Saturday, 1 December 2018

Jumma Ke Khutbah Se Qabal (Pehle) Wa’az

Jumma Ke Khutbah Se Qabal (Pehle) Wa’az
(Taqreer) Karna Biddat Hai Aisa Chand
Ghair Muqallideen Naam Nihad Ahle
Hadees Logo Ka Kehna Hai Kyuki Aap
Sallallahu Alaihi Wassalam Ke Zaman-E-
Mubaraka Me Aisa Kuch Na Tha Lehaza
Harr Woh Cheez Jo Daur-E-Nabawi
Sallallahu Alaihi Wassalam Me Na Thi Woh
Biddat Hai Jo Radd Hai..
Iss Tarah Ke Bharri Bharkam Jumley Kehke
Aam Admiyon Ko Gumrahi Ke Taraf Yeh Log
Le Jatey Hain, Jo Khud Gumrah Hoon Woh
Dusron Ko Kya Hidayat Denge! Jinke Dillon
Me Sahaba Wa Aimma Mujhtahideen Ke
Liye Bughz Bharra Ho Kya Aise Logo Ki Baat
Musalman Ki Badi Jammat Mannegi!
Jahan Tak Jumma Ke Khutbat Se Pehle
Wa’az Wa Takreer Ka Mauzoo Hai Yeh
Ashaab-E-Rasoolullah Sallallahu Alaihi
Wassallam Se Sabit Hai, Chunanche Fatwa
Hanafi Maliki Shafii Wa Hanbaliyo Pe Biddati
Ka Fatwa Kyu Diya Jata Hai Jabke Shuruwat
He Sahaba Razi allahu tallanhuma Ne Ki
Thi..
1. Hazrat Abu Huraira Raziallahu Tallanhu
Jumma Ke Din Khutbah Se Pehle Taqreer
(Wa’aaz) Farmaya Kartey The Aur Isme An
Hazrat Sallallahu Alaihi Wassallam Ki
Hadees Bayaan Kartey The. Jab Imaam
Khutbah Dene Ke Liye Aata Toh Hazrat Abu
Huraira (Raz) Apni Taqreer Ko Rokh Detey
The.
[Mustadarak Hakim, Jild: 1, Safa: 108]
· Iss Riwayat Ko Imaam Hakim Ne Sahih
Kaha..
· Iss Riwayat Ko Imaam Zehbi (Rah) Ne Bhi
Sahih Kaha.
[Talkhees Mustadarak Hakim]
2. Abu Zahriya (Rah) Se Riwayat Hai Ke
Hazraat Abdullah Bin Basr Raziallahu
Tallanhu Jumma Ke Khutbah Se Qabal
(Pehle) Wa’aaz Kiya Kartey The, Jab Khateeb
Khutbah Dene Ke Liye Aata Toh Woh Wa’aaz
Ba’and Kartey The.
[Mustadarak Hakim, Jild: 1, Safa: 288,
Imaam Hakim (Rah) Se Sahih Kaha]
3. Hazrat Tamim Da’ari Raziallahu Tallanhu
Ne Hazrat Umar-E-Farooq Raziallahu
tallanhu Se Izzazat Tala’ab Ki Ke Me Jumma
Ke Din Taqreer Kiya Karoonga Aur Isme
Nasihaat Bayaan Karoonga. Pehle Umar
(Raz) Ne Unko Mana Farmaya Lekin Tamim
Da’aari (Raz) Ke Israar Par Unhone Izzazat
Dedi Lekin Farmaya Jumma Ke Din Isse
Qabal Khateeb Ke Aane Tak Taqreer Kar
Saktey Ho.
[Al-Isabah Fee Tazkirat Al-Saha’abi(Raz) Lil
Ibn Hajr, Jild: 1, Safa: 184]
Ab Me Naam Nihaad Ahle Hadees Ghair
Mujhtahideen Se Sawaal Karta Hoon Ke Kya
Nauzu Billah Summa Nauzu Billah Aap
Sallallahu Alaihi Wassallam Ke Duniya Se
Pardah Farmane Ke Ba’ad Ashaab-E-Rasool
Biddati Hogaye The!!!
Isska Jawab Aap Ghair Mujhtahideen
Hazraat Naam Nihaad Ahle Hadeeso Par
Udhar Raha… Sahaba (Raz) Pe Bhi Fatwa
Lagaye Jistarah Ahnaf Par Fatwa Lagatey
Hain Aur Apne Apko Poori Tarah “Shia”
Sabit Karein…

No comments:

Post a Comment