL KeLiye Imam Ibn Hibban r.a ki As Siqaat, Imam Ibn Abi Hatim r.a ki AL Jarah wa T’adeeL aur Imam Bukhari r.a ki Tarikh uL Kabeer dekhi ja sakti hain ] …
Ab Ibarat se wazeh nahi ke Yahan Kaun Murad hai, Mumkin hai Yahan Doosre Abu Hanifa r.a Murad ho Kyonki Wo Ahadees me GhaLti karte the jaisa ke Imam Ibn Hibban r.a ne Wazahat ki hai…
2:- Agar BiLfarz Man bhi Len Ke Yahan Imam Abu Hanifa r.a Nauman bin Sabit r.a hi Murad hain, Tab bhi Ye Tark ki DaLiL nahi Ban Sakti Kyonki Mumkin hai Ke Jin Ahadees ko Imam Ibn Mubarak r.a ne Mitane ka Hukm diya Uski Sanad me Upar Koi Zaeef Rawi ho, Jiski Buniyad par Imam Ibn Mubarak r.a ne Aisa Kaha ho.
3:- Ye bhi Ho Sakta hai Wo Riwayaat Imam Ibn Mubarak r.a ke Nazdeek Zaeef hon ya Unme Koi aur iLLat Mojood ho Jo Imam Ibn Mubarak r.a ke Nazdeek Use Zaeef Banati ho… Kyonki ye Ek TaLib ILm bhi Janta hai ke Ek Hadees Ek Muhaddis ke Nazdeek Sahih hoti hai aur Doosre Muhaddis ke Nazdeek Wahi Hadees Zaeef hoti hai…
4:- Jab ek Aam Rawi ko bhi Koi Muhaddis Tark Karta hai to Uski Wajah MaLoom honi Zaroori hai aur wo Wajah Tark Karne KeLiye Jayaz bhi Honi Chahiye… Yani aisa nahi ke Ek Muhaddis Bina Kisi Khas Wajah se kisi ko Tark Karde …
Yahan Wo Wajah Na MaLoom hai ke Kis Buniyad par Imam Ibn Mubarak r.a ne Aisa Kaha, Kyonki Imam Ibn Mubarak r.a ki Zindigi Imam Abu Hanifa r.a ki Tareef karne me Guzar Gayi, Wo to Koi Baat bhi Imam Abu Hanifa r.a ke KhiLaf nahi Sunte the, aur Achanak Unki Ahadees ko Mitane ka Hukm den to ye Baat Sochne par Majboor Karti hai ke Akhir Aisa Kyon Kaha Gaya… Lekin Wo Wajah hi MaLoom nahi…
5:- Doosre Muhaddiseen Jab Imam Abu Hanifa r.a ka ya Imam Ibn Mubarak r.a ka Tazkira Karte hain to Imam Ibn Mubarak r.a ko Imam Abu Hanifa r.a se Riwayat Karne waLa Batate hain, Tark Karne ka Zikr nahi Karte. Jiski Tafseel Aage Aayegi.
6:- Sabse Aham Baat As’hab Ibn Mubarak r.a me Hamare ILm ke Mutabiq Koi bhi Imam Ibn Mubarak r.a ka Imam Abu Hanifa r.a ko Tark Karne ki Baat NaqaL nahi Karta… Yani jo Imam Ibn Mubarak r.a ke Regular Students hain Unme se Koi Tark ki Baat NaqaL nahi Karta Siwae Ibrahim bin Shammas r.a aur Ibrahim Bin Shammas r.a Imam Ibn Mubarak r.a ke Regular Student nahi.
7:- BaLki As’hab Ibn Mubarak r.a Na Sirf Imam Ibn Mubarak r.a se Imam Abu Hanifa r.a ki Tauseeq wa Tareef NaqaL Karte hain , BaLki Unke Waste se Riwayaat bhi NaqaL Karte hain…
Ab koi Keh Sakta hai ke Imam Ibn Mubarak r.a se Tauseeq aur Riwayaat NaqaL karna PehLe ki Baat hogi Jabki Ibrahim Bin Shammas r.a Unke Akhiri Dino ki Baat NaqaL kar rahe hain, Ispar Ham Kahenge ke Us Ibarat se Tark karne ki Baat Sabit nahi hoti … Rahi Baat ke Imam Ibn Hibban r.a ne Apni Kitab AL Majrooheen me Ibrahim Bin Shammas r.a se Tark Karne ka QauL NaqaL kara Hai…

Iska Jawab Ye hai ke Is Sanad ke Rawi Muhammad Bin ALi AL Saqafi ke bare me Hame nahi MaLoom ke ye Kaun hai , Is Sanad ke ALawa Iska Tazkira Hame kahin nahi miLa… aur Agar BiLFarz Is QauL ko Sahih Maan bhi Len to Ham Kahenge ke ye Ibrahim Bin Shammas r.a ka QauL hai, Imam Ibn Mubarak r.a ka nahi… aur Ibrahim Bin Shammas r.a Mut’asib hai Jaisa ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne inke Tarjume me NaqaL Kiya …
Aur Tark WaLi Baat Siwae Ibrahim bin Shammas r.a ke ALawa Koi aur NaqaL nahi Karta… Agar Koi Kahe ke Rajeh Baat Uski hogi jo Imam Ibn Mubarak r.a se Unka Akhiri AmaL NaqaL Kare….Iske Jawab me Ham Kahenge ke Yahi Baat ( Imam Abu Hanifa r.a ki Hadees Mita dene ki) Imam Ibn Mubarak r.a ke Doosre shagird Hasan Bin Rabi’i r.a se Imam AbduLLaah Bin Ahmad r.a ne Apni Kitab AL ILaL me bhi NaqaL ki hai.
Lekin Iske Bawajood Wo Imam Ibn Mubarak r.a se Imam Abu Hanifa r.a ke Tark ki Baat NaqaL nahi Karte… Isse Sabit hota hai ke Tark Karne ki Baat Ibrahim bin Shammas r.a Munfarid hai, Imam Ibn Mubarak r.a ke ReguLar Students ye Baat Nahi Karte… Is Tamam Bahas Se Sabit Hua ke Imam AbduLLaah Ibn Mubarak r.a ka Imam Abu Hanifa r.a ko Tark Karna Sabit nahi… Aapse Imam Abu Hanifa r.a ki Tauseeq wa Tareef aur Riwayat Karna hi Sahih Sanadon se Sabit hai…
No comments:
Post a Comment