Radd-e-Ghairmuqallidiyat Ghairmuqallidiyat Ka Dusra Naam "Na'waqfiyat, Zi'dd wa Jeehaalat"
Iqaamat Ke Kalimaat Dohre Hain
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
Ahl-e-Sunnat Wal Jama’t, Ahnaaf ke nazdeek IQAMAT ke Kalimaat (Sentences) 17 hain. Azaan ki tarah IQAMAT bhi dohri dohri Kehte hain, sirf Iqamat me QAD QAAMATIS SALAAH, QAD QAAMATIS SALAAH ka izaafa karte hain. Aur yehi Hazrat Bilaal (Raz.) wali Iqamat hai aur Yehi Huzoor (ﷺ) ke saamne Iqamat kahi jaati thi.
IQAMAT KE 17 KALIMAAT (Ya’ni Dohri Kalimaat waali Iqamat):
Hadees #1:Abu Mahzurah (Raz.) se rivayat hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne UnkoIqamat ke 17 Kalimaat sikhaaye.Aage isi Hadees me Un Kalimaat ki Tafseel Ye hai.Allahu Akbar, Allahu Akbar, Allahu Akbar, Allahu Akbar; Ash’hadu An Laa Ilaaha Illallaah, Ash’hadu An Laa Ilaaha Illallaah; Ash’hadu Anna Muhammadar Rasoolullaah, Ash’hadu Anna Muhammadar Rasoolullaah; Hayya Alas Salaah, Hayya Alas Salaah; Hayya Alal Falaah, Hayya Alal Falaah; Qad qaamatis Salaah, Qad qaamatis Salaah; Allahu Akbar, Allahu Akbar; Laa ilaaha Illallaah.[Abi Dawood 1/73, Hadeesno.500, Iski SANAD (Chain) SAHEEH hai]
1.1Chunacha Imam Ash-Shaafa’i (Rah.) apni KitabAL-UMMme farmate hain ke, “Ye SANAD, SAHEEH ke shart par hai aur Mu’tabar hai.”[ba-hawala Nasbur Raayah 1/268]
1.2Ek aur Sanad se Abu Mahzurah (Raz.) se rivayat hai ke “Rasoolullah (ﷺ) ne Unko Iqamat ke 17 Kalimaat sikhaaye.” Imam Abu Eisa Tirmizi (RA) is Hadees ko naqal karke farmate hain ke “Ye HadeesHASAN SAHEEHhai.”[Jami’ Tirmizi 1/48, Hadeesno.182]
1.3Hafiz Ibne Hajar Shafa’i (Rah.) likhte hain ke, Is Hadees ko Muhaddis Ibne Khuzaimah aur Muhaddis Ibne Hibban (Rah.) neSAHEEHTasleem kiya hai.[Ad-Diraayah 1/114]
Hadees #2:Abdullah bin Zaid (Raz.) ne Khwab me Farishte se Azaan wa Iqamat suni thi. Rasoolullah (ﷺ) ne iski Tasweeb wa Taa’eed farmayi thi. Is Marfoo’ Hadis ke ba’z Tarq me Ye Alfaaz hain. “Azaan do-do Kalime kahi aur Iqamat do-do Kalime kahi.”
[Musannaf Ibne Abi Shaibah , Sunan Beihaqi 1/420, Baab Ma ravi fi Tasniyatul Azaan Wal Iqaamah, Iski Sanad SAHEEH hai]
2.1Imam Ash-Shafa’i (Rah.) Apni Kitab AL-UMM me farmate hain ke “Is SANAD ke raavi SAHEEH ke raavi hain.”
2.2Allamah Ibne Hazam (Rah.) apni Ma’roof wa Mash’hoor Kitab[AL-MUHALLAH 3/158]me likhte hain ke “Ye SANAD IntihaayiSAHEEHhai.”[Dekhiye Nasbur Raayah 1/267]
Hadees # 3:Abdullah bin Zaid (Raz.) ki Marfoo’ Hadis me Azaan ka Zikr hai. Iske ba’d hai “(Farishte ne) Azaan ke Kalimaat ke barabar Iqamat ke Kalimaat kahe, lekin HAYYA ALAL FALAAH ke ba’d QAD QAAMATIS SALAAH ka izaafa kiya.”[Abi Dawood 1/75, Hadeesno.505]
Hadees # 4:Abdullah bin Zaid (Raz.) ki oopar ki Farishta wali Hadees ek aur Sanad se Yun marwi hai. Abdullah bin Zaid (Raz.) ne Khwab me Azaan ke Kalimaat do-do dafa’ aur Iqamat ke Kalimaat do-do dafa’ suney. Abdullah (Raz.) farmate hain, Phir Mai Rasoolullah (ﷺ) ki Khidmat me haazir hua, aur Aap (ﷺ) ko is Waqea ki Itla’ di to Rasoolullah (ﷺ) ne farmaya Bilal (Raz.) ko ye KALIMAAT Sikha do.[Al-Khilaaqyaat Beihaqi, Iski Sanad SAHEEH hai]
4.1Ibne Hajar (RA) farmate hain ke iski SANAD SAHEEH hai.[Ad-Diraayah 1/115]
Hadees # 5:Taaba’ee Aswad (Rah.) farmate hain ke “Bilaal (Raz.), Azaan aur Iqamat ke Kalimaat do-do dafa’ kehte the.” [Musannaf Abdur Razzaq 1/463- Tiba' Beirut, DarQutni 1/243, Tahawi 1/80]
5.1Iski SANAD SAHEEH hai.[Aasaar As-Sunan pg67, Tiba' Multan]
Hadees # 6:Abdul Azeez (Rah.) farmate hain “Abu Mahzurah (Raz.) Azaan aur Iqamat do-do dafa’ kehte the.”[Tahawi 1/81, Ba-Sanad HASAN, Aasaar As-Sunan pg67]
Hadees # 7:Suweid (Rah.) farmate hain ke “Bilaal (Raz.) Azaan aur Iqamat do-do dafa’ kehte the.”[Tahawi 1/80, Ba-Sanad HASAN, Aasaar As Sunan pg67]
Hadees # 8:Salmah bin Al-Akoo’ (Raz.) Iqamat do-do dafa’ kehte the.[Musannaf Ibne Abi Shaibah 1/234,Tiba' Multan Ba-Sanad SAHEEH, Aasaar As-Sunan pg68]
Hadees # 9:Taaba’ee Ibraheem Naqa’i (Rah.) farmate hain ke “Azaan aur Iqamat dohri hain.”[Kitabul Aasaar, pg21]
Hadees # 9:Ali (Raz.) aur Abdullah bin Mas’ood (Raz.) ke shaagird Azaan aur Iqamat dohri kaha karte the.[Ibne Abi Shaibah 1/234]
Hadees # 10:Abdur Rahman bin Abi Laila; Abdullah bin Zaid (Raz.) farmate hain ke Rasoolullah (ﷺ) (ke Mu’azzin) ki Azaan aur Iqamat dohri thi.[Tirmizi 1/43, Hadees:184]
AITRAAZ:Kehte hain ke Abdur Rahman bin Abi Laila ne Abdullah bin Zaid (Raz.) ko nahi suna.?
JAWAB:DarQutni me hai ke Abdullah bin Zaid (Raz.), Usman Ghani (Raz.) ke daur-e-Khilafat tak the aur Abdur Rahman bin Abi Laila ne to Umar (Raz.) ka Zamana bhi paa liya tha.
No comments:
Post a Comment