Ham Aqaayed Me Ash’ari Wa Ma Turidi Kyun?
Ghair MuqaLLideen Hazraat ki Taraf se Ek Waswasa aur Aitraaz Jo Saada Zahan Awaam ke DiL o Dimagh me Bethaya Jata Hai Wo Ye Ke Hanfi Fiqh me Hanfi hain Aqeede me nahi ( Yani Unke Mutabiq Ahnaaf Fiqah me To Imam Abu Hanifa r.a ki Perwi karte hain Lekin Aqaid me Hanfi nahi , BaLki Matrudi hain )…Goya Ye Log Ye Tassur Dene Ki Koshish Karte hain Ke Hamne Aqaid me Imam Abu Hanifa r.a ko Chorh Rakha hai , Aur Ham Aqaid me Unke MuqabLe me Imam Abu Mansoor Matrudi r.a Ki Perwi ( TaqLeed ) karte hain…
HaLanki Ye Waswasa Bhi Unke Deegar Waswason ki Tarah KhokhLa Aur Logon ke Zahan Muntashir Karne Ka Zariya hai…Kyonki Jo Tassur Dene ki Ye Log Koshish karte hain , Bat usse MukhtaLif hai , IsLiye Is Post Ko Ham 3 Baton ke Madde Nazar Rakhte hue Aapke Samne Pesh kar rahe hain …
1 :- Aqaid me Imam Abu Hanifa r.a ka Maqam…
2 :- Ham Aqaid me Matrudi kyon hain aur Kya Hamne Aqeede me Imam Abu Hanifa r.a ko chorh rakha hai….
3 :- Imam Matrudi r.a Ke Bare me AhLe Sunnat WaL Jama’at ke ULama ke Tassurat….
Ab Jo Log Ye Aitraaz Karte hain Ke Hamne Aqaid me Imam Abu Hanifa r.a Ko Chorh rakha hai , Ham Unse Ye Kahenge ke Aap Apni Bat ko Sahih Sabit Karne KeLiye In 2 Baton me se Koi bhi 1 Bat Sabit Karden , Taki Logon ko MaLoom Ho Jaye ke Aapka Aitraaz Sahi bhi hai ya nahi…
1:- Ye Sabit Karden ke Imam Abu Hanifa r.a se Aqaid ke MamLe me Kuch Sabit hi nahi Jiski Bina Par Hanfiyon ko Imam Abu Mansoor Matrudi r.a ki Perwi Karni Par rahi hai…aur IsLiye Ham Aqaid me Hanfi nahi BaLki Matrudi hain….
2:- Ya Ye Sabit Karden ke Imam Abu Hanifa r.a Ke Aqaid BatiL wa Gumrah hain IsLiye Majbooran Hame Aqaid me Imam Abu Hanifa r.a ke bajaye Imam Abu Mansoor Matrudi r.a Ki Perwi Karni Parti hai…
Hame ALLaah se Ummeed hai ke Ghair MuqaLLideen in Dono Baton me se ek bhi Sabit nahi Kar Sakte….Kyonki Na To Imam Abu Hanifa r.a Ke Aqaid BatiL wa Gumrah kun hain Aur Na hi Aisa MamLa hai ke unse Aqaid ki Koi Bat Sabit na ho…
Kyonki Agarche Imam Abu Hanifa r.a Fiqah Ke Mahir hain aur Iso ko Apna Khas Fan aur Hunar Banaya hai Lekin Aisa Nahi ke Unhone Aqaid ke Upar Mehnat hi na ki ho , Kyonki ALLama Maufiq r.a aur Khateeb Baghdadi r.a ne Khud Imam Abu Hanifa r.a Ka QauL NaqaL Kara hai Jisme Unka Kehna Hai Ke ( Mukhtasran KhuLasa ) ” Mujhe ILm UL KaLam me Kafi Dastars thi Ek Arsa Guzar gaya Logon ( BatiL Firqon ) se Munazara karne me , Main ILm UL KaLama ko AfzaL Tareen ILm Samjhta tha aur Kehta ke Yahi Deen ki Buniyad ki nigrani hai … ( Lekin ) Sahaba r.a aur Taba’ieen r.a ke Tariqe par Ghaur Kara to paya ke ye unka Tariqa nahi tha aur bataur Fan SaLf ke ULoom ko Apna Liya ( Yani ILm UL Fiqah Ko Apna Khas Fan Bana Liya ) ….
( Manaqib Maufiq )
ALLama Bazdawi r.a bhi Farmate hain ke ” ILm uL KaLam Dar’asaL in MasaiL ka naam hai jinki Haisiyat IsLam me UsooL e Deen ki Hai Aur Jinka Seekhna Farz e Ain hai , Imam Abu Hanifa r.a ne Ye ILm HasiL Kiya hai aur Iske Zariye se MautaziLa Aur Tamam AhLe Bid’at se Munazara kiya hai , Aaghaz ( Shuru ) me Aap Apne As’haab ko bhi Iski TaLeem bhi dete the aur Is ILm me Aapne Kitaben bhi Tasneef Farmayi hain , aage Farmate hain ke Jo Kitaben Imam A’azam r.a ki hamko miLi hain inme “AaLim Wa MutaLLim” aur “Fiqah Akbar” hai “….
( UsooL Bazdawi Safah 4 )
Aur BaqauL Hazrat AbduL Qadir Baghdadi Shafaii r.a ke Fuqaha Aur Arbab e Mazahib me Sabse PehLe MutakaLLim Imam Abu Hanifa r.a hain , aur Phir Imam Shafaii r.a hain ….. ( UsooL uL Deen 308 )
Dekhiye Scan :
( MutakaLLim se Yahan Murad ILm uL KaLam [ Aqaid ] me Bat Karne WaLe hain…)
Hazrat Abu Muzaffar r.a Farmate hain : “Imam Abu Hanifa r.a ne Kitab AaLim wa Muta’aLim me ILhad aur Bidat ke KhiLaf zabardast KaLam kiya hai…
Aur Kitab Fiqah Akbar hamtak Siqah aur Muatbar Tariqe aur Sahi Sanad se pohonchi hai”…
( AL Tabseer Fi Deen Safah 158 )
IsLiye to Shayad Imam Shafaii r.a Farmate hain : ” Log ILm uL KaLam ( Aqaid ) me Imam Abu Hanifa r.a ki AyaL ( Bachche/Mohtaj ) hain ” ( Tareekh Baghdad 161/13 )
Dekhiye Scan :
Iske Bad Imam Abu Hanifa r.a Aur Imam Shafaii r.a Ke Shagird UsooL Deen aur Aqaid IsLam ki Tehqeeq me Lage Rahe taki Ummat ko Sahih Aqaid ka ILm ho sake…Phir Iske Bad Imam AbuL Hasan Ash’ari r.a Aur Imam Matrudi r.a Ko ALLaah ne Urooj Diya aur Unhone Sahaba r.a aur Taba’ieen r.a ke Aqaid ko DaLaiL e AqLiya aur NaqLiya se Aisa Sabit Kara ke Roze Roshan Ki Tarah Baten Wazeh Ho Gayin Aur Bad Ke Log Apni Nisbat ( Aqaid me ) Inki Taraf Karne Lage, Chahe Wo Hanfi hon , MaLiki , Shafaii Ya Phir HanbaLi….Aur DarHaqiqat In Dono Imamon Ka Wahi MasLak aur Tariqa hai Jo Sahaba r.a aur Taba’ieen r.a se Sabit Shuda hai….Aur Jin Baton me IkhtiLaf hai Wo AsaL me Wo Baten hain Jinki Kitab o Sunnat me Tasreeh nahi hai aur na hi Sahaba r.a Ya Taba’ieen r.a se Unke Bare me kuch ManqooL hai…
Ab Ye Bat To Hui Ke Imam Abu Hanifa r.a Se Na Sirf Aqaid me Kitaben aur Munazare Sabit hain BaLki Unhone Sabse PehLe Isi ILm Ko Seekha bhi Hai , Ab Aate hain Doosri aur Sabse Aham Bat Imam Abu Hanifa r.a ke Aqaid Sahih bhi Hain ya nahi , Ya Ma’azALLaah Unke Aqaid BatiL aur Gumrah kun the…. To MaLoom ho ke Imam Abu Hanifa r.a Hi Wo Shakhs hain Jinke Mukhtasar Lekin Jame Andaz me Bayan kiye gaye Aqaid ki Perwi Ummat Aajtak Karti Aa rahi hai…Jisko Imam Tahawi r.a ne Apni Kitab ” Aqeeda Tahawi ” me Jama Kar diya hai….Ye Kitab HaLanki Imam Tahawi r.a ( Hanfi ) ki Likhi hui Hai Lekin Darhaqiqat ye Imam Abu Hanifa r.a , Imam Abu Yusuf r.a aur Imam Muhammad r.a Ke Aqaid ki Tarjumani Karti hai….Aur Jise BaqauL Hazrat Taj Uddeen Subki r.a Ke Ummat Ke ULama ne QubooL kar rakha hai ( Yani Aqaid ki Sabse Mautbar Kitabon me se hai , jiski Perwi Ummat ke ULama karte aaye hain )…
Dekhiye Scan :
ALhamduLiLLah Ye Bat Bhi Sabit Ho Gayi Ke Aqaid bhi Imam Abu Hanifa r.a Ke BiLkul Durust hain Tab hi To Unke Aqaid Ki Tarjumani Karne WaLi Kitab Ko Ummat ke ULama me ALLaah ne Ye Darja de Rakha hai Ke Sabhi Iski Perwi Karte hain , Isi ko parte aur Parate hain….Aur agar Imam Abu Hanifa r.a Ke Aqaid GhaLat Hote to Kya ALLaah unhe Itni MaqbooLiyat deta aur Ummat ke ULama us Kitab Ko Is Tarah QubooL karte….
Ek bat ye bhi Jan Len Ke Ham Furooi MasaiL me To Hanfi hain hi , Aqaid Ke MamLe me bhi Ham Imam Abu Hanifa r.a ki hi Perwi Karte hain aur Hamne Aqaid ke MamLe me Unhe Na To Chorha hai Aur Na Unke MuqabLe me Imam Matrudi r.a Perwi Karte hain BaLki MautaziLa ke MuqabLe me Ham Imam Matrudi r.a Ki Perwi Imam Abu Hanifa r.a Ke UsooL ki Roshni me Karte hain….Kyonki Imam Matrudi r.a Furooi MasaiL me Hanfi hain aur Wo Imam Abu Hanifa r.a UsooL ki Roshni me hi Aqaid ki Wazahat Karte hain….
Doosri Bat Ye Ke Ham UsooL aur Furoo me MuqaLLid Imam Abu Hanifa r.a ke hain , Aur Imam Abu Hanifa r.a ne bhi Sabse PehLe Kaam ILm uL KaLam ( Aqaid ) par hi kiya hai , Phir Bad me ILm uL Fiqah par Mahnat Kari hai aur Isi ki Wajah ( Fiqah ) se Duniya me Shohrat payi hai…Lekin ab SawaL ye uthta hai ke agar Imam Abu Hanifa r.a ne Aqaid par hi Sabse PehLe Mahnat Kari hai to Ham Aqaid me Unki Bat kyon nahi mante , Bat AsaL ye hai ke Hamne Aqaid me Kabhi bhi Imam Abu Hanifa r.a ko nahi chora BaLki Jin Dino MautaziLa ( aur Deegar BatiL Firqon ) ka Zor tha , Us Dauran ALLaah ne Imam AbuL Hasan Ash’ari r.a Aur Imam Abu Mansoor Matrudi r.a se In BatiL Firqon ke Radd Ka Kaam Liya hai….Aur In Imamon ne AqLi aur NaqLi ( Qur’aan wa Ahadees ) DaLaiL ki Roshni me AhLe Sunnat WaL Jama’at ka Mauqaf Na Sirf Behtareen Tariqe se Pesh Kiya BaLki Apne Bad ke Aane WaLon Fuqaha , Muhaddiseen , ULama aur MutakaLLimeen KeLiye Rah Aasan kar gaye aur SikhLa gaye Ke BatiL Firqon Aur Unke GhaLat Aqaid Ke KhiLaf AhLe Sunnat WaL Jama’at ki Tarjumani Kese Karni hai…In Imamon ne MustaqiL Kitabon me Aqaid AhLe Sunnat WaL Jama’at ko Bari Mehnat se Jama bhi Kar diya hai….IsLiye Unke Waqt me MautaziLa ne Jo UsooL me Nayi Nayi TaweeL ki hain , unke MuqabLe me Jo TaweeLat Imam Ash’ari r.a ya Imam Matrudi r.a ne di hain , To Ham BamuqabLa MautaziLa ke Aqaid me In Imamon ki TaweeLat ko QubooL Karte hain aur MautaziLa ka Radd Karte hain…Yani Ham Aqaid ke MamLe me MautaziLa ke MuqabLe In Imamon ki bat ko Lete hain aur Inki Perwi karte hain , Aur Inki Perwi karne se Imam Abu Hanifa r.a ko chorna Lazim nahi aata…
Ye Kuch Isi Tarah hai Jaise Ham Apne Aapko Deobandi Kehte hain , BareLwi nahi , HaLanki Furooi MasaiL me BareLwi bhi Hanfi hain…Lekin Jab BareLwiyon ne Nayi Nayi Bid’at ko riwaj diya hai To Unke MuqabLe me ULame e Deoband ki Jo Tashreehat hain Ham unko Mante hain , ULama e BareLwi ki nahi..To Ham Deobandi BamuqabLa BareLwi hain , BamuqabLa Imam Abu Hanifa r.a ke nahi….Isi Tarah Ham Matrudi BamuqabLa MautaziLa ke Hain BamuqabLa Imam Abu Hanifa r.a ke nahi…
Ek Bat Aur Zahan Nasheen KarLen ki Jab Ye Kaha Jaye ke Ham UsooL aur Furoo me MuqaLLid hain Imam Abu Hanifa r.a ke To Us Waqt Murad Hota hai Wo UsooL jinse MasaiL ka Istanbat hota hai aur Jinse MasaiL ke Istanbat kiye hain , Wahan UsooL se Murad Aqaid nahi hote BaLki Wahan UsooL se Murad Qawaid e KuLLiya hote hain aur Furoo se Murad MasaiL e Sharia hote hain…aur Jab bat aati hai un UsooL ki Jinme Ham Imam Matrudi r.a ki Perwi karte hain , To Yahan UsooL se Murad Aqaid hote hain , ke In UsooL me ( Aqaid me ) Ham Imam Matrudi r.a ya Imam Ash’ari r.a ki Perwi Karte hain….
Gharz Ye Ke Dono hi Imam Aise UsooL aur KuLLiyat Bata gaye Jisse Ke Qayamat tak ke Aane WaLe Tamam BatiL Firqon ke Jawab HasiL Kiye Ja Saken….aur ALLaah Ke Karam se Aisa ILm Mudawwan Kar Gaye Jisse Jadeed aur Qadeem Tamam Aitraazat ke Jawab dene KeLiye Kafi hai…
Khair Ab Aap Log ALhamduLiLLah Samajh Gaye Honge Ke Ham Imam Matrudi r.a ki Perwi Kyon Karte hain aur Ham Aqaid me bhi Hanfi hain ya Nahi….Ab In Baton Ke Bad Ye Jaan Lete hain Ke Imam Abu Mansoor Matrudi r.a Hain Kaun aur Inki Perwi Hanfi Kyon Karte hain…Kyonki Imam Abu Hanifa r.a ke Aqaid ke Bare me ALhamduLiLLah Wazahat ho gayi…To ek aur Bat Ye bhi Zahan Nasheen KarLen Ke Jis Tarah se Furooi MasaiL me Ummat Char Imamon ki Perwi Karti hai Yani Imam Abu Hanifa r.a , Imam MaLik r.a , Imam Shafaii r.a Aur Imam Ahmad Ibn HanbaL r.a…Aur Koi bhi Inki TaqLeed ya Perwi ke ALawa Kisi Aur Imam Ki Perwi nahi Karta , Kuch Usi Tarah Aqaid ke MamLe Me Bhi Khusoosan 2 Imamon ki Perwi Kari Jati hai…
PehLe Imam AbuL Hasan Ash’ari r.a Aur Doosre Imam Abu Mansoor Matrudi r.a… Dono ILm UL KaLam ( Aqaid ) ke Imam Hain aur dono ham asar ( ek Waqt ke ) bhi hain Aur Baqi Sabhi MasLakon ke Log ( ULama ho ya awaam ) Aqaid me In 2 Imamon ki Hi Perwi karte hain aur Apni Nisbat bhi inki Taraf Karte hain…Kuch HanbaLi Aqaid Me Imam Ahmad Ibn HanbaL r.a ki hi Perwi Karte hain…Ab Jo Log Imam Ahmad r.a ki Perwi Karte hain ( Aqaid me ) Wo “AL Asari” KehLate hain….Aur Jo Imam AbuL Hasan Ash’ari r.a ki Perwi Karte hain Wo Aqaid me “Ash’ari” KehLate hain aur Jo Imam Abu Mansoor Matrudi r.a ki Aqaid me Perwi Karte hain Wo Aqaid me “Matrudi” KehLate hain….Ahnaaf me bhi Kuch Log Imam Ash’ari r.a ki Perwi karte hain aur Aksar Imam Matrudi r.a ki Perwi Karte hain , Jaise HanbaLiyon me bhi Kuch Imam Ahmad r.a ki Perwi Karte hain aur Kuch Imam Ash’ari r.a ki….
Ab Aage Barne se PehLe Mukhtasar sa in Imamon ke Bare me Jan Lete hain Kyonki TafseeL Ki Yahan Gunjaish nahi , Nahi To In Imamon Ke Manaqib aur FazaiL Me Kitaben Likhi Ja Sakti hain…
Imam AbuL Hasan Ash’ari r.a Ka SiLsiLa e Nasab Sahabi e RasooL a.s Hazrat Abu Moosa Ash’ari r.a se MiLta hai…Ye Ummat Ke Mane hue Imam Hain ,aur “Imam uL MutakaLLimeen” aur “Sahab e UsooL” ke ALqaab se Mash’hoor hain , Jinki Tauseeq ALag ALag Waqt me MukhtaLif ULama ne ki hai. ..
Dekhiye Khateeb Baghdadi r.a Ka QauL :
Hazrat Ibn KhaLkan r.a ka QauL :
Imam Abu Mansoor Matrudi r.a Ye Bhi Imam AbuL Hasan Ash’ari r.a Ki Tarah Aqaid ke Imam Hain…Ye bhi “Imam uL MutakaLLimeen” aur “Imam uL Huda” “Raees AhLe Sunnah” ke naam se Mash’hoor hain…Inki Tauseeq bhi ALag ALag Waqt me MukhtaLif ULama ne Kari hai…
Dekhiye Scan :
Hazrat AbduL Qadir Qurshi r.a Ka QauL :
Dono Hi Imam ULoom uL Qur’aan , UsooL e Fiqah aur ILm uL KaLam wa Aqaid ke Behtareen Mahir Imam hain , Jinhone Apni Poori Zindagi Aqaid AhLe Sunnat WaL Jama’at ke Difa’a me guzar di…Khair Ye Bat To Hui Inke Tarruf ki Ab Aate hain Is Bat Par Ke Ye Dono bhi Kya Sahih uL Aqaid Ke Perokar hain Ya Nahi , Kyonki Kuch Log Inhe bhi Gumrah Aur GhaLat Aqaid Ka Manne WaLa Sabit Karne Ki Nakam Koshish Karte hain , To Sabse PehLe Is Bat Ko Zahan Nasheen KarLen Ke Ye Dono hi Imam Na Sirf Sahih Aqaid Rakhte hain BaLke Aqaid ki Jitni Behtar Aur Sahih Wazahat aur AhLe Sunnat ki Tarjumani Inhone ki Wo Inse PehLe aur Bad me Kisi Ne Nahi Kari , IsLiye Bad ke Fuqaha , Muhaddiseen , ULama Aqaid me Apni Nisbat Inhi ki Taraf Kara Karte hain….Aur inke bad ke ULama Ash’ari ya Matrudi hi KehLaye Taki Firqa BatiLa se Farq Zahir rahe…Jiski Bat ki Behtar Gawahi Imam Behqee r.a ka Ye QauL deta hai :
Dekhiye Scan :
Ek aur Scan :
Ye Bat Bhi Khaskar QabiL E Ghaur hai Ke In Dono Hi Imamon Ke Aqaid Wahi Hain Jo Imam Tahawi r.a Ne Apni Kitab Aqeeda Tahawi me Bayan Kare hain , Kyonki Imam Matrudi r.a To Chunke Furooi MasaiL me Hanfi hain aur Aap Imam Abu Hanifa r.a ke Shagirdon ke Shagird hain , To IsLiye Unke Wahi Aqaid Hona fitri bat hai , Iske ALawa Imam AbuL Hasan Ash’ari r.a Ke bhi Wahi Aqaid Hain Jo Imam Tahawi r.a ne Bayan Farmaye hain , Jaisa Ke Hazrat Taj Uddeen Subki r.a Ka QauL hai….
Dekhiye Scan :
To Pata ChaLa ke Imam AbuL Hasan Ash’ari r.a bhi Wahi Aqaid rakhte hain Jo Imam Abu Hanifa r.a ke the , Aur Ummat Ke ULama Chahe Imam Ash’ari r.a Ke Perokar hon Ya Imam Matrudi r.a Ke Darhaqiqat Un Sabke Wahi Aqaid hain Jo Imam Abu Hanifa r.a aur Unke Ashaab ( Shagirdon ) aur SaLf SauLheen ke the Aur Sirf Ye 2 Imam hi nahi BaLki AhLe Sunnat WaL Jama’at ke Sabhi Mazahib Aqaid ke MamLe me Muttafiq hain , Isme Inme Koi Khas IkhtiLaf nahi , aur In Imamon ne To Aqaid ki TabLigh , Tash’heer , Hifazat aur Himayat ki hai , Jaisa ke Sahaba r.a aur Taba’ieen r.a ke Aqaid the , Wahi In Imamon ke bhi Aqaid hain…Jiski Wazahat Hazrat Taj Uddeen Subki r.a ke Is QauL se Hoti hai …
Dekhiye Scan :
Pata ChaLa ke Agarche AhLe Sunnat WaL Jama’at ke Logon me Kuch Furooi MasaiL me IkhtiLaf hai ( MukhtaLif Ahadees aur Aasar ki bina par ) Lekin Aqaid ke MamLe me Sabhi Muttafiq hain aur Sabhi Haq par bhi hain, Jo AsaL QabiL E ghaur aur QabiL E Fakhr Bat hai….Kyonki Aqaid Ka Sahih Hona aur Usme Muttafiq Hona Zyada QabiL e Zaroorat Bat Hai…Iske ALawa Is Bat se Ye bhi Pata ChaLta hai Ke Ummat Ke SaLf SauLheen Usi Manhaj par the Jispar Imam Abu Hanifa r.a the aur Wo Log Jo Aqeeda Rakhte the “Aqeeda Tahawi” unhi Aqaid par MushtamiL hai….Ya Yoon Keh Len ke Imam Abu Hanifa r.a ke Wahi Aqaid hain Jo Qur’aan aur Sunnat me Bayan Kiye gaye , Aur Jo Sahaba r.a Wa Deegar Taba’ieen r.a ke the…
Jaisa ke Hazrat Shah AbduL Aziz r.a bhi Farmate hain : ” AhLe Sunnat WaL Jama’at Ke MukhtaLif Mazahib Jaisa ke Aqaid me Ash’ari aur Matrudi aur Fiqhi MasaiL me Hanfi , MaLiki , Shafaii , HanbaLi aur SuLook wa Tasawwuf me Qadri , Chishti , Naqshbandi aur Soharwardi…. Faqir ( Hazrat Shah AbduL Aziz r.a ) In Sabko Haq Janta hai ” …. ( Fatawa Azizi Farsi 74/2 )
Iske ALawa Hazrat Murtuza Zubaidi r.a Farmate hain :
” Jab MutLaqan AhLe Sunnat WaL Jama’at kaha Jaye to unse Murad Ash’ariah aur Matrudiah hote hain “… ( ﺇﺗﺤﺎﻑ ﺍﻟﺴﺎﺩﺓ ﺍﻟﻤﺘﻘﻴﻦ 2 / 6 )
Hazrat Mawahibi HanbaLi r.a Farmate hain :
” AhLe Sunnat WaL Jama’at ke 3 giroh ( Jama’at ) hain Ash’ariah , HanabiLah , Matrudiah ” ….
( ﺍﻟﻌﻴﻦ ﻭﺍﻷﺛﺮ ﺹ 53 /)
Hazrat Muhammad ibn Ahmad Safarini r.a Farmate hain :
” AhLe Sunnat WaL Jama’at ki 3 Jama’aten hain
1: AL Asariyah _ Inke Imam Ahmad Ibn HanbaL r.a hain
2: AL Ash’ariyah _ Inke Imam AbuL Hasan Ash’ari r.a hain
3: AL Matrudiyah _ Inke Imam Abu Mansoor Matrudi r.a hain “…
( ﻛﺘﺎﺏ ﻟﻮﺍﻣﻊ ﺍﻻﻧﻮﺍﺭ 73 )
Dekhiye Scan :
Aage Safah 76 Par In 3 Jama’aton ko Firqa Najiyah ( Jannat me Jane WaLa Firqa ) NaqaL karte hain….
Goya Aqaid Me Ash’ari Wa Matrudi aur Ahkaam me Mazahib Arba ki Ittiba AhLe Sunnat WaL Jama’at ki hi Itteba hai….Kyonki Koi Bhi Jama’at AhLe Sunnat WaL Jama’at se Tab hi Kharij ( Bahar ) hogi Jab wo Aqaid ke MamLe me Inse ALag Hogi , Aur Choonki Sabhi Mazahib Aqaid me Muttafiq hain IsLiye Kisi ki bhi Perwi AhLe Sunnat WaL Jama’at ki hi Perwi KehLayegi….Jispar Ummat ke SaLf SauLheen rahe hain…..IsLiye In Imamon Ke Bad Ke Jamhoor AhLe ILm Chahe wo Mufassireen hon , Muhaddiseen Ya MutakaLLimeen hon Sabhi Ash’ari Ya Matrudi KehLaye…Jiski Choti si MisaL is Scan me dekhen ke Kaise Bare Bare ULama Aqaid me Ash’ari hain…
Dekhiye Scan :
Is Tamam Baton se ALhamduLiLLah Pata ChaLa ke ham Aqaid me bhi Imam Abu Hanifa r.a ki Perwi karte hain….aur Ham Imam Abu Hanifa r.a ke MuqabLe me ya unhe Chorkar Imam Matrudi r.a ki Perwi nahi Karte BaLki MautaziLa Ke MuqabLe me Imam Matrudi r.a ki Perwi Karte hain….Ye Kuch Isi Tarah hai ke Agar Kisi ko Namaz ke Ahkam ke MamLe me Koi bat agar Qur’aan me ( Wazahat ke Sath ) Na MiLe to Agar Zyada Wazahat ki Khatir Wo Shakhs Ahadees se Riwayat Le Le , To Iska MatLab ye nahi ke Usne Qur’aan ko Chor Diya ya Uske MuqabLe me Ahadees ko Tarjeeh Di , BaLki MasLe ki Behtar aur Sahih Wazahat KeLiye Usne Ahadees ki taraf Rujoo kara Wo bhi Qur’aan ko Madde Nazar rakhte hue ….Kuch Isi Tarah Ham Aqaid ne Imam Abu Hanifa r.a ko Chorte nahi hain , BaLki Unke aur SaLf SauLheen ke Manhaj ko Behtar Tariqe se Samjhne KeLiye Imam Matrudi r.a Ki Perwi Imam Abu Hanifa r.a ke UsooL ki hi Roshni me Karte hain…
HasiL KaLam ye ke In Sab Baton se hame Kuch Baten Pata ChaLi :
1:- Ye ke Sabhi Mazahib Aqaid me Muttafiq hain , aur Agar Kuch IkhtiLaf bhi Hain To Wo Lafzi IkhtiLaf hain , Aur In IkhtiLaf ki Wajah se Na To Doosre fariq par Takfeer ka hukm Lagta hai aur Na Bid’ati hone Ka….
2:- Doosra Ummat ke Log Kisi bhi Imam ki Perwi Karen Wo AhLe Sunnat WaL Jama’at ki hi Perwi KehLayegi…
3:- AhLe Sunnat WaL Jama’at Unhi Aqaid ki Perwi Karti hai Jinpar Qur’aan , Hadees Shahid hain Aur Jin Aqaid par Sahaba r.a aur Taba’ieen r.a , SaLf SauLheen the…
4:- Sirf Hanfi Hi Aqaid me Apni Nisbat Imam Ash’ari r.a Ya Imam Matrudi r.a Ki Taraf nahi Karte BaLki MaLiki , Shafaii aur HanbaLi bhi Aqaid me Apni Nisbat In Imam Ki Taraf Karte hain…( To Aitraaz Sirf Ahnaaf par hi kyon )
5:- Imam Abu Hanifa r.a na sirf Sahih UL Aqaid hain BaLki unke Jo Aqaid Hain Ummat Usi Par Muttafiq hai….
Lekin Jo Log Ummat me Intishar PheLane WaLe Honge Wahi Log Ummat ke IkhtiLafi MasaiL ko Uthakar Unko Buniyad Banakar Ummat ko In Fuqaha , Muhaddiseen ULama se Badzan Karne Ki Koshish Karenge…Aur Unke KhiLaf Logon ke Zahan Me Be’asaL Baten DaLenge…
Khair ALLaah se Dua Hai Ke Wo Hame Har Tarah ke Fitne aur Fitne Baz Logon se Bachaye aur Sirat e Mustaqeem Par Qayam Rakhe….Un Logon ke Raste Jinpar ALLaah ka Inaam Hua…
Aameen Ya RabbaL A’aLmeen

No comments:
Post a Comment