OSOOL- E-SHARIYAT AUR
JHAGDON KA HAL
QURAN:
..
“Aye Iman walon !
Hukum maano ALLAH ka aur hukm maano
RASOOL ka aur OOLUL ‘AMR ( ULAMA O
FUQHA ) ka jo tum ( Momino ) me se hon, fir
agar jhagad pado kisi cheez me to usko lautaao
taraf ALLAH k aur RASOOL k agar yaqeen rakhte
ho ALLAH par aur Qayamat k Din par ye bat
achi hai aur bahut behtar hai iska anjam.”
( Al’Nisa :59 )
..
Is aayat e kareema me ALLAH aur uske RASOOL
ke bad “Oolul ‘amr” ki ittiba ka hukm farmaya
gaya hai. ” Oolul ‘amr” se kaun log murad hain ;
agarche isme Ulmaa Ki Raay Mukhtalif hain;
lekin aksar mufassireen is se Fuqha aur Ulma
murad lete hain.
Hakim ne Hazrat Abdullah ibne Jabir ka Qaul
naqal kiya hai
“ ﺃُﻭﻟِﻲ ﺍﻟْﺄَﻣْﺮِ، ﻗﺎﻝ ﺍﻟﻔﻘﮧ ﻭﺍﻟﺨﯿﺮ”۔ (:ﮎﺭﺪﺘﺴﻣ ۳۲۱/۱ )
..
Tarjuma ;
“Olal’amr se Ashab fiqh aur ahle deen murad
hain.
“
Qur’an w Sunnat ki taraf lautane ka ahl
kaun ???
Mufassir Imam Abu bakar Jassas Rahmatullahi
alaih . Is aayet ki tafseer karte hain ki :
“Oolul ‘amr ki ita’at ka hukm dene ke fauran
baad ALLAH TA’ALA ka ye farmana ki,
..
Fir agar jhagad pado kisi cheez me to usko
lautaao ALLAH aur RASOOL ki taraf, ye is bar ki
daleel hai ki,
Oolul ‘amr Se murad Ulma aur Fuqha hain
kyonki ALLAH TA’ALA ne logo ko inki ita’at ka
hukum diya ( yani jis bat par inka ittifaaq w
ijmaa ho, wo bhi Qur’an w Sunnat Ki ( bad
qata’ee Daleel o Hukm Hai.
..
Fir agar jhagad pado kisi chaaez me”Farmakar
“Oolul ‘amr ko hukm diya ki jis maamla me inke
darmiyan ikhtilaaf ho use ALLAH ki Kitab Aur
Nabi ki Sunnat Ki Taraf lauta do.
..
Ye hukm”Ulama o Fuqaha” hi ko ho sakta hai
kyu ki
Awaamun naas aur ghair Aalim ka ye muqaam
nahi hai. Is liye ki wo is baat se waqif nahi hote
ki KITABULLAH o Sunnat ki taraf kisi maamle ko
lautane ka kya tareeqa hai.
Aur na unhe nit naye masaayel ( ka hal Qur’an
w Sunnat se Ijtihaad karke ) mustanbat karne k
dalaayel k tareeqon ka Ilm hota hai , lihaza
Saabit ho gaya ki ye Khitaab Ulama o Fuqaha ko
hai.
[ AHAKAAMUL’QUR’AN ; 257 / 2
..
TAHQEEQ KA HAQ;”RASOOL”K BAAD “OOLUL ‘
AMR KO HAI.
(QUR’AN = 4 : 83) , AWAAM KO NAHI.

No comments:
Post a Comment