Sunday, 12 August 2018

KUTTEY KA NA-PAAK BARTAN

KUTTEY KA NA-PAAK BARTAN
Bismillaahir Rahmaanir Raheem
.
Daur-e-Bartaanyah (British ke daur me) Angrezon ko Khush
karne ke liye Jab Firqa (Naam Nihaad) Ahl-e-Hadees ki
bunyaad rakhi gayi to Unhone dekha ke Unke Aaqa’-e-
Ni’amat Kuttey se bada Pyaar karte hain to Ghair-
Muqallideen ne bhi Kuttey ki SHAAN me Qaseedah Khwaani
shuroo’ Kar di.
.
Ghair-Muqallid, Nawaab Siddeeq Hassan Ghair Muqallid
likhte hain ki “Kuttey ka gosht, Khoon, Baal, aur Paseenah
ke Najas hone par daleel Nahi hai.” [Badrul Ahilla pg16]
.
Mazeid likhte hain:“Gadhi, Kutiya aur Suwwarni ka DOODH
PAAK hai.” [Badrul Ahillah pg16]
.
Ghair-Muqallid, Allamah Waheeduz Zama’n (Jisko PAAK-O-
HIND KE 40 JALEEL-O-QADAR Ulema’-e-Ahle Hadees me
shumaar kiya gaya hai) likhta hai: “Logon ne Kutte aur
Khinzeer aur Inke JHOOTE ke muta’llaq IQTILAAF kiya hai.
Zyadah RAAJEH YE HAI KE INKA JHOOTA PAAK hai. Aise
hi Logon ne Kuttey ke PEISHAAB, PAAKHANAH ke muta’llaq
Iqtilaaf kiya hai. HAQQ BAAT Ye hai ke Inke NA-PAAK hone
per Koi DALEEL NAHI.” [Nuzoolul Abraar 1/50]
.
(Naam Nihaad) Ahl-e-Hadees ne Jab Fiqh-e-
Muhammadiyah ke Naam se Rasoolullah (sallallahu alaihi
wa sallam) ko BAD-NAAM Kiya to Logon ne Ye Sawaal kiya
ke Agar Aap Sachche Ahl-e-Hadees hain to Ek Ek Sareeh
Saheeh Hadees laayein ke Kuttey ka Gosht, Haddi, Khoon,
Paseenah, Paakhanah, Peishaab, Jhoota sab Kuch Paak hai
to Wo Jawaab Khud Hadees se Peish Na Kar sake aur phir
La-Jawaab ho kar Waswasah Andaazi par utar aaye aur
Fiqh-e-Hanafi ko Nishaana banana shuroo kiya.
.
Chounke Ab ANGREZON ki HUKOOMAT bhi Khatm ho chuki
thi to Phir Ghair-Muqallideen ko darr hua ke Hind wa Paak
me Ab Unka baqa’ mushkil hai to phir Unhone FIQH-E-
HANAFI ke khilaaf Apna Qalam uthaaya.
.
Ghair-Muqallid, Sadiq Siyalkoti bhi Aise Logon me hi
shumaar hai. Jisne BAD-DIYANATIYON per BAD-
DIAYNATIYAA’N dikha kar Fiqh-e-Hanafi ke khilaf Ek Kitab
Taaleef farmayi Jiska Naam rakha: [Sabeelur Rasool
(sallallahu alaihi wa sallam)].
.
Lekin Hakeem Sahab! Aap ne Apne Buzrugon ke khilaaf Koi
Kitab Kyon Taaleef Nahi farmayi.? Jab ke Aap ke Buzrug to
FIQH-E-MUHAMMADIYAH ke Naam per Khud Rasoolullah
(sallallahu alaihi wa sallam) ko BAD-NAAM Kar rahe hain.
Agar Aap ke Buzrug durust farma rahe hain to phir Unke difa
me bhi Aap ne Koi Kitab Nahi likhi.
.
AITRAAZ:
.
Ghair Muqallid, Hakeem Sahab ne Hadees aur Fiqh me
Iqtilaaf saabit karne ke liye pehle masla’h ka Ye Unwaan
Qaayem kiya.
.
KUTTEY KA NA-PAAK BARTAN:
.
Abu Hurairah (raziallahu anhu) rivayat karte hain ke:
Rasoolullah (Sallallahu alyhi wa sallam) ne farmaya: “Jab
Kutta tumhare bartan me pee jaaye to usey 7 martaba
dho’O.” [Bukhari wa Muslim]
.
Phir likha:
.
FIQH KA IQTILAAF:
.
[HIDAAYAH – Kitaab At-Tahaarah] me hai:
.
“Jab bartan se kutta pee jaaye usey 3 baar dho’O.”
.
Bukhari aur Muslim Shareef ki muttafiq alaiha Hadees ke
khilaaf BE-DALEEL QOUL. Bhaiyo Ghour karo..!
.
AL-JAWAAB:
.
(NAAM NIHAAD) AHL-E-HADEES HAKEEM SADIQ KI BAD-
DIYAANATIYAA’N:
.
1.     Hidayah ke Qoul ko BE-DALEEL kaha.
.
Is Be-Daleel ki Aar me,
.
2. Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ki SAHEEH
HADEES ko Chhupaaya.
.
3. Hazrat Abu Hurairah (raziallahu anhu) ke SAHEEH
FATWE ko Chhupaaya.
.
4. Taaba’een Hazraat ke SAHEEH FATAAWAAT ko
chhupaaya.
.
5.     Aur phir Hidayah Ki Mukammal Ibarat bhi Naqal Nahi ki
Kyonke Uske sath hi Sahab-e-Hidayah ne 7 martabah wali
Hadees ka Jawab bhi de diya hai.
.
HAKEEM SAHAB KI HADEES DUSHMANI:
.
Hakeem Sahab! Ahnaf se Ta’ssub me Ye likh baithe ke
Kuttey ka Jhoota 3 baar dhone ka Qoul BE-DALEEL hai. Jab
ke Is Ta’lluq se DALEEL (Hadees) maujood hai aur In sha’
Allah! Hum Aagey bayan bhi karenge. To samajh me aata
hai ke Hakeem Sahab! ne Apne Jaahil SHUYOOKH ki ANDHI
TAQLEED ki hai Baraah-e-Raast Rasool (sallallahu alaihi wa
sallam) ki Ahaadees ka mutaal’ia Nahi kiya.
.
Ya phir Ye bhi ho sakta hai ke Isko BE-DALEEL Qoul likh kar
Aam Logon ko FAREIB wa DHOKE me daalna Hakeem Sahab
ka maqsad tha. (Wallaahu Aalam)
.
Agar Hum Ghair-Muqallideen ki ANDHI TAQLEED Chhor kar
Baraah-e-Raast KUTAB AHADEES ka mutaal’ia karein to
KUTTEY KE JHOOTE BARTAN ko dhone ke muta’lliq
Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) se marwi Paanch
(4) Ahkaam milte hain:
.
RASOOLULLAH (sallallahu alaihi wa sallam) KE 6 AHKAAM:
.
1. Abu Hurairah (raziallahu anhu) ki rivayat me hai..: Agar
Kuttah Kisi Bartan me munh daal Jaaye to Usko 3 martaba
ya 5 martabah ya 7 martabah dho’O. [Sunan DarQutni –
Kitab: At-Tahaarah]
.
ﻓﻲ ﺍﻟﻜﻠﺐ ﻳﻠﻎ ﻓﻲ ﺍﻻﻧﺎﺀ ﺍﻧﻪ ﻳﻐﺴﻠﻪ ﺛﻼﺛﺎ ﺃﻭ ﺧﻤﺴﺎ ﺃﻭ ﺳﺒﻌﺎ .
.
Is Hadees me Iqtiyaar diya gaya hai ke Chaahe 3 martaba’h
dho’o ya 5 ya 7 martabah.
.
2. Abdullah bin Mughfal (Raziallahu anhu) ki rivayat me
hai..: “Rasoolullah (sallallahu alahi wa sallam) ne Kutton ko
Qatl karne ka Hukm diya phir farmaya: In logon ko kya
zaroorat hai, kya haal hai Kutton ka, Phir Shikaari Kutte aur
Bakriyon ki Nigraani ke liye Kutte ki Ijazat de di aur
farmaya: Jab Kutta bartan me munh daal jaaye to Usko 7
martaba dho daalo, aur Aathwein(8) dafa’ mitti se
maanjho.” [Saheeh Muslim]
.
ﺃَﻣَﺮَ ﺭَﺳُﻮﻝُ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ ﺑِﻘَﺘْﻞِ ﺍﻟْﻜِﻠَﺎﺏِ ﺛُﻢَّ ﻗَﺎﻝَ ﻣَﺎ ﺑَﺎﻟُﻬُﻢْ
ﻭَﺑَﺎﻝُ ﺍﻟْﻜِﻠَﺎﺏِ ﺛُﻢَّ ﺭَﺧَّﺺَ ﻓِﻲ ﻛَﻠْﺐِ ﺍﻟﺼَّﻴْﺪِ ﻭَﻛَﻠْﺐِ ﺍﻟْﻐَﻨَﻢِ ﻭَﻗَﺎﻝَ ﺇِﺫَﺍ ﻭَﻟَﻎَ
ﺍﻟْﻜَﻠْﺐُ ﻓِﻲ ﺍﻟْﺈِﻧَﺎﺀِ ﻓَﺎﻏْﺴِﻠُﻮﻩُ ﺳَﺒْﻊَ ﻣَﺮَّﺍﺕٍ ﻭَﻋَﻔِّﺮُﻭﻩُ ﺍﻟﺜَّﺎﻣِﻨَﺔَ ﻓِﻲ ﺍﻟﺘُّﺮَﺍﺏِ .
.
Is Hadees me 8 martaba’h dhone ka Hukm hai, Aathwi’n
martaba’h Mitti se maanjhna matlab ye hai ke Maanjh kar
Pani se dho dena hai.
.
3. Abu Hurairah (Razaiallahu anhu) ki rivayat me hai..:
“Kuttey ke Jhoote bartan ko 7 martaba dho’O.” [Bukhari wa
Muslim]
.
ﺇِﺫَﺍ ﻭَﻟَﻎَ ﺍﻟْﻜَﻠْﺐُ ﻓِﻴﻪِ ﺃَﻥْ ﻳَﻐْﺴِﻠَﻪُ ﺳَﺒْﻊَ ﻣَﺮَّﺍﺕٍ
.
Ye Hadees Izaafe ke sath bhi rivayat ki gayi hai.
.
4. Abu Hurairah (raziallahu anhu) se rivayat hai: Jab bartan
me Kutta munh daal de to Uski Paaki ye hai ke Usey 7 baar
dho’O aur inme se pehli martabah Mitti ke sath. [Muslim –
Kitab: At-Tahaarah]
.
ﻃَﻬُﻮﺭُ ﺇِﻧَﺎﺀِ ﺃَﺣَﺪِﻛُﻢْ ﺇِﺫَﺍ ﻭَﻟَﻎَ ﻓِﻴﻪِ ﺍﻟْﻜَﻠْﺐُ ﺃَﻥْ ﻳَﻐْﺴِﻠَﻪُ ﺳَﺒْﻊَ ﻣَﺮَّﺍﺕٍ ﺃُﻭﻟَﺎﻫُﻦَّ
ﺑِﺎﻟﺘُّﺮَﺍﺏِ
.
5. Abu Hurairah (raziallahu anhu) se rivayat hai: Jab bartan
me Kuttah munh dale to Usko 7 martaba’h dhoya Jaayega
aur 7 vi martaba’h Mitti se. [Sunan DarQutni]
.
ﺇِﺫَﺍ ﻭَﻟَﻎَ ﺍﻟْﻜَﻠْﺐُ ﻓِﻰ ﺍﻹِﻧَﺎﺀِ ﻓَﺎﻏْﺴِﻠُﻮﻩُ ﺳَﺒْﻊَ ﻣَﺮَّﺍﺕٍ ﺍﻟﺴَّﺎﺑِﻌَﺔُ ﺑِﺎﻟﺘُّﺮَﺍﺏِ
.
6. Abu Hurairah (Raziallahu anhu) se rivayat: “Kuttey ke
Jhoote bartan ko 3 martaba dho’O..” [Kaamil; Ibne Adi
(rah.) Ye rivayat Sahih aur Hassan Darjah ki hai – Mua’rif
As-Sunan 1/325]
.
Mukammal Hadees ma’e Sanad wa Matan:
.
ﺃَﺧْﺮَﺟَﻪُ ﺍﺑْﻦُ ﻋَﺪِﻱٍّ ﻓِﻲ ” ﺍﻟْﻜَﺎﻣِﻞِ ” ﻋَﻦْ ﺍﻟْﺤُﺴَﻴْﻦِ ﺑْﻦِ ﻋَﻠِﻲٍّ ﺍﻟْﻜَﺮَﺍﺑِﻴﺴِﻲِّ ﺛَﻨَﺎ
ﺇِﺳْﺤَﺎﻕُ ﺍﻟْﺄَﺯْﺭَﻕُ ﺛَﻨَﺎ ﻋَﺒْﺪُ ﺍﻟْﻤَﻠِﻚِ ﻋَﻦْ ﻋَﻄَﺎﺀٍ ﻋَﻦْ ﺃَﺑِﻲ ﻫُﺮَﻳْﺮَﺓَ ، ﻗَﺎﻝَ : ﻗَﺎﻝَ
ﺭَﺳُﻮﻝُ ﺍﻟﻠَّﻪِ ﺻَﻠَّﻰ ﺍﻟﻠَّﻪُ ﻋَﻠَﻴْﻪِ ﻭَﺳَﻠَّﻢَ : ﺇﺫَﺍ ﻭَﻟَﻎَ ﺍﻟْﻜَﻠْﺐُ ﻓِﻲ ﺇﻧَﺎﺀِ ﺃَﺣَﺪِﻛُﻢْ
ﻓَﻠْﻴُﻬْﺮِﻗْﻪُ ﻭَﻟْﻴَﻐْﺴِﻠْﻪُ ﺛَﻠَﺎﺙَ ﻣَﺮَّﺍﺕٍ .
.
Sirf Hazrat Abu Hurairah (raziallahu anhu) se marwi
Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ke 5 Ahkaam ooper
guzar chuke hain Jo Kutab Ahaadees me paaye Jaate hain.
.
Abdullah bin Mughfal (Raziallahu anhu) ki rivayat ko mila
kar sirf [SAHEEH MUSLIM] me hi 3 alag alag Ahkaam
maujood hain. Ek me 7 martabah pani se aur 1 martabah
Mitti se maanjh kar dhone ka zikr hai, Doosri me sirf 7
martabah Pani se dhone ka zikr hai, aur Teesri rivayat me
Pehli martabah Mitti se maanjh kar dhona hai aur baqi 6
Martbah Pani se dhone ka zikr hai. Aur [DarQutni] ki Ek
rivayat me hai ke 6 Martba’h Pani se aur 7 vi martaba’h
Mitti se maanjh kar Pani se dho dena hai, Doosri rivayat me
hai ke 3 ya 5 ya 7 martaba’h dhona hai Ya’ni Iqtiyaar diya
gaya hai. Aur [Kaamil] ki rivayat me sirf 3 baar dhone ka
hukm hai.
.
Ab Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ke Kis Hukm
per amal hoga.? To Yahan per Ijtihaad ki Zaroorat peish
aayi. Ahnaaf ne Hazrat Imam Abu Haneefah (rahmatullahi
alaih) ki taraf Ruq kiya Ye pata karne ke liye ke Rasoolullah
(sallallahu alaihi wa sallam) ke In Ahkaam me se Kis Hukm
per amal kiya Jaayega.?
.
To Imam Abu Haneefah (rahmatullahi alaih) ne farmaya hai
ke 3 baar dhone wali Hadees per amal kiya Jaayega.
.
Pas Qur’an wa Hadees ki hi baat ko Kisi MUJTAHID ke
zariye samajh kar Us per Amal karna hi Asal me TAQLEED
hai.
.
Aur Hum Imam Abu Haneefah (rahmatullahi alaih) ki ANDHI
TAQLEED bhi Nahi karte hain Isliye Hum Yahan Is masla’h
me Imam Sahab (rah.) ke Mazhab ko Haqq saabit bhi
Karenge. In sha’ Allah..
.
HAZRAT ABU HURAIRAH (raziallahu anhu) KA FATWA:
.
“Kutta bartan me munh daal de to 3 martaba dhona.” [Sunan
DarQutni, Tahaavi]
.
Allamah Nemawi (Rah.) ne is Hadees ko naqal kar ke
farmaya: Iski Sanad Saheeh hai. [Aasaar As-Sunan 1/12]
.
Isi tarah Shaykh Taqiuddin (rah.) ne Apni Kitab [Al-Imam]
me Iski SANAD ko SAHEEH farmaya hai. [Ba-hawala Nasbur
Raayah, Baab: Fusl Fil Aasaar wa Ghairiha]
.
Mukammal Hadees:
ﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﺃَﺑُﻮ ﺑَﻜْﺮٍ ﻗَﺎﻝَ ﺣَﺪَّﺛَﻨِﻰ ﻋَﻠِﻰُّ ﺑْﻦُ ﺣَﺮْﺏٍ ﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﺃَﺳْﺒَﺎﻁُ ﺑْﻦُ ﻣُﺤَﻤَّﺪٍ .
ﻭَﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﺃَﺑُﻮ ﺑَﻜْﺮٍ ﺍﻟﻨَّﻴْﺴَﺎﺑُﻮﺭِﻯُّ ﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﺳَﻌْﺪَﺍﻥُ ﺑْﻦُ ﻧَﺼْﺮٍ ﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﺇِﺳْﺤَﺎﻕُ
ﺍﻷَﺯْﺭَﻕُ ﻗَﺎﻻَ ﺣَﺪَّﺛَﻨَﺎ ﻋَﺒْﺪُ ﺍﻟْﻤَﻠِﻚِ ﻋَﻦْ ﻋَﻄَﺎﺀٍ ﻋَﻦْ ﺃَﺑِﻰ ﻫُﺮَﻳْﺮَﺓَ ﻗَﺎﻝَ ﺇِﺫَﺍ ﻭَﻟَﻎَ
ﺍﻟْﻜَﻠْﺐُ ﻓِﻰ ﺍﻹِﻧَﺎﺀِ ﻓَﺄَﻫْﺮِﻗْﻪُ ﺛُﻢَّ ﺍﻏْﺴِﻠْﻪُ ﺛَﻼَﺙَ ﻣَﺮَّﺍﺕٍ .
.
Muhaddis, Imam Tahavi Hanafi (rahimatullahi alaih)
farmaate hain ke, “Abu Hurairah (raziallahu anhu) ka 3 baar
dhone ka fatwa dena waazeh daleel hai ke Abu Hurairah
(raz.) ki 7 dafa’ dhone waali Hadees mansooq hai kyonke
Hum Abu Hurairah (raz.) se Husn-e-zan rakhte hain, Ye nahi
ho sakta ke Abu Hurairah (raziallahu anhu), Rasoolullah
(Sallallahu Alyhi Wa Sallam) se Kuch aur sunein aur phir
fatwa Aap (Sallallahu Alyhi Wa Sallam) ke khilaaf dein. Is
se to Aap (raziallahu anhu) ki Adaalat hi saaqit ho jayegi
aur Sahabah (raziallahu anhum) sab ke sab Aadil
hain.” [Tahavi 1/23]
.
TAABA’EEN (rahmatullahi alaihim) KE FATAAWAAT:
.
Makkah Mukarramah: ke Mufti Taaba’ee Hazrat
Ata’ (rahimahullah) se jab kuttey ke jhoote bartan ka masla’
poocha gaya to Aap ne farmaya: “Maine ye sab suna hai: 7
martaba, 5 martaba aur 3 martaba.” [Musannaf Abdur
Razzaaq 1/97]
.
ﻋﺒﺪ ﺍﻟﺮﺯﺍﻕ ﻋﻦ ﺍﺑﻦ ﺟﺮﻳﺞ ﻗﺎﻝ : ﻗﻠﺖ ﻟﻌﻄﺎﺀ : ﻛﻢ ﻳﻐﺴﻞ ﺍﻻﻧﺎﺀ ﺍﻟﺬﻱ
ﻳﻠﻎ ﻓﻴﻪ ﺍﻟﻜﻠﺐ ؟ ﻗﺎﻝ : ﻛﻞ ﺫﻟﻚ ﺳﻤﻌﺖ ، ﺳﺒﻌﺎ ، ﻭﺧﻤﺴﺎ ، ﻭﺛﻼﺙ
ﻣﺮﺍﺕ .
.
Madinah Munawwarah: Mu’ammar Jo 7 aur 8 dafa dhone
Wali Ahaadees ke raavi hain kehte hain ke, “Maine Imam
Zuhri (rah.) se kuttey ke Jhoote bartan ka maslah poocha
to Aap ne farmaaya: 3 martaba dhoya jaaye..” [Musannaf
Abdur Razzaq 1/97]
.
ﻋﺒﺪ ﺍﻟﺮﺯﺍﻕ ﻋﻦ ﻣﻌﻤﺮ ﻗﺎﻝ : ﺳﺄﻟﺖ ﺍﻟﺰﻫﺮﻱ ﻋﻦ ﺍﻟﻜﻠﺐ ﻳﻠﻎ ﻓﻲ ﺍﻻﻧﺎﺀ
ﻗﺎﻝ : ﻳﻐﺴﻞ ﺛﻼﺙ ﻣﺮﺍﺕ
.
Koofah: Imamul Aazam Fil Fuqaha’ Abi Haneefah
(rahmatullahi alaih) bhi yehi fatwa dete hain ke bartan 3
martaba dhoya jaaye.
.
Us daur ke Sab se bade 3 MARAAKIZ-E-ISLAM ke 3
JALEEL-O-QADAR Taaba’een ke FATWE 3 baar dhone ke
hain.
.
Hazrat Ata’ wa Zuhri (rahmatullahi alaihim) Jo ke
Taaba’een KABEER me se hain aur Sath hi BUKHARI ke
Raavi bhi hain, Kya In per bhi HADEES SE IQTILAAF ka
Ilzaam lagega.?
.
Agar Hum maan bhi lein ke KOOFAH tak 7 Wali Hadees Nahi
pohnchi thi, To phir Ye kaise maan lein ke TAABA’EEN ka
daur aane ke ba’d bhi MAKKAH wa MADEENAH walon ko 7
wali Hadees Nahi pohnchi.? Kya Hadees BUKHARA ke liye
Safar per Nikli thi.?
.
TAABA’EE KABEER KA QOUL AHNAAF KE NAZDEEK
HUJJAT HAI:
.
“Jis Taaba’ee Kabeer ke fatwe Sahaba (Raziallahu anhum)
ke zamaane me shaa’e the, Hamaare Nazdeek us Taaba’ee
ka Qoul Hujjat hai, Jaisa ke Hamaare nazdeek Sahabi
(Raziallahu anhu) ka Qoul Hujjat hai” [At-Tauzeeh 2/17, I’la
As Sunan 19/132]
.
MASLA’H KI ASAL HAQEEQAT:
.
Rasoolullah (sallallaahu alyhi wa sallam) se kul 4 Ahkaam
marwi hain Jo bazaahir muta’riz (Ya’ni ek doosre ke khilaaf)
ma’loom hote hain aur Mazeid 2 Ahkaam me Izaafah
maujood hai. Khud Rasoolullah (sallallahu alyhi wa sallam)
se inke baare me Koi faislah marwi Nahi ke Konsa Hukm
pehle ka hai aur Konsa ba’d ka, Aur Jo faislah Siraahtan
Kitaab-O-Sunnat me maujood Na ho to Us me ba-Nus
Hadees-e-Mu’az (raziallahu anhu) Mujtahid, Ijtihaad karega
aur Muraad-e-Rasool (sallallahu alaihi wa sallam) ko
pohanchne ki Koshish karega.
.
HIDAYAH KI MUKAMMAL IBAARAT:
.
“Aur Kuttey ka Jhoota Na-Paak hai aur Jis bartan me Kutta
munh daal de usko 3 martaba dhoya jaaye kyonke Rasool
(sallallahu alaihi wa sallam) ne farmaaya ke Kuttey ke
Jhoote Bartan ko 3 martaba dho’O. Aur Kuttey ka munh
paani ko laga tha Na ke bartan ko to Jab bartan Na-Paak ho
gaya to Paani ba-darjah aula Na-Paak ho gaya. Ye daleel
hai ke Kuttey ka Jhoota Na-paak hai aur Hadees Shareef
me 3 martaba ka adad Imam Ash-Shafa’i (rah.) par Hujjat
hai jo 7 martaba’h ko Shart qaraar dete hain. Kuttey ka
Peishaab jahaan lag jaaye to (bil ittifaaq) 3 martaba dhone
se paak ho Jaayega aur Jis Hadees me 7 martaba dhone ka
Hukm hai wo Islam ke ibtidaayi (Pehle) daur se muta’lliq
hai (Ya’ni 7 baar dhone wala Hukm ab Mansooq
hai).” [Hidaayah 1/45]
.
Dekhiye..! Sahab-e-Hidayah ne Khud Ye Qoul Be-Daleel
Nahi bayan kiya hai balke saaf saaf likha hai ke Hadees
Shareef me aaye 3 martabah ka adad 7 martabah dhone wali
Hadees per Hujjat hai, aur Is 7 martabah wali Hadees ka
Jawaab bhi diya tha ke Ye Ibtidaayi daur ka Hukm tha
kyonke Hazrat Abu Hurairah (raziallahu anhu) Iske khilaf 3
martaba Dhone ka Fatwa dete hain Jaisa ke ooper guzar
chuka hai.
.
EK WAAZEH HADEES:
.
Ahaadees par Nazar rakhne wala Jaanta hai ke Islam ke
ibtidaayi daur me Kutton ke baare me Ahkaam bohat saqt
the. Unko maar daalne ka hukm tha Jaisa ke ooper Muslim
Shareef ke hawaale se guzar chuka hai phir ba’d me Unse
shikaar Kheilne aur Bakriyon ki Nigraani karne ke liye
Kuttey rakhne ki Ijazat di gayi hai.
.
Phir Kuttey ke muta’llaq Ahkaam Narm ho gaye Isliye wo
MASAAJID me aaya Jaaya karte the Aur Sahaba-e-Kiraam
(raziallahu anhum) Us Jagah Paani Nahi Chhirakte the.
.
Ibn-e-Umar (raz.) rivayat karte hain ke, Rasoolullah
(sallallahu alaihi wa sallam) ke Zamaane me KUTTEY,
MASJID me aate jaate the Lekin Log In Jagahon per Pani
Nahi chhirakte the. [Bukhari]
.
Bukhari [Scan Page]:
Aur [Abu Dawood] ki rivayat me aaya hai ke..
.
Hazrat Ibn-e-Umar (raziallahu anhu) se rivayat hai ke,
“Main Rasoolullah (sallallahu alaihi wa sallam) ke Zamaane
me Raat ko Masjid me raha karta tha aur Main Jawaan aur
Kunwara tha aur Kuttey bhi Masjid me aate Jaate the aur
Peishaab kar dete the aur Peishab ki wajah se Us per
(Zameen per) Paani Na bahaate the.” [Abu Dawood Kitab:
At-Tahaarah; Baab: Zameen Khushk ho Jaane ke ba’d PAAK
ho Jati hai]
.
Abu Dawood [Scan Page]:
Imam Bukhari (rah.) ne Apni SAHEEH me Ek Baab bandha
hai. KUTTEY KE JHOOTE AUR USKE MASJID ME GUZARNE
KA BAAB
.
Phir iske ba’d Imam Zuhri (rah.) ka Ek FATWA Naqal kiya
hai ke, Imam Zuhri (rahmatullahi alaih) farmaate hain: “Jab
KUTTAH Kisi BARTAN me Munh Daal de aur Iske Alaawah
Wuzoo’ ke liye aur Paani Na ho to Is Paani se (Jisme Kuttey
ne Munh daala) Wuzoo’ kiya Ja sakta hai.”
.
Bukhari [Scan Page]:
Is maqaam par Hafiz Ibne Hajar (rah.) farmate hain:
“Musannif (Ya’ni Imam Bukhari) ke Tasarruf se Ye Zaahir
hai ke Wo Kuttey ke Jhoote ko PAAK Kehte hain.” [Dekhiye
Fathul Baari Sharah Saheeh Bukhari]
.
ﻭَﺍﻟﻈَّﺎﻫِﺮ ﻣِﻦْ ﺗَﺼَﺮُّﻑ ﺍﻟْﻤُﺼَﻨِّﻒ ﺃَﻧَّﻪُ ﻳَﻘُﻮﻝ ﺑِﻄَﻬَﺎﺭَﺗِﻪِ
.
Imam Bukhari (rah.) ne phir Ye Hadees bhi naqal ki hai ke..
.
Hazrat Abu Hurairah (raziallahu anhu), Rasoolullah
(sallallahu alaihi wa sallam) se rivayat karte hain ke, Aap ne
farmaya: Ek shaqs ne ek kutta dekha Jo Pyaas ki wajah se
Geeli Mitti kha raha tha to, Us Shaqs ne Apna Mozah liya
aur Us se (us Kutte ke liye Pani bharne laga hatta ke Usko
Sairaab kar diya, Allah ne Us Shaqs ko Is Fa’l ka Ajar diya
aur Usey JANNAT me Daakhil kar diya…………. Ibn-e-Umar
(raz.) rivayat karte hain ke, Rasoolullah (sallallahu alaihi wa
sallam) ke Zamaane me KUTTEY, MASJID me aate jaate the
Lekin Log In Jagahon per Pani Nahi chhirakte the.
.
Bukhari [Scan Page]:
Is hadees ke tehat Ibne Hajar (rah.) likhte hain:
.
Musannif (Imam Bukhari (rah.)) ne Is Hadees se Kutte ke
Jhoote ki Paaki par Istedlaal kiya hai. [Fathul Baari]
.
ﺍِﺳْﺘَﺪَﻝَّ ﺑِﻪِ ﺍﻟْﻤُﺼَﻨِّﻒ ﻋَﻠَﻰ ﻃَﻬَﺎﺭَﺓ ﺳُﺆْﺭ ﺍﻟْﻜَﻠْﺐ
.
Shayad Yehi wajah thi ke Ghair-Muqallid, Allamah
Waheeduz Zamaa’n ne KUTTEY ke JHOOTE ko Raajeh Qoul
me PAAK qaraar diya hai. (Wallaahu Aalam)
.
EK AUR DHOKA:
.
La-Mazhab, Ghair Muqallideen (Naam Nihaad) Firqa Ahle
Hadees me Shaamil Ulema’ wa Juhala’ apni Bad-Diyaanaton
ko chhupaane ke liye Jaldi se keh diya karte hain ke 7 waali
Hadees SAHEEH hai aur 3 waali Hadees ZA’EEF hai. Hum
unsey poochhte hain ke 7 waali Hadees ko Saheeh aur 3
waali ko Za’eef Rasool (Sallallahu Alyhi Wa Sallam) ne kaha
hai ya Kisi Ummati ne.? Agar Nabi (Sallallahu Alyhi Wa
Sallam) ne kaha hai to Hadees peish karo. Agar Ummati ne
kaha hai to Ummati ki Taqleed Aap ke Naam ke Mazhab me
SHIRK hai.
.
TAQLEED KI TA’REEF:
.
Hakeem Sahab! Ne Apni Isi Kitab [Sabeelur Rasool
(sallallahu alaihi wa sallam)] me Ummatiyon ke Aqwaal
Naqal kar keTAQLEED ki TA’REEF ka Jo Naqsha’ Kheincha
hai Wo Ye hai ke, “Kisi Ghair Nabi (Ummati) ka Qoul Qur’an
wa Hadees se bina Daleel ke maanna Taqleed hai.”
.
Ya’ni HAKEEM SAHAB ne TAQLEED karte hue TAQLEED ki
Ta’reef bhi kar daali. Kyonke Ye Ta’reef bhi Ummati ka Qoul
hi to hai.
.
NOTE: Ahnaaf ke haan Taqleed ki ye Ta’reef ghalat hai lekin
Ghair Muqallideen dhoka dene ke liye yehi Ta’reef logon ko
bataate hain.
.
Kisi Hadees ko Saheeh ya Za’eef kehne wala Muhaddis wa
Muhaqqiq, Ghair Nabi (Ummati) hi hai Na ke iski Koi Daleel
Qur’an wa Ahaadees me maujood hai. Isliye ye TAQLEED hi
me shumaar hai.
.
Phir Doosra sawaal ye hai ke 3 baar dhone wali Hadees ko
Za’eef kehne wala Wo Ummati, Khairul Quroon ka Mujtahid
hai ya ba’d Khair-al-Quroon ka Ghair-Mujtahid?? To Hum
Khair Al-Quroon ke Mujtahid Imam Abi Haneefah (Rah.) ke
muqaable me Khair Al-Quroon ke ba’d aane wale kisi Ghair-
Mujtahid ki baat Tasleem Nahi karte kyonke Khair Al-
Quroon ki KHAIRYAT Hadees-e-Saheeh se saabit hai. Aur
Imam Abu Haneefah (rahmatullahi alaih) ka Qoul bhi
Mash’hoor hai ke, SAHEEH HADEES hi Mera MAZHAB hai.
To Ye Nahi ho sakta ke Wo SAHEEH HADEES ko Chhor kar
ZA’EEF HADEES per amal karein.
.
IMAAM ABU HANEEFAH (rahmatullahi alaih) KE AQWAAL:
.
Hazrat Imam Abu Haneefah (rahmatullahi alaih) ka Irshaad
Naqal hai: “Jo Cheez Rasoolullah (sallallahu alaihi wa
sallam) se Hum tak pohnche, Mere Maa-Baap Aap
(sallallahu alaihi wa sallam) per Qurbaan ho, Wo Sar
Aankhon per, Aur Jo baat Sahaba-e-Kiraam (raziallahu
anhum) se manqool ho Us me se Hum Ek Qoul ko Iqtiyaar
karte hain (Ya’ni Sahaba (raz.) ke darmyan Iqtilaf ki Soorat
me Kisi Ek Sahabi ka Qoul Iqtiyar karte hain). Aur Jo Cheez
Taaba’een (rah.) se manqool ho to Wo bhi Hum Jaise Aadmi
hain, Kyonke Imam Sahab bhi Taaba’ee hain.”
.
Aur ek rivayat me hai ke: “Main Sab se Pehle Allah ki Kitab
ko leta hoon, Pas Isme Agar Masla’h Na mile to Rasoolullah
(sallallahu alaihi wa sallam) ki SUNNAT ko leta hoon, aur
Un Aasaar-e-Saheehah per amal karta hoon Jo SIQAH
Raaviyon ki rivayat se Shaa’e Zaa’e hain. Agar SUNNAT
NABAWI (sallallahu alaihi wa sallam) me bhi Masla’h Na
mile to Sahaba-e-Kiraam (raz.) ke Aqwaal me se Kisi Ek
Qoul ko leta hoon. Lekin Jab Mu’aamlah Ibraheem, Shu’bi,
Hasan aur Ata’ (Taaba’een) tak pohnche to Main Khud
IJTIHAAD karta hoon Jaisa ke In Hazraat Taaba’een ne
Ijtihaad kiya.” [Manaaqib Imam Al-Aazam Abu Haneefah
(rahmatullahi alaih); Lil Imam Zehbi (rah.) pg no. 20]
.
ABDUL MALIK BIN SULEIMAN PER JARAH:
.
Ghair-Muqallideen ne 3 baar dhone wali Ahaadees me Ek
Raavi Abdul Malik bin Abi Suleiman per Jarah Naqal ki hai
ke Wo SIQAH (Sachche) Raavi hain per Unko Weham ho
Jata hai. Waise to Ye JARAH Koi JARAH hai hi Nahi Jab tak
Weham Saabit Na kiya Jaaye. Agar Hum maan bhi lein to
Ghair-Muqallideen ke Usool ke Tehat In ki TA’DEEL karne
walon ki Te’daad Zyadah hai, isliye wo HASAN Darjah ke
Raavi shumaar honge.
.
Is rivayat me Abdul Malik ko Weham hua hai Ye Ghair-
Muqallideen ko saabit karna chaahiye aur Jab tak wo Ye
saabit Nahi karenge Is Hadees ko ZA’EEF kehne ka Koi
HAQQ Nahi hai. Sirf Ahtemaal (possibility) se HADEES
Za’eef Nahi tehraayi Jaayegi.
.
Abdul Malik se Jitne bhi Logon ne rivayat ki hai Wo
Tamaam Raavi Inse 3 baar dhona hi rivayat karte hain aur
Hazrat Ata’ (rah.) Jinse Abdul Malik ne rivayat ki hai Unke
Haan 3, 5 aur 7 sabhi Saabit hain Jaisa ke ooper Inke Fatwe
me guzar chukka hai to Abdul Malik ko Is rivayat me Weham
hua hai Kehna JIHAALAT ke siva aur Kuch Nahi hai.
.
TAQWA AUR ULEMA-E-DEOBAND:
.
Chounke Is masla’h me Iqtilaaf paaya Jaata hai to Ulema-e-
Deoband ka MASLAK-E-AITEDAAL bhi ma’loom kar liya
Jaaye. To Hum kehte hain ke Rasoolullah (sallallahu alaihi
wa sallam) ne 3 baar Dhone ka Hukm WUJOOB ke liye diya
hai aur 7 baar Ya 8 baar ka Hukm ISTEHAAB
(recommendation) ke liye diya hai. Aur 3 baar se Kam
dhona Hamaare Nazdeek Jayez Nahi.
.
Chunacha Ashraf Ali Thanvi (rahmatullahi alaih) farmate
hain: “Kuttey ka Jhoota NAJAS hai. Agar Kisi Bartan me
munh daal de to 3 Martabah Dhone se PAAK ho Jaawega.
Chaahe Mitti ka Bartan ho chaahe Taanbe waghera ka.
Dhone se sab PAAK ho jata hai. Lekin Behter ye hai ke 7
martabah dho de aur 1 Martabah MITTI laga kar Maanjh bhi
dale ke Khoob SAAF ho Jaawe.” [Behishti Zewar 1/70,
Janwaron ke Jhoote ka Bayaan Masla’ 2]
.
Is tarah se Hanafi-Deobandiyon ka Apne Mazhab per bhi
Amal ho Jata hai Aur Jo Fro’i Iqtilaaf hai Ye bhi Kaafi Hadd
tak Khatm ho gaya hai. Humein Yehi Taqwa wala Raasta
Apnana Chaahiye aur Isi me Is UMMAT ki Bhalaai hai warna
Ye Ummat to Toot kar Bikhar Jaayegi. Aur Ahnaaf ka
Mazhab bhi Yehi Ta’leem deta hai ke BEHTARI per amal
karo, aur Hum 7 ya 8 baar ko BEHTER samajhte hue Isi per
amal karte hain. Alhamdulillah.
.
Lekin Ghair-Muqallideen, Bas Apne Naam ke Mazhab ke
Prachaar ke Liye Logon me GHALAT-FAHMIYAA’N phaila
rahe hain. Ye Log AHNAAF se Aisi DUSHMANI karte hain ke
Jaise Koi KAAFIR ek MUSALMAN se Karta hai. Inko Shia’,
Qadyanio waghera se to Koi Baer Hargiz Nahi hai.
.
Allah Ta’la se dua hai ke Is Ummat ko Aise Logon ke Sharr
se Mehfooz farmaye. Aur Jo Hidayat per hain Unko Hidayat
per Qaayem rakhe aur Jo Gumraah hain Unhein Hidayat se
Nawaaze. Ameen Summa Ameen.

طالب دعا
Aaqibul islam
طالب علم 

No comments:

Post a Comment