Tuesday, 11 August 2020

Damad e Firqa Jadeed Naam Nihaad Ahlehadees ka Mirza Qadyani


 EK MOGHALTA: Ghairmukallideen (Naam Nihad Ahle Hadees) Ye kehte thakte nahi  ki  Mirza Ghulam Qadyani ki haqeeqat jante he sare gharimukallid ne Mirza se Baraat karli thi. Koi ye dhoka deta hai sabse pehle Mirza per kufr ka Fatawa Batalvi Sahab ne lagaya tha!


HAQEEQAT-E-HAAL: Ghairmukallideen (Naam Nihad Ahle Hadees) ki is jhoot ki bunyad La-ilmi wa kaz-fehmi ke siwa kuch nahi. 

Mirza ki sab se pehle takfeer Maulana Abdullah Sahab Sahab Ludhyanvi (ra) ne kit hi. Is Takfeer ki bunyad Mirza ki  “Baraye Naam Ilhami” kitab "Barahin Ahmadiyya" per rakhi gayi thi (Fatawa Qadiriya, Moulana Muhammed Ludhyanvi p.3). Ghairmukallideen ke Shaykh wa Rehbar Batalvi Sahab to ulta Mirza ki takfeer dekh kar Ulema Ludhiana per baras pade thay aur Mirza ki tayeed main lag gaye thay. Apne risala “Ishat-us-Sunnah” main Ulema Ludhiana ki mukhalfaat aur Mirza ki tareef karte rahe. (Fatawa Qadiriya, Maulana Muhammed Ludhiyanvi p.18).


Mirzayi bhi bade khush hue. Is khusi ka izhar is tarha kiya:

"Amritser ke baaz Ulema k nazdeek huzoor ki ilhamaat ghairmumkeen, ghair sahi aur Nakabil-e-Tasleem thay. Aur uska sabab (Jaisa k khud Molvi Muhammed Hussain sahab batalvi ne apne risalal "Ishat-us-Sunnah" jald 7 sifa 170 main likha hai) unki Na-fehmi, Be-zoki aur kisi kadr amuman Ahle Allah aur Ahle-batin se gosa tassubi tha, yahi wo maqam hai jaha baad main hazrat aqdas per ye "qarar dad zurm" bhi lagay gayi gayi k aap ne Aap Hazrat (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) ki shaan mubarak main gulu aur mubalga amezi irtikab kia" (Tarikh Ahmediyyat, Vol.1, p.180)

Isse saff pata chal raha hai Ksi tarha Naam Nihad Ahle Hadees k Shaykh wa Rehbar Sahab ne Mirza se barat k bajaye uski tayeed main lag gaye.


Puri Ibarat:

Aur aagay ki ibarat kuch aur saaf karti hai baat ko: 


"Molvi Muhammed Hussain Sahab Batalvi Ne Ulema Ludhiana ki Na-Qabil Fahem Rosh Dekhi to wo TEHQEEQ ke baad Is Natizay Per Pohchay K Uske Peechay Mahez Bugz wa Adawat aur Jeelaat Karfarma Hai."( Tarikh Ahmediyyat, Vol.1, p.181)


Asal kitab se  puri Ibarat yaha is link per padhye: 

Ghairmukallideen ki Aankh Khuli: 


Mirza ne 1890-1891 main apni 2 kitabain “Fateh Islam” aur Tozeeh Maram” chaapi. Risala “Fateh Islam” Riaz Hind, Amritsar main chap raha tha aur usi waqt Batalvi Sahab ko pata chala aur aag babula hogaye. (Tarikh Ahmediyyat, Vol.1, p.385). Ab Der se Aye Dusrust Aye Mirza ki takfeer ke silsile se Batalvi Sahab ne kam shuru kia aur Mirza ki takfeer ki bunyad “Fateh Islam” per rakhi. 


Ek nazar Mirza ki kitab ki ibarat per:

Batalvi Sahab ne sirf gussa he nahi dikhaya balke Mirza ka asli chehra saamne lane ka thaan liya. Mirza ne apni kitab (“Tohfa Coriwyya” p.9) main isbaat per apni narazgi zaheer kia. Isse Mirza ke Khilfa Basheer Uddin Mehmood ne apni ki “Seerat Masih-e-Maud” main bhi naqal kia. 


Seerat Masih-e-Maud  ki Ibarat:

Batalvi Sahab ne kaam shuru kia aur Mirza ki Takfeer 1891 main shuru kardi. Ek baat yaad rakhne layak hai: Jabtak Naam Nihad Ahle Hadees ke Ulema Hazraat Mirza ke khilaf karwayi karte; Mirza ne tabtak kafi  bhole bhale Musanmano ka Imaan zabt kar unhe kufr k daldal main dakhel diya tha.


Aaj Dr. Zakir Naik Quran-o-Hadees jo manmaani matlab bayan kar rahe hai aur ye koi naya cheez nahi. Mirza ne apne kitabon main yahi tarz istimaal kia tha. Yaha bhi Naam Nihad Ahle Hadees Meraaj Rabbani, Tousifur Rehman wagaira kam to kar rahe hai lekin bohut zyda slow hai, lekin humlogon ne kafi pahel kar rakhi hai, Alhumdulilah.


-------------------------------------------------

Mazeed Kuch Aur Batain…….

-------------------------------------------------

(1) "Aapke ki umar kareeban chalees saal ki thi jabke 1876 main........Allah Ta'ala ne bazaria ilham bataya......."(Seerat Masih-e-Maud, p.17)


(2) "Barahin-e-Ahmadiyyah" ka "Pehla hissa 1880 main shaya hua. Fir is kitab ka dusra hissa 1881 main aur teesra hissa 1882 aur chotha hissa 1884 main shaya hua." (Seerat Masih-e-Maud, p.23, Tarikh Ahmediyyat, Vol.1 ,p.191)


(3) Mirza ki ye dusri shadi  17 November,baroz somwar (Monday) 1884 main hui thi. (Tarikh Ahmediyyat, vol.1 ,p.244)


(4) "Hazrat Ummul Momeneen 18 saal ki umr main November 1884 main Qadyan ayi aur Hazrat ke har dawa aur har baat per ghair mutaljal imaan layi". (Tarikh Ahmediyyat, Vol.1 ,p.249)

No comments:

Post a Comment