Sunday, 2 December 2018

Mujhtahid Woh Hota He Jinko Yeh Salahiyat Ho

Mujhtahid Woh Hota He Jinko Yeh Salahiyat Ho
1.Quran
2. Ahadees
3. Aasaar e Sahaba Aur Fail E Sahaba
4. Arbi Zuban Ki Maharat
5. Tareek E Islam
Lehaza Mujtahid Wohi He Jisko Yeh 5
Salahiyaat Paya Jaye Lehaza Woh Ijtihaad ke
Darjeh TakPahuch Gaya Ab uspar Takleed Wajib
Nahi..Aur Jinko Yeh 5 Khubiya Pai Na Jaye
UsparIjtihaad Ek Gunah Hai Vo Taqleed Karne
Ke Alawa Kuch Nahi Kar Sakta..
(Yeh Qaul Imam
Baghawi Rahimahullah Ka HaiJisko Shah Wali
Ullah Muhaddis Ne Apni KutubIqdul Jaid Safa-7
Me Naqal Kiya Ha)IJTIHAAD KARNA JAIZ
HAI..Hazrat Muaz Bin Jabl Razi Allahu Anhu
SeRiwayat Hai Ke Jab Rasool ullah Sallallahu
AlaihiWasallam Ne UnKo Yemen Bheja To
Farmaya“Jab Koi Qizya Pesh Aaye To Kis Tarah
FaislaKaroge, Arz Kiya Kitabullah Ke Mutabiq
FaislaKarunga, Apne Farmaya “Agar Wo
MaslaKitabullah Me Na Mile To?” Arz Kiya
“RasoolullahSallallahu Alaihi Wasallam Ki Sunnat
Ke MutabiqFaisla Karunga.” Ap Sallallahu Alaihi
WasallamNe Farmaya “Agar Kitabullah Aur Sunnat
ERasoolullah Sallallahu Alaihi Wasallam Dono
MeNa Mile To? Arz Kiya “Us Waqt Apni Raaye
SeFaisla Karunga Aur (HaqTak Pohanchne Ki
Koshish Me) Koi Kotahi NahiKarunga” Is Par Aan
hazrat Sallallahu AlaihiWasallam Ne Hazrat Muaz
Razi Allahu Anhu KeSeene Par Hath Maara Aur
Farmaya Allah KaShukr Hai Keh Us Ne
ApneRasool Ke Qaasid Ko Is Baat Ki Taufeeq Di Jis
SeAllah Ka Rasool Raazi Hai.”(Abu Dawood
Shareef Safha149, Mishkat Safha 324)Is Hadith se
maloom hota hai ki deen mein baazmas’le aise
bhi hote hai jinka jawab sarahat senaa to
kitabullah mai hota hai, naa sunnateRasool ullah
saw mai hota hai.Un mas’lo ko hal karne ke liye
Olil Amr(Mujtahid) Qur’an aur Sunnat ki roshni
maiIstanbaat karta hai..Mujtahid ke Istanbaat par
agar wo sahih baatpaa leta hai to use 2 ajrmilte
hai, aur agar use khata hoti hai tab bhiuse 1 ajr
milta hai..Chunanche..Hazrat Amr bin Al Aas
(raziallahu anhu) farmate hain ke-“Jab
HakimIjtihad se faislah karey aur Saheeh faislah
parPohanch Jaaye to Usko 2 Ajar milte hain
aurAgar Hakim Ijtihad se Faislah Kare
aurKhata’ (Ghalti) ho Jaaye to 1 Ajar ka
MUSTAHIQhai..(Sahih Bukhari Kitab Al-I’tisaam
Bil-Kitabi WasSunnati Baab Ajril Haakim Iza
Ajtahada Fa-Asaaba AuAqta)

No comments:

Post a Comment