Saturday, 1 December 2018

JAYEZ TAQLEED: Aaba’ wa Ajdaad ki Taqleed Qaabil-e-Ta’reef Us Waqt hoti hai Jab ke Wo Haqq par ho.

JAYEZ TAQLEED: Aaba’ wa Ajdaad ki
Taqleed Qaabil-e-Ta’reef Us Waqt hoti hai
Jab ke Wo Haqq par ho.
Chunancha Allah ta’la, Yusuf (alaihis salaam)
ke baare me farmaate hain. “Maine Apne
Aaba’ wa Ajdaad Ibraheem, Is’haaq wa
Yaqoob ke Deen ki Ittiba’ ki…” [Surah Yusuf:
38]
Doosri Jagah Allah ta’la farmaate hain: “Aur
Jo Log Eimaan laaye aur Unki Aulaad bhi
Eimaan ke sath Unki Raaah par chali to Hum
Unki Aulaad ko bhi (Jannat me) Unke sath
kar denge.” [Surah Toor: 21]
Allah Ta’la Hamari Rahnumayi karte hue
farmaate hain: “…. (Deen ke Mu’amlaat me)
Us Shaqs ke Raaste ki Ittiba’ kar Jisne Meri
taraf Rujoo’ kiya hai….” [Surah Luqman: 15]
Pas Sabit hua ke Jinke Aabaa wa Ajdaad Haqq
ki da’wat ki taraf bulaate hain, Unki Ittiba’
karna Jayez hai aur Jo Allah ke Deen se door
karte hain Unki Ittiba’ NA-JAYEZ wa HARAAM
hai. Yehi hukm A’imma-e-Mujtahideen ki
Taqleed/Ittiba’/Pairvi ka hai.
MUNKAREEN-E-TAQLEED SE CHAND
SAWAALAAT:
1. Kya Aap Mushrikeen ko A’imma-e-Araba’h
ki tarah Mujtahideen maante hain..? Agar
maante hain to Mushrikeen ki Fiqh aur Fiqhi
Usool ka Naam bataayei’n..?
2. Kya Aap A’imma-e-Araba’h ko bhi
Mushrikeen ki tarah Be-Ilm, Be-Aql Ya Be-
Hidayate maante ho..? Agar Nahi to
Mushrikeen ke baare me Nazil hui Aayaat ko
A’imma-e-Araba’h ki Taqleed per Chaspa
(Fit) karna Kitna Durust hai..?
3. Mushrikeen Apne Aabaa wa Ajdaad ki
Taqleed Aqaa’id-e-Kufriyah me karte the Ya
Phir Ijtihadiyah Masaa’il me..? Kya Aap
maante hain ke Jis tarah Mujtahid ko Khata’
per 1 Ajar milta hai Usi tarah Mushrikeen ke
Aaba wa Ajdaad ko bhi 1 Ajar milta tha..?
4. Agar Mushrikeen Taqleed-e-Shaqsi karte
the to, Jis tarah Hamari Nisbatei’n hain
Hanafi, Shafa’i, Hanbali wa Maliki to Isi tarah
Un MUSHRIKEEN ki bhi Nisbatei’n honi
Chahiye. Kya Aap Qur’an wa Hadees se sabit
karenge ke Mushrikeen ki Nisbatei’n Kis
Imam Mujtahid ki taraf thi.?
5. Ab bata’iye ke Mushrikeen Hamari tarah
Taqleed-e-Shaqsi karne waale hue ke Aap ki
tarah Taqleed-e-Ghair Shaqsi karne waale
hue..?
EK SHUBAH AUR USKA JAWAB:
AITRAAZ: Munkareen-e-Taqleed Ye waswasah
daalte hain ke, Agar Kisi Shaqs ko Mujtahid
ke bataaye Masla’h ki Daleel ka Ilm ho Jaaye
to Wo MUQALLID Na raha Kyonke Taqleed
Bila-Daleel Amal karne ko kehte hain aur
Daleel Ma’loom hote hi Taqleed na rahi.
AL-JAWAAB: Pehli baat to Ye hai ke Jis tarah
FARZ, SUNNAT, MUSTAHAB, MUBAH, SAHIH
HADEES, ZA’EEF HADEES waghera ki
Ta’reefaat aur Muhaddiseen wa Mujtahideen
ke banaaye hue USOOL waghera Qur’an wa
Ahadees me nahi milte theek Isi tarah
Taqleed ki Ye Ta’reef Jisme “Bila-Daleel” ka
Lafz aaya hai Na to Qur’an me hai aur Na
Hadees me hai balke Iski Ta’reef to
Ummatiyo’n ne ki hai. La-Mazhabo’n ko
Chahiye ke Pehle Ye Ta’reef Qur’an wa
Hadees se Dikhaate aur Phir Aitraaz karte
kyonke Ummati ki baat manna to TAQLEED
hua aur Jis ko Tum maante hi Nahi ho Us se
Hum per HUJJAT Qayem kaise Kar sakte ho.?
Doosri baat ye hai ke, Mukhtaleef Ulema’ ne
Taqleed ki Ta’reef me MUKHTALEEF
Ta’beeraat Apnaayi hain. Aur Is Ta’reef me
Jisme Lafz “Bila-Daleel” aaya hai Is se
muraad Ye hai ke Masla’h ki Daryafti ke sath
Daleel maangna Koi SHART Nahi hai balke
Mujtahid ke Qoul wa Fa’l ko Mehaz Husn-o-
Zann aur Us se Aqeedat ki bina per Tasleem
kar ke Amal kiya jaaye aur Daleel ki Fikr na
kare. Aur aisa Karna Kayi Ahadees se bhi
saabit hai ke Log Sahaba (raz.) se Masaa’il
daryaft karte magar sath hi Daleel Nahi
maangte the. Misaal ke taur per 3 Talaq ke
Masla’h per Ek Shaqs Ibne Abbas (raz.) ke
Paas aaya Jisne Apni Biwi ko Ikatthi 3
Talaqein di thi to Unhone 3 Talaaqo’n ko 3 hi
Naafiz kar diya. [Abu Dawood – Kitab At-
Talaaq, Sahih]. Us Shaqs ne Na Ibne Abbas
(raz.) se Iski Daleel poochi aur Na hi Is
Fatwe ke khilaf Koi Daleel Peish ki. Aisi Be-
Shumaar Misalei’n Kutab Ahadees me milti
hain Jiski Tafseel Yaha per Mumkin nahi hai.
Pas ma’loom hua ke Masla’h ki Daryafti ke
sath sath Daleel maangna Koi SHART nahi hai.
Ulema’ ne Taqleed ki Ta’reef me Yehi kuch
bayan farmaya hai.
Aur Ye bhi Haqeeqat hai ke Muqallid ko ba’z
dafa’h Daleel ka Ilm bhi ho jata hai. Lekin Is
se Ye Nahi samjha Jaayega ke Daleel ka Ilm
hona Taqleed ke khilaf hai balke Mujtahid ke
Qoul wa Fa’l ko Jaan lene ke ba’d phir Us per
Amal na kare to Phir Ye TAQLEED ke khilaf
hai.
KHULASAH: Mujtahid ki Misaal ‘Ghouta Khor’
ki si hai Jo Samandar se Moti nikaal kar lata
hai Ya’ni Mahir Quran-o-Hadees Masla’h
Istinbaat karta hai. Muqallid Kinaare par hota
hai aur Mahir-e-Fann se faydah uthaate hue
Moti qubool kar leta hai ya’ni Shari’at per
amal karta hai.
Kuch Log Jo Tairna hi Nahi Jaante Moti nikal
kar laane ki koshish karte hain aur Khud ko
halakat ke haatho’n daal kar Doob kar mar
jate hain. Kyonke Rasoolullah (sallallahu
alaihi wa sallam) ki Ek Hadees ka Maf’hoom
hai Jab Koi Amr (Kaam) Na-Ahlo’n ke Suprad
kar diya Jaaye to phir Qayamat ka Intezaar
karna. [Sahih Bukhari – Kitab: Al-Ilm]
Allah Rabbul Izzat Is Fitnah La-Mazhabiyat se
hamari Hifazat farmaaye aur Deen ki SAHIH
samajh ata farmaye. Aameen Ya Rabbul
Aalameen. Wa Lillahil Hamd..

No comments:

Post a Comment