Masla ”ZUBAN SE NIYAT” Karna
(GM KO JAWAB)
Asal mein jo sabse bari ghalat fehmi hai wo ek istilah ke mashur honey ki wajeh se hui hai, wo istilah hai “ZUBAN SE NIYAT!”….. Jabkey haqeeqat ye hai ke aap Fiqah ki jitni bhi kutub hain unko uthakar dekhengey to pata chalega ke NIYAT to DIL KE IRADEY ka hi naam hai aur bas!!! To ZUBAN SE NIYAT ka phir kiya ma’na hai???
..
To Janab!!! Darasal baat ye hai ke AHLE SUNNAT ke haan “ZUBAN SE NIYAT” ek URFI ISTILAH hai….. jiska zahiri matlab hai ZUBAN SE NIYAT KARNA… Lekin is URFI istilah ka Haqeeqi ma’na ye nahin hai, iska Haqeeqi ma’na aap kisi bhi AHLE SUNNAT MUATABAR ALIM se dariyaft karlein wo yahi batayega ke ZUBAN SE NIYAT is istilah ka matlab hai “DIL MEIN KI GAYI NIYAT KE ALFAZ KO ZUBAN SE DOHRALENA” aur bas!!!
..
…Yani ZUBAN SE NIYAT ka matlab ye nahin hai ke NIYAT 2 hain EK DIL SE aur EK ZUBAN SE jesa ke ABU JEHLI tassur detey hain balkey ZUBAN SE NIYAT ka matlab sirf itna hi hai ke NIYAT JO KE DIL KE IRADEY KA NAAM HAI JAB DIL MEIN KI JAYE TO USKE ALFAZ KO ZUBAN SE BHI DOHRALIYA JAYE! Aur bas!!!
..
Ye baat to pata chal gayi ke ZUBAN SE NIYAT ho hi nahin sakti wo to DIL KE IRADEY ka hi naam hai ZUBAN SE NIYAT ka matlab sirf aur sirf alfaz e niyat ka dohrana hai aur bas! Lekin ab sawal ye peda hota hai ke Zuban se alfaz dohraye kyun jatey hian? Kia mehaz DIL mein hi niyat kafi nahin thi? To suniye!!!
..
…ZUBAN DIL ki TARJUMAN hoti hai… ZUBAN se ALFAZ E NIYAT dohraney ka maqsad sirf DIL ke iradey ko mazbut karna hi hota hai…. Yani jab insan ko WASWASEY buhat aatey hon aur DIL mein baat jam na rahi ho dehan idhar udhar horaha ho to NIYAT E DIL ko Mazboot karney ke wastey usko DIL mein pakka karney ke wastey aur WASAWIS ka radd karney ke wastey agar ZUBAN se dil ke ALFAZ DOHRALIYE JAYEIN to Baat dil mein pewast hojati hai aur wasawis waghera us niyat se dehan nahin hatapatey… Yahi wajeh hai ke AHLE SUNNAT WAL JAMA’AT ke haan NIYAT KE ALFAZ ZUBAN SE DOHRANA NAA SUNNAT HAI NAA WAJIB HAI NAA FARZ HAI, Mehaz MUSTAHSIN hi hai aur bas! Warna agar koi INSAN waswason ke bawajud DILI NIYAT ke alfaz ka talafuz naa karey yani zuban se naa dohraye aur Niyat par wasawais ka ghalbah naa ho to uski IBADAT 100% sahih hai ZUBAN se alfaz niyat bolna hargiz zaruri nahin hai (DIL mein NIYAT zaruri hai uske bagheir IBADAT nahin hosakti) agar aap bina zuban se aflaz e niyat boley Waswasey door karsaktey hain to karlein!!!
*ALLAMA IBNE QADAMA AL-HANBALI(ra) farmatey hain…:
..
“…JIS CHEEZ KI NIYAT KI HAI AGAR USKE ALFAAZ ZUBAN SE DOHRALEY TO MUAMLA PUKHTA HOJAYEGA.”
Dekhiye…: [AL-MUGHNI , j#1 p#509]
…Ye HANABILAH ki kitab se FATWA agaya!
..
*ALLAMA MOHEMMED BIN ABDURREHMAN ASH-SHAFAY’II(ra) farmatey hain…:
“…NIYAT KI JAGA TO QALB HAI LEKIN KAMAL YE HAI KE JIS CHEEZ KI DIL MEIN NIYAT KI HAI USKA TALAFFUZ KARLEY(Zuban se Dohraley!)”
Dekhiye…: [AR-REHMATUL UMMAH , p#14]
…Ye SHAFI’YAH ki kitab se FATWA agaya!
..
*MALIKIYAH bhi DAFA e WASWASA ke liye ZUBAN se Niyat ke Alfaaz dohraney ko mandoob mantey hain.
Dekhiye…: [AL-FIQH ALAL MAZAHIB E ARBA’A, j#1-p#195].
>…Pata chala iske Qayil Sirf AHLE SUNNAT AHNAAF hi nahin hain!!!
..
>>> Agar dekha jaye to Challenge ka jawab usooli tor par uppar ki gayi behas se hi hojata hai ke ghermuqalllid ka jo ye sawal tha ke ZUBAN SE NIYAT ki kia daleel hai? To iska jawab saaf yahi hai ke ZUBAN SE NIYAT hoti hi nahin, humarey haan to is istilah ka bas itna hi matlab hota hai ke NIYAT ke ALFAAZ Zuban se dohralena dafa e wasawis ke wastey aur bas lihaza hum to zuban se NIYAT hi nahin kartey mehaz dil ke alfaaz dohratey hain!!! To phir humsey Zuban se Niyat ka sawal hi jahilana aur ghalat hai!!!
..
…Lekin agar ab bhi post wala GherMuqalid Rafizi itni pur maghaz behas ke baad bhi Daleel mangey, to theek hai!!! Phir ye uppar post banakar challenge karney wala Dil thaamley aur Thoos dalail Mulahiza karley!!!
***DALEEL#1…:
..
ALLAH TA’ALA QURAN mein farmatey hain…:
“…aur unlogon ko nahin hukum diya gaya magar isi baat ka ke ALLAH KI IBADAT KAREIN, USKE LIYE DEEN KO KHALIS KARTEY HUE.”
..
Dekhiye…: [SURATUL BAIYYINAH, Ayat# 5].
>…Pata chala ALLAH ka hukum ye hai ke ALLAH ki Ibadat ko KHALIS karkey ada karna chahiye hai, Lihaza jab DIL mein ki gayi Ibadat ki Niyat ko Zuban se dohrahliya jayega to muamla pukhta hojayega(kyunke zuban Dil ki tarjuman hai! Is par HADEES bhi arahi hai jissey sabit hoga ke Zuban dil ki tarjuman hai!) jissey Ibadat khalis hojayegi aur QURAN ke hukum par Amal hojayega! Falilhamdulillah!
..
Kyun Rawafiz e ghermuqallidiyah? QURAN ka hawala parhkar Tabiyat Mubarak par kiya guzri??? Sab kheriyat raha???
***DALEEL#2…:
ALLAH KE RASUL S.A.W farmatey hain…:
..
“Aadmi ka DIL SEEDHA NAHIN HOTA yahan tak ke uski ZUBAN SEEDHI HO.”
..
Dekhiye…: [MUSNAD E AHMED, j#3 – p#198].
..
>…PIYARE AAQA S.a.w ke Qaul se malum hogaya ke ZUBAN seedhi hoti hai to DIL seedha hota hai, Yani asaan alfaz mein ZUBAN DIL KI TARJUMAN HAI. Ab NIYAT jab DIL ka Fael hai to Dil ki ISTIQAMAT ZUBAN ki ISTIQAMAT yani ALFAAZ o TALAFFUZ se hai. Bas! Yahi wajeh hai ke hum DIL KI NIYAT ZUBAN se dohratey hain taakey DIL seedha rahey aur ALLAH KE RASUL S.a.w ke Qaul par amal hojaye!!!
***DALEEL#3…:
..
ALLAH KE RASUL S.a.w ne HAJJ ke Alfaaz ZUBAN se kahey they.
Dekhiye…: [SAHIH MUSLIM]
aur [MISHKAT, p#223 ].
..
***DALEEL#4…:
..
RASUL S.A.W ne HAZRAT ALI(Rz.a.) se pucha…:
..
“ALI? JAB TUNEY HAJJ FARZ KIYA, TO KIA KAHA THA?”
HAZRAT ALI(Rz.a.) ne jawab diya…:
..
“MAINEY KAHA THA KE; AYE ALLAH! MAINEY IS CHEEZ KA AHRAAM BANDHA JISKA TERE RASUL S.A.W NE AHRAAM BANDHA.”
Dekhiye…: [MISHKAT, p#244 Bahawala Tajalliyat e Anwar].
..
>…Pata chala ZUBAN SE NIYAT KE ALFAZ DOHRANA YE SAHABA KA FAEL BHI HAI! SubhanALLAH!
..
>>>Aisey to Dalail kuch aur bhi hain magar Hum saari behas ab yahin khatam kartey hain!!!
.
…InshaALLAH ABU JEHLI GherMuqallid Rawafiz ke liye unke farsudah Challenge ka humari taraf se Intihayi Pur maghaz aur Thoos Hawalon se bharpoor Jawab raaton ki neend ujarney ka sabab banega aur Qalb ki takleef banker chubhega par kiya karein GherMuqallidon ye HAQ ki chashni hi kuch aisi hai ke batil ko hamesha chubhti hi hai aur batil ko ruswa karkey rakhdeti hai, Hum to humarey jawab ke baad tumhari halat o ruswayi dekhkar ab yahi kehsaktey hain ke…:
..
“Naa Tum TAANEY Humein Detey,
Naa Hum JAWAAB Detey…….
Naa Yun Khultey RAAZ Sarbastah,
Naa Yun RUSWAIYAN Hotin.”
No comments:
Post a Comment