Sarr Dhanp Kar Namaz Padhna
AFZAL Hai (Quran, Sahih
Hadees Aur Salaaf Se Saboot)
“Ahle Sunnat Wal Jammat Ke Yahan Namaz
Padhte Waqt Sarr Dhanpna Chaiye Chahe Pagdi
Ke Zariye Ho Ya Topi Ke Zariye. Han Agar
MAJBOORI Ho Maslan Kapda NA Mil Raha Ho
Toh Alag Baat Hai..
Yeh Baat Bhi Malhooz Rahe Ke Ahle Sunnat Wal
Jammat Bagair Sarr Dhanpe NAMAZ Ko Bilkul
BATIL Qarar NAHI Dete Bulke Isse Khilaf-E-
Adab, Khilaaf-E-Sunnat, Makrooh Aur Na-
Pasandida Qarar Detey Hain.”
[Risalah: Sarr Dhanp Kar Namaz Padhna, Safah:
2]
Aur Iske Bar-Aksh Ghair Muqallideen Naam
Nihaado Ke Nazdeeq Nange Sarr Namaz Padhna
SUNNAT Hai !!
Chunanche Gair Muqallid Aalim Abdur Rahman
Sahab Likhtey Hain :
“NANGE Sarr Namaz Padhna SUNNAT
Rasoolullah Sallallahu Alaihi Wassallam Hai.”
[Kaun Kehta Hai Ke Nange Sarr Namaz Nahi
Hoti?, Safah: 14]
Ab Hum QURAN, SAHIH HADEES AUR
SALAF Se Dekhte Hain Ke Sarr Dhanp Kar
Namaz Padhna AFZAL Hai :
QURAN SE SABOOT :
1. Irshaad E Baari Ta’alla Hai :
ﺑِﺴْﻢِ ﺍﻟﻠﻪِ ﺍﻟﺮَّﺣْﻤﻦِ ﺍﻟﺮَّﺣِﻴْﻢ .
” ﻳَﺎ ﺑَﻨِﻲ ﺁﺩَﻡَ ﺧُﺬُﻭﺍ ﺯِﻳﻨَﺘَﻜُﻢْ ﻋِﻨْﺪَ ﻛُﻞِّ ﻣَﺴْﺠِﺪٍ … ”
Tarjuma: Aye! Bani Adam, Jab Tum Namaz
Padhne Lago Toh Khubsurat Libaas Pehan Liya
Karo….”
[Surah A’araf, Ayat Raqam: 31]
Ayat Ki TAFSEER :
A. Shaykh ul-Islaam Allama Ibn Taimiyyah Rh.
(Wafat San 728 Hijri) Farmatey Hain :
“Allah Ta’alla Ne Namaz Ke Liye Satar Aurah
(Azaa Satar Ke Dhanpne) Ke Alawa Ek Zaid
Huqm Bhi Diya Hai Aur Woh Hai Accha Libaas
Pehanna Chunanche Farmaya Ke Har Namaz Ke
Waqt Khubsurat Libaas Pehno.
[Fatawa Al-Kubra Lil Allama Ibn Taimiyya, Jild:
5, Safah: 326]
B. Imaam Ibn Quddama Hambali (Rh.) Likhtey
Hain :
“Abul Hasan Al-Tamimi (Rh.) Farmatey Hain
Ek Kapda Namaz Ke Jawaz Ke Liye Kaafi Hai.
Do Kapde Behtar Hai, Chaar Kapde Hon Toh
Namaz Aur Zyada KAMIL Hogi. Chaar Kapdey
Yeh Hain: Kameez, Payjama, Pagdi Aur
Tehband.”
[Al-Mugni, Jild: 2, Safah: 136]
C. Allama Muhammad Zahid Bin Al-Hasan Al-
Kausari Rh. (Wafat 1371 Hijri) Farmate Hain :
“Aur Yeh Wahem Karna Ke Ayat Toh Jahiliyat
Ke Logon Ko Kaabe Ka Tamam Kapdey Ke
Nange Tawaf Karne Par Tanbiya Karne Ke Liye
Nazil Hui Thi Lehaza Is Huqm Nange Tawaf
Karne Ke Saath Khass Rahega Yeh Istembaat Ke
Bunyadi Usool Se Bohot Dur Ki Baat Hai.
Kyunki Aitebaar Lafz Shamil Hone Ka Hota Hai
Na Ke Sabab Ke Khass Honeka Aur Issi Wajah
Se Aap Dekhtey Hain Ke Tamam Maslak Ke
Hazrat TOPI, Kameez Aur Payjama Ki Namaz
Padhne Ke MUSTAHAB Hone Par Muttafiq
Hain. Jaise Ke Muniya Ki Sharah Safah: 349
Aur Majmua An-Nawawi: 3/173 Wagairah Me
Mazkoor Hai.
[Maqalaat Al-Kawsari, Safah: 171]
D. Shaykh Muhammad Bin Saaleh Bin
Muhammad Usaymin Likhtey Hain :
“Aur Quran Majeed Me Irshad Hai Aye Bani
Adam! Har Sajda Ke Waqt (Yaani Namaz) Apni
Zeenat Leliya Karo.” Pas Allah Ta’alla Ne Is
Ayat Me Namaz Ke Waqt Zeenat Ikhtyar Karneka
Huqm Farmaya Jiska Kam Az-Kam Darja Aisa
Libaas Hai Jis Se Satar Chup Jaye Aur Aap Se
Zyada Libaas Ki Fazeelat Hai Aur Sunnat Ne Isko
Tafseel Se Bayan Kardiya Hai Aur Jab Insan Isbat
Se Sharam Karta Hai Ke Woh Badshahon Mese
Kisi Badshah Ke Samne Aise Kapdon Me Aye Jo
Satar Ko Chuppaye Huwe Na Ho Ya Is Ke Badan
Ka Addha Hissa Kapdon Se Chupa Huwa Na Ho
Toh Insan Ko Is Baat Se Kyun Nahi Sharam
Aani Chaiye Ke Woh Tamam Badshaho Ke
Badshah ALLAH Azwajal Ke Samne Aise Kapdon
Me Khada Ho Jiska Pehanna Iske Taraf Se
Matloob Nahi. Aur Issi Wajah Se Hazrat
Abdullah Bin Umar (Rdh.) Ne Apne Gulam Naafe
(Rh.) Se Jab Unhone Nange Sarr Namaz Padhtey
Huye Dekha Tha Farmaya Tha Ke Apna Sarr
Dhank Lijiye Kya Aap Logon Ke Samne Nanga
Sarr Janna Gawara Karenge? Naafe (Rh.) Ne
Kaha Ke Nahi. Hazrat Ibn Umar (Rdh.) Ne
Farmaya Ka ALLAH Ta’alla Toh Dusron Ke
Muqabley Me Jamal Wa Zeenat Ke Zyada
Mustahiq Hai. Ayr Yeh Baat Unlogon Ke Liye
Sahih Hai Jinki Addat Yeh Hai Ke Woh Apne
Sarr Nange NAHI Kartey Aur Logon Ke Samne
Nange Sarr Jana Gawara Nahi Karte.
[Sharah Al-Mumti, Baab: Sarwat Al-Salaah
Minha Al-Aurah]
E. Ghair Muqallid Miya Nazeer Hussain Dehlavi
Sahab Ayat Ke Tehad Farmate Hain :
” ﻳَﺎ ﺑَﻨِﻲ ﺁﺩَﻡَ ﺧُﺬُﻭﺍ ﺯِﻳﻨَﺘَﻜُﻢْ ﻋِﻨْﺪَ ﻛُﻞِّ ﻣَﺴْﺠِﺪٍ ..”
Ayat-e-Mubaraka Se Yeh Sabit
Hota Hai Ke Topi Aur Amame Se Namaz Parhna
Aula Yaani (MUSTAHAB) Hai Aur Jo SUSTI
Aur KOTAHI Ke Wajah Se NANGE Sarr Namaz
Padhe Usski Namaz MAKROOH Hai.”
[Fatawa Nazeeriya, Jild: 1, Safah: 240]
F. Ghair Muqallid Aalim Ubaidullah Khan Afeefi
Sahab Likhtey Hain :
“Koi Indono Ayat Ki Jo Bhi Tafseer Kare Magar
Indono Ki Itla’aq Aur Umoom Se Pura Libaas
Zaib Tan Namaz Padhna Namaz Ke Shaan Aur
Uske Adab Me Shamil Hai Aur Hamare Arf Me
Teen (Three) Kapdey PAGDI, Tehband Aur
Kameez Pura Libaas Kehlatey Hain.”
[Fatawa Muhammadiya Tarteeb Maulwi Mubassir
Ahmad Rabbani, Jild: 1, Safah: 379]
No comments:
Post a Comment