Kya کتاب الحیل Imam Abu Hanifa r.a ki Kitab hai ?
BismiLLaahirRahmaanirRaheem
Ek Aitraaz Imam Abu Hanifa r.a par ye kiya Jata hai ke Unhone HaLaL ko Haram aur Haram ko HaLaL Kar diya aur DaLiL ke taur par Imam AbduLLaah Ibn Mubarak r.a ka wo QauL NaqaL Kara Jata hai Jise Imam Khatib Baghdadi r.a ne NaqaL Kara hai… Aaj Is Post ham In sha ALLaah Iski Haqiqat Janne ki Koshish Karenge… ke Kya کتاب الحیل Imam Abu Hanifa r.a ki Kitab hai, Kya Unhone Sach me HaLaL ko Haram aur Haram ko HaLaL Kar diya hai aur Is Kitab ki Sanad kya hai aur Kya ye Kitab Sabit hai ?
1:- Imam Khatib Baghdadi r.a ne Imam Ibn Mubarak r.a ke HawaLe se NaqaL Kara Ke Imam Ibn Mubarak r.a ne Farmaya ke Imam Abu Hanifa r.a ne ( Unki Taraf Mansoob ) کتاب الحیل me ALLaah ki Haram Karda Cheezon ko HaLaL aur HaLaL Karda Cheezon ko Haram Kar diya hai … ( Tarikh e Baghdad 555/15 )

Jawab: – 1:- Sabse PehLi Baat کتاب الحیل Imam Abu Hanifa r.a ki Kitab nahi, aur na hi Unse Sabit hai …Iski TafseeL aage aa rahi hai In sha ALLaah
2:- Rahi Baat Imam Ibn Mubarak r.a ke QauL ki To Isse Sabit nahi hota ke Imam Abu Hanifa r.a ne Is Kitab ko Likha hai .
3:- Ye Mumkin hai Ke Imam Ibn Mubarak r.a ne Bataur Tajjub ya Afsos ke Ye Baat Kahi ho ke Imam Abu Hanifa r.a ki ( Taraf Mansoob ) Is Kitab ko Jo Shakhs Parega ( to wo Samjhega ke ) Imam Abu Hanifa r.a ne HaLaL ko Haram aur Haram ko HaLaL Kar diya hai.
4:- Is QauL ko Parkar MaLoom hota hai ke ye Imam Abu Hanifa r.a ke IntiqaL ke Baad ka Waqia hai, Kyonki Imam Ibn Mubarak r.a se ye QauL NaqaL Karne waLe Hazrat Abu Tauba Rabi’i Bin Naf’e r.a hain aur wo 150 ke Lagbhag peda hue hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a Siar A’aLamin NubaLa 653/10 me Likha hai , agar Rabi’i Bin Naf’e r.a ne 20 SaaL ki Umar ye QauL Imam Ibn Mubarak r.a se Suna to iska MatLab ye 170 Hijri ka Waqia hai, Imam Abu Hanifa r.a ke IntiqaL ke 20 SaaL Baad. aur Agar Ye Imam Abu Hanifa r.a ki Zindigi ka Waqia Hota to Imam Ibn Mubarak r.a Khud Is Kitab ki Tasdeeq Unse Karte ke Kya Aapne Aisi Kitab Likhi hai … Lekin Tarikh ki Kitabon me aisa Kuch nahi miLta… Ab Yahan ye Baat Ghaur Karne ke Layaq hai ke Jo Kitab Imam Abu Hanifa r.a ki Zindigi me Kabhi Samne nahi aayi wo Achanak Unke IntiqaL ke 20 SaaL Baad Achanak Kaise Manzar Aam par aa gayi.
5:- Agar ye Waqie Imam Abu Hanifa r.a ki Kitab hoti to Imam Abu Hanifa r.a ke MukhaLifeen Is Mauqe ko kabhi Hath se nahi Jane dete aur Is Kitab ki Wajah se Unpar MaLamat Karte, Lekin Kitabon me Aisa Koi Waqia nahi miLta , Iska MatLab ye Kitab Sabit hi nahi.
6:- Sabse Aham Baat As’hab Imam Abu Hanifa r.a me se Koi bhi Is Kitab ko Riwayat nahi Karta. Khaskar Imam Abu Yusuf r.a , Imam Zufar r.a , Imam Muhammad Bin Hasan r.a se Iska Koi Suboot nahi MiLta … BaLki Imam Muhammad Bin Hasan r.a se Is Kitab ki Tardeed Mojood hai … Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Apni Kitab Manaqib Abi Hanifa r.a wa Sahibahi Abi Yusuf r.a wa Muhammad bin Hasan r.a me ( Imam Tahawi r.a ki Kitab se ) Sahih Sanad se Imam Muhammad Bin Hasan r.a se NaqaL Kara ke Unhone Farmaya Ye Kitab yani کتاب الحیل Hamari Kitabon me se Nahi … Isme Kisi Bahar WaLe ( Anjaan Shakhs ) ne Baten NaqaL Kar di hain… ( Manaqib Abi Hanifa r.a 85 )

Yahan ye Baat QabiL e Ghaur hai ke Imam Muhammad Bin Hasan r.a ne ye nahi Kaha ke کتاب الحیل meri Kitab nahi BaLki Kaha ke Ye Hamari Kitab nahi, Yani Imam Abu Hanifa r.a ke Sath Unke Deegar Shagirdon ki Taraf se bhi Nafi Kardi…
Agarche Is QauL ke Akhir me Hazrat Ahmad bin Abi Imran r.a ne Is Kitab ko Imam IsmaiL bin Hammad bin Abi Hanifa r.a ka kaha hai Lekin unki Taraf is Kitab ko Mansoob karna Sahih nahi Kyonki ye Kitab na Imam Abu Hanifa r.a se Sabit hai aur na hi Imam IsmaiL r.a se Sabit hai.
7:- Imam AbduL Qadir Qurshi r.a ne bhi Imam Abu SuLeman Jozjani r.a ka QauL NaqaL Ke unhone Farmaya ke Log Imam Muhammad r.a ke bare me Jhoot kehte hain. کتاب الحیل unki Kitab nahi ye kisi Warraq ( NaqaL Karne waLe ) ne NaqaL ki hai … ( AL Jawahar uL Muziyah )
8:- Bohot Mumkin hai Ke Kisi BatiL Firqe waLe ne Ye kitab Likhkar Imam Abu Hanifa r.a aur Unke As’hab ki Taraf Iski Nisbat Kardi ho … Kyonki Jab Logon ke Jhoot se Huzoor a.s ki Zaat Mahfooz nahi ( Log Jhooti Ahadees Bayan Karke Uski Nisbat Huzoor a.s ki Taraf kar dete hain ) to Imam Abu Hanifa r.a isse Kaise Mahfooz Ho Sakte hain…
9:- Ye Kitab Aaj Mojood nahi Lekin Fiqah Hanfi ALhamduLiLLaah Mojood hai, Koi hai jo DaLaiL ki Roshni me Sabit Kare ke Fiqah Hanfi ka Ye Mas’aLa Kufr hai ya Imam Abu Hanifa r.a se sabit kare ke Unhone ALLaah ki HaLaL karda Cheezon ko Haram aur Haram ko HaLaL Kar diya hai ?
10:- Ab Aate Hain Iski Sanad par jo ke Imam Khatib Baghdadi r.a ne NaqaL Kari hai, کتاب الحیل ko KhaLaf bin Bayan se Riwayat Karta hai Muhammad Bin Bishr Abu AbduLLaah . Aur Ye Dono hi MajhooL uL Ain hain… Lijiye Jis Kitab ko Buniyad Banakar Imam Abu Hanifa r.a par Aitraaz kiya jata hai wo MajhooLon se Marwi hai . ( Tarikh e Baghdad 440/2 )

Iske ALawa Abu Tayyab Muhammad bin Hussain bin Humed ( Jinpar Khud KaLam hai ) ne ye Kitab 258 Hijri me Muhammad bin Bishr se Suni, Ab Agar Muhammad bin Bishr ne ye Kitab agar 50 SaaL PehLe bhi KhaLf bin Bayan se Suni aur KhaLf bin Bayan ne 50 SaaL PehLe Imam Abu Hanifa r.a se ise Riwayat kiya?
To Iska MatLab Kya Unke IntiqaL ke bad ye Kitab Riwayat ki Gayi ?
Ab aate hain Deegar AqwaL ki Taraf.
( B ) Imam Khatib Baghdadi r.a ne Imam Ibn Mubarak r.a se NaqaL Kara ke Imam Ibn Mubarak r.a se Unke Shagird ne Poocha ke ye Kitab Kisne Waz’a ki to Imam Ibn Mubarak r.a ne Farmaya Ke jisne ye کتاب الحیل Waz’a ki ( Yani Likhi ) Wo Shaitan se Zyada Shareer hai, aur Doosre QauL me hai ke wo Kafir hai. ( Tarikh e Baghdad 556/15 )

Jawab: – PehLi Sanad me Ahmad bin Moosa MajhooL hai Jabki Doosri Sanad me Umar bin Muhammad AL Johri Zaeef hai Jaise ke Imam Khatib Baghdadi r.a ke qauL se MaLoom hota hai Jise Imam Zahabi r.a ne Tarikh uL IsLam 391/7 me NaqaL Kara hai , Lekin BiLFarz ise Sabit Mane to Ab Yahan Ghaur Karne Layaq Ye Baat hai ke Agar Ye Kitab Waqie Imam Abu Hanifa r.a ki Hoti to Poochne waLa ye Bachkana SawaL Kyon Karta ke ye Kiski Kitab hai Kyonki Imam Ibn Mubarak r.a to PehLe hi Iski Nisbat Imam Abu Hanifa r.a ki taraf kar chuke aur Agar Imam Ibn Mubarak r.a bhi Ise Imam Abu Hanifa r.a ki Mante to wo Jawab me Kehte ke Imam Abu Hanifa r.a ki, Lekin Unhone ye Jawab na dekar Farmaya ke ye Kitab ( Kisi ) Shaitan ki Kitab hai Jo Kafir hai…Isse 2 Baaten maLoom hoti hain.
PehLi: – Kisi Kitab ka Kisi Imam ki taraf Nisbat karna ya Nisbat Hona ye ALag Baat hai aur Us Kitab ka Us Imam se Sabit Hona ya Use Us Imam ka TasLeem karna ye ALag Baat hai…
Doosri:- Khud Imam Ibn Mubarak r.a ise Imam Abu Hanifa r.a ki Kitab nahi mante the… ( Nahi to Jawab me Imam Abu Hanifa r.a ka naam Lete )
Iske ALawa Yahan ek Baat aur Ghaur Karne Layaq hai ke is QauL ko NaqaL Karne waLe Abu Is’haq TaLqani r.a hain Jinka IntiqaL 215 Hijri me Hua hai Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Tarikh uL IsLam 264/5 me Likha. Ab agar Abu Is’haq TaLqani r.a ki 70 SaaL Umar mane to iska MatLab wo 145 Hijri ke Lagbhag peda hue honge aur agar Unhone 20-25 SaaL ki Umar me ye QauL Suna hoga to ye 170 Hijri ki Baat MaLoom hoti hai Jaisa ke Upar ke qauL me bhi 170 Hijri hi aa raha tha, To Ye Baat daLiL hai Is Baat ki ke Is Kitab ka Imam Abu Hanifa r.a ki Zindigi me Koi Wujood nahi tha, Unke IntiqaL ke 20 SaaL Baad Kisi ne Likhkar Unki Taraf Mansoob kardi, IsLiye Ise Imam Abu Hanifa r.a ki Kitab Kehna GhaLat hai.
( C ) Iske ALawa Imam Khatib Baghdadi r.a ne Hazrat Nazar bin ShumeL r.a se NaqaL Kara ke Unhone کتاب الحیل ke MasaiL ko Kufr Kaha. ( Tarikh e Baghdad 556/15 )

Jawab: – PehLi Baat Is Sanad me Imam Khatib Baghdadi r.a ke Ustad Muhammad bin ALi AL Muqri MajhooL hain. aur Doosri Baat Yahan ye bhi Zikr nahi ke ye Imam Abu Hanifa r.a ki Kitab hai.
Lekin Agar BiLfarz Is qauL ko Sabit mane aur Isse Murad Imam Abu Hanifa r.a ki Taraf Mansoob کتاب الحیل hi hai to Yahan Ghaur Karne Layaq ye Baat hai ke Hazrat Nazar bin ShumeL r.a se ye QauL NaqaL Karne waLe Ahmad bin Saeed aL Darmi r.a hain jo 180 ke Baad peda hue hain Jaisa ke Imam Zahabi r.a ne Siar A’aLamin NubaLa 233/12 me Likha aur agar ye Mane ke Unhone ye qauL 20 saaL ki Umar me Suna Tab bhi ye 200 Hijri ke Baad ka Waqia hai , Yani Isse bhi maLoom hota hai ke Ye Kitab Imam Abu Hanifa r.a ke IntiqaL ke Baad Manzar Aam par aayi hai.
In Tamam HawaLon ke Baad Shaikh uL IsLam Imam Ibn Taimiyah r.a ka QauL bhi Jaan Lete hain:
Aur ye Jayaz nahi ke wo HeeLe jo Muttafiqah taur par Haram hain ya Kufriya hain Unki Nisbat A’ima MusLimeen me se kisi ki taraf ki jaye. aur jo Kisi Imam ki Taraf Aise HeeLon ki Nisbat karta hai to wo Is SiLsiLe me Khatawar hai aur Fuqaha ke UsooL se JahiL ( La ILm ) hai. Kuch aage Likhte hain ( Aise HeeLon ki Wajah se ) B’az A’ima ki Janib Takfeer wa Tafseeq ki Nisbat hoti hai aur ye Jayaz nahi. ( Fatawa AL Kubra 85/6 )

In Tamam Baton se Sabit hua ke کتاب الحیل Imam Abu Hanifa r.a ki Kitab nahi aur Iski Koi Sahih Sanad bhi nahi …
No comments:
Post a Comment