Shab e Baraat ke Masle par Maujuda Ahlehadees ka Apne hi Maslak ke Ulama se Ikhtelaaf.
Mazeed 15vi Shabaan ki Fazilat ke Qaayil Khud Ghair muqallideen Ahlehadees Ulama bhi hai, Balke Bade Bade Cho-ti ki Ulama Shab e Baraat ki Fazilat ke qaayil hai :
Hawaale Mulaaheza Farmaaye :
1 – Ghair Muqallideen ke Muhaqiq ul Asar Maulana Abdul Qaadir Hasaari Rh. Likhte hai ke
Shabaan ki 15vi Raat ki Fazilat ke Mutalliq Muta’adid Ahadees Aayi hai.In sab ka Majmua Is baat par Dalaalat Karna ke Uski Koi asal hai.
Aur Aage Kehte hai ke 15vi Shabaan ki raat ki Fazilat Qiyaam [Ibaadat] karne ke liye Musallam [Saabit] hai.
Mazeed Likhte hai ke Pas Yeh Masla Saabit hogaya ke Shabaan ki 15vi Shab ko Qiyaam karna aur Din ko Roza Rakhna Mashru [Shariyat se Saabit] hai.
(Fataawa e Hasaariya : Jild 5 : Safa 118)
Scan Page :
2 – Ghair Muqallideen ke Muhaddis Shams ul Haq Azeembadi Rh. Farmaate hai ke Baaqi Raha Nisf e Shabaan ki shab ko Quraan e Shareef Tilaawat, Dua e Maasura, Azkaar e Saheeha Padhna, Nafil Namaz Awwal Shab ko Beghair Jamaat……aur Allah tala se Maghfirat Chahna, Rehmat ki Khuwaastagaar [Request] Karna aur Apne Liye Duaaye Maagna aur Dua me Girya-wazaari Karna bhi Biddat Nahi hai, Balke MAUJOOB E AJAR WA SAWAAB E AZEEM hai.
(Fataawa Maulana Shamshul Haq Azeembadi : Safa 181)
Scan Page :
3 – Ahlehadees Aalim Maulana Abdur Rehman Mubarakpuri Rh. Farmaate hai ke
“To Yeh Ahaadees Majmooi taur par HUJJAT hai, Un logo ke KHILAAF jo ye dawa karte hai ke koi baat 15 Shabaan ki fazilat me Saabit nahi, Wallahu Ta’ala Alam.” (Tohfatul Ahwazi : Jild 3 : Safa 442)
Scan Page :
4 – Ghairmuqallid Aalim Obaidullah Mubarakpuri Sahab Mishkaat ki Sharah mai Shabaan ki darmiyani Shab (Shab-e-Baraat) ki Fazilaat ke silsile se warid Ahadees ka zikr karne ke baad likhte hai:
“Ye Saari Hadees’e Shabaan ki Darmiyaani Shab ki Azmat aur uski Shaan-e-Jalaalat per Dalaalat karti hai aur uspar bhi ke ye Raat DEGAR AUR RAATO’N KI TARHA NAHI hai. Lehaaza Isse ghaflat baratna Munaasib Nahi, balke Ibaadat aur Dua aur Zikr aur Fikr ke Zariye Isme Jaagna MUSTAHAB hai.” (Miraat Sharah Mishkaat : Jild 4 : Safa 341-342)
Scan Page :
5 – Ghair Muqallid Allama Nasiruddin Albaani Rh.Farmaate hai ke
Khulaasa e Kalaam yeh hai ke In Tamaam Turq ke Sabab yeh hadees (Shab e Baraat ke Mutalliq) Bilaa Shak wa Shuba Saheeh hai.
(Silsilatul Ahadees ul Saheehiya : Jild 3 : Safa 138-139)
Scan Page :
Lijiye, Yeh Ahlehadees Hazraat ke Ghar ke Ulama hai, Lekin Maujuda Ghair Muqallideen Hazraat ne Isme Ibaadat Karne ko Biddat Qaraar diya hai.
Chunaanche Yahi Baat Abu zaid zameer Sahaab Kehte hai ke Isme Ibaadat Karna biddat hai :
Mazeed Tausuf ur Rehman Toh 15vi Shabaan me Ibaadat ko MAULWIYO KA DRAMA Kehte hai.
Lagta hai ke In Ahlehadees Muballigheen Hazraat ne Apni hi Ulama ko BIDDATI aur DRAME-BAAZ aur BANAAWATI Qaraar diya hai.
Kam se Kam Hamaari Nahi, Apne Maslak ke Ulama ki Toh baat maan lete ?
Lekin, Jab Kisi Insaan me Ta-assub hota hai, Toh uski Zubaan se Aisi Alfaaz Saadir hote hai.
Pas, Allah tala Haq Samjhne ke baad Usko Qubool Karne ki Taufeeq Aata Farmaaye…….Ameen.
No comments:
Post a Comment