Monday, 4 March 2024

DEOBANDI KOI NAYA MAZHAB NAHI HAI


DEOBANDI KOI NAYA MAZHAB NAHI HAI


(SAWAAL): Deobandi Mazhab Kis ne eijaad kiya.? Isi Mazhab waale Imaam ke peeche Namaaz ho Jaati hai Ya nahi.? Imaam Rafayadain na kare to Kya Muqtadi kar sakta hai..?


(JAWAAB): Deobandi dar-asl Sayyiduna Imaam Abu Haneefa (rahimahullah) ke MUQALLID hain. YE KOI ALAG AUR NAYA MASLAK NAHI HAI. Deoband Shahar (India) me ab bhi Deeni Madrasah hai. Jo Tulba' (students) waha'n se faarigh hote hain wo FAAZIL kahlaate hain. Jo Log Deoband Ulama'e Kiraam se ta'lluq rakhte hain, DEOBANDI kahlaate hain. Ye Firqa Khud ko HANAFI SUNNI kahlaata hai, aise Imaam ke peeche NAMAAZ PADH LENI CHAAHYE, Rafayadain karni chaahye aur Aameen bhi oonchi kah leni chaahye...... [Fataawa Ulama'e Hadees; Hissa Awwal, Safha: 244-245]


Imaam Tirmizi (rahimahullah) se pehle HASAN Hadees ko ZA'EEF Hadees kaha Jaata tha kyonke un se pehle Hadees Ya to SAHEEH hoti thi Ya phir ZA'EEF hoti thi..


Isi tarah TAQLEED ki istilaah aane se pehle ITTIBA' kaha Jaata tha Chaahe Allah wa Rasoolallah (sallallahu alaihi wa sallam) ki ITTIBA' ho Ya phir Ulama' ki ITTIBA' ho Ya phir Mushrik Baap-Daada ki Ya Shaitaan ki ITTIBA' ho Ya'ni sab ko ITTIBA' hi kahte the phir MUJTAHIDEEN KI ITTIBA' ke liye TAQLEED ki istilaah ko waza' kiya gaya Jis ke ba'd ITTIBA' ke bajaaye TAQLEED kahne lage aur Yehi Mash'hoor ho gaya. Agar Koi MUJTAHID ki pairwi ko TAQLEED nahi kahna chaahta balke ITTIBA' hi kahna Chaahta hai to theek hai aur is me Koi HARJ Nahi...


Isi tarah DEOBANDI aur BARELWI Jadeed istilaahaat hain aur HANAFI MATRUDI hona in ki QADEEM istilaahaat hain... Aur agar Koi Deobandi/ Barelwi na kah kar HANAFI kahe to is me kya harj ho sakta hai bhala...?

No comments:

Post a Comment